Sunday, December 19, 2010

Bara maza ho jo mehsher mein hum karen shikwa


Bara maza ho jo mehsher mein hum karen shikwa
Woh minnaton sey kahen chup raho Khuda key liye.

Pehle pehal ka ishaq abhi yaad hai


Pehle pehal ka ishaq abhi yaad hai FRAZ
Dil khud ye chahta tha ke Ruswaiyan bhi hon

Khawab hotey hain dekhney ke liye


Khawab hotey hain dekhney ke liye
in mein ja kar magar raha na kro

Koi nahin hay merey jaisa charoon aur


Koi nahin hay merey jaisa charoon aur
Apney gird ek bheer saja ke"Tanha"hoon

Tujh se bichar ke bachpan ka yeh bhaid khula


Tujh se bichar ke bachpan ka yeh bhaid khula
Kiyun likhta tha main pairoon pe"tanha tanha

Kuch is tarah nazar andaaz ho gay


Kuch is tarah nazar andaaz ho gay Faraz
Jesay izafi hurf thay hum teri zindgi ki kitaab me..

Chandani raat me our bhi shiddat se aaye gi us ki yaad


Chandani raat me our bhi shiddat se aaye gi us ki yaad
Behtar hai faraz so jana sham se pehle.

Yahi andaaz to bas unke sitam dhaate hain


Yahi andaaz to bas unke sitam dhaate hain Fraz
Na wo rukte hain, na aane ki kasam khaate hain

Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao


Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao
Itna ruk ruk ke chalogi to quayaamat hogi

Aao ik sajda karien hum alam-e-madhoshi main


Aao ik sajda karien hum alam-e-madhoshi main
loug kehtay hain kay saghar ko khuda yaad nahi

Us se ik baar to roothoon main usi ki maanind


Us se ik baar to roothoon main usi ki maanind
Aur meri tarah se vo mujh ko manaane aaye

Jo Main Kar Nahi Sakta Wo Main Farz Karta Hoon


Jo Main Kar Nahi Sakta Wo Main "Farz" Karta Hoon"
Chalo Main "Farz" Karta Hoon "Mujhe Tum Se Mohabbat Hai"

Mujhe chhorney ka faisla to raz krta hai wo shakhas


Mujhe chhorney ka faisla to raz krta hai wo shakhas
Mager uska bus nahi chalta meri wafa ke samney

Naaz tha humein buhat pyar pe


Naaz tha humein buhat pyar pe Fraz
Roothein jo ik baar to mana lein gey wo aa kar

kon tha apna kiss pe inayat krtey


kon tha apna kiss pe inayat krtey
Humein to hasrat hi rahi hum bhi muhabbat krtey

Kal raat chand hubahu tujh jaisa tha


Kal raat chand hubahu tujh jaisa tha Muhsin
wohi husan wohi guroor aur wohi doori

Jala diye hein oraak Shero sukhan


Jala diye hein oraak Shero sukhan
ab dekhiye shola niklta hai ke Aah

Ussey ye Shikwa ke ussey samaj na sakey


Ussey ye Shikwa ke ussey samaj na sakey Fraz
aur humein tha maan ke hum jantey hein ussey

Uss se krta hoon mulakaat simatney ke liye


Uss se krta hoon mulakaat simatney ke liye
Uss se milta hoon to kuch aur bikhar jata hoon

Safeed Libas Ausy Mery Jism Per Bohat Pasend Tha


Safeed Libas Ausy Mery Jism Per Bohat Pasend Tha Faraz.
Aaj Main Kufen Main Lipta Hon Phir Wo ROta Q Ha?

Us shakhs ko to bicharne ka salika bhi nahi


Us shakhs ko to bicharne ka salika bhi nahi FARAZ
jate howe khud ko mere pass chhor gaya

Dard Sehne ke itni Adat ho gai hia


Dard Sehne ke itni Adat ho gai hia Faraz..
durd na mele to Dard hota hai....

main apnay dard kahan banta phiroon


main apnay dard kahan banta phiroon faraz
k main apni cheezain fakat apnay pass rakhta hon

Hum to mohabbat mai bhi tauheed k Qael hain


Hum to mohabbat mai bhi tauheed k Qael hain Faraz
Bas aik hi shaks ko mehboob bana rakha hai..

Din To Is Shaher Ke Roozaq May Guzertey Hay


Din To Is Shaher Ke Roozaq May Guzertey Hay Faraz::
Ek shkhas Sare Shaam Bohut Yaad Aata Hay

muhabbat kar saktay ho tau rab se karo


muhabbat kar saktay ho tau rab se karo faraz.....
mitti k khilono se kabi wafa nahin milti.

Ghar say niklay thay ke duniya ne pukara tha


Ghar say niklay thay ke duniya ne pukara tha Faraz
Abb fursat miley duniya se tou ghar jaein kahein

Yeh mohabbat bhi hey kiya rog


Yeh mohabbat bhi hey kiya rog Faraz
Jis ko bholay woh sada yaad aaya....

yeh kana-at hai ata-at hai ke chahat hai

yeh kana-at hai ata-at hai ke chahat hai  
Hum to razi hain wo jis haal main jaisa rakhey

Shaeyd k wo Likh Hi dey Mujhe Tere haq mein

Shaeyd k wo Likh Hi dey Mujhe Tere haq mein 
Tu Kaataib e taqdeer Se zara isRaar to kar

Dasht-e-gurbat main tumhain kaun pukare ga


Dasht-e-gurbat main tumhain kaun pukare ga Faraz
Chal paro khud hi jidhur dil ki sada ley jaye

Bebaan zindagi ki haqeeqat na puchiye


Bebaan zindagi ki haqeeqat na puchiye FARAZ
kuch pur khuloos log thay barbaad kar gaye

milein jab un se to mubaham si guftagu karana


milein jab un se to mubaham si guftagu karana
phir apane aap se sau-sau vazaahatein karani

jis ko bhi chaha usey shiddat se chaha hai


ko bhi chaha usey shiddat se chaha hai 'Faraz'
sil-sila TuTa nahi dard ki zanjir ka

zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka


zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka 'Faraz'
zaalim ab ke bhi na royega to mar jayega

log muntazir hi rhe k hmain toot'ta dekhain


log muntazir hi rhe k hmain toot'ta dekhain faraz
ham zabt krte krte pathar k ho gaye

Ab sochta hoon kabhi tere dil mein utar kr dekh loon


Ab sochta hoon kabhi tere dil mein utar kr dekh loon Fraz
Kon basa hai tere dil mein jo mujhe basney nahi deta

Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil


Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil,
haan yoon bhi nikal aate hai aasoon aksar

Kar Kar Key Minatein Teri Ham Ney Aadat Bigaar Di


Kar Kar Key Minatein Teri Ham Ney Aadat Bigar Di
Jaan Boojh Kar Ham Ney Tujhey Sitam Gar Bana Diya.

Chup chaap apni aag mein jaltey raho


Chup chaap apni aag mein jaltey raho FRAZ
Duniya to arz-e-haal se beAabroo karey

Aoron ke pass ja kr meri dastan na pooch


Aoron ke pass ja kr meri dastan na pooch
Jo kuch hai mere chehrey pe likha hua bhi dekh

Badh gaya ranj aur bhi uss se bichhar janey ke baad


Badh gaya ranj aur bhi uss se bichhar janey ke baad
Woh samjta hai ke main usko Ganwa kr khush hua

Poojta hoon tujhe khyalon mein


Poojta hoon tujhe khyalon mein
ker raha hoon mein bandgi khamosh

Bechain ker deti hain jab tanhaeyaan dil ki


Bechain ker deti hain jab tanhaeyaan dil ki
Dar-o-dewaar per Shaklein bana ker dekh leta hoon

Pooch baitha hoon tujh se tere koochey ka pata


Pooch baitha hoon tujh se tere koochey ka pata
Tere haalat ne kaisi meri soorat ker di

Poochna chahta hoon mein yeh unki Aankhon se


Poochna chahta hoon mein yeh unki Aankhon se Shakir
Kis ko abaad kia hai mujh ko barbaad ker ke

Pehle usko socha tha ya pehle usko chaha tha


Pehle usko socha tha ya pehle usko chaha tha
Aisi batein kia sochein jab sub iqraar Zubani hoon

Pehle uss mein ik ada thi Naaz tha Andaz tha


Pehle uss mein ik ada thi Naaz tha Andaz tha
Roothna ab to teri aadat mein shamil ho giya

Phool daman mein sajaey phirte hain wo log


Phool daman mein sajaey phirte hain wo log
jin ko nisbat hi nahi thi chaman se yaaro

Phool hi haath lagein haath mein kante na chubhein


Phool hi haath lagein haath mein kante na chubhein
Aap bi aaye hain kia khoob tamanna le kar

Popular Posts