Wednesday, June 2, 2010

Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat Karein

Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat Karein, 
Waqt Hi Na Raha Waqt Ki Baat Hai, 

Usne Dekha Mujhe Usne Chaha Mujhe, 
Usne Thukra Diya Waqt Ki Baat Hai, 

Koi Mushkil Padi Koi Kaam Aa Gaya, 
Zehan Mein Uske Jo Mera Naam Aa Gaya, 

Baad Muddat Ke Wo Doston Ki Tarah, 
Humse Has Ke Mila Waqt Ki Baat Hai, 

Zindagi Humse Anjaan To Ho Gayi, 
Ek Rishte Ki Pehchan To Ho Gayi, 

Koi Chahat Na Thi Bas Murawwat Thi, 
Wo Khudko Samjha Liya Waqt Ki Baat Hai, 

Apna Rang-E-Mohabbat Hia Sabse Juda, 
Koi Puchhe To Rashid Kaun Aur Kya, 

Jisko Paya Nahi Usko Kho Kar Bhi Main,
Kyon Usi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai...

Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye

Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye, 
Yani Ab Jurm-E-Aseere Ki Saza Di Jaye, 

Uski Khwahish Hai Ke Ab Log Na Royein Aur Hasein,
Behisi Waqt Ki Awaz Bana Di Jaye, 

Dasht-E-Naadidaa Ki Tahaqiq Zaroori Hai Magar, 
Pehle Jo Aag Lagi Hai Wo Bujha Di Jaye, 

Sirf Jalna Hi Nahi Humko Bhadkana Bhi To Hai, 
Ishq Ki Aag Ko Laazim Hai Hawa Di Jaye, 

Sirf Suraj Ka Nikalna Hai Agar Subah To Phir,
Ek Shab Aur Meri Shab Se Mila Di Jaye,

Aur Ek Takaza Sitam Usne Kiya Ijaad, 
Usko Is Baar Zara Khul Ke Duwa Di Jaye...

Ek Raah Par Saari Umr Chale

Ek Raah Par Saari Umr Chale, 
Ek Dooje Ko Par Na Samajh Sake,
Jeevan Ka Safar Anjaan Safar, 
Be Ronaq Be Armaan Safar, 
Jeewan Ke Kisi Bhi Dukh Sukh Mein,
Wo Mere Sath Shareek Nahi, 
Hum Dono Mein Ek Jazba Hai, 
Par Jazbon Mein Tehreek Nahi, 
Hai Jaari Magar Anjaan Safar, 
Main Sochti Hoon Ek Din Yunhi, 
Wo Mujhse Juda Ho Jayega, 
Pehle Main Mar Jaun Ya Shayad Wo Mar Jayega, 
Phir Log Kahenge Ke Un Ka Ye Rishta Kitna Sacha Tha, 
Par Kisko Khabar Sara Jeevan Mein Tanha Thi Wo Tanha Tha...

Woh Jab Tak Meherbaan Tha

Woh Jab Tak Meherbaan Tha 
Sare Manzar, Sare Mausam Meherbaan The 
Parinde, Phool, Khushboo, Khwaab Peham Meherbaan The 
Hum Apne Saath Chhata Le Kar Kyon Chalte Hain 
Achanak Tez Barish Se Hamein Khatra Nahi Tha 
Kya Kahoon Ashaam Qatre Masl-E-Shabnam Meherbaan The 
Jo Dushman Hai Woh Zaher Hai 
Ke Hum Se Khush Na The Lekin 
Hum Un Ka Zikar Karte The To Kehte The 
Hamare Meherbaano Mein Yeh Kam Kam Meherbaan The 
Azal Se Ta Abad'sab Ashna Na Ashna 
Lamhon Se Apni Dosti Thi 
Zameen Se Ta Falak Jitne The Aalam Meherbaan The 
Khushi To Un Dino Chhoti Si Bachhi Thi 
Hamare Ghar Jo Aksar Khelne Ati 
Tu Us Ko Der Ho Jati 
Khushi Tou Phir Khushi Thi 
Inteha Yeh Thi K Gham Bhi Meherbaan The 
Woh Jab Tak Meherbaan Tha 
Khud Pe Hum Bhi Meherbaan The

Aaj Phir Tum Nazar Nahi Aaye

Aaj Phir Tum Nazar Nahi Aaye, 
Aaj Phir Tamanna Ke Phool Murjhaye,

Aaj Phir Sogwaar Aankhon Ne, 
Lala-O-Gul Par Ashq Barsaye,

Aaj Phir Ehd-E-Gam Ke Afsane, 
Meri Betabiyon Ne Dohraye, 

Is Bahaar-E-Shehar Mein Tumhara Pata, 
Kisko Pata Kaun Batlaye, 

Kin Dayaaro Mein Kho Gaye Tum, 
Hum To Sitaron Ki Khaak Chhan Aaye...

Dost Ban Ban Ke Mile Mujhko Mitane Wale

Dost Ban Ban Ke Mile Mujhko Mitane Wale, 
Maine Dekhe Hai Kayi Rang Badalne Wale, 

Tumne Chup Rehkar Sitam Aur Bhi Dhaya Mujhpar, 
Tumse Achhe Hai Mere Haal Pe Hasne Wale, 

Main To Ikhlaaq Ke Haathon Hi Bika Karta Hoon,
Aur Honge Tere Bazar Mein Bikne Wale, 

Aakhri Daur Pe Salaam-E-Dil-Muztar Le Lo, 
Phir Na Lautenge Shab-E-Hijr Pe Rone Wale...

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane,
Gam To Sabke Juda Juda Hai Magar, 
Gham To Unwaan Ek Hota Hai, 
Rang Aur Roop Mukhtalif Hai Sahi, 
Dilse Insaan Ek Hota Hai, 

Gam Ki Manzil Bhi Ek Hoti Hai, 
Gam Ki Mehfil Bhi Ek Hoti Hai, 
Raaste Hai Alag Alag Hai Magar
Ek Hi Karwan Hota Hai, 

Sab Yahan Apne Gam Ke Maare Hai, 
Kuch Hai Bebas To Kuch Bechare Hai, 
Apni Duniya Mein Sab Hi Rehte Hai, 
Sabka Apna Apna Jahan Hota Hai,

Sochta Hoon Ke Kya Khata Hai Meri,
Zindagi Ek Baddua Hai Meri, 
Kyon Ye Bardast Ka Khuda Jaane,
Har Ghadi Imtehaan Hota Hai...

Shaam Doobi To Beqarari-E-Dil,

Shaam Doobi To Beqarari-E-Dil,
Yun Badhi Jaise Janib-E-Saahil
Mauj Toofan-E-Tand-O-Tez Badhe,
Jaane Kyon Dabdabayi Aankhon Se, 
Teri Tasveer Dekh Kar Maine
Keh Diya Kitni Bewafa Hai Tu, 
Aur Teri Tamam Tasveerein
Husn Ki Lazawal Tehreerein, 
Maine Besakhata Ulat Dein,
Ishq Pechaan Ki Bail Khidki Par, 
Tandi-E-Badekh Se Ghabra Kar,
Raat Bhar Apna Sar Patakti Rahi, 
Ek Ajab Ajnabi Tarike Se, 
Aakh Ke Neemva Dareeche Se, 
Neend Aa Aa Ke Laut Jaati Rahi, 
Poo Phatti Doobne Lage Tere, 
Muskurate Shafaq Ke Nazare 
Ishq Pechaa'n Ke Phool Khil Uthe, 
Maine Tasveerein Jo Ulat Di Thi, 
Par Qareene Se Mez Par Rakh Di Thi, 
Aur Khud Hans Pada Najane Kyon...

Mujhse Waqif To Mere Jism Ka Saya Bhi Na Tha

Mujhse Waqif To Mere Jism Ka Saya Bhi Na Tha,
Kaise Ho Jata Tumhara Main Khud Apna Bhi Na Tha,

Jitna Mayus Hai Wo Shakhs Bikhar Kar Mujhse,
Itni Shiddat Se To Maine Use Chaha Bhi Na Tha,

Jaise Ilzaam Lagaye Hai Mere Sar Usne,
Aisi Nazronse To Maine Use Dekha Bhi Na Tha,

Meri Awaaz Ka Gam Shaher Ne Jana Kyonkar,
Main To Us Bhid Mein Khamosh Tha Bola Bhi Na Tha...

Kya Ye Bhi Zindagi Hai Ke Raahat Kabhi Na Ho

Kya Ye Bhi Zindagi Hai Ke Raahat Kabhi Na Ho, 
Aisi Bhi To Kisise Mohabbat Kabhi Na Ho, 

Waada Zaroor Karte Hai Aate Nahi Kabhi, 
Phir Ye Bhi Chahte Hai Shikayat Kabhi Na Ho, 

Shaam-E-Visaal Bhi Ye Tagaaful Ye Berukhi, 
Teri Raza Hai Mujhko Masarrat Kabhi Na Ho, 

Ahabaab Ne Diye Hai Mujhe Kis Tarah Fareb, 
Mujhsa Bhi Koi Sada Tabiyat Kabhi Na Ho, 

Lab To Ye Keh Rahe Hai Ke Uth, Badh Ke Chum Le, 
Aankhon Ka Ye Ishara Ke Jurrat Kabhi Na Ho, 

Dil Chahta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din,
Mujhko To Tere Khayal Se Fursat Kabhi Na Ho...

Aankhein, Qisse, Main Aur Tum


Aankhein, Qisse, Main Aur Tum,
Baatein, Taane, Main Aur Tum, 

Yaadein Teri Pyaari Yaadein, 
Rahein Manzil Main Aur Tum, 

Saari Mehfil Ek Taraf, 
Apni Aankhein Main Aur Tum, 

Tere Hathon Par Mehandi Se, 
Kaise Likha Tha Main Aur Tum,

Tumne Bhi To Socha Hoga, 
Achhe Bachhe Main Aur Tum, 

Achha! Tum Bhi Bhul Gayi Ho, 
Yaad Dilaun? Main Aur Tum?

Apna Bachpan Kaise Bhoolun,
Tooti Gudiya Main Aur Tum, 

Chandni Raat Ke Hote Main,
Kaise Sote Main Aur Tum, 

Pehli Baarish Yaad Hai Tumko, 
Mitti, Paani, Main Aur Tum, 

Khelte Rehna Kudte Rehna, 
Tanha Tanha Main Aur Tum...

Yeh Manzil Aakhri Kab Hai, Abhi To Ibteda Hogi

Yeh Manzil Aakhri Kab Hai, 
Abhi To Ibteda Hogi, 
Naye Afkar Mehkenge, 
Kahin Halchal Nai Hogi, 
Safar Ki Dastano Mein,
Tafaqur Ke Zamano Mein,
Yehi Dilko Guman Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi, 

Had-E-Imkaan Se Aage, 
Bahut Se Raaste Honge, 
Bade Dilkash Jazeeron Se, 
Nazar Ke Faasle Hoge, 
Uffaq Ke Paar Jana Ho, 
Dhanak Ka Raaz Pana Ho, 
To Phir Jazba Jawan Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi, 

Kabhi Taseer Jab Hogi, 
Kisi Mokhlis Ki Baaton Mein,
Wafa Ki Dastan Lab Par, 
Sunehri Chand Raton Mein,
Ghata Ghanghor Chayegi, 
Fiza Nagme Lutayegi, 
Teeqan Ka Saman Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Fareb Zindagi Se Hum
Abhi To Bahel Jayenge, 
Nazar Mein Aarzu Ke, 
Haseen Sapne Sajayenge, 
Pahuch Kar Manzilon Par Jab,
Nayi Manzil Pukaregi,
To Phir Khud Par Ayyan Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Wafa Ke Raazdano Ko
Yunhi Din Raat Chalna Hai,
Jahan Ki Thokar Main Bhi, 
Hamein Girkar Sambhalna Hai, 
Mukaddar Phir Sawarengi
Kathin Raahein Pukarengi
Sankhor Karwan Hoga,
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...

Magar Safaq Lamhon Mein,
Agar Ek Saans Ruk Jaye,
Dil Betaab Chupke Se
Nazar Ke Sath Jhuk Jaye, 
Fiza Bhi Ruth Jaye To, 
Ye Daman Chhoot Jaye To, 
Koi Noha Kana Hoga, 
Yeh Manzil Aakhri Kab Hai,
Abhi To Ibteda Hogi...



_________________

Hawa Jab Tez Chalti Hai, TuMhari Yaad Aati Hai

Hawa Jab Tez Chalti Hai, 
TuMhari Yaad Aati Hai, 
Jab Patte Sarsaraate Hai, 
TuMhara Zikr Hota Hai, 

Kabhi Haule Se Shab Ko,
Mere Dil Mein Aakar Ke Dekho, 
Hai Ke Mehfil Saji Hoti, 
TuMhara Zikr Hota Hai, 

TuMhein Kaise Bataun Kitni Chahat
Maine Ki TuMse, 
Ke Jab Aansu Chhalakte Hai, 
TuMhara Zikr Hota Hai, 

Kabhi Chanda Ko Main Dekhoon,
Kabhi Taare Main Ginti Hoon, 
Jab Chandni Muskurati Hai, 
TuMhara Zikr Hota Hai, 

ZaMana Hai Bahut ZaaliM
Kahin Ye Chhin Na Le TuMko,
Main Bas KhaMosh Hoti Hoon
Aur
TuMhara Zikr Hota Hai



_________________

Juda Hona Hi Thehra To, Gila Kaisa Shikayat Kya

Juda Hona Hi Thehra To, 
Gila Kaisa Shikayat Kya, 
Juda Ho Jayein Chupke Se, 
Na TuM Bolo Na Main Bolun, 
HaMare Bol Padne Se Judayi Pehel Sakti Hai, 

Hawaon Mein Fizaon Mein,
Judayi Zaat Mein Bhar Lein,
Chalo HuM Is Tarah Kar Le
Kisi Sunsaan Raaste Ke Kisi Bhi Mod Par Dono,
Juda Ho Jayein Chupkese, 
Na TuM Bolo Na Main Bolun,
HaMare Bol Padne Se Judayi Pehel Sakti Hai...

Alwida Keh Diya Dil Ne Aur Yeh Qadam

Alwida Keh Diya Dil Ne 
Aur Yeh QadaM 

Uth Rahe The Kisi Aur Janib Magar 
Phir Bhi Ek Aas Thi 
Ke Sada Dogo TuM 
Aur Palat Jaoonga Main TuMhare Liye 

Par Yeh Ho Na Saka 

Jhankta Tha TuMhare Khayaloon Mein Jab 
To PasheeMan Sa Paa Raha Tha TuMhe 
TuM Bhi Yeh Chah Rahi Thi, 
Ke Mein Loot Kar 
Dil Se TuM Ko Laga Loon, Mana Loon TuMhein 

Yeh Bhi Ho Na Saka 
Yeh Bhi Ho Na Saka Aur Jane Wafa 
Donon Apni Anaa Ki Fasiloon Tal'e 
Dab Gaye...... Mar Gaye ....... Bewafa Ho Gaye

Yeh Haseen ShaaM Apni

Yeh Haseen ShaaM Apni,
Abhi JisMe Ghul Rahi Hai, 
Tere Parahan Ke Khushbu
Abhi JisMe Khil Arhe Hai, 
Mere Khwab Ke Shagoofey,
Zara Der Ka Hai Manzar

Zara Der Me UfaQ Par
Khilega Koi Sitara, 
Teri SiMt Dekh Kar Wo
Karega Koi Ishara
Tere Dilko Aayega Phir
Kisi Yaad Ka Bulawa,
Koi Qissa-E-Judayi, Koi Kaar-E-NaaMukaMMal,
Koi Khwaab-E-Naashagufta, Koi Baat Kehne Wali, 

HaMein Chahiye Tha Milna
Kisi Ahd-E-Meherbaan Mein,
Kisi Khwab Ke Yakeen Mein,
Kisi Aur AasMan Par
Kisi Aur SarzaMeen Mein,
HaMein Chahiye Tha Milna...

Mujhe Yaad Mat Kiya Karo

Mujhe Yaad Mat Kiya Karo, 
Mujhe Dilke Aangan Mein Kahin Dafan Kar Do, 
Us Pe Charagh-E-TaManna Bujha Dalo,
Sar-E-Shab Teeragi Mein Guzre Din, 
Yun Talash Mat Kiya Karo,
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Chandni Se Na Kuch Kaho,
Na Yun Hanso Na Baatein Karo,
Sar-E-Raah Apna BharaM Yun Tabah Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Gulistan Mein Koi Gul Khile,
Aur Koi Rahroo Use Tod Le,
To Hasrat Se Na Toka Karo, 
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

SaMandar Ke Paas Jao Kabhi
To Lehron Mein Paanv Dale Hue, 
Aati Jaati Maujon Se Yun
KalaM Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Sar-E-ShaaM ShafaQ Ko Dekh Kar, 
Yun Na Nazron Mein Bhar Liya Karo, 
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Kabhi Kholo Purani Dairy, 
To TaMaM Sefhey Padha Karo, 
Mera NaaM Dekh Kar
Safha Palat Mat Diya Karo, 
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Barasti Barish Mein Tehla Karo
Khoob Hanso Khoob Baatein Karo
Yun Katra Katra ThaaM Kar, 
Mera NaaM Mat Liya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Shab Ko Yun Guzaro Ke, 
Tanhayi Na Paas TuMhare Aaye, 
Na Dareechon Se Jhank Jhank Kar, 
TuMhe Chandni Sataye
To TuM Der Talak Chand Se
Yun Baatein Mat Kiya Karo
Mujhe Yaad Mat Kiya Karo...

Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein

Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Kahan Hai Log, 

Roz Main Chaand Banke Aata Hoon,
Din Mein Suraj Sa JagMagata Hoon,

Khankhanata Hoon Maa'n Ke Gehno Mein,
Hansta Rehta Hoon Chhup Ke Behno Mein,

Main Hi Mazdoor Ke Paseene Mein,
Main Hi Barsaat Ke Maheene Mein,

Meri Tasveer Aankh Ka Aansu, 
Meri Tehreer JisM Ka Jaadu, 

Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Nahi Jab Log, 

Main ZaMeenon Ko Be-Jiyaa Karke, 
AasMano Mein Laut Jaata Hoon, 

Main Khuda Banke Kaher Dhaata Hoon...

Na Tujhpe Jafa Ka Koi IlzaaM

Na Tujhpe Jafa Ka Koi IlzaaM 
Na Main Apni Ulfat Pe SharaMsaar, 
Tagaaful Na PeshayMaani Na Koi Shikayat, 
Bas Zindagi Ko Dekha Apne Apne Andaz Se HuMne,

Main IshQ Ko SaMajhta Hu Zindagi Ka Mukaddar, 
Tune Mukaddar Ko Bas Zindagi SaMjha, 
Main Jin ZulMaton Pe Uthata Raha Barbat-E-Bagawat, 
Tune Unhi AQaayud Ko Roshni SaMjha, 

Main Banata Hi Raha Haseen Khwabon Ke Gharonde, 
Mujhko Na Tha Pata Ke Tere Guzar InMein Kahan,
Tu To Dhundti Phirti Thi Ek Kafas Sandali,
Mere Tasavvur Mein Tha Tere Liye Ek Azad Jahan, 

Maine To Chaha Tha TuM HuMQadaM Hoke Chalo, 
TuMne Vise Mein Pyaa Hai Magar AQeedat Ka BharaM, 
Meri Ulfat To Thi Barabar Ki Dosti, 
Teri Ulfat Rahi Meri Mohtaaj-E-KaraM, 

Meri TaManna Thi Ke Tu Mujhe "Tu" Hoke Mile, 
Tune Khud Hi Ko Apni Bikle Ke Liye Pala Tha, 
Meri Hasrat Ki Tu Ise Apne Ehsaas Mein Rakh Kar Ke Jiye, 
Tune Parastish Ke Liye Jise Ab Talak SaMbhala Tha, 

Na Tujhse Thi Mujhe Parastish Ki Aarzu, 
Na Khud Mujhe Tha ShauQ-E-AQeedat, 
Main Tujh Mein Dhundta Phirta Tha Ek Khuddar Mehboob, 
Aur TuMko Pyari Thi Apne Purkho Ki Viraasat...

Na Socha Na SaMjha Na Seekha Na Jaana

Na Socha Na SaMjha Na Seekha Na Jaana, 
Mujhe Aa Gaya Khud-Ba-Khud Dil Lagana, 

Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana 
SiMat Kar Yahin Na Aa Jaye ZaMana 

Zuban Par Lagi Hai Wafaon Ki Mohrein 
KhaMoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana 

Gulon Tak Lagayi To Asaan Hai Lekin 
Hai Dushwar Kaanton Se DaaMan Bachana 

Karo Lakh TuM MataM-E-Nojawani 
Per 'MIR' Ab Nahi Aayega Woh ZaMana

Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar, Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho

Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar, Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho, 
Use Zindagi Ka Bhi HaQ Nahi Jise Dard-E-IshQ Mila Na Ho, 

Ye Inayatein Ye Nawazishein, Mere Dard-E-Dil Ki Dawa Nahi, 
Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai Jo Ada Shanaas-E-Wafa Na Ho, 

Tujhe Kya Bataun Main Bekhabar Ki Hai Dard-E-IshQ Mein Kya Asar, 
Ye Hai Wo Latif Si Kaifiyat Jo Zuban Tak Aayi Ada Na Ho, 

Ye Sharaab Rez-E-Hasin Ghataa Jo Hai "Kaif" Naazish-E-Maykada, 
Kisi Tashnaa-KaaM Ki Aarzu Kisi Tashna-Lab Li Dua Na Ho...

Main koi hurf-e-ghalat hon k mitaya jaon

Main koi hurf-e-ghalat hon k mitaya jaon 
jub bhi aon teri mehfil mein, uthaya jaon 

aik toot hoa patta hon thikana nahi maloom 
janay kab tak mein fizaon mein uraya jaon 

phir koi quwwat ki lori koi uljha hoa geet 
main bohat dair ka jaaga hoa. sulaya jaon 

janay kis jurm ki paadaash mein her roz saba 
haye halaat ki sooli per charhaaya jaon.

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya, 
Uska Mujhse Alag Raasta Ho Gaya, 

Wo Chala ThaaM Kar Haath Mera Magar, 
Bich Raaste Mein Mujhse Juda Ho Gaya, 

Koi Saya Nahi Tha Kadi Dhoop Mein,
Dil Pighalte Pighalte Fana Ho Gaya, 

Maine Dekha Jise Maine Socha Jise, 
Jisko Chaha Wohi Bewafa Ho Gaya..

Sehraon Ki Pyaas Ko Pee Kar

Sehraon Ki Pyaas Ko Pee Kar 
Chalne Wale 
Tanha Dasht Mein Jalne Wale 
Aye Sehra Nawardon! 
TuMne Mujhko Parkha Jana? 
Barish Ki Hasrat Rakhne Wale 
Main Ek Murat Pathar Ki 
Haan Main 
Pathar Ki Ek Tootti Morat 
Garche TuM Pe Baras Gaye To 
Sangrezon Ki Ye Barish 
TuM Ko ZakhMi Kar Degi...

Kis Kadar Siyaah Hia Din


Kis Kadar Siyaah Hia Din,
Aur Safed Raatein Hia, 
Maut Ki KhaMoshi Mein,
Zindagi Ki Baatein Hai, 
WaQt Ruk Gaya Hai Aur 
Chand Taare Chalte Hai, 
Bujh Gaya Hai Ye Suraj 
JisM Saare Jalte Hai, 
Dekhte Hia Haath Aur Pair
Aankh Sochti Hai Ab
Lab Sile Hue Hai Aur 
Sach Bolte Hia Ab,
Sach Bolte Hia Ab,
Saans Ab Dhadakte Hai
Dil Lahoo Mein Behta Hia, 
JisM Mein Mera Lekin,
Koi Aur Rehta Hai, 
Dard Hai Mere Lekin,
Koi Aur Sehta Hai, 
DushaMni Hia Yaaron Se, 
Bolti Hai Tasveerein,
Raaz Saari Duniya Ke, 
Kholti Hai Tasveerein,
Khaar Mein Hia Khushbu Aur 
Phool Khoon Rulate Hai, 
De Sakun Angaare, 
Honth Ab Jalaate Hai, 
Raaste Bhi Sidhe Hai, 
Manzilein Bhi Aasan Hai, 
Na Koi Musafir Hai
Na Hi Koi SaMaan Hia, 
Khwahishein Nahi Hai Aur, 
Na Hi Hia Koi Maksood,
JisM-O-Rooh Ka Rishta, 
Ab Kahin Nahi Maujood...

Popular Posts