Sunday, May 9, 2010

dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon

dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon
pahle jo dard tha wahi chara hai in dinon

ye dil zara sa dil teri yadon mein kho gaya
zarre ko andhiyon ka sahara hai in dinon

har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aj kal
darya ki mauj-mauj kinara hai in dinon

shamon mein ab nahin hai wo pahle si roshni
shayad wo chand anjumanara hai in dinon

tum a sako to shab ko barha dun kuch aur bhi
apne kahe mein subah ka tara hai in dinon

qurban hon jis k husn pe sau jannaten 'Qateel'
nazaron k samne wo nazara hai in dinon

charag dil k jalao k eid ka din hai

charag dil k jalao k eid ka din hai
tarane jhum k gao k eid ka din hai

gamon ko dil se bhulao k id ka din hai
khushi se bazm sajao k eid ka din hai

huzur us ki karo ab salamti ki dua
sar-e-namaz jhukao k eid ka din hai

sabhi murad ho puri har ek sawali ki
dua ko hath uthao k eid ka din hai

bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai

bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai
jo phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai

kal rat dikha k khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya
har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai

talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne
mandir k darichon se jaise loban ki khushbu ati hai

kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun
jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai

kuch tu hi mujhe ab samjha de ai kufr duhai hai teri
kyun shekh ke daman se mujhko iman ki khushbu ati hai

darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun
ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai

angrai par angrai leti hai rat judai ki

angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki

wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki

urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

thahar jao k hairani to jaye


thahar jao k hairani to jaye
tumhari shakl pahchani to jaye

shab-e-gam tu hi mahman ban k aja
hamare ghar ki wirani to jaye

zara khul kar bhi ro lene do ham ko
k dil ki ag tak pani ho jaye

bala se tor dalo ainon ko
kisi surat ye hairani to jaye

ye dil ye pagal dil mera kyon bujha gaya awaragi

ye dil ye pagal dil mera kyon bujha gaya awaragi
is dasht main ik shahar tha wo kya hua awaragi

kal shab mujhe be-shakl si awaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai us ne kaha awaragi

ik tu ki sadiyon se mere hamrah bhi hamraz bhi
ik main k tere nam se nashna awaragi

ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka wiran safar
ham log to ukta gaye apni suna awaragi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara k bhigi ret par main ne likha awaragi

le ab to dasht-e-shab ki sari wusaten sone lagin
ab jagna hoga hamain kab tak bata awaragi

kal rat tanha chand ko dekha tha main ne khwab main
'Mohsin' mujhe ras ayegi shayad sada awaragi

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua

mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon main
lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua

yun teri rahguzar se diwana war guzre

yun teri rahguzar se diwana war guzre
kandhe pe apne rakh k apna mazar guzre

baithe rahe hain rasta main dil ka khandar saja kar
shayad isi taraf se ek din bahar guzre

bahti hui ye nadiya ghulte hue kinare
koi to par utre koi to par guzare
tu ne bhi ham ko dekha hamne bhi tujhko dekha
tu dil hi har guzra ham jan har guzre

ye raat ye tanhai

ye raat ye tanhai
ye dil k dharakne ki awaz
ye sannata

ye dubte taron ki
khamosh gazalkhwani
ye waqt ki palkon par
soti hui wirani
jazbat-e-muhabbat ki
ye akhri angrai
bajti hui har janib
ye maut ki shahnai

sab tum ko bulate hain
pal bhar ko tum a jao
band hoti meri ankhon main
muhabbat ka
ik Khwab saja jao

puchte ho to suno kaise basar hoti hai

puchte ho to suno kaise basar hoti hai
rat khairat k sadqe ki sahar hoti hai

sans bharne ko to jina nahin kahte ya rab
dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai

jaise jagi hui ankhon main chubhen kanch ke khwab
rat is tarah diwanon ki basar hoti hai

gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai
ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai

ek markaz ki talash ek bhatakti khushbu
kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai

chand tanha hai asman tanha


chand tanha hai asman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha

bujh gai as chup gaya tara
thartharata raha dhuan tanha

zindagi kya isi ko kahte hain
jism tanha hai aur jan tanha

hamsafar koi gar mile bhi kahin
donon chalte rahe tanha tanha

jalti bujhti si raushani k pare
simta simta sa ek makan tanha

rah dekha karega sadiyon tak
chor jayenge ye jahan tanha

agaz to hota hai anjam nahin hota

agaz to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota

jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota

hans hans k jawan dil k ham kyon na chunen tukre
har shakhs ki qismat main inam nahin hota

bahte hue ansu ne ankhon se kaha tham kar
jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota

din dube hain ya dubi barat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota

ablapa koi is dasht main aya hoga

ablapa koi is dasht main aya hoga
warna andhi main diya kis ne jalaya hoga

zarre zarre pe jare honge kunware sajde
ek ek but ko Khuda us ne banaya hoga

pyas jalte huye kanton ki bujhai hogi
riste pani ko hatheli pe sajaya hoga

mil gaya hoga agar koi sunahari patthar
apna tuta hua dil yad to aya hoga

khun k chinte kahin poch na len rehron se
kis ne wirane ko gulzar banaya hoga

sabz madham roshani main surkh anchal ki dhanak

sabz madham roshani main surkh anchal ki dhanak
sard kamre main machalti garm sanson ki mahak

bazuon k sakht halqe main koi nazuk badan
silwaten malbus par anchal bhi kuch dhalka hua

garmi-e-rukhsar se dahki hui thandi hawa
narm zulfon se mulayam ungliyon ki cher char

surkh honton par shararat k kisi lamhen ka aks
reshami bahon main churi ki kabhi madham dhanak

sharmagin lahjon main dhire se kabhi chahat ki bat
do dilon ki dhrkanon main gunjti thi ek sada

kanpte honton pe thi Allah se sirf ek dua
kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara

teri khushbu ka pata karti hai


teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai

shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai

dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai

us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai

beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai

sham parte hi kisi shakhs ki yad
kucha-e-jan main sada karti hai

mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
hal jo tera ana??? karti hai

dukh hua karta hai kuch aur bayan
bat kuch aur hua karti hai

abr barse to inayat us ki
shakh to sirf dua karti hai

masla jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karti hai

sundar komal sapnon ki barat guzar gai janan

sundar komal sapnon ki barat guzar gai janan
dhup ankhon tak a pahunchi hai rat guzar gai janan

bhor samay tak jis ne hamain baham uljhaye rakha
wo albeli resham jaisi bat guzar gai janan

sada ki dekhi rat hamain is bar mili to chup k se
khali hath pe rakh k kya saugat guzar gai janan

kis konpal ki as main ab tak waise hi sar-sabz ho tum
ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai janan

log na jane kin raton ki muraden manga karte hain
apni rat to wo jo tere sath guzar gai janan

mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se


mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se
dastar pe bat a gai hai hoti hui sar se

barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse

is bar jo indhan k liye kat k gira hai
chiriyon ko bara pyar tha us burhe shajar se

mehnat meri andhi se to mansub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

khud apne se milne ka to yara na tha mujh main
main bhir main gum ho gai tanhai k dar se

benam musafat hi muqaddar hai to kya gam
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se

pattharaya hai dil yun k koi ism parha jaye
ye shahar nikalta nahin jadu k asar se

nikle hain to raste main kahin sham bhi hogi
suraj bhi magar ayega is rah-guzar se

manzar hai wahi thithak rahi hun

manzar hai wahi thithak rahi hun
hairat se palak jhapak rahi hun

ye tu hai k mera waham hai
band ankhon se tujh ko tak rahi hun

jaise k kabhi na tha tarruf
yun milte hue jhijhak rahi hun

pahchan main teri roshani hun
aur teri palak palak rahi hun

kya chain mila hai sar jo us k
shanon pe rakhe sisak rahi hun

ik umr hui hai khud se larte
ander se tamam thak rahi hun

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki

kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye

kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jana chahiye

har bar aeriyon pe gira hai mera lahu
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye

kya chal saknge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye

sara jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye

jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye

tohamat laga k man pe jo dushman se dad le
aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye

khushbu hai wo to chu k badan ko guzar na jaye

khushbu hai wo to chu k badan ko guzar na jaye
jab tak mere wajud k andar utar na jaye

khud phul ne bhi honth kiye apne nim-wa
chori tamam rang ki titli k sar na jaye

is khauf se wo sath nibhane k haq main hai
kho kar mujhe ye larki kahin dukh se mar na jaye

palkon ko us ki apne dupatte se ponch dun
kal k safar main aj ki gard-e-safar na jaye

main kis k hath bhejun use aj ki dua
qasid hawa sitara koi us k ghar na jaye

khuli ankhon main sapna jagta hai

khuli ankhon main sapna jagta hai
wo soya hai k kuch kuch jagta hai

teri chahat k bhige jangalon main
mera tan mor ban k nachata hai

mujhe har kaifiyat main kyon na samjhe
wo mere sab hawale janta hai

kisi k dhyan main duba hua dil
bahane se mujhe bhi talta hai

sarak ko chor kar chalna parega
k mere ghar ka kacha rasta hai

khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista

khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista
kiya jata hai pani main safar ahista ahista

koi zanjir phir wapas wahin par le k ati hai
kathin ho rah to chutata hai ghar ahista ahista

badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai
k thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista

khalish k sath is dil se na meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai magar ahista ahista

hua hai sarkashi main phul ka apna ziyan, dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar ahista ahista

meri shola mizaji ko wo jangal kaise ras aye
hawa bhi sans leti ho jidhar ahista ahista

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi




Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi

tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhare ohad ki denen tumhen mubarak

so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya

kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat

pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi

kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi

supurd kar k use chandni k hathon
main apne ghar k andheron ko laut aungi

badan k karb ko wo bhi samajh na payega
main dil main roungi ankhon main muskuraungi

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaungi

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi

samaaton main ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na paungi

kariya-e-jan main koi phul khilne aye

kariya-e-jan main koi phul khilne aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye

mere wiran darichon main bhi khushbu jage
wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye

us se ik bar to ruthun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye

isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne k bahane aye

ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aye to kuch bhi na batane aye

zabt ki shahar-panahon ki mere malik khair
gam ka sailab agar mujh ko bahane aye

justaju khoye huon ki umr bhar karte rahe

justaju khoye huon ki umr bhar karte rahe
chand k hamrah ham har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha ham ko na simton ki khabar
shahar-e-namalum ki chahat magar karte rahe

ham ne khud se bhi chupaya aur sare shahar se
tere jane ki khabar dar-o-diwar karte rahe

wo na ayega hamain malum tha us sham bhi
intazar us ka magar kuch soch kar karte rahe

aj aya hai hamain bhi un uranon ka khayal
jin ko tere zaum main be-bal-o-par karte rahe

chehra mera tha nigahen us ki

chehra mera tha nigahen us ki


khamushi main bhi wo baten us ki





mere chehre pe gazal likhti gain

sher kahti hui ankhen us ki





shokh lamhon ka pata dene lagin

tez hoti hui sansen us ki





aise mausam bhi guzare ham ne

subhen jab apni thin shamain us ki





dhyan main us k ye alam tha kabhi

ankh mahtab ki yaden us ki





faisala mauj-e-hawa ne likkha

andhiyan meri baharen us ki





nind is soch se tuti aksar

kis tarah katati hain raten us ki





dur rah kar bhi sada rahti hai

mujh ko thame hue bahen us ki

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai

chali chalun ki jahan tak ye sath rahta hai





zamin-e-dil yun hi shadab to nahin ai dost

qarib main koi dariya zarur bahta hai





na jane kaun sa fiqra kahan raqm ho jaye

dilon ka hal bhi ab kaun kis se kahta hai





mere badan ko nami kha gai ashkon ki

bhari bahar main jaise makan dahta hai

main kachi nind main hun

main kachi nind main hun

aur apne nim khwabida tanaffus main utarti

chandani ki chap sunti hun

guman hai

aj bhi shayad

mere mathe pe tere lab

sitare sabat karte hain

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana

wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna





wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat

us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna





ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum

dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna





daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan

nur main duba hua subah ka anchal milna

barish hui to phulon k tan chak ho gaye

barish hui to phulon k tan chak ho gaye

mausam k hath bhig k saffak ho gaye





badal ko kya khabar k barish ki chah main

kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye





jugnu ko din k waqt pakarne ki zid karen

bache hamare ahad k chalak ho gaye





lahra rahi hai barf k chadar hata k ghas

suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye





suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main

zulf-e-shab-e-firaq k pechak ho gaye





jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui

lahaje hawa-e-sham k namnak ho gaye





sahil pe jitne abguzida the sab k sab

dariya k rukh badalte hi tairak ho gaye

badban khulne se pahle ka ishara dekhna

badban khulne se pahle ka ishara dekhna

main samandar dekhti hun tum kinara dekhna





yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar

jate jate us ka wo mur k dubara dekhna





kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand

ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna





aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye

jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

aksar teri aankhein

chand niklay to sahi

Popular Posts