Saturday, May 29, 2010

Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofan Sa Kyon Hai


Seene Mein Jalan Aankhon Mein Toofan Sa Kyon Hai, 
Is Sheher Mein Har Shakhs Pareshan Sa Kyon Hai, 

Dil Tha To Dhadkan Ka Bahana Koi Dhundhe, 
Pathar Ki Tarah Behis Ek Bayaban Sa Kyon Hai, 

Tanhayi Ki Ye Kaun Si Mansil Hai RafeeQo, 
Ta Had-E-Nazar Ek Bayabaan Sa Kyon Hai, 

Humne To Koi Baat Nikali Hai Gam Ki, 
Wo Zood-Pashemaan Pashemaan Sa Kyon Hai, 

Kya Koi Nahi Baat Nazar Aati Hai Tum Mein, 
Aayina Hamein Dekhke Hairan Sa Kyon Hai...

Kitne Qarb Ka Lamha Tha Meri Zindagi Ka


Kitne Qarb Ka Lamha Tha Meri Zindagi Ka, 
Raah-E-Wafa Mein Jab Dost Bhi Ajnabi Hogaya, 

Basaya Tha Uske Yaadon Ka Pur Hool Samundar Dil Mein,
Ek Hi Pal Mein Wo Usko Sehra Kar Gaya, 

Sadiyon Se Chaha Tha Jise Maine, 
Jaane Kyon Ab Wo Begana Ho Gaya, 

Mere Liye To Ek HaQeeQat Hai Wo Lekin,
Main Uske Liye Ek Afsana Ho Gaya, 

Basi Hai Uski Chahatein Mere Dil Mein Abhi Tak, 
Wahi Meri Nafraton Mein Deewana Ho Gaya...

Tumhari Yaad Aa Rahi Hai, Pal Pal Rula Rahi Hai

Tumhari Yaad Aa Rahi Hai, Pal Pal Rula Rahi Hai, 
Meri Tanhayi Bhi Aaj Bahut Sata Rahi Hai, 

Raaste Bhi Hai Ab Sune, Dar Bhi Hai Veeran, 
Khamoshi Bhi Aaj Tumko Khud Hi Pukar Rahi Hai, 

Tumhari Har Baat Se Mehsoos Kuch Yun Hota Hai, 
Jaise Kisi Phool Ki Khushbu Sara Alam Mehka Rahi Hai, 

Tumhari Yaadon Ke Sahare Din Raat Guzarte Hai, 
Jasie Andhere Mein Kahin Roshni Jagmaga Rahi Hai, 

Qadam Qadam Par Mujhko Ehsaas Yeh Hota Hai, 
Jaise Koi Manzil Khud Mujhe Bula Rahi Hai, 

"RUKH" Ab To Aksar Mujhe Ghuman Kuch Yun Hota Hai, 
Hawa Bhi Jaise Usse Mil Kar Paigam Wafa Ke Laa Rahi Hai...

Main Sochti Hoon, Ye Zindagi Ki Haseen Raatein


Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Ek Arsa Hua Ke Sapne Meri Nigahon Se Talte Hai, 

Na Raat Ko Neend Hai Mujhko, Na Din Ko Aankhon K Bolte Hai, 
Lage The Jo Zakhm Tere Mazghaan Se Raat Aayi To Jalte Hai, 
Sakoon-O-Raahat Khatma Hue Hai Aram Ke Ab Wo Palte Hai, 

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi, 

Main Roshni Ka Charag Suraj, Teri Raah Mein Bikher Dungi, 
Main Iski Kirne Shamma Bana Kar Naya Tera Rasta Karungi, 
Main Khud Rahungi Ya Na Rahungi, Magar Tujhe Main Amar Karungi, 

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi, 

Main Tujhko Aankhon Ki Putliyon Mein Hamma WaQt Chhupaye Rakhun, 
Tere Labon Se Main Apne Lab Ki Lams Ki Khushbu Lagaye Rakhun,
Main Tera Chehra Chameli Khushbu, Gulaab Khatir Sajaye Rakhun, 

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun, 
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi, 

Jo Hasratein Dil Mein Reh Rahi Hai Wo Ghul Rahi Hai Ya Mar Rahi Hai, 
Teri Judayi Mein Aaj Tak Tu Teri Hi Baatein Sapar Rahi Hai, 
Ab Aakhri Jaam-E-Wasl De De Deedar Ko Chashm Tarr Rahi Hai,

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun...



_________________

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya, 
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Nazar Nahi Aaya, 

Wafa Ke Dasht Mein Rasta Nahi Mila Koi, 
Siwaye Gard-E-Safar Humsafar Nahi Aaya, 

Kisi Chirag Ne Puchhi Nahi Khabar Meri, 
Koi Bhi Phool Mere Naam Par Nahi Aaya, 

Palat Kar Aane Lage Shaam Ke Parinde Bhi, 
Hamara Subah Ka Bhoola Magar Nahi Aaya, 

Hamein YaQeen Hai Wo Wafa Khilaaf, 
Ye Umar Kaise Kategi Aur Nahi Aaya..

Phir Aaj Woh Bhooli Kahani Yaad Aati Hai,


Phir Aaj Woh Bhooli Kahani Yaad Aati Hai, 
Tumhare Sath Guzri Zindagani Yaad Aati Hai, 

Tumhe Bhule Hue Bhi Ek Zamana Ho Gaya Lekin, 
Jhalak Jaati Hai Aankhein Jab Purani Yaad Aati Hai, 

Wo Jis Mein Markazi Kirdar Hasil Tha Kabhi Mujhko, 
Main Jitna Bhulti Hoon Wo Kahani Yaad Aati Hai, 

Mere Dilko Gam-E-Duniya Ki Daulat Bakshnewale, 
Mujhe Reh Reh Ke Teri Meherbaani Yaad Aati Hai, 

Ujadte Dilki Duniya Dekhna Khamosh Reh Jaana, 
Abhi Tak Doston Woh Bezubaani Yaad Aati Hai...

Meri Sab Wafayein Tumhare Liye

Meri Sab Wafayein Tumhare Liye, 
Mere Ehad-O-Paiam Tumhare Liye, 
Meri Sab Adayein Tumhare Liye, 
Meri Sab Jafayein Tumhare Liye, 
Meri Raaton Ki Neendein Tumhare Liye, 
Meri Ratjagein Bhi Tumhare Liye, 
Dhadakta Hai Dil Ye Tumhare Liye, 
Meri Nass Nass Mein Chahat Tumhare Liye, 
Meri Saanson Ki Garmi Tumhare Liye, 
Mere Honthon Ki Narmi Tumhare Liye, 
Hai Phoolon Mein Khushbu Tumhare Liye, 
Hai Taaron Ki Jhilmil Tumhare Liye, 
Meri Zindagi Ab Tumhare Liye, 
Meri Har Khushi Ab Tumhare Liye, 
Tu Hai Bani Sirf Mere Liye
Main Hoon Bana Sirf Tumhare Liye, 
Haan!!!!! Sirf Tumhare Liye...

Kisi Aur Hi Safar Mein

Kisi Aur Hi Safar Mein,
Sar-E-Raah Mil Gayi Thi, 
Tujhe Aur Kya Bataun,
Wo Teri Tarah Koi Thi, 

Kisi Shair-E-Beymaan Mein 
Main Watan Badar Akela, 
Kabhi Maut Ka Safar Tha, 
Kabhi Zindagi Se Khela, 

Mera Jism Jal Raha Tha, 
Wo Ghat Ka Saaybaan Thi, 

Main Rafakaton Ka Maara, 
Wo Meri Mizajdan Thi, 

Mujhe Dil Se Usne Pooja, 
Use Jaan Se Maine Chaha, 

Isi Humrahi Mein Aakhir, 
Kahin Aa Gaya Doraha, 

Yahan Gumrahi Ka Amkaan,
Use Rang-O-Boo Ka Lapka, 

Yahan Laghrashon Ke Saman, 
Use Khwahishone Thapka, 

Yahan Daam The Hazaron, 
Yahan Har Taraf Nafs The, 

Kahin Zar-Zameen Ka Dal-Dal, 
Kahin Jaal The Hawas Ke, 

Wo Faza Ki Fakhta Thi, 
Wo Hawa Ki Rajputri, 

Kisi Ghaat Ko Na Dekha, 
Kisi Jheel Par Na Utri, 

Phir Ek Shaam Aisi Aayi, 
Ke Wo Shaam Aakhri Thi, 

Koi Zalzala Sa Aaya, 
Koi Barq Si Ghiri Thi, 

Ajab Aandhiyan Chalin Phir, 
Ke Bikhar Gaye Dil-O-Jaan, 

Na Kahin Gul Wafa Tha, 
Na Chirag Aid-P-Paimaan,

Wo Jahaz Utar Gaya Tha, 
Wo Jahaz Utar Gaya Tha, 

Teri Aankhon Mein Hai Aansu, 
Mera Dil Bikhar Raha Hai, 

Tu Jahan Mujhe Mili Hia, 
Wo Wohi Juda Hui Thi, 

Tujhe Aur Kya Bataun, 
Wo Teri Tarah Koi Thi...

Yunhi Dosh Par Sambhle

Yunhi Dosh Par Sambhle, 
Ghani Zulfke Do-Shaane, 

Wo Hi Sanwle Si Rangat, 
Wohi Nain Neend Wale, 

Wohi Manpasand Qamat, 
Wohi Khushnuma Sarapa, 

Jo Badan Mein Neem Khabi, 
Tu Lah-Ho Main Ratjaga Sa, 

Kabhi Pyaas Ka Samundar, 
Kabhi Aas Ka Jazeera, 

Wohi Meherbaan Lehja, 
Wohi Mezbaan Wateera, 

Tujhe Shairy Se Raghbat, 
Use Sher Yaad Mere, 

Wohi Uske Beqareene, 
Wo Hai Khas Wasaf Tere,

Aapse Kabhi Mil Na Paaye Hum

Aapse Kabhi Mil Na Paaye Hum, 
Phir Bichhadne Ka Dar Kaisa, 
Meri Har Dhadkan Mein Aap Ho Shamil, 
Phir Aapki Judayi Ka Gam Kaisa, 

Deedar-E-Yaar Ki Khatir Jee Rahe Hai Hum, 
Unki Talash Hai Ab Har Taraf, 
Umr-E-Tamam Kisike Naam Kar Diya Humne, 
Ab Maut Se Bhi Hamein Ghabrana Kaisa, 

Aapki Yaad Yun Zindagi Ki Mehka De, 
Bahar Bankar Fiza Mein Rang Bhar De, 
Sanwaara Hai Mujhe Aapne Is Kadar, 
Ke Patjhad Se Bhi Ab Nazrein Churana Kaisa, 

Sitaron Ki Mehfil Saji Thi Har Taraf, 
Phir Bhi Roshni Ko Taras Gaye The Hum, 
Mehtaab Jo Ban Gaye Aap Zindagi Ke, 
Ab Andheron Ka Humse Naata Kaisa, 

Khuda Se Jo Maangi Humne Duwayein, 
Kabool Kiya Unhone Hamari Mohabbat Ko, 
Zamana Hamein Ab Baddua De Bhi To Kya, 
Hamein Ab Zamane Se Shikayat Kaisa...

Chaand Us Des Mein Nikla Ke Nahi

Chaand Us Des Mein Nikla Ke Nahi, 
Jaane Wo Aaj Bhi Soya Ke Nahi, 

Aye Mujhe Jagta Paati Hui Raat, 
Wo Meri Neend Se Behla Ke Nahi, 

Mujhko Takmeei Samajnewala, 
Usne Apne Mayaar Ko Badla Ke Nahi, 

Band Kamre Mein Kabhi Meri Tarah,
Shaam Ke WaQt Wo Roya Ke Nahi...

Jo Dard Ke Sehra Mein Akela Bhi Bahut Hai

Jo Dard Ke Sehra Mein Akela Bhi Bahut Hai, 
Uske Liye Deewar Ka Saya Bhi Bahut Hai, 

Dekha Nahi Tanhayi Mein Tum Ne Kabhi Usko, 
Bichhde Hue Logonke Liye Roya Bhi Bahut Hai, 

Kuch Tujhko Mohabbat Par Yakeen Tha Na Wafa Par, 
Kuch Dukh Meri TaQdeer Mein Likha Bhi Bahut Hai, 

Beenai Andheron Se Bhala Kaise Bachata, 
Ek Shakhs Tere Hijr Mein Jaga Bahut Hai, 

Wo Aur Hai Jo Chhu Kar Tujhe Dekhna Chahte, 
Mujhko Tere Khwabki Duniya Bhi Bahut Hai, 

Kirdar Se Mehroom Tha Ye Sheher Ko Isne, 
Humko Dar-O-Deewar Par Likha Bahut Hai...

Toota Hua Dil Hai Har Baat Par Ro Deta Hai

Toota Hua Dil Hai Har Baat Par Ro Deta Hai, 
Muskurana Bhi Uska Kisi Gam Ki Khabar Deta Hai, 

Baat Karte Hue Usse Ab To Dar Lagta Hai, 
Wo Itna Hassas Hai Har Baat Dil Pe Leta Hai, 

Kisiko Chahne Ki Khwahish Nahi Usko, 
Har Koi Usko Bewafa Sa Lagta Hai, 

Judayi Ke Dar Mein Bahut Shiddat Se Dasa Hai, 
Wo Ab Mujh Se Milne Se Bhi Darta Hai, 

Ye Nahi Hai Ke Ab Muskurate Nahi Uske Lab, 
Haan Magar Aankhon Ka Kinara Bhiga Dikhayi Deta Hai, 

Ye Ehsaas Hi Qarb Ki Intehaa Ko Chhuta Hai, 
Wo Majmooyi Mein Bhi Tanha Sa Lagta Hai...

Tumse Kabhi Kuch Kehne Ki Himmat Na Hui

Tumse Kabhi Kuch Kehne Ki Himmat Na Hui, 
Tumko Bhulane Ki Bhi Kabhi Koshish Na Hui, 
Tumse Mohabbat Thi, Hai Aur Rahegi, 
Hamesha, 
Par Tumse Izhaar Karne Ki Kabhi Ulfat Na Hui, 
Kehte Hai Log Ke Pyaar Ko Aankhon Se Bhi Bayan Kiya Jaa Sakta Hai, 
Par Tumko Kabhi Mere Aankhon Mein Dekhne Ki Fursat Na Hui, 
Mere Pyaar Ka Mazak Bana Kar Ek Hasi Mein To Uda Diya, 
Par Mere Aansu Ko Dekhneki Kabhi Jurrat Na Hui...

Deepak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayein Tumhe

Deepak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayein Tumhe, 
Hum To Sulagte Hi Rehte Hai Kyon Sulgayein Tumhe, 

TarQ-E-Mohabbat TarQ-E-Tamanna Kar Chukne Ke Baad, 
Hum Pe Ye Mushkil Aan Padi Hai Kaise Bhulayein Tumhe, 

San-Natajab Jab Tanhayi Ke Zeher Mein Bujhta Hai, 
Wo Ghadi Jyon Kar Katti Hai Kaise Batayein Tuhe, 

Jin Baaton Pe Pyaar Tumhara Nafrat Mein Badla, 
Dar Lagta Hai Wo Baatein Bhi Bhool Na Jayein Tumhe...

Baat Phoolon Ki Suna Karte The


Baat Phoolon Ki Suna Karte The, 
Hum Kabhi Sher Kaha Karte The, 

Mashalein Le Kar Tumhare Gam Ki, 
Hum Andheron Mein Chala Karte The, 

Ab Kahan Aisi Tabiyat Waale, 
Ch'ot Kha Kar Jo Dua Karte The, 

TarQ-E-Ehsaas-E-Mohabbat Mushkil, 
Haan Magar Ahl-E-Wafa Karte The, 

Bikhri Bikhri Zulfon Wale, 
Qaafile Rok Liya Karte The, 

Aaj Gulshan Mein Shaguf-E-Saagar, 
Shikwe Baad-E-Saba Se Karte The...

Chahat Mein Kya Duniya Daari IshQ Mein Kaisi Majboori

Chahat Mein Kya Duniya Daari IshQ Mein Kaisi Majboori, 
Logon Ka Kya Samjhane Do Inki Apni Majboori, 

Maine Dilki Baat Rakhi Aur Tune Duniya Walon Ki, 
Meri Garz Bhi Majboori Thi Unka HuQam Bhi Majboori, 

Rokh Sako To Pehli Baarish Ki Boondo Ko Tum Roko, 
Kachhi Mitti To Mehkegi, Hai Mitti Ki Majboori, 

Jab Tak Hansta Gata Mausam Apna Hai, Sab Apne Hai, 
WaQt Pade To Yaad Aati Hai Masnovi Majboori, 

Ek Awara Baadal Se Kyon Maine Saaya Manga Tha, 
Meri Bhi Ye Nadani Thi, Uski Bhi Thi Majboori, 

Muddat Guzri Ek Waade Par Aaj Bhi Qayam Hai Mohsin, 
Humne Saari Umar Nibhayi, Apni Pehli Majboori...

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala, 
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala, 

Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera, 
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala, 

Kya Kahein Kitne Marasim The Hamare Isse, 
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaane Wala, 

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya, 
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala, 

Muntazir Kiska Hoon Tooti Hui Dehliz Pe Main,
Kaun Aayega Yahan Kaun Hai Aane Wala, 

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte, 
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Batane Wala, 

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna, 
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala, 

Tum TaQalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz', 
Dost Hota Nahi Har Haath Milane Wala...

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Maazi


Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Maazi Mite Mite Se, 
Wo Aazmayish Si Dil-O-Nazar Ki, Wo Qurbatein Si Wo Faasle Se, 

Kabhi Aarzu Ke Sehra Mein Aake Rukte Hai Qaafile Se, 
Wo Saari Baatein Lagav Ki Si Wo Saare Unvan Visaal Ke Se, 

Nigah-O-Dil Ka Qarar Kaisa Nishaat-O-Gam Mein Kami Kahan Ki, 
Wo Jab Mile Hai To Unse Har Baar Ki Hai Ulfat Naye Sire Se, 

Bahut Giraan Hai Ye Aish-E-Tanha Kahin Sabukatar Kahin Gawaara, 
Wo Dard-E-Pinhan Ki Saaari Duniya Thi Jiske Waaste Se, 

Tumhi Kaho Rind-O-Muhtasib Mein Ho Aaj Shab Kaun FarQ Aisa,
Ye Aake Baithe Hai Maikade Mein Wo Uthke Aaye Hai Maikad Se...

Aayina-E-Khuloos-E-Wafa Choor Ho Gaye



Aayina-E-Khuloos-E-Wafa Choor Ho Gaye, 
Jitne Chirag-E-Noor The, Benoor Ho Gaye, 

Malum Ye Hua Ke Wo Raaste Ka Sath Tha, 
Manzil Kareeb Aayi To Hum Door Aa Gaye, 

Manzoor Kab Thi Humko Watan Se Ye Dooriyan,
Haalaat Ki Jafaon Se Majboor Ho Gaye, 

Kuch Aa Gayi Hum Ahl-E-Wafa Mein Tamkanat, 
Kuch Wo Bhi Apne Husn Pe Magroor Ho Gaye, 

Charagon Ki Aisi Inayat Hui Hafeez, 
Ke Jo Zakhm Bhar Cahle Wo Nasoor Ho Gaye...

Justuju Khoye Huon Ki Umr Bhar Karte Rahe

Justuju Khoye Huon Ki Umr Bhar Karte Rahe, 
Chaand Ne Humraah Hum Har Shab Safar Karte Rahe, 

Raaston Ka Ilm Tha Humko Na Simton Ki Khabar, 
Shaher=E=Namalum Ki Chahat Magar Karte Rahe, 

Humne Khud Se Bhi Chhupaya Aur Saare Sheher Se, 
Tere Jaane Ki Khatir Dar-O-Deewar Karte Rahe, 

Wo Na Aayega Hamein Malum Tha Us Shaam Bhi, 
Intezaar Uska Magar Kuch Soch Kar Karte Rahe, 

Aaj Aaya Hai Hamein Bhi Un Udaano Ka Khayal, 
Jinko Tere Zaum Mein Be-Baal-O-Par Karte Rahe...

Sadiyon Se Insaan Yehi Sunta Aaya Hai



Sadiyon Se Insaan Yehi Sunta Aaya Hai, 
Dukh Ki Dhoop Ke Aage Sukh Ka Saaya Hai, 

Hum Ko In Sasti Khushiyon Ka Bojh Na Do, 
Humne Soch Samajh Kar Gam Apnaya Hai, 

Jhuth To Qaatil Thehra Iska Kya Rona, 
Sach Ne Bhi Insaan Ka Khoon Bahaya, 

Paidaish Ke Din Se Maut Ki Zard Mein Hai, 
Is Muktil Mein Kaun Hamein Le Aaya Hai, 

Awal Awal Jis Dilne Barbaad Kiya, 
Aakhir Aakhir Wo Dil Hi Kaam Aaya Hai, 

Itne Din Ehsaan Kya Deewano Par, 
Jitne Din Logone Saath Nibhaya Hai...

Hamara Kya Hai Ke Hum To Chirag-E-Shab Ki Tarah


Hamara Kya Hai Ke Hum To Chirag-E-Shab Ki Tarah, 
Agar Jale Bhi To Bas Itni Roshni Hogi, 
Ke Jaise Tund Andheron Ki Raah Mein Jugnu, 
Zara Si Der Ko Chamke, Chamak Ke Kho Jaye, 
Phir Is Ke Baad Kisiko Na Kuch Sujhayi De, 
N Ashab Kate Na Surag-E-Seher Dikhayi De, 
Hamara Kya Hai Ke Hum To Paas-E-Gubaar-E-Safar, 
Agar Chale Bhi To Bas Itni Raah Tay Hogi, 
Ke Tez Hawaon Ki Zard Maail NaQsh-E-Qadam,
Zara Si Der Ko Ubhre Ubhar Ke Mit Jaye, 
Phir Uske Baad Na Rasta Na Reh Guzar Mile, 
Hadd-E-Nigaah Talak Dasht-E-Bekinar Mile, 
Hamari Simt Na Dekho Ke Koi Der Mein Hum, 
Qabila-E-Dil-O-Jaan Juda Hone Wala Hai, 
Base Basaye Hue Sheher Apni Aankhon Ke, 
Misaal-E-Khaana-E-Veeran Ujadne Wale Hai, 
Hawa Ka Shor Ye Hi Hai To Dekhte Rehna, 
Hamari Umar Ke Khaime Ukhadne Wale Hai...

Mujhe Tumse IshQ Zaroor Hai

Mujhe Tumse IshQ Zaroor Hai, 
Is Ada Se Bhi Ho Main Aashna, 
Tujhe Itna Jis Pe Guroor Hai, 
Main Jiyunga Tere Bagair Bhi, 

Mujhe Zindagi Ka Shauor Hai, 
Jo Samajh Liya Tujhe Bewafa, 
To Phir Is Mein Teri Bhi Kya Khata,
Ye Khalal Hai Mere Dimaag Ka, 
Ye Meri Nazar Ka Kasoor Hai, 

Main Nikal Ke Bhi Tere Daam Se, 
Na Girunga Apne MaQaam Se, 
Main Qateel Jo Ru-E-Sitam Sahi, 
Mujhe Tumse IshQ Zaroor Hai...

Gir Jaaye Zameen Par To Sabhale Nahi Jaate

Gir Jaaye Zameen Par To Sabhale Nahi Jaate, 
Bazar Mein Dukh Dard Uchhale Nahi Jaate, 

Aankhon Se Nikalte Ho Magar Dehaan Mein Rahna, 
Tum Aise Kabhi Dilse Nikaale Nahi Jaate, 

Ab Mujhse In Aankhon Ki Hifazat Nahi Hoti, 
Ab Mujhse Tere Khwaab Sambhale Nahi Jaate, 

Jaate Nahi Hum Sehrao Mein Ab IshQ-E-Girifta, 
Jab Tak Dil-E-Majnoo Ki Dua Le Nahi Jaate, 

Jungle Ke Ye Paudhe Hai Ise Chhod Do MOHSIN, 
Gam Aap Jawan Hote Hai Paale Nahi Jaate...

Usne Jo Dikhaye The, Bekhwaab Aankhon Ko


Usne Jo Dikhaye The, 
Bekhwaab Aankhon Ko, 
Khwaab Ab Ke Wo Saare, 
Is Tarah Se Toote Hai, 
Jis Tarah Koi Sheesha
Haath Se Chhut Kar, 
Kirchi Kirchi Ho Jaye, 
Ja-Baja Bikhar Jaye, 
Ab Aise Khwabon Ko, 
Chunke Hunme Kya Karna
Kirchiyon Ko Chunne Se, 
Poorain Zakhmi Kya Karna, 
Toote Hue Khwabon Ko
Aankhon Mein Ab Kya Bharna, 
Ab Jo In Khwabon Ko, 
Aankh Mein Basaya To, 
Aankhein Andhi Kar Baithoge, 
Khud Ko Tanha Kar Baithoge, 
Aao Ke Yun Karte Hai, 
Phir Se Dil Ki Sunte Hai, 
Tootne Bikharne Ko, 
Koi Ahed Karte Hai, 
Phir Se Khwaab Bunte Hai...

Yun Dosti Ke Naam Ko Ruswa Na Kijiye

Yun Dosti Ke Naam Ko Ruswa Na Kijiye, 
TarQ-E-TalluQaat Ka Charcha Na Kijiye, 

Jurm-O-Zitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai, 
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye, 

Aisa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaye, 
Har Roz Mujhse Waada-E-Fardaa Na Kijiye, 

Hamdard Jisko Apna Samjahte Rahe Hai Aap, 
Uska Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye, 

"Mahir" Vafoor-E-Gam Se Na Ghabraiye Kabhi, 
Khuddari-E-Hayaat Ko Ruswa Na Kijiye...

Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai


Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai, 
Ke Gar Abad Ho Jaye, 
To Duniya Ka Har Ek Mausam, 
Bahut Shadab Lagta Hai, 
Hamari Rooh Bewajah, 
Anokhi Roshni Se Jagmagati Hai, 
Har Ek Manzar Mukammal Husn Lagta Hai, 
Yun Lagta Hai Ke Ek Pal Mein, 
Hai Saari Umr Hi Jee Li, 
Tamanna Hi Nahi Hoti, 
Ke Dooji Umr Hum Paayein, 
Na Jaane Dil Bhi Kya Shay Hai, 
Ke Gar Barbaad Ho Jaye, 
To Har Mausam Khizan Ka AQs Lagta Hai, 
Har Ek Manzar Tabah Barbaad Lagta Hai, 
Hamari Rooh Bhi Bujh Kar, 
Bahut Gehre Andhero Mein,
Kahin Par Doob Jaati Hai, 
Aur Hamein Usko,
Andheron Ki Tarafse Dubara Roshni Mein Jagmagane Ke Liye, 
Ek Dusri Hi Zindagi Darkar Hoti Hai, 
Jo Qismat Mein.........Nahi Hoti!!!

FalaQ Pe Chaand Ke Hale Bhi Sog Karte Hain


FalaQ Pe Chaand Ke Hale Bhi Sog Karte Hain, 
Jo Tu Nahi To Ujale Bhi Sog Karte Hai, 

Tumhare Haath Ki Chudi Bhi Bayan Karti Hai, 
Hamare Honth Ke Taale Bhi Sog Karte Hain, 

Nagar Nagar Mein Wo Bikhre Hai Zulm Ke Manzar, 
Hamari Rooh Ke Chhale Bhi Sog Karte Hain, 

Use Kaho Ke Sitam Mein Kami Kar De, 
Ke Zulm Todne Wale Bhi Sog Karte Hain, 

Tum Apne Dukh Pe Akele Nahi Ho Afsarda, 
Tumhare Chahne Wale Bhi Sog Karte Hain...

Teri Socho Mein Teri Soch Ke Mehver Mein Kya Hai


Teri Socho Mein Teri Soch Ke Mehver Mein Kya Hai, 
Tu Mujhse Sun Teri Khudhi Ki Tamanna Kya Hai, 

Main Teri Rooh Mein Utra Tha Kahan Kab Kaise, 
Tujhe Malum Hai Sunne Ka Bahana Kya Hai, 

Main Tere Hijr Mein Sadiyan Guzaar Sakta Hoon, 
Ye Chaar Din Ki Judayi Ka Nibhana Kya Hai, 

Main Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hoon, 
Ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kya Hai, 

Apni Ulfat Ke Ek Lamhe Se Nawaz Mujhe, 
Us Ek Lamhe Mein Sadiyon Ka Guzar Jana Kya Hai, 

Har Ek Janam Mein Musalsal Mera Haasil, 
Tum Ho Tere Liye FaQat Ek Umr Lutana Kya Hai, 

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Pahuchegi, 
Mujhe Zameen Ko Is FalaQ Ko Hilana Kya Hai...

Bandh Palkon Tale Tere Khwab Liye Seher Har Roz Utarti Hai


Bandh Palkon Tale Tere Khwab Liye Seher Har Roz Utarti Hai, 
Zeest Ka Unwan Badal Dalo Ye Khwahish Ubharti Hai,  

Dil-E-Gumrah Ko Koi Awaz Na Do, 
Meri Aankhon Mein Koi Tasveer Ubharti Hai,   

Bas Yun Ho Ke Haath Badahun Aur Paa **** Tujhko
Nahi Kyon Sar-E-Husat, Wasl Ki Manzil Sukerti Hai,  

Mauj-E-Saba Ab Koi Raah To Dikhlaye, 
Band-E-Qaba Pardon Ki Sawan Mein Nikharti Hai,  

In Lafzon Ko Yunhi Girne Do Smaayat Par, 
Mehsoos Ye Hota Hai Ke TaQdeer Sanwarti Hai,  

Meri Deed, Teri Aanhon Se Daman Bacha Kar, 
Meri Zeest Ki Har Raah Guzarti Hai,  

Tujhe Paane Ka Hausla Hai Na Chhodne Ki Sakat, 
Ajab Kashmakash Liye Har Subah Ye Shaam Guzarti Hai,  

Main Band Kar **** Aankhein To Phir Jabeen Hole Se, 
Sir-Dil Teri Suda-E-Khushandaam Bukherti Hai...

Kaun Kehta Hai Ke Main Inkaar Karta Hoon

Kaun Kehta Hai Ke Main Inkaar Karta Hoon, 
Tu Dil Mein Rehti Hai, Haan IQraar Karta Hoon, 

Har Shab Ko Main Apne Khwabon Mein, 
Tujhko Haal-E-Dil Bayan Karta Hoon, 

Kehne Ko To Shab-E-Tanhayi Hai Lekin, 
Aksar Sitaron Se Tera Zikar Karta Hoon,

Dukho Ki Us Zindagi Ko Main Bhool Kar, 
Teri Qurbat Ke Lams Ko Yaad Karta Hoon, 

Aaj Tak In Aankhon Mein Khumari Si Hai, 
Unke Deedar Ka Main Intezaar Karta Hoon,

Wo Tere Zikr Pe Tadap Uthna Mera, 
Ab Tanhayi Mein Bhi Ahtiyaat Karta Hoon...

Jheelein Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi




Jheelein Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi, 
Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai, 

Qismat Mein Nahi Phir Bhi Usko Chahte Hai, 
Phool Samajh Kar Kaanto Par Chalna Kaisa Lagta Hai, 

Ab To Mehfil Mein Bhi Hamare Liye Tanhayi Hai, 
Gam Chhupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai, 

Mehfil Mein Doosronse Hans Hans Kar Milte Hai, 
Tanhayi Mein Gam Ke Aansu Bahane Kaisa Lagta Hai, 

Samjhane Par Bhi Samajhta Nahi Hai Ye Dil, 
Uski Yaad Mein Raaton Ko Jagna Kaisa Lagta Hai, 

Uski Berukhi Ne Itne Diye Hai Zakham Ke, 
Zakham Kha Kar Bhi Muskurana Kasia Lagta Hai, 

Jab Wo Hans Hans Kar Baat Kare Dusron Se, 
Tab Apne Aansuon Ko Chhupana Kaisa Lagta Hai, 

Use Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nahi, 
Phir Bhi Khud Ko Ameer Batana Kaisa Lagta Hai, 

Khud Ko Anmol Samajhne Ka Tha Bada Ghamand, 
Phir Bhi Bemool Bik Jaana Kaisa Lagta Hai, 

Khaye Haidhoke Mohabbat Mein Itne Ke, 
Phir Bhi Isko Chahna Kaisa Lagta Hai, 

Malum Hai Is Deewane Ki Manzil Nahi Hai Koi, 
Phir Bhi Safar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai, 

Wo To Aa Kar Bhi Kab Ke Jaa Chuke Hai, 
Phir Bhi Iska Intezar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai...

Meri Har Baat Ki Tardeed Karna

Meri Har Baat Ki Tardeed Karna, 
Mujhi Se Bahut Ummid Karna, 
Kisi TaQreeb Mein TarQ-E-TalluQ
Akele Mein Kabhi Tajdeed Karna, 
Mita Kabhi Airab Sare, 
Mohabbat Par Kabhi Tashdeed Karna, 
Agar Usko Palatna Hi Nahi Hai, 
To Phir Bekar Hai Takeed Karna, 
Hamare Jaise Roz-O-Shab Guzaro, 
Bahut Aasan Hai TanQeed Karna, 
Kabhi Inkaar Pe Asar Zyada, 
Kabhi Taied Pe Taied Karna, 
Mohabbat Kar-E-La Hasil Hai Jis Mein, 
Kisi Ki Mat Kabhi TaQleed Karna..

Main Junoon Ki Devi Hoon, Maslihat Ko Kya Janu

Main Junoon Ki Devi Hoon, Maslihat Ko Kya Janu, 
Jo Kabhi Na Dekho Ho Raah Aisi Chunti Hoon, 

Jaanti Hoon Main Ye Bhi Khwaab Sach Nahi Hote, 
Phir Bhi Kuch Haseen Sapne Raat Din Main Bunti Hoon, 

Main Khird Se Anjaani, Akal Se Hoon Begani, 
Chhod Kar Gulabon Ko, Khar-O-Khaas Ko Chunti Hoon, 

Aayina Tu Undha Hai, Aayina Kahega Kya, 
AQs Jo Bhi Kehta Hai, Guftugu Wo Sunti Hoon, 

Shagufta Uske Lehje Mein Jaane Kya Tilism Hai, 
Sunke Uski Baaton Ko Sar Ko Apne Dhunti Hoon...

Jaa Ke Phir Laut Jo Aaye Wo Zamana Kaisa

Jaa Ke Phir Laut Jo Aaye Wo Zamana Kaisa, 
Teri Aankhone Ye Chheda Hai Fasana Kaisa, 

Aankh Sarshare Tamanna Hai Tu Wada Kar Le, 
Chaal Kehti Hai Ke Ab Laut Ke Aana Kaisa, 

Mujhse Kehta Hai Ke Saaye Ki Tarah Sath Hai Hum, 
Yun Na Milne Ka Nikla Hai Bahana Kaisa, 

Iska Shikwa To Nahi Hai, Na Mile Tum Humse, 
Ranj Iska Hai Ke Tumne Hamein Jaana Kaisa, 

Khud Hi Socha Tha Bahut Usne Bhi Puchha Tha Bahut, 
Haal Jab Khud Hi Na Samjhe To Sunana Kaisa, 

Tujhko Paane Ki Khwahish Thi So Kise Tha Malum, 
Apne Hi Aap Ko Kho Baithenge Paana Kaisa...

Ab Kya Likhe Kagaz Par?



Ab Kya Likhe Kagaz Par?
Ab Likhne Ko Kya Baaki Hai, 

Ek Dil Tha So Ab Toot Gaya, 
Lutne Ko Ab Kya Baaki Hai, 

Ek Shakhs Ko Humne Chaha Tha, 
Kuch Raatein Par NaQsh Banaya Tha, 

In Raaton Ke Razuon Ko 
Humne Dil Mein Sajaya Tha, 

Wo Raatein To Kabki Bikhar Gayi, 
Wo NaQsh Ab Kahan Baaki Hai, 

Ab Kya Likhe Hum Kagaz Par, 
Wo Jinko Hum Apni Nazmo, 

Ka Anwan Banaya Karte The, 
Wo Lafzon Ka Bana Ke Tajmahal, 

Kagaz Par Sajaya Karte The, 
Wo Humko Akela Chhod Gaya, 

Sab Rishton Se Munh Mod Gaya, 
Ab Rishte Saare Soone Hai, 

Wo Pyara Ab Kahan Baaki Hai, 
Ab Kya Likhe Kaagaz Par...

Yeh To Aaj Tumhri Bewafayi Ne


Yeh To Aaj Tumhri Bewafayi Ne
Tumhare Be-Atnayi Ne, 
Mujhe Tanha Kar Diya, 
Kirchi Kirchi Kar Diya, 
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun, 
Aaj Ki Raat Kategi Kaise, 
Kal Ka Din Katega Kaise, 
Zindagi Meri Kategi Kaise, 
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun, 
Wo Jo Tumhari Baatein, 
Wo Jo Tumhare Irade, 
Kahan Gaye Wo Waade, 
Jo Tum Sab Bhool Chuke Ho, 
Ab Rone Ke Liye Itne Aansu Kahan Se Laun...

Uske Haathon Pe Heena Paanv Mein Payal Hog

Uske Haathon Pe Heena Paanv Mein Payal Hogi, 
Ek Deewar Magar Beech Mein Hayail Hogi, 

Uske Jalwon Ke Bahtu Paas Main Hounga Lekin,
Wo Kisi Aur Ki TaQdeer Ka Haasil Hogi, 

Surkh Kapdon Pe Saje Taar Na Honge Mere, 
Uski Aankhon Mein Mere Pyaar Ki Jhilmil Hogi, 

Jaate Jaate Wo Mujhe Pyaar Se Dekhegi Jab, 
Rote Rote Wo Meri Rooh Mein Shaamil Hogi, 

Mujhse Wo Door Bahut Door Chali Jayegi, 
Ye Kahani Bhi Sar-E-Bazm Mukammal Hogi...

Manzar Hai Wahi Thakthak Rahi Hoon

Manzar Hai Wahi Thakthak Rahi Hoon,
Hairat Se Palkein Jhapak Rahi Hoon,

Ye Tu Hai Ke Mera Wahem Hai,
Band Aankonse Tujhko Tak Rahi Hoon,

Jaise Ke Kabhi Na Tha Taarruf,
Yun Milate Hue Jhijhak Rahi Hoon,

Pehchaan Main Teri Roshni Hoon,
Aur Teri Palak Palak Rahi Hoon,

Kya Chain Mila Hai Sar Jo Uske,
Shaano Pe Rakhe Sisak Rahi Hoon,

Ek Umr Hui Hai Khud Se Ladte
Andar Se Tamaam Thak Rahi Hoon...

Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle


Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle, 
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle, 

Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasoor Hai, 
Tere Gam Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle, 

Mera Pyaar Jal Raha Hai, Arey, Chaand Aaj Chhup Jaa, 
Kabhi Pyaar Tha Hamein Bhi Teri Chandni Se Pehle, 

Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Yeh Ilm Hota, 
Ke Hazaron Gam Milenge Mujhe Ek Khushi Se Pehle, 

Ye Ajeeb Imtehaan Hai Ke Tumhi Ko Bolna Hai, 
Mile Kab The Is Tarah Hum Tumhe Be-Dili Se Pehle, 

Hamein Koi Gam Nahi Tha Gam-E-AashiQui Se Pehle, 
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle...

Zindagi Kya Koi Nisaar Kare

Zindagi Kya Koi Nisaar Kare, 
Kisse Duniya Mein Koi Pyaar Kare, 
Apna Saaya Bhi To Apna Dushman Hai, 
Kaun Ab Kiska Aitbaar Kare, 

Dilke Zakhm Zubaan Par Laya Nahi Karte, 
Hum Apni Aankhon Se Aansu Bahaya Nahi Karte, 
Zakhm Dilke Kitne Hi Gehre Kyon Na Ho, 
Hum Apne Honthon Se Muskurahat Hataya Nahi Karte...

Mujhe Kab Aarzu Thi Ho Mera Anjaam Chupke Se


Mujhe Kab Aarzu Thi Ho Mera Anjaam Chupke Se, 
Tumhare Dard Ko Hi Aa Gaya Aaram Chupke Se, 

Saba, Khushbu Nahi Hai Ye Jise Tum Mushtahar Kar Do, 
Saba Le Jao Par Dena Use Paigam Chupke Se, 

Udhar Aankhein Mili Humne Idhar Dil De Diya Apna, 
Khareeda Dard Chori Se Chukaya Daam Chupke Se, 

Main Tere Dhyaan Mein Gum Hoon To Sab Hi Dhyan Rakhte Hai,
Mere Aangan Mein Aati Hai Hamesha Shaam Chupke Se, 

Jo Humne Waqt-E-Aakhir, Aakhri Ek Saans Khicha Tha, 
Liya Tha Kaanpte Hothone Tera Naam Chupke Se...

Mera Zard Chehra

Mera Zard Chehra
Ye Veeran Aankhein,
Labon Ki Khamoshi, 
Adhure, Shikasta Namoone Sukhan Ke, 
Ye Nohe Lagan Ke
Meri Khokhli Si Hansi Ke Ye Kante
Mujhe Keh Rahe Hai
"Koi Laakh Tere Likhe Ko Saraahe
Pe In Wehshaton Se Koi Kya Nibahe, 
Tujhe Kaun Chahe
Tujhe Kaun Chahe"...

Khizaan ke rang mein abhii bahaar baaqii hai

Khizaan ke rang mein abhii bahaar baaqii hai
chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai

hame.n salaam karo ai havaadis-e-dauraa.N
tumhaare saath hai.n phir bhii qaraar baaqii hai

guzar chukaa hai ummiido.n kaa qaafilaa kab kaa
raah-e-yaqiin pe ab bhii Gubaar baaqii hai

hame.n pukaar lo jab chaaho ham mile.nge vahii.n
mile hai.n Khaak me.n lekin vaqaar baaqii hai

Teri Hi Tarah Hamein Yaad Aane Wala Ho


Teri Hi Tarah Hamein Yaad Aane Wala Ho, 
Tere Siwa Bhi Koi To Satane Wala Ho, 

Har Ek Subah Yahi Dil Mein Hook Uthti Hai, 
Hamein Bhi Naaz Se Koi Jagane Wala Ho, 

Wo Kis Ummid Mein Ghar Mein Rakhein Ke Jis Ghar Mein,
Na Aane Wala Ho Na Koi Jaane Wala Ho, 

Har Ek Se Nazrein Milayi Hai Unke Kuche Mein,
Ki Jaise Ab Koi Hum Ko Bulane Wala Ho, 

Hai Dosto Ke Liye Aayina Nazar Meri, 
Nazar Milaye Jo Nazrein Milane Wala Ho, 

Ke Jaise Koi Bala Mujhpe Aane Wali Hai, 
Haraas Kehta Hai Koi Bachane Wala Ho, 

Hamare Shaher Mein Kya Kya Saje Sajaye Hai Ghar, 
Hamare Ghar Ko Bhi Koi Sajane Wala Ho...

Haasil Ho Mujhko Himmat Itni Ke Faqt

Haasil Ho Mujhko Himmat Itni Ke Faqt
Duniya Ko Dikha Dun Apni Shujat Ya Rab, 

Ho Mera Naam Bhi Un Naamon Mein Shaamil, 
Jo Mohabbat Mein Kar Gaye Hai Uncha Naam Ya Rab, 

Tere Hathon Pe Bhi Saje Heena Ka Surkh Rang, 
Mere Khoon Mein Bhi Shaamil Ho Rang-E-Hina Ya Rab, 

Tujhko Bhi Haasil Ho Uroosa Ka Rutba, 
Mujhko Bhi Uska Nosha Bana De Ya Rab, 

De Tofiq Itni Tu Dani Ko, 
Na Ho Usse Koi Nadani Ya Rab...

Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do

Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do, 
Tadapte Dil ke Dard Ki Yun Dawa Na Do, 

Duniya Ke Gam Saunp Kar Mujhe, 
Ab Khush Rehne Ki Dua Na Do,

Dikhla Kar Maikhane Ka Rasta Phir, 
Aab-E-Zam Zam Ki Sada Na Do, 

Kaante Bhar Kar Mere Daaman Mein, 
Mujhe Phoolon Ki Si Ada Na Do, 

Mila Kar Zeher Mere Jaam Mein, 
Mujhe Bewajah Maut Ki Wajah Na Do, 

Gunaah Jo Sarzad Hua Hai Mujhse, 
Pal Pal Begunahi Ki Saza Na Do, 

Badnaam Kar Ke Uski Galiyon Mein Ab, 
Uske Aashiyaane Ka Tumhi Pata Na Do, 

Mohabbat Karte Hai, Dikhana Nahi Jaante, 
Ilzaam Magroori Ka De Kar Ye Sila Na Do, 

Jala Rakha Hai Ummidion Ka Diya Sadiyon Se, 
Pal Bhar Ki Khalish Se Ise Bujha Na Do, 

Main Ek Na-Chiz Sahi Kisike Dilka Hissa Hoon, 
Mujhe Yun Safah-E-Hasti Se Mita Na Do, 

Zaib Nahi Deta Mujhe Mohabbat Ka Husool, 
Nafrat Hi Sahi, TarQ-E-TalluQ Ki Magar Hawa Na Do, 

Chheen Kar Mujhse Zindagi Meri, 
Mujhe Aur Jeene Ki Baddua Na Do...

Popular Posts