Tuesday, September 8, 2009

Suno acha nahi lagta,

Suno acha nahi lagta,

Kare jab tazkara koi,

Kare jub Tabsara koi,

Tumhari zaat ko khoje,


Tumhari Baat ko soche,


Mujhe axha nahi lagta....


Suno acha nahi lagta....


Hazaaron dil dharktay hon

Kisi ka tum pe,


Muje acha nahi lagta....

suono acha nahi lagta....

K tum ko phool bi dekhen..!

Tumhare paas se mehken,

ya chanda ki guzarish ho,

K apni roshni bakhshon...!

Mujhe acha nahi lagta




Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say,
Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say.
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say,
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain.
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee,
Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain.
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar,
Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono . . .

phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko

phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujhko

Din ko aaram hai na rat ko hai chain kabhi
Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujhko

Dukh to yeh hai keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban ke paraya mujhko

Jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujhko

aab to umeed-e-wafa tum say nahein hai koi
Phir charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko

Bewafa zindagi ne jab chor diya hai tanha
Maut ne pyaar say pehloo main bithaya mujhko

Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne subah aur shaam bujhaya mujhko

kaisay bhoolon ga tere saath guazare lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujhko.....

dunya jo chahti thi tamasha nahi kiya

la haasili ka ishq mai charcha nahi kiya
dunya jo chahti thi tamasha nahi kiya

ham maslehat pasand thai barbaad ho gaye
jo kuchh bhi jis tarah se bhi socha nahi kiya

zardar o be_nawa se kiya aik sa sulook
dil ne koi lihaz kisi ka nahi kiya

kar k dikhai ham ne usey be_wafai bhi
uss k husool k liye kya kya nahi kiya

manzar se hatt k kar diya aasa'n judai ko
iss faisley mai bhi usey tanha nahi kiya

khush fehmio'n mai khoob guzar sakti thi magar
ham ne khud apne aap se dhoka nahi kiya

yaad uski itni khoob nahi thi ba_kaul Meer
lekin usey bhula k bhi atcha nahi kiya

Tairay badal jany ka mujhay gila nahee he

tairay badal jany ka mujhay gila nahee he
mairee wafaaon ka lekin ye sila nahee he

jo muntazir tha gulistaan me tariy deed ka
wo gul moasam e bahaar me khila nahe he

may bilkul tanha raha ye shikwa ghalat he
milay the boht lekin koi tum sa mila nahe he

tum hay abb kis kay pas ja kay mangoo'n me
me toheed ka hon qail maira koi or ila nahe he

yaar bashee bhee kuch kaam na ayee  faysal
galay milay loag mgar koi dil say mila nahe he

Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Khud Apni Agg Mai Jaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Jo Sang Tout Na Paye Jahan Ki Kosish Se
Humaray Ghum Mai Pighaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Tabahiyoo'n Pay Humari Jo Kal Tak Khush Thay
Sunna Hai Hath Wo Maltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Tumhari Raah Mai Ankhain Bichaa Rahay Thay Kabhi
Jo Ajj Raah Badaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Bulandiyoo'n Pay Na Dhoondho Kay Johar-e-Nayaab
Zamee'n Ki Goud Mai Paltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Zamaana Jaisay Behalta Hai Meri Jaa'n Hum Se Bhi
Usi Terhan Se Behaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Hum Aabb-e-Saaim Ki Manind Sari Raat  faysal
Bina Tumharay Machaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain


Sitaara Hoon Mager Yion Hai

Sitaara Hoon Mager Yion Hai, Chamakna Bhool Betha Hoon
Mai Khud Apnay Taaruf Ka Hawala Bhool Betha Hoon

Jisay Mad-e-Nazer Rakh Kar Chala Tha Janib-e-Manzil
Saffer Kay Dermiyaa'n Mai Wo Sitaara Bhool Betha Hoon

Abhi Musroof Hoon Kafi Kabhi Fursat Mai Sochoon Ga
Kay Tujh Ko yaad Rakhnay Mai, Mai Kia Kia Bhool Betha Hoon

Najanay Kia Dekhaye Gi Yeh Meri Kam-Nighahi Bhi
Guzishta Yaad Rakhnay Mai, Mai Ferda Bhool Betha Hoon

Faramoshi Bhi Naimut Hai Mager Yeh Kia Howa  faysal
Kay Mai Teri Judaai Ka Khasaara Bhool Betha Hoon

Popular Posts