Tuesday, May 31, 2011

Dekh aa kar kabhi un ko bhi,jo tere hathon


Dekh aa kar kabhi un ko bhi,jo tere hathon
Aise ujre hain ke aabad nahin hone ke

Wasf-e-may aur sift-e-yaar ke mazmoon ke siwa
Naseha!Tere sukhan yaad nahin hone ke

Yaar-e-bad ehad ka kitna bara ehsan hai ke hum
Ab kisi ke liye barbad nahin hone ke

Us jafa ju ko dua do ke agar woh na raha
Phir kisi se sitam ejaad nahin hone ke

Aaj phir jashn manaya gya azadi ka
Kal gharon par kayi afrad nahin hone ke

Itne aram talab ho to muhabbat mein Faraz
Meer ban jao ge,farhad nahin hone ke

Shehr-e-muhabbat,hijr ka mausam,ehd-e-wafa aur main


Shehr-e-muhabbat,hijr ka mausam,ehd-e-wafa aur main
Tu to us basti se khush khush chala gay,aur main?

Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
Aapas mein kia baatain karte raat,diya aur main

Sair-e-chaman aadat thi pehle,ab majboori hai
Teri talash mein sab chal parte hain,baad-e-saba aur main

Jis ko dekho teri hawa mein pagal phirta hai
Warna hum mushrib to nahin thay khalq-e-Khuda aur main

Aik to woh humraaz mera hai,phir tera maddaah
Bas tera hi zikar kia karte hain zia aur main

Aik zamane baad Faraz yeh shair kahe main ne
Ek muddat se mile nahin hain yaar mera aur main

Hum ko bhi chupa ay shab-e-gham apne paron mein



Hum ko bhi chupa ay shab-e-gham apne paron mein
Hum log bhi shamil hain tere humsafaron mein

Ay deeda dari main tere maiyaar ka mujrim
Phir le ke chala apne gohar kam nazron mein

Badal to baraste hain magar banjh zameen par
Suraj to ubharta hai magar bebasaron mein


Mumkon ho to har aik dar-o-deewar pe likh doon
Pathar na chupaya karo sheeshe ke gharon mein

Marham ki jagah bant’te phirte hain naye zakhm
Yeh rasam bhi nikli hai ajab charah garon mein

Is ghar ke muhafiz bhi khabar dar hain kitne?
Sorakh to chatt mein huye,taale hain daron mein


Ay dost tera dard kahan rahat-e-jaan tha?
Tu hum ko ghaneemat samajh aashufta saron mein

Is sheher mein rehta hoon is andaz se Mohsin
Jaise koi funkaar phire be-hunaron mein!

Aakhir ko zaroorat hi khareedar ki nikli


Aakhir ko zaroorat hi khareedar ki nikli
Maryam si woh lobat bhi to bazar ki nikli

Dekho kabhi maqtil kabhi gulzar lage hai
Tasveer ajab koocha-e-dildar ki nikli

Ankhon ki tasalli nahin hoti to na howey
Hum khush hain koi shakal to deedar ki nikli

Kyun yaar ke inkar se afsurda hai aye dil
Nadaan! koi rah to iqrar ki nikli

Woh giryaan kunan aur dilasa,main usey doon
Kia tarfa tabiyat mere ghum khwar ki nikli

Waa rehne de Ya Rab dar-e-tauba ke abhi to
Hasrat hi kahan tere gunahgar ki nikli

Kal hijr ki shab,roz-e-qayamat ki tarah thi
Din nikla na jaan hi tere beemar ki nikli

Jane nashe mein ke woh aafat-e-jaan khwab mein tha


Jane nashe mein ke woh aafat-e-jaan khwab mein tha
Jaise ek fitna-e-bedaar,rawaan khwab mein tha


Woh sar-e-sham,samundar ka kinara,tera sath
Ab to lagta hai ke jaise yeh samaan khwab mein tha

Jaise yaadon ka dareecha koi waa reh jaye
Ek sitara meri janib nigraan khwab mein tha


Jab khuli ankh to main tha,meri tanhai
Woh jo tha qafila-e-humsafaran khwab mein tha

Aik shab aik saraye mein makeen thay dono
Main to soya hi nahin,woh bhi kahan khwab mein tha

Aise qatil ko koi hath lagata hai Faraz
Shukar kar shukar ke woh dushman-e-jaan khwab mein tha

Nahin ke nama baron ko talash karte hain


Nahin ke nama baron ko talash karte hain
Hum apne be-khabaron ko talash karte hain

Muhabbaton ka bhi mausam hai jab guzar jaye
Sab apne apne gharon ko talsh karte hain

Suna hai kal jinhain dastar-e-iftikhar mili
Woh aaj pane saron ko talash karte hain

Yeh ishq kia hai ke izhar-e-arzu ke liye
Hareef,noha garon ko talash karte hain

Yeh hum jo dhoondte phirte rehte hain qatal gaahon ko
Dar-asal charahgaron ko talash karte hain

Riha huye pe ajab haal hai aseeron ka
Ke ab woh apne paron ko talash karte hain

Faraz daad ke qabil hai justaju un ki
Jo hum se darbadaron ko talash karte hain

Phir tere na aane ki khabar sham mein aayi


Phir tere na aane ki khabar sham mein aayi
Zohrab ki talkhi si mere jaam mein aayi

Aye kash na poora ho koi bhi mera arman
Yeh aur tamanna,dil-e-nakaam mein aayi

Kia kia na ghazal us ki judai mein kahi hai
Barbadi-e-jaan bhi to kisi kaam mein aayi


Kuch tera sarapa mere ashaar mein utra
Kuch shairi meri,tere inam mein aayi

Kab tak ghum-e-doran mujhe fitrak mein rakhta
Aakhir ko to duniya bhi mere daam mein aayi

Kal sham ke tha sheikh-e-haram,sahib-e-mehfil
Sehba ki pari jaama-e-ehraam mein aayi

Har chand Faraz aik faqeer-e-sar-e-reh hoon
Par mumlikat-e-harf mere naam to aayi

meri taar taar mohobatain meri dil figaar mohobatain


meri taar taar mohobatain
meri dil figaar mohobatain
meri be waqqar mohobataiN
jo ujarR sakeeN na panam sakeeN
sar-e-shaakh dil na saja kabhi
koi lamha khilte gulaab sa
sar-e-baab jaaN na raqam hoa
koi saaneha koi ulmiyaa
meri be yaqeeN mohobataiN
na ata hoa inhain dohor maiN
na sharf hi shohrat-e-aam ka
na sanad hi koi dawaam ki
na wisaal maiN koi sar khushi
na to shiddataiN ghum-e-hijar maiN
sab hi raahataiN bhi theeN ajnabi
na ruqaabatooN maiN khuloos tha
na theeN istewaar rifaaqataiN
kisi qaid maiN kisi jabar main
sau kitaab-e-jaaN ki ibaarataiN
na siyaah hoi na safaid hi
wahi ek rang tha surmaee
wo jo pairahan hai shaam ka
yoohi umar saari guzar gai
kisi sar kasheeda sawaal maiN
kisi khuaab k se khayal maiN
kisi khauf jese malaal maiN
ek ajeeb si soorat-e-haal maiN
meri bad naseeb mohobatooN
meri ek baat ye jaan lo
kabhi mautabir jo bhi hogaeeN
isi zindagi hi maiN tum agar
to ye dair-e-baab khushi mujhe
nae dukh se kar degi aashnaaN
maiN kahaN se dhoond k laaogi
wo khushi baratne ka zauq-o-shoq
jise waqt le k bhi ja chuka

Galiyon mein kaisa shor tha,kyun bheer si maqtil mein thi


Galiyon mein kaisa shor tha,kyun bheer si maqtil mein thi
Kia wasf us shair mein tha,kia baat us pagal mein thi

Aisa sitam kia ho gaya,ek raahro tha,kho gaya
Phir zindagi ki sham thi aur sham bhi jungle mein thi

Ki kia hua,chalti rahi yeh lo magar jalti rahi
Kia zor us andhi mein tha,kia taab us mashal mein thi

Shola ba dil,aatish bajaan phirta raha woh be-amaan
Warna saba zulfon mein thi,warna ghata kajal mein thi

Tarsi hui ankhon mein,kin kin sahilon ke khwab thay

Par kashti-e-umr-e-rawaan haalaat ki daldal mein thi
Khil’att ne awaaze kasey,taane diye,fatwe jarre


Woh sakht jaan hansta raha,go khud kushi pal pal mein thi
Apni kasheed-e-jaan se hi peeta raha,jeeta raha

Nasha kahan saghar mein tha,masti kahan bottle mein thi

Un ki dahleez tak ja kar wo sub waady bhoola dena

Un ki dahleez tak ja kar wo sub waady bhoola dena
Guzar un ka jahan se ho wo sub raasty bhoola dena



Agar jeena he nae sir se to maazi ke wo pul saary
Udaasi men ghiry thy jo wo sub lumhy bhoola dena



jahan un ki nigahon se kanwul khilty hen sub saary
nasheely khuwab ki tarha wo sub julwey bhoola dena



sanum ki yaad turpaey na tumhen sookh aaram mil paey,,
jala kar khut jo tum un ke wo sub raabity bhoola dena


Mokader ke paharon se suron he jo tukrana
Mohabat men mar mitny ke wo sub juzby bhoola dena


Wafa ke phool morjhaen jafa ki tez hawaon men
choony ulfat ke bagon se wo gul dusty bhoola dena


Jawani ke hen din thory nahin he sath koi deta
kasam waady kiye thy jo wo sub jumly bhoola dena


Pookary jo tumhen gum-e-hijra"n ke dukh sary
na mor kar dekhna hurgiz wo sub naary bhoola dena

Pather hi sahi raah mein haael to rahunga


Pather hi sahi raah mein haael to rahunga,
Kuch dair tera madd-e-muqabil to rahunga..

Jab tak teri bakhshish ka bharam khul nahin jata,
Ay meri sakhi,main tera saael to rahunga..

Is waaste zinda hoon sar-e-maqtil-e-yaraan,
Wabasta-e-kam zarfi-e-qatil to rahunga!

Ay taiz hawa mera dhuwaan dekh k jana,
Bujh kar bhi nishan-e-reh-e-manzil to rahunga!

Dushman hi sahi naam to lay ga mera tu bhi,
Yoon main teri awaz mein shamil to rahunga..

Jab tak main baghawat na karun jabr-o-sitam se,
Zindaan mein hoon,paband-e-salasil to rahunga.?

Mohsin zad-e-adaa se agar mar bhi gaya main,
Maiyaar-e-tameez-e-haq-o-batil to rahunga..

Abhi kuch pul hamarey haath main hain


Abhi kuch pul hamarey haath main hain
koan jaaney
konsa lamha hamarey haath say phisley, girey
or paoon ki zanjeer hojayey
abhi yeh din jo lagta hay k hum ik doosrey k saath
reh saktey hain pal do pal
najaaney kub kahan deewaar bun jayain
abhi do chaar saansain buch rahi hain
yeh to jhaunka hain
kisey maloom kis aahistagi say yoon guzar jayay
k hum daryaoun k do mukhtalif na'aashna goongey kinaaroun par
kharey
ik doosrey ki shakal takney ko taras jayain
meri awaaz teri yaad main zinda hou bus
or main teri tasweer aankhoun main liyey rona chupaoon
shehar waaloun say
abhi kuch pul hamarey haath main hain
hum jo chahain gain to kuch kum kum bhi mil lain gain
magar jaaney kahan.... ?
kub... ?
konsa lamha....?

Main Kab ka Khud Se Bicharr Chukka Hoon


Bicharnay Waalay!
Bicharnay Waalay!
Tujhay Khabber Hai?
K Tairay Jaanay se Maira Jeevan
Hazaar KhanooN main Batt Gaya Hai!
Tujhay Khabber Hai Bicharnay Waalay!
K Mairi Khushiyan hee Kho Gai Hain
Main Kitna Tanha Sa Ho Gaya HooN
Wajood Maira Tu Iss Safar Main
Yeh Daikh ZakhmooN se Att Gaya Hai
Main Sochta HooN!
Mager Yeh Sochain,
Kyun Aik Nuqtay Pe Jamm Gai Hain,
Mujhay Yeh Mehsoos Ho raha Hai!
K Jaisay Saansain Hee Thamm Gai Hain
Mujhay Bata Day Bichrnay Waalay!
K Khud ko Kaisay Sambhalna Hai
Hijar K RastoooN Pe Chaltay Chaltay!
Yeh Mairay PaaoN Laho main Terr Hain
Yaqeen Ker Lay Main Thakk Gaya HooN
Bicharnay Waalay! Tujhay Khabber Hai
Main Kab ka Khud Se Bicharr Chukka Hoon

un kahi batoon ko un sunay lafzoon ko


un kahi batoon ko
un sunay lafzoon ko
qaid say rehaey do
ke warna .....
guzrya hoyay kal ki
chubhan ki bazgasht ....
mairi koey unkahi
tumhari koey unsuni
aanay walay kal main
achanak kabhi takrai to
ankhain khoon rooain gi
zubaan laRkharaey gi
samAt kalbalaey gi .
zindigi dagmagaey gi.
jis chubhan pe zinda thay
ik pal main na rahi
to
usi pal mar jao gay

wo nafraton ke sawal kar ke


wo nafraton ke sawal kar ke

mohabaton ke jawab maange

ye chaahton ki karri mushaqat

chalen hain tanha

shikast khuurda

koi to mera bhi dard jaane

koi to uss se hisaab maange

Raat bhar taaron ko jaga raha he koi


Raat bhar taaron ko jaga raha he koi,
unhen takdeer per nohy sona raha he koi.


gozry mazi ke lumhon ko yad kurty hoey,
sookhi pulkon pe ansoo saja raha he koi.


logoN ki bebusi per ongliyan othany walo,
khatir khoshi ke jholi phehla raha he koi.


Tha naaz jisey kal apni rafakaton per,
aaj khod ke saey se ghubra raha he koi.


ghum o husrat ke bhunwar men jo gurk hoi,
tabah zindagi ki kushti bucha raha he koi.


jesy jaty hen kubron men dufnaey junazy,
yon apni khowahishon ko daba raha he koi.


shayed na jhel saka hijr ki sukhtiyon ko,
tub hi to apny ghar ko jala raha he koi.


hai burson ke baad soya na bedar kar abhi,
issy supno men aa kar soola raha he koi.


janaa rahi hai sooli sada ashikon ki zeenat,
muktal se aesy naary laga raha hai koi..

Ye dil bhulata nahi hay muhabbatein us ki


Ye dil bhulata nahi hay muhabbatein us ki
pardi hoi thein mujhay kitni aadatein us ki

Ye mera sara safar us ki khushboowon mein kata
mujhay to rah dikhati thin chahatein us ki

Main door honay lagi hon to aesa lagta hay
keh chhaon mein jesi thin mujh pe rifaqatein us ki

Ye kis gali mein kis sheher mein nikal aayay
kahan e reh gain logo sadaqatein us ki

Main barishon mein juda ho gai hon us say magar
ye mera dil, meri sansein amanatein uski

Jo khushi tumharay kareeb ho Woh sada tumhain naseeb ho


Jo khushi tumharay kareeb ho
Woh sada tumhain naseeb ho

Tujhe woh khulos milay ke jo
Teri zindagi pe muheet ho

Jo mayaar tujhko pasand ho
Jo tumhare dil ki umang ho

Teri zindagi jo talab kare
Teray hamsafar ka wo rang ho

Jo khayaal dil main aseer ho
Aur dua main bhi taseer ho

Teray haath uthatay hi Khuda karay
Teray saamne tabeer ho

Tujhe wo jahan milay jidhar
Ghamon ka koi guzar na ho

Jidhar rooshni ho khuloos ki
Aur nafratoon ko khabar na ho

Lafz gum ho jate hain youn aksar jannan


Lafz gum ho jate hain youn aksar jannan
jaise sagar me chah jaye sakoot achanak
jaise mouj-e-rawan tham jaye yakdum
jaise koi chup ho jaye kuch kehte kehte

Lafz tu lafz hain jane baharan
teray hon ya meray
chalo aj in munjamid jazbon ko kkuch lafz ata karain
lafz aise jo pighla dain undekhi zanjeron ko
aur
giran dain har dewar
chalo ab k jannan kuch aisa karain
ke
ye lafz gum hi na houa karain
chalo apne ehad-o-pemaan ko
ye lafz ata karain

muhabton ka zawal likhna jab bhi meri dastan likhna


muhabton ka zawal likhna
jab bhi meri dastan likhna

wafaon ka bhaut qehat pada hai
jafaon ka charcha sae-e-aam likhna

wo sahayed majboriyun ka qaidi ho
chalo usko na sazawar likhna

uski nigahain sarapa-e-sawal tehrein
per ye bhi teh hai na koi jawab likhna

aye meray MOULA kab ye kaha tha
na uska aur mera visal likhna

jis phool ko choona hum ne murjha ke gir gaya


jis phool ko choona hum ne murjha ke gir gaya
ab daman main kantun ke sewa nahi kuch bhi

hum ne kab na tujh se baatain kin tere sajde kiye
aae khuda on duaun se hasil howa nahi kuch bhi

kehte hain mazloom ki aah sonta hae woh jab
zalim ki saza,der o derwazah wa nahi kuch bhi

khail ke kirdaar hain pardah gire jab aankhun se
duniya khail tamasha hai eske sewa nahi kuch bhi

Anmol ho chuka hai ab ye piyar her jagah


Anmol ho chuka hai ab ye piyar her jagah
insaaN hi hai insaan se be-zaar her jagah

her roz mughfirat ki dua paRh k soya kar
aadam ba-shakl e mout hai tayyar her jagah

safr mohabbatoN ka go taveel tr raha
khoya hai main ne dil pe ikhtiyaar her jagah

goya wo lout kr yahaN aaye ga laazmn"
aisay kiya hai uska intezar her jagah

aadam e awwal ne faqt ki thi khataa bs ik
aur ibn e adam to hai khata kaar her jagah

taqdeer main likhi ho maat tab to baat hai
khud hi likh rahy hain apni haar her jagah

rishty khaloos dil ke ab na-paid ho chalay
lalch hawas o hirs ke ambaar her jagah.

jo tum ko bhool jae ussay dil se nikal do


jo tum ko bhool jae ussay dil se nikal do
meri aaghosh main aao zindagi sanwar do

jaltarung bajain hum bhi tarung main hon
jo zeghaiz kerde rooh ko essi malhar do

zehn o dil ter o tazah rahain bahr-soorat
jis pe ghizaan na aae mujhe esi bahar do

gardish e aiyam ki talkhiyaan na rahain baqi
jo otre nas nas main woh nashila khumar do

na jane kitni nazrun ki zad main he jamal
tum aao mere gher , meri nazr otar do

Maa ke jaisa dil ho, kisi ke seene mein


Maa ke jaisa dil ho, kisi ke seene mein
Aise to dunya mein,koi ho hi nahi sakta

Allah se yun gidh-gidah ke, apne bache ke liye
Jaise roti apni maa hei, koi ro hi nahi sakta

Jiski Maa yun samne uske, apna dam tod jaye
Wo shakhs phir chain se kabhi,so hi nahi sakta

Jisne seekha ho sabr karna, apni Maa se humesha
Koi gham uski ankhon ko, phir bigho hi nahi sakta

Tere sath dua hai Maa ki, tu ye janta hai
Beedh dunya ki chahe ho jitni, tu kho hi nahi sakta

Dunya mein har ik shahs mein koi kami to hoti hai


Dunya mein har ik shahs mein koi kami to hoti hai
Chahe Jitna khudh ko muqamal samjhe,uski aankh bhi roti hai

Khud ko jo tanha pata hei, jo dunya ke iss mele mein
Tanhai mein uski ghamon sang, Ik bheed si lagi hoti hai

Dil mein hon chahe lakhon gham, par ajeeb baat ye hai
Ke honton pe uske har ik pal, to muskaan saji hoti hai

Baton se tumhe lagta hei ke, gham usne kabhi dekhe nahin
Jhanko jo uski ankhon mein, chupi ajeeb si nami hoti hai

Dil ko na jaane dhadkane ka, usne hunar kaha se seekha hei
Uske hath pe rakho hath jo, to uski nabz to thami hoti hei

Har koi wafa ka haqdar nahi, zara kareeb se dekhna
Kuch logon ke chehre par bewafai ki, ik teh si jami hoti hai

Iss dunya mein agar tumhe jeena hai


Iss dunya mein agar tumhe jeena hai
To ek chehre ko apne chehre pe lagana hoga

Chahe jitne bhi hon gham bhare seene mein
Phir bhi honton pe, hansi ko sajjana hoga

Dil ki har baat ko na sabse karna kabhi
Kisi ek baat ko to dil mein chupana hoga

Sach bolna yahan kisko aata hei dost?
Tumhe dil ko jhoot se hi, behlana hoga

Yahan apne hi apnon ka bura karte hein
Kaun kehta hei ke dushman beghana hoga

Kissi hath mein nahi dete, apni zindagi ki dor
Iss patang ko to tumhe khud hi udaana hoga

Dunya nahi dekh sakti khush kisi ko
Buri nazar se tumhe khudh ko bachaana hoga

Janay kis zoam mein maqtal ko sajaye tum ho


Janay kis zoam mein maqtal ko sajaye tum ho
mujh ko kia qatl karo gay mere saaye tum ho

Mera pindar bardha isi mayyar kay sath
jis raoonat say mujhay daar pe layay tum ho

Is khijalat kay tabassum say ayan hen yaro
aastinon mein woh khanjar keh chupayay tum ho

Dost ka lutf to ehsan hay jab ho jayay
mehban phir bhi bardi dair mein ayay tum ho

Dastbasta o kamarbasta o labbasta sahi
is pe bhi khush ho keh darbar mein aayay tum ho

Hayay woh subh e tamanna keh na dekho gay Faraz
hayay in shammon ki qismat keh jalayay tum ho

Apnay mahl say thay qais kay rishtay kia kia


Apnay mahl say thay qais kay rishtay kia kia
dasht mein aaj bhi uthtay henbagolay kia kia

Ishq mayyar e wafa ko nahi karta nilaam
warna idraak nay dikhlayay thay rastay kia kia

Jaisay ham aadam o hawwa ki saza bhool gayay
darghulatay rahay jannat kay nazaray kia kia

Log ashyaa ki tarah bik gayay ashya kay liyay
sar bazar tamashay nazar aayay kia kia

Kahin qadmon kay nishan hen, kahin qabron kay nishan
karwan zeest ki sherah say guzray kia kia

Goonj uthta dil e insan to koi baat bhi thi
gosh insan mein undelay gayay daway kia kia

Lafz kis shan say takhliq hoa tha lekin
is ka mafhoom badaltay rahay nuqtay kia kia

Ek karan tak bhi na ponhchi meray batin mein Nadeem
sar aflaak damaktay rahay taray kia kia

Agar bazm-e-insan mein aurat na hoti


Agar bazm-e-insan mein aurat na hoti
khayalon ki rangeen jannat na hoti

Sitaron kay dilkash fasanay na hotay
baharon ki nazuk haqiqat na hoti

Jabinon par noor-e-musarrat na khilta
nigahon mein shan e murawwat na hoti

Ghataon ki aamad ko sawan tarastay
fizaon mein behki baghawat na hoti

Faqiron ko irfan-e-hasti na milta
ata zahidon ko ebadat na hoti

Musafir sada manzilon pe bhataktay
safinon ko sahil ki qurbat na hoti

Har ek phool ka rang phika sa rehta
nasim e baharan mein nikhat na hoti

Khudaai ka insaf khamosh rehta
suna hay kisi ki shafaat na hoti

Gul ko shabnam say aag lag jayay


Gul ko shabnam say aag lag jayay
maoj ko ram say aag lag jayay

Bazm e taqdees ki fizaon mein
husn e barham say aag lag jayay

Aesay zakhmon ko kia karay koi
jin ko marham say aag lag jayay

Kaash ! aay zindagi ki raqqasa
teri chham chham say aag lag jayay

Chandni kay suhag mein Saghar
chashm e purnam say aag lag jayay

Jo hadsay ye jahan meray naam karta hay



Jo hadsay ye jahan meray naam karta hay
mera shaoor usay nazr e jaam karta hay

Hamaray chak e gariban say khelnay walo
hamen bahar ka sooraj salam karta hay

Hamhi say qaos o qazah ko mili hay rangini
hamaray dar pe zamana qayam karta hay

Ye mekada hay, yahan ki har ek shay ka huzoor
gham e hayat bohat ahtram karta hay

Faqih e sheher nay tuhmat lagai Saghar par
ye shakhs dard ki daolat ko aam karta hay

Raat kay khawab sunaen kis ko, raat kay khawab suhanay thay


Raat kay khawab sunaen kis ko, raat kay khawab suhanay thay
dhundlay dhudlay chehray thay. par sab janay pehchanay thay

Ziddi, wehshi, alhard, chanchal, mithay log, rasilay log
hont unkay ghazlon kay misray, aankhon mein afsanay thay

Wehshat ka unwan hamari, in mein say jo naar bani
dekhen gay to log kahen gay, Insha jee diwanay thay

Ye lardki to in galyon mein roz hi ghooma karti thi
is say in ko milna tha to is kay lakh bahanay thay

Ham ko sari raat jagaya, jaltay bujhtay taron nay
ham kiun un kay dar par utray, kitnay aur thikanay thay

Gham-e-aashqi se keh do reh-e-aam tak na ponhchay


Gham e aashqi say keh do reh-e-aam tak na ponhchay
mujhay khaof hay ye tuhmat meray naam tak na ponhchay

Main nazar say pi raha tha keh ye dil nay bad dua di
tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na ponhchay

Nai subh par nazar hay magar aah ye bhi dar hay
ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na ponhchay

Ye adaa e be niyazi tujhay be wafa mubarak
magar aesi be rukhi kia keh salam tak na ponhchay

Jo naqaab e rukh utha di to ye qaid bhi laga di
uthay har nigah lekin koi baam tak na ponchay

Layi hayat aayay, qaza lay chali chalay


Layi hayat aayay, qaza lay chali chalay
apni khushi say aayay na apni khushi chalay

Behtar to yehi hay na dunya say dil lagay
par kia karen jo kaam na be dil lagi chalay

Kam hon gay is bisat pe ham jaisay bad qumar
jo chaal ham chalay so nihayat buri chalay

Ho umr e khizr bhi to kahen gay bawaqt e marg
ham kia rahay yahan abhi aayay abhi chalay

Dunya nay kis ka rah e fana mein dia hay saath
tum bhi chalay chalo yonhi jab tak chali chalay

Nazan na ho khud pe jo hona hay, woh hi ho
danish tri, na kuch mri danishwari chalay

Junoo"n ki kaed mien ye dil per goobar kaisa hai


Junoo"n ki kaed mien ye dil per goobar kaisa hai
Nasha jo piyar men na tha to khoomar kaisa hai



Chuly gaey jo gum-e-hijr se aleel kar ke mujhy,
kiyon gaer se poochty hen ke beemar kaisa hai



Jub bhi rootha to meri ankhon men numi bhar aai,
Wo kia jany ke manany men karar kaisa hai



Tum jo kahty ho ke eeman namazon men hy,,
To phir moola ye musjidon men intishar kaisa hai



Bikhar gai he meri zaat apni tunhai men,
Ab ginoo jo shubha-e-hijr to shumaar kaisa hai


diya jala ke wafaon ka men betha cokhut per,
hawa ne zor se bujha kar kaha ye intazar kaisa hai



Main manita hon ke wo kisi aur ka hai
magar munn ko iss hakeekat se inkaar kaisa hai

Azaab-e-ishq jo kundhon pe hum otha k chale


Azaab-e-ishq jo kundhon pe hum otha k chale..
khata bagaer na koi yun saza nibha k chale


men buzm-e-yar se mohabat ko esy chor chala,
laash bety ka koi hathon se dufina k chale


Aey. khudaya na kabhi esa din dekhy koi,
rakeeb aagy jub nazron ko hum jhooka k chale


Aey. zamana kiyon jafa un ki men parukh na saka
dekho ulfat ke chiragon se ghar jala k cchale


Kamal-e-zubt mera toota yun sanam ki cokhut per,
zaban ko bund or pulkon se ashk gira k chale


un ke dar tak meri korbat ka safar hota tha,,
Aaj dehleez se qadam kiyon to larkhra k chale


Piyar ki jot jalai thi jo munn mein
wo dil ke deepuk aahon se hum boojha k chale

Jalwon ki bheek, husn ki khairat chahyay


Jalwon ki bheek, husn ki khairat chahyay
ye kia kaha keh tujh ko mri zaat chahyay

Ab to kuch aesi soorat e halaat chahyay
woh bhi kahen, hamen to tra haath chahyay

Kis nay kaha tujh say musalsal ho iltifat
lekin kabhi kabhi to mulaqat chahyay

Aashuftagi jan hay mri wajha inbisaat
dunya ko to hansi kay liyay baat chahyay

Mumkin nahi keh koi, dua barwar na ho
din raat sarf us say manajat chahyay

Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin


Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin
is umr mein to lardkiyan soya nahi kartin

Kuch lardkiyan anjam nazar hotay howay bhi
jab ghar say nikalti hen to socha nahi kartin

Yan piyas ka izhaar malamat hay gunah hay
pholon say kabhi titliyan poocha nahi kartin

Qismat jinhen kar day shab e zulm kay hawalay
aanchal woh kisi naam ka aordha nahi kartin

Jo lardkiyan tarik muqaddar hon kabhi bhi
raton ko diyay ghar mein jalaya nahi kartin

Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya


Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya
ham bad-nasiib ashk bahaane mein reh gaye

kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hai.n dehr mein
miT kar bhi jinn ke naam, zamaane me.n reh gaye

mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein
taa- umr apnaa ghar hi banaane me.n reh gaye

aa.nsuu chhalak paRe tau, khabar sab ko hi gayii
ham apne dil ke daaGH chhipaane mein reh gaye

khud sar-baland ho na sake uumr-bhar kabhii
apne hariif ko jo jhukaane mein reh gaye

sikhaa nahii.n zamaane se chhoTaa sa ik sabaq
taa-uumr duusron ko sikhaane mein reh gaye

apne hunar se aur tau zardaar ban gaye
ham lo`g khote sikke chalaane mein reh gaye

insaan bhi jalaaye gaye lakriyon ke saath
ham hai.n k apni jaan bachaane mein reh gaye

Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota


Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota
Ke jo sab kuch, meri soch ke jaisa hota

Tum mujh jaise hote, mein tum jaisa hota
Diwaar beech mein lagaye na ye paisa hota

Hum muskura ke jo chaahte khareed laate
Har gareeb bhi ek raees shakhs jaisa hota

Har koi milta ek duje se kholoos ke sath
Aur uska dil bhi saaf sheeshe jaisa hota

Koi marne deta na, kisi ko bhook aur pyaas se
Hum sabke dil mein Khauf Khuda ka aisa hota

Koi aur badle na badle, ye baad ki baat hei
Tu dua kar janaa kash tu bhi aisa hota?

Kaash too mera sath deta kuch din aur


Kaash too mera sath deta kuch din aur
men bhi roswai se buch jata kuch din aur


dayar-e-husn kiya jany ulfat ki giran keemat,
mooft bazar-e-ishq men bik jata kuch din aur


gaer ke shano.n per teri jo bahen dekhin,
Ya Rub ye nazara na dikhlata kuch din aur

he tamunna dil-e-nadan ki mery hurjai se,
ke do pal mohabaton men gozarta kuch din aur

mezbani teri yadon ki sujai thi mun men,
dil ka mehman hi bun ke rukta kuch din aur

tum raho khush to chala jaon teri dunya se door,
gar na khuwabon men aakar satata kuch din aur

dil-e-mayoos ko gum-e-hijran ke na zakhum de dilbar,
ik molakat se hi bharum rakhta kuch din aur

Kiyon marasum ye toota na jaan suka
kaash teri daga ka sehar rehta kuch din aur

jub mila lutf teri bahon ki pazirai se


jub mila lutf teri bahon ki pazirai se.....
meny bhar kar khod ko paya sari khudai se...

Ankkh num hoti thi un ki rooth jany se qabl,
ye ada kis ne choorali he mery hurjai se..

ab men sumjha hon birahmun ki boot parasti ko,
k meri terha wo bhi andha he ishq-e-beenai se.


Tum khuda ka mujh pe ehsan ho ba soorat-e-dilbar,
ya ibn-e-Mariyum ka mojiza ho koi masihai se.......


nahin perwa kisi adam ko deen o dunya ki yahan,
bus k wakif he wo khuwahish ki shanasai se..


Mujh pe ilzam kushi ki tum na takleef otha,
men hon budnaam bohat khod ki be hayai se..


guzri yaadon ki aseeri ne mujhy jawed rukha,
dosti muzboot hogai phir apni tunhai se....


chor kafir pe durgozar ki ab ye aadat
kuch bhi haasil nahin jahiL ki rahnoomai se.

JUB KHOOB KHUDA NE KIA YE INTAKHAB CHEHRA


JUB KHOOB KHUDA NE KIA YE INTAKHAB CHEHRA.
FARISHTON NE MIL KAR KAHA HE LAJAWAB CHEHRA.


RAHY NOOR-E-SHUMS MADHUM OR CHAND BHI SHURMAEY,
IK LUMHA JO HO JAEY YE BE HIJAAB CHEHRA.

ZAHID BHI APNY ZOHD MEN KAAMIL NAHI REH SUKTA,
MEHFIL MEN AGAR DEKH LY YE KATIL SHABAB CHEHRA.

UNJAN SE NASHY MEN MUKHMOOR HOGAYA HON,
NENO KE SAGARON SE JO PILAYA SHARAB CHEHRA.

HUR PHOOL KI HE HUD-E-UMR KHILTA NAHI KHIZAN MEN,
KABI MAR KAR NA MORJHAEY HE WO GUL E GULAB CHEHRA.

DARWESH RAHI HE DUNYA KIYON HUSN K JULWON KA,
ISS RAZ SE PARDA HUTA JUB UTRA NAKAB-E- CHEHRA.

ZULMAT KADY HEN AOR BHI WAHSHI JAHAN HE SARA,
MERY ISHQ KE GHAR KIYON KHOLAYE WEHSHUT KA BAB CHEHRA

MISKEEN KO AAYA NAHIN KABHI FUN SANAGARI KA,
HUSRAT RAHI K AB TAK NAHIN DEKHA JANAB CHEHRA......

Humko aatay thay kabhi khwab suhanay walay

Humko aatay thay kabhi khwab suhanay walay
Janay kis shehr gaye hum ko lubhanay walay

Ab uss k raastay mein kon dil bicHaaye ga?
Mileinge uss ko kahan ham sa chaahnay walay?

Woh to kuch itni ada say tha pukara us nay
Werna hum bhi thay kahan lot kay janay walay

Wo jo kartay thay her ik baat par hi jaaN sadqay
Janay kis dais gaye dost puranay walay

Hath mein hath diye sath chalein gay younhi
Hum se jaltey hein to jal jaein zamanay walay

Waqat e rukhsat teri aankhon ne ghazab kia dhaya
Keh gaein raaz sabhi, jo they chupanay walay

Doobta chand hai, saahil ki hawa, main aur tum
Ab kion aatey hein wohi khwab puranay walay 

hum ne to dekh liya ye dil lagany se pehly


hum ne to dekh liya ye dil lagany se pehly.
tum kitny be wafa thy humen apnany se pehly.

he perwanoN ki fitrat wahi julna wa turapna,
per shama to bojhti nahi sehar hojany se pehly.

kiyon dostoN ko parukhna he dustoor-e-zamana,
hum haar chuky hen tumhen aazmany se pehly.

iss se barh kar wafa ki aor den kiya daleel,
k khud hi ro pary hen tumhen satany se pehly.

dunya se chupaey rukha apny piyar ko lekin,
nuzroN se ayaaN hogaey kuch batany se pehly.

wo kis terha den apni begunahi ka saboot,
jo wady apny taor gaey kisi bahany se pehly.

miskeen teri daga se kabhi be khabar na tha,
tubhi to rota chaor gaey humen manany se pahly.

aye chaand agar na too hota ye raat soohani na hoti


aye chaand agar na too hota ye raat soohani na hoti,
phoolon mn mehuk taron mn chamuk hr shae mn jawani na hoti.

ye zulf shab e dejor se aur chal teri mastani si
bulbul na sunti geet koi, aur lehroon main rawani na hoti

Koi na perhta heer, na samajhta shereN-ferhad
roshan na hoti koi shama, perwaney ki kahani na hoti

hur chodviN ko tum aangun main mehboob k lums ko chooty ho,
men lurta jhagurta tum se agar wo tujh pe deewani na hoti.

mehtab-e-falak aa dekh zara mehtab-e-zameeN k julwon ko,
tera naam sanam ko na deta gar tujh si peshani na hoti.

muqrooz tera hur aasique he mujboor tera hur shair he,
julwaa na tera gar roshan ho nughmon main rawani na hoti.

Kuch aag si pinhaan hay teri in thandi thandi kirno mein
warna in chandni raaton mein wehshat ki rawani na hoti

choti aankhain khab baray rastay main kab raat paray


choti aankhain khab baray
rastay main kab raat paray

chal ab ghar ko laot chalen,
phir se na barsaat paray.

kaon nibhaey ishq k vaadey ?
toofano'n se kaon larey

Bhoolney waley tujh per to they
nada'n dil ko maan barey

daman mera laho laho
aankhon mein youn khwab gharey

teri zad se nikalanaa chaahata hai


teri zad se nikalanaa chaahata hai
ye dariyaa ruKh badalanaa chaahataa hai



vo sapanaa jis kii suurat hii nahii.n hai
merii aa.Nkho.n me.n chalanaa chaahataa hai

dilo.n kii maa.Ndagii pe kyaa ta'ajjub
ki suuraj bhii to Dhalanaa chaahataa hai



nashist-e-dard badalii hai to ab dil
zaraa pahaluu badalanaa chaahataa hai



mujhe bhii saamanaa hai karbalaa kaa
meraa sar bhii uchhalanaa chaahataa hai

nahii.n hai tarjumaan-e-Gam ye aa.Nsuu
ye paanii ab ubalanaa chaahataa hai



tabassum zer-e-lab kahataa hai 'Amjad'
koi jazbaa machalanaa chaahataa hai

Popular Posts