Phir tere na aane ki khabar sham mein aayi
Zohrab ki talkhi si mere jaam mein aayi
Aye kash na poora ho koi bhi mera arman
Yeh aur tamanna,dil-e-nakaam mein aayi
Kia kia na ghazal us ki judai mein kahi hai
Barbadi-e-jaan bhi to kisi kaam mein aayi
Kuch tera sarapa mere ashaar mein utra
Kuch shairi meri,tere inam mein aayi
Kab tak ghum-e-doran mujhe fitrak mein rakhta
Aakhir ko to duniya bhi mere daam mein aayi
Kal sham ke tha sheikh-e-haram,sahib-e-mehfil
Sehba ki pari jaama-e-ehraam mein aayi
Har chand Faraz aik faqeer-e-sar-e-reh hoon
Par mumlikat-e-harf mere naam to aayi
No comments:
Post a Comment