Galiyon mein kaisa shor tha,kyun bheer si maqtil mein thi
Kia wasf us shair mein tha,kia baat us pagal mein thi
Aisa sitam kia ho gaya,ek raahro tha,kho gaya
Phir zindagi ki sham thi aur sham bhi jungle mein thi
Ki kia hua,chalti rahi yeh lo magar jalti rahi
Kia zor us andhi mein tha,kia taab us mashal mein thi
Shola ba dil,aatish bajaan phirta raha woh be-amaan
Warna saba zulfon mein thi,warna ghata kajal mein thi
Tarsi hui ankhon mein,kin kin sahilon ke khwab thay
Par kashti-e-umr-e-rawaan haalaat ki daldal mein thi
Khil’att ne awaaze kasey,taane diye,fatwe jarre
Woh sakht jaan hansta raha,go khud kushi pal pal mein thi
Apni kasheed-e-jaan se hi peeta raha,jeeta raha
Nasha kahan saghar mein tha,masti kahan bottle mein thi
No comments:
Post a Comment