Tuesday, August 20, 2013

Maar do jaan se koi gham nahi par yeh saza mat do

 Maar do jaan se koi gham nahi par yeh saza mat do
K humare samne beth kar hum ko tum ajnabi se laggo

is qehat-e-dosti main koi mujh se kya mile

iss qehat-e-dosti main koi mujh se kya mile
Khud apne aap ko bhi moasar nahi hoon main.

Ab ki bar us ka hadaf meri ana thi

Ab ki bar us ka hadaf meri ana thi
Soo salha ka parcham jala dia main ne

Raatein sachi hain din jhoote hain

راتیں سچی ہیں، دن جھوٹے ہیں

چاہے تم میری بینائی کھرچ ڈالو پھر بھی میں اپنے خواب نہیں چھوڑوں گا
اِن کی لذت اور اذیت سے میں اپنا عہد نہیں توڑوں گا
تیز نظر نابیناؤں کی آبادی میں ،
کیا میں اپنے دھیان کی یہ پونجی بھی گنوا دوں
ہاں میرے خوابوں کو تمھاری صبحوں کی سرد اور سایہ گوں تعبیر
اِن صبحوں نے شام کے ہاتھوں اب تک جتنے سورج بیچے
وہ سب اک برفانی بھاپ کی چمکیلی اور چکر کھاتی گولائی تھے
سو میرے خوابوں کی راتیں جلتی اور دہکتی راتیں
ایسی یخ بستہ تعبیر کے ہر دن سے اچھی ہیں اور سچی بھی ہیں
جس میں دھندلا چکر کھاتا چمکیلا پن چھ اطراف کا روگ بنا ہے
میرے اندھیرے بھی سچے ہیں
اور تمھارے روگ اُجالے بھی جھوٹے ہیں
راتیں سچی ، دن جھوٹے
جب تک دن جھوٹے ہیں جب تک
راتیں سہنا اور اپنے خوابوں میں رہنا
خوابوں کو بہانے والے دن کے اجالے سے اچھے ہیں
ہاں میں بہکاؤں کی دھند سے اڑوں گا
چاہے تم میری بینائی کھرچ ڈالو میں پھر بھی اپنے خواب نہیں چھوڑوں گا
اپنا عہد نہیں توڑوں گا
یہی تو بس میرا سب کچھ ہے
ماہ و سال کے غارت گر سے میری ٹھنی ہے
میری جان پر آن بنی ہے
چاہے کچھ ہو میرے آخری سانس تلک اب چاہے کچھ ہو

Raas aa naa saka koi bhi pemaa alvida

راس آ نہیں سکا کوئی بھی پیمان الوداع
تُو میری جانِ جاں سو مری جان الوداع

میں تیرے ساتھ بُجھ نہ سکا حد گزر گئی
اے شمع! میں ہوں تجھ سے پشیمان الوداع

میں جا رہا ہوں اپنے بیابانِ حال میں
دامان الوداع! گریبان الوداع

اِک رودِ نا شناس میں ہے ڈوبنا مجھے
سو اے کنارِ رود ، بیابان الوداع

خود اپنی اک متاعِ زبوں رہ گیا ہوں میں
سو الوداع، اے مرے سامان الوداع

سہنا تو اک سزا تھی مرادِ محال کی
اب ہم نہ مل سکیں گے ، میاں جان الوداع

اے شام گاہِ صحنِ ملالِ ہمیشگی
کیا جانے کیا تھی تری ہر اک آن ، الوداع

کِس کِس کو ہے علاقہ یہاں اپنے غیر سے
انسان ہوں میں ، تُو بھی ہے انسان الوداع

نسبت کسی بھی شہ سے کسی شے کو یاں نہیں
ہے دل کا ذرہ ذرہ پریشان الوداع

رشتہ مرا کوئی بھی الف ، بے سے اب نہیں
امروہا الوداع سو اے *بان* الوداع

اب میں نہیں رہا ہوں کسی بھی گمان کا
اے میرے کفر ، اے مرے ایمان الوداع

kisi haal mein nahi hoon koi haal ab nahi hai

کسی حال میں نہیں ہوں کوئی حال اب نہیں ہے
جو گئی پلک تلک تھا وہ خیال اب نہیں ہے

میں سکون پا سکوں گا یہ گماں بھی کیوں کیا تھا
ہے یہی ملال کیا کم کہ ملال اب نہیں ہے

نہ رہے اب اس کے دل میں خلشِ شکستِ وعدہ
کہ یہاں کوئی حسابِ مہ و سال اب نہیں ہے

یہ دیارِ دید کیا ہے گئے دشتِ دل سے بھی ہم
کہ ختن زمین میں بھی وہ غزال اب نہیں ہے

جو لیے لیے پھری ہے تجھے روز اک نگر میں
مرے دل ترے نگر میں وہ مثال اب نہیں ہے

لبِ پُر سوال لے کے ہمیں کُو بہ کُو ہے پھِرنا
ہو کوئی جواب بر لب یہ سوال اب نہیں ہے

Kisi libas ki khushoo jab ud kar aati hai

Kisi libas ki khushoo jab ud kar aati hai,
tere badan ki judai bohot satati hai,

tere badan ke pasiney say mushk boo hai libas,
tere libas ki khushboo badan se aati hai,

tere pasijey hue tang parhan ki shameem,
lahoo mein aag laga kar badan jalati hai,

tere gulaab taraste hain teri khushboo ko,
teri safaid chabili tujhe bulati hai,

tere baghair mujhe chain kaise padta hai,
mere baghai tujhe neenend kaise aati hai,

tishna kami ki saza do to maza aa jaye

John eliya

woh jo kya kuch na karnay walay thay

woh jo kya kuch na karnay walay thay
 bas koi damm mein marnay walay thay

thay gilay aur gard baad ki shaam
aur hum sab bikharnay walay thay

 woh jo aata to us ki khushboo mein
aaj hum rang bharnay walay thay

 sirf afsos hai yeh tanz nahi
 tum na sanwray, sanwarnay walay thay!

 yun to marna hai aik baar magar
hum kaii baar marnay walay thay!

Elaan-e-Rang

اعلانِ رنگ


سفید پرچم سفید پرچم
یہ ان کا پرچم تھا جو شکاگو کے چوک میں جمع ہو رہے تھے
جو نرم لہجوں میں اپنی محرومیوں کی شدت سمو رہے تھے
کہ ہم بھی حقدارِ زندگیِ ہیں مگر دل افگارِ زندگی ہیں
ہمارے دل میں بھی کچھ امنگیں ہیں ہم بھی کچھ خواب دیکھتے ہیں
خوشی ہی آنکھیں نہیں سجاتی ہیں غم بھی کچھ خواب دیکھتے ہیں


یکم مئی کی سحر نے جب اپنا نفسِ مضموں رقم کیا تھا
بلا نصیبعوں کو زندگی کی امنگ نے ہمقدم کیا تھا
اور اک جریدہ نگارِِ صبحِ شعورِ محنت نے آج کے دن
بنامِ محنت کشاں یہ پیغامِ حق سپردِ قلم کیا تھا


الم نصیبو بہادری سے ستم نصیبو بہادری سے
صفوں کو اپنی درست کر لو کہ جنگ آغاز ہو چکی ہے
تمہارے کتنے ہی باہنر ہاتھ ہیں جو بےروزگار ہیں آج
تمہارے کتنے نڈھال ڈھانچے گھروں میں بے انتظار ہیں آج


نظامِ دولت کے پنجہ ہاے درشت و خونیں شروع ہی سے
فریبِ قانون و امن کی آڑ میں چھپے ہیں ، چھپے رہے ہیں
گروہِ محنت کشاں ہو تیری زبان پر اب بس ایک نعرہ
مفاہمت ختم ہو چکی ہے ، مفاہمت ختم ہو چکی ہے
ستمگروں سے ستم کشوں کی معاملت ختم ہو چکی ہے
یکم مئی کا حسابِ عظمت تو آنے والے ہی کر سکیں گے


ہجوم گنجان ہو گیا تھا عمل کا اعلان ہو گیا تھا
تمام محرومیاں ہم آواز ہو گئیں تھیں کہ ہم یہاں ہیں
ہمارے سینوں میں ہیں خراشیں ہمارے جسموں پہ دھجیاں ہیں
ہمیں مشینوںکا رزق ٹھہرا کے رزق چھینا گیا ہمارا
ہماری بخشش پہ پلنے والو ہمارا حصہ تباہیاں ہیں


مگر یہ اک خواب تھا وہ اک خواب جس کی تعبیر خونچکاں تھی
رقم جو کی تھی قلم نے سرمایے کے وہ تحریر خونچکاں تھی
سفید پرچم نے خونِ محنت کو اپنے سینے پہ مل لیا تھا
یہ وقت کی سربلند تدبیر تھی یہ تدبیر خونچکاں تھی
دیارِ تاریخ کی فضائوں میں سرخ پرچم ابھر رہا تھا
یہ زندگی کی جلیل تنویر تھی یہ تنیر خونچکاں تھی


یکم مئی خون شدہ امنگوں کی حق طلب برہمی کا دن ہے
یکم مئی زندگی کے زخموں کی سرخرو شاعری کا دن ہے
یکم مئی اپنے خونِ ناحق کی سرخ پیغمبری کا دن ہے
یکم مئی زندگی کا اعلانِ رنگ ہے زندگی کا دن ہے


یہ زندگی خون کا سفر ہے اور ابتلا اس کی رہگزر ہے
جو خون اس سیلِ خون کی موجوں کو تند کر دے وہ نامور ہے
یہ خون ہے خون سر زندہ ، یہ خونِ زندہ ہے خونِ زندہ
وہ خون پرچم فراز ہوگا جو خونِ زندہ کا ہمسفر ہے


یہ خوں ہے سرنام یعنی سرنامئہ کتابِ امم یہ خوں ہے
ادب گہِ اجتہادِ تاریخ میں نصابِ امم یہ خوں ہے
صلیبِ اعلانِ حرفِ حق کا خطیب بھی یہ خطاب بھی یہ
یہ اپنا ناشر ہے اور منشورِ انقلابِ امم یہ خوں ہے
یہ خون ہی خیرِ جسم و جاں ہے اس امتہاں گاہِ زندگی میں
جہاں کہیں ظلم طعنہ زن ہو وہاں جوابِ امم یہ خوں ہے
یہ خون ہی خواب دیکھتا ہےشکست کی شب بھی ، صبحِ نو کے
پھر اپنی ہی گردشوں میں تعبیر کوشِ خوابِ امم یہ خوں ہے
یہ خوں اٹھاتا ہے غاصبوں کے خلاف طوفاں بغاواتوں کے
ہوں عام جب زندگی کی خوشیاں تو آب و تابِ امم یہ خوں ہے


جو ظلم سے دو بدو ہیں ان کی صفوں کو قوت پلائو ، آئو
اسی طرح خونِ زندئہ ہر زماں جہاں اقتدار ہوگا
نفاق اور افتراق ہی میں پناہ لیتے رہے ہیں ظالم
جو ظالموں کو پناہ دیگا وہ ظالموں میں شمار ہوگا

Dil Kay Armaan Mertay Jaatay Hein

Dil Kay Armaan Mertay Jaatay Hein,
Sub Gharoonday Bikhartay Jaatay hein...

Mehmil-e-Subh-e-Nau Kub Aa-ay Gii,
Kitnay He Din Guzartay Jaatay Hein...

Thi Kabhi Koh-kan Meri Shereen,
Ab Tou Aadab Beraty Jaatay Hein....

Berhta Jaata Hai Carwaan-e-Hayat,
Hum Osay Yaad Kertay Jaatay Hein...

Shay-her Aabad Ker Kay Shay-her Kay Loug,
Apnay Ander Bikhartay Jaatay Hein...

Rooz Afzoon Hai Zindagi Ka Jamal,
Aadmi Hein Kay Mertay Jaatay Hein...

JOHN Yeh Zakhm Kitna Kaari Hai,
Yaani Kuch Zakhm Bhartay Jaatay Hein

Tum mera dukh baant rahi ho main khud se sharminda hoon

Tum mera dukh baant rahi ho main khud se sharminda hoon
apne jhute dukh se tumko kab tak dukh pohonchaunga

Tum to Wafa mein sargardaan ho, shouqe mein raqsaan rehti ho
mujhko zavaal-e-shouqe ka gham hai, main pagal ho jaaunga

Jeet ke mujhko khush mat hona, main to ik pachhtawa hun
 khounga, kurhta hi rahunga, paaunga, pchhtaunga

Ehd-e-Rafaqat thik hai lekin, mujhko aisa lagta hai
Tum to mere saath rahogi, main tanha reh jaaunga

Shaam ko aksar bethay bethay, dil kuch dubne lagta hai
tum mujhko itna mat chaho, main shayad mar jaaunga

Ishq kisi manzil mein aa kar, itna bhi befikr na ho
ab bistar par letunga main, lettay hi so jaaunga

Kitnay Aish uraatay hongay,kitnay itraatay hongay

Kitnay Aish uraatay hongay,kitnay itraatay hongay
jaane kaise Log woh hongay jo uskko bhaate hongay


Uski Yaad ki Baad-e-Saba mein aur to kya hota hoga
yunhi mere Baal hain bikhre,aur bikhar jaate hongay

Woh jo na aane wala hai na,us se humko matlab tha
aane walon se kya Matlab?Aate hain Aate hongay

Mera Saans ukhaRte hi sab Bain karengay, royenge
yaani mere baad bhi,yaani saans liye jaate hongay

Yaaro kuch to Haal sunao uski Qayamat bahon ka
woh jo simattay hongay un mein,woh to mar jaate hongay

Bethay hein sunehri kashti mein aur samney neela pani hai

Bethay hein sunehri kashti mein aur samney neela pani hai
Wo hansti ankhein pocchti hein kitna gehra pani hai

Be-Taab hawa key jhonkon ki faryaad suney tu kaun suney
Mojon pe tarpti kashti hey aur goonga behra paani hai

Basti key gharon ko kaya dekhay Bunyaad ki hurmat kaya jaaney
Selaab ka shikwa kaun karay ,Selaab tu andda Pani hai  

Yeh Raaz samaj mein kaab aata,Ankhon ki nami samja hon
Iss Gard-o-Ghubar ki dunia mein her cheez se sacha Pani hai

kabhi jab muddaton ke baad us ka saaamna hoga

kabhi jab muddaton ke baad us ka saaamna hoga
 sivaaye paas-e-aadaab-e-takalluf aur kya hoga?

 hamaare shauq ke aasuuda-o-Khush_haal hone tak
tumhaare aariz-o-gesu ka sauda ho chuka hoga!

 hansi aati hai mujh ko mashalit ke in taqaazon par,
k ab ik ajnabi ban kar use pehchaan_na hoga!

 dalilon se dava ka kaam lena sakht mushkil hai,
 magar is gham ki Khaatir yeh hunar bhi sikhna hoga!

 hai nisf-e-shab, voh dewaana abhi tak ghar nahi aaya,
 kisi se chaandni raaton ka qissah Chir gaya hoga!!!!

Fariha Nigarina tum ney mujh ko likha hai

Fariha Nigarina
tum ney mujh ko likha hai
Mere khat jala dijiye
Mujh ko fikr rehti hai
aap inhain ganwa dijiye
Aap ka koi saathi dekh ley to kiya hoga?
dekhiye mein kehti hun Yeh bohat bura hoga
Mein bhi kuch kahun tum se
Fariha Nigarina
Ay Ba'nazuki meena
itr bey naseena
rashk'e sar be seena
Mein tumharay har khat ko LOH'E DIl samajhta hun
LOH'e Dil Jala dun kia?
Jo bhi satr hai in ki
Kehkasha' hai rishton ki
Kehkasha'n luta dun kia?
Hai sawaad'e beenai inka jo bhi nukta hai
Mein usay gunwa dun kia?
jo bhi harf hai inka
naqsh'e jaa'n hai jaanana
naqsh'e jaa'n mita dun kia??
LOh'e dil jala dun kia?
kahkasha'n luta dun kia?
 Naqsh'e jaa'n mita dun kia??
Mujh ko likh k khat janum
apnay dehaan mein shayd
khuwaab khuwaab jazbon k
khuwaab khuwaab lamhon mein
younhi bey khayalana jurm kar gai ho tum
aur khayal aany par US Se dar gai ho tum
JURM k tassawur mein gar yeh KHAT likhay TUM NEY
phir to meri raaiy mein JURM hi kiye tum ney
jurm! kiun kiye jayein?
jurm! kiun kiye jayein?
khat hi kiun likhey jayein...!

tishna kaami ki saza do to maza aa jaye

tishna.kaami ki saza do to maza aa jaye
 tum hamain zehar pila do to maza aa jaye

 meer.e.mehfil bane bethe hain bare naaz se hum
 humain mehfil se utha do to maza aa jaye

 tum ne ehsaan kia tha jo hamin chaaha tha
 ab wo ehsaan jata do to maza aa jaye

apne yousuf ko zulekha ki tarah tum bhi kabhi
 kuch haseenon se mila do to maza aa jaye

 chain parta hee nahi hai tumhain ab mere beghair
 ab jo tum mujh ko ganwa do to maza aa jaye

hum to jaisey yahaan key they hi nahi

hum to jaisey yahaan key they hi nahi
 dhoop they sayaban key they hi nahi

raastey karavan key sath rahey
 marhaley karavan key they hi nahi

ab hamara makaan kis kaa hai
 hum to apaney makaan key they hi nahi

in ko aandhi main hi bikharna tha
 baal-o-par yahan key they hi nahi

us gali ney yeh sun ke saber kiya
 janey waley yahan key they hi nahi

ho teri Khak-e-astan pey salaam
 ham terey astan key they hi nahi

har baar tum say mil kay bicharta raha hoon mein

har baar mairay samnay aati rahi hoo tum
har baar tum say mil kay bicharta raha hoon mein
tum koun ho yeah khud bhi nahi janti ho tum
mein koun hoon yeah khud bhi nahi janta hoon mein
tum mujh ko jaan kar hee parhi hoo azaab mein
 aur iss tarhaan khud apni saza ban gaya hoon mein
tum jis zameen par hoo mein uss ka khuda nahi
puss sar basar azeeyat o azaar hee rahoo
bay'zaar ho ga'e ho bohat zindagi say tum
jab bus mein kuch nahi hai tu bayzaar hee rahoo
tum ko yahaan ka saya o par'to say kaya gharz
 tum apnay huq mein beech ke divaar hee rahoo
mein ibtada e ishq say bay mehar hee raha
tum intaha e ishq ka mayaar hee rahoo
tum khoon thookti ho, yeah sun kar khushi hoi
 iss rung iss ada mein bhi pur'kar he rahoo
mein nay yeh kab kaha tha mohabbat mein hai nijaat
mein nay yeah kab kaha tha wafadar he rahoo
apni mata'e naaz luta kar mairay liyeah
 bazar e iltafaat mein nadaar he rahoo
jab mein tumhain nishaat e mohabbat na day saka
gham mein kabhi sakoon e rafaqt na day saka
jab mairay sab chiragh e tamana howa kay hain
jab mairay saray khawb kissi bay'wafa kay hain
phir mujh ko chanay ka tumhain kooye haq nahi
tunha karhanay ka tumhain koyee haq nahi

chahta hoon keh bhool jaoon tumhain

chahta hoon keh bhool jaoon tumhain
aur yeah sab dareecha haa'e khayal
jo tumhari hee simat khultay hain
band kar doon kuch iss tarhan keh yahaan
 yaad ke ik kiran bhi aa na sakay
chahta hoon keh bhool jaoon tumhain
aur khud bhi na yaad aoon tumhain
jaisay tum sirf aik kahaani theen
jaisay mein sirf aik afsaana tha

khayaal o khawb ko aab mil nahi rahi hai aman

khayaal o khawb ko aab mil nahi rahi hai aman
naa ab woh masti e dil hai na ab woh nasha e jaan
 na toot jaye kaheen silsala tamana ka
jo dard o dil ka tha rishta ussay bahaal karoo
nahi hai gardish e saghir tu gardish e khoon hai
so apni gardish e khoon say hee kuch sawal karoo
zara tu silsala e rung ka khayaal karoo
 zawaal e haal kay din hain koye kamaal karoo
hay fasal e yaas tu khud ko koye faraib he dain
koye umeed dilaoo keh arzoo tu rahay
nazar uthay na uthay dil he kuch thehar jaye
qadam uthain na uthain koye justajo tu rahay
 ho charah e gham e jaan kaya yeah guftago tu rahay
keh dil kay haal ko pur majra tu rakhna hai
khayal e naz o lehaaz e ada tu rakhna hai
na pee'jiyeah may e hasar babang e ching magar
kissi ke chasham say kuch silsala tu rakhna hai
jo dil ka khoon howa hai ussay bhula dian kaya
hisaab e baish o kam e koon baha tu rakhna hai
shab e daraz e judai hai arzo ke hareef
so zakham e shouq ko jalta howa tu rukhna hai
na toot jaye kaheen silsala tamana ka

baras guzaray tumhain soye howay

baras guzaray tumhain soye howay
uth jao, sunti ho, aab uth jaoo
mein aya hoon
mein andazay say samjha hoon
yahaan soye hoi hoo tum
yahaan, roo' e zameen kay iss muqaam e asmaani tar ke hud mein
baad haa 'e tund nay
mairay liyeah bus ik andaza he chora hai

boo'e khush ho, damak rahi hoo tum

boo'e khush ho, damak rahi hoo tum
rung hoo aur mehak rahi ho tum
boo'e khush! khud ko ro'baro tu karo
 rung! tum mujh say guftagoo tu karo
waqat hai lamha lamha mehjoori
chahay tum mairi hum'nasheen bhi ho
hai tumharee mehak mein huzan e khayal
 jaisay tum ho aur nahi bhi hoo
mairay seenay mein chubh raha hai wajood
aur dil mein sawal saa kuch hai
waqat mujh ko na cheen lay mujh say
 sar'khushi mein malaal sa kuch hai
mairi jaan! aik dosray kay liyeah
janay hum na'guzeer hain keh nahi
tum jo ho tum ho, mein jo hoon mein hoon
dil howa hai sakoon pazeer kaheen

mujh say pehlay kay din

mujh say pehlay kay din
aab bohat yaad aanay lagay hain tumhain
khawb o tabeer kay gum'shuda silsalay
baar baar ab satanay lagay hain tumhain
dukh jo pohanchay thai tum say kissi ko kabhi
 dair tuk ab jaganay lagay hain tumhain
aab bohat yaad anay lagay hain tumhain
apnay woh ehad o paymaan jo mujh say na thai
kaya tumhain mujh say aab kuch bhi kehna nahi ?

dhund chaye hoi hai jheeloon par

dhund chaye hoi hai jheeloon par
urr rahay hain parinday teeloon par
sab ka rukh hai nashaimanoon ke taraf
 basityoon ke taraf, banoon kee taraf
apnay gul'loon ko lay kar charwahay
sarhadi bastiyoon mein jaa pohanchay
dil e nakaam ! mein kahaan jaoon ?
ajnabi shaam ! mein kahaan jaoon ?

Tum jab aoo gi tu khooya howa paoo gi mujhay

Tum jab aoo gi tu khooya howa paoo gi mujhay
mairi tunhai mein khawboon kay siwa kuch bhi nahi
mairay kamray ko sajanay ke tamana hai tumhain
 mairay kamray mein kitaaboon kay siwa kuch bhi nahi
in kitaboon naay bara zulam kiya hai mujh par
in mein ik rum'z hai jis rum'z ka mara howa zehan
mus'rada ishrat e anjaam nahi paa sakta
zindagi mein kabhi araam nahi paa sakta..

tum nay dill ki baat keh di aaj ye acha howa

tum nay dill ki baat keh di, aaj ye acha howa
hum tumhain apna samjhtey they bara dhoka howa

jab bhi hum nay kuch kaha, us ka asar ulta howa
aap shaid bhooltey hain, bar-ha aisa howa

aur hum karte bhi kya tark-e talouq k siwa
hum ko khud hairat hay, ye baithey bithaay kya howa

ab bhi baaqi hay tumharey dill main thora sa kholoos
is sey pehley bhi humain aksar yehi dhoka howa

aap ki aankhoo.n main ye anso kahan sey aa gai
hum tu dewaane hain lakin aap ko ye kya howa

is shikr-runji sey kya hasil howa, khud socheye
aap bhi ruswa howe, na-cheez bhi ruswa howa

ab kisi sey kya kahain Iqbaal apni dastaa.n
bas Khuda ka shukr hay jo kuch howa acha howa

Aansuo'n Se Meri Khoob Nibhne Lagi Hai

Aansuo'n Se Meri
Khoob Nibhne Lagi Hai
Hansi Bhi Labo'n Pe
Sisakne Lagi Hai
Khuaab Nagar Ki
Khushrang Titli
Kabhi Roothne
 aur
Mann'ay Lagi Hai
Khiza'n Rang Mosam Ki
Murjhaai Konpal
Khayalo'n Mei'n Aa Ke
Jhulasne Lagi Hai
Dil-e-Khush Gumaa'n Ki
H?ya Daar Dharkan
Tham Tham Ke Dekho
Chalne Lagi Hai
Aansuo'n Se Meri Khoob Nibhne Lagi Hai...

Woh jo ek rishta tere naam ka tha

Woh jo ek rishta tere naam ka tha
sach toh yeh hai ke bade kaam ka tha

Jo tere krab mein guzra aye dost
Wahi lamha bade aaraam ka tha

Roshni ke liye ghar jalte teh
Khoob manzar woh bhari shaam ka tha

Paon teh dafan zameen mein leikin
Sir mein sauda hos e Khaam ka tha

 Maan li haar ham ne warna
Faasla zahmat e ek gaam ka tha

Kehte hain sab 'Ali' ahmed jis ko
Ek shair koi be naam ka tha

Ek Khidki gali ki khuli raat bhar

Ek Khidki gali ki khuli raat bhar
Muntazir jane kis ki rahi raat bhar

Hum jalate rahe apne dil ke diye
Terji qatal hoti rahi raat bhar


Meri Ankhon ko karke ata ratjage
Meri tanhayi soti rahi raat bhar


Ek khusboo daraazon se chanti hui
Dastakein jaise deti rahi raat bhar


Dil ke andar koi jaise chalta raha
Chaap khadmon ki aati rahi raat bhar


 Ek tahreer jo is ke haathon ki thi
Baat who mujh se karti rahi raat bhar


Ek surat Ali thi jo jaane ghazal
Mere shairon mein dhalti rahi raat bhar

Aman ki baat mein takraar bhi ho sakti hai

Aman ki baat mein takraar bhi ho sakti hai
Shaaq zaitoon ki talwaar bhi ho sakti hai

Jis ke saaye mein aman dhond rahi hai duniya
Koi ghirti hui deewar bhi ho sakti hai

Yeh alag baat ke lab si liye mein ne warna
Khamooshi yeh meri lalkaar bhi ho sakti hai

Ho raha hai sare bazaar yeh jis ka neelaam
Mere aslaaf ki dastaar bhi ho sakti hai

Oonchi dewaarein agar is ki giraadi jaayein
Toh haveli yeh hawadaar bhi ho sakti hai

Yeh nai nasal bhatki hai jo taareeki mein
Kya viraasat ki yeh haqdaar bhi ho sakti hai

Meri haq goi ka unwaan khata hai to Ali
Yeh qata mujh se kai baar bhi ho sakti hai.

Ager Tum Zindagi Main Aik Baar Mery Ho Jaty

Ager Tum Zindagi Main Aik Baar Mery Ho Jaty
To Main Kitabon Se Lafz-e-Bewafai Mita Deta

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi
kyon varna intazar bhi hai iztirar bhi

dhyan a gaya hai marg-e-dil-e-namurad ka
milane ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi

ab dhundhane chale ho musafar ko dosto
hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi

har astan pe nasiyafarsa hain aj vo
jo kal na kar sake the tera intazar bhi

ik rah ruk gai to thithak kyon gai 'Ada'
abad bastiyan hain paharon ke par bhe

na gubar main na gulab main mujhe dekhana

na gubar main na gulab main mujhe dekhana
mere dard ki ab-o-tab main mujhe dekhana

kisi waqt sham malal main mujhe sochana
kabhi apane dil ki kitab main mujhe dekhana

kisi dhun main tum bhi jo bastiyon ko tyag do
isi rah-e-KhanaKharab main mujhe dekhana

kisi rat mah-o-najuum se mujhe puchhana
kabhi apani chashm purab main mujhe dekhana

isi dil se ho kar guzar gaye kai karavan
ki hijraton ke zab main mujhe dekhana

main na mil sakun bhi to kya hua ke fasana hun
nai dastan naye bab main mujhe dekhana

mere Khar Khar saval main mujhe Dhundna
mere git main mere Khvab main mujhe dekhana

mere ansuon ne bujhai thi meri tashnagi
isi bargzida sahab main mujhe dekhanaa

wohe ik lamha deed tha ke ruka raha
mere roz-o-shab ke hisab main mujhe dekhana

jo tarap tujhe kisi aine main na mil sake
to phir aine ke javab main mujhe dekhana

ye fakhar to hasil hai k bury hain k bhaly hain

ye fakhar to hasil hai k bury hain k bhaly hain
do char qadam ham bhi tere sath chaly hain

jalna to chiraghoon ka muqad'dar hy azal sey
ye dill k kanwal hain k bujhy hain na jaly hain

they kitny sitary k sar e shaam hi dobey
hangam e seher kitny hikhurdheed dhaly hain

jo jheyl gay hans k kari dhoop k tewar
taroon ki khunk chaaon main wo log jaly hain

 aik shama bujhai to kai or jala lin
ham gardidsh e doran sey bari chaal chalay hain

Qafilay rait hoey dasht-e-junoon mein kitnay

Qafilay rait hoey dasht-e-junoon mein kitnay
Phir bhi awara Mizajoun ka safar jaari hai.

mujhe ye sikwa k tu rohbaro kyu nahi

mujhe ye sikwa k tu rohbaro kyu nahi 
usay ye maan k mujhe dhoond k mill

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaiya Karta Tha

Woh Pyar Ka Saboot Dikhaiya Karta Tha,
Aansu Baha Kar Humein Manaya Karta Tha.

Yeh Zindagi Sirf Tum Se Wabasta Hai,
Aksar Yeh Baat Humein Bataya Karta Tha.

Uski Baatoon Mein Kuch Aisa Asar Tha,
Mein Barish Ke Binna Hi Bheeg Jaaya Karta Tha.

Sone Ki Fursat Kisse Thi,
Woh Humhe Saari Raat Jagaiya Karta Tha.

Beechaini Jab Hadd Se Zaida Badh Jaati Thi,
Woh Jee Bhar Ke Gale Lagaiya Karta Tha.

Woh Itni Mohabbat Karne Wala Badal Gaiya,
Joh Har Baat Main Meri Kasamein Khaya Karta Tha...

Raazdan Tujh Ko Banaya Tha Bari Chahat K Saath

Raazdan Tujh Ko Banaya Tha Bari Chahat K Saath
 Aab Kis Ko Muntakhib Karon, Teri Shikayaat K Liye

Agar Yaadain Rait Hoteen Tou Kya Khob Hota

Agar Yaadain Rait Hoteen Tou Kya Khob Hota Mohsin
Mutthi Se Nikal Jateen,Main Pairon Se Uraa Deta

ek pal ho ga faqat deed ka, jiss ki khatir

ek pal ho ga faqat deed ka, jiss ki khatir
main ne sadion ko teri rah-e-guzar par rakha

ye alag baat ke afshaa na hua tu werna

ye alag baat ke afshaa na hua tu werna
main ne kitna tujhe mahsoos kiya tere baad

Mujh se mat keh tu humein Kheta tha apni zindagi

Mujh se mat keh tu humein Kheta tha apni zindagi 
zindagi se bhi mera ji in dinno udaas hai

Na Fana Meri Na Baqa Meri Mujhy Ay Shakeel, Na Dhoondiye

Na Fana Meri Na Baqa Meri Mujhy Ay Shakeel, Na Dhoondiye
Main Kissi Ka Husn-e-Khayal Hon Mera Kuch Wajood-e-Adam Nahi

Yaad phir aaya woh guzra hua saawan mujh ko

Yaad phir aaya woh guzra hua saawan mujh ko
phir meri aaNkh ne rone ka bahaana chaaha

Nazro'n main Apni Gunah Gaar Na Hota Kiun-kar

Nazro'n main Apni Gunah Gaar Na Hota Kiun-kar
Dil he Dushman hay Mukhalif kay Gawahoo'n ke Tarah.

aiteraaf apni khataaon ka mein kerta hi chalon

aiteraaf apni khataaon ka mein kerta hi chalon
janay kis kis ko milay meri saza meray baad

Aik Aisee Bhe Ghari Ishq Main Aai The Kah Hum

Aik Aisee Bhe Ghari Ishq Main Aai The Kah Hum
Khak Ko Hath Lagaty To Sitara Karty

Na-Jaany kon Sa Aansoo kisi Say kia Kah Day

Na-Jaany kon Sa Aansoo kisi Say kia Kah Day
Hum Isi Khiyal Say Nazar Jhukaye Baithy Hain

main ye kehta hun her rukh se basar ki zindagi

main ye kehta hun her rukh se basar ki zindagi
zindagi kehti hai, "her pehlu adhoora reh gaya

Popular Posts