kabhi jab muddaton ke baad us ka saaamna hoga
sivaaye paas-e-aadaab-e-takalluf aur kya hoga?
hamaare shauq ke aasuuda-o-Khush_haal hone tak
tumhaare aariz-o-gesu ka sauda ho chuka hoga!
hansi aati hai mujh ko mashalit ke in taqaazon par,
k ab ik ajnabi ban kar use pehchaan_na hoga!
dalilon se dava ka kaam lena sakht mushkil hai,
magar is gham ki Khaatir yeh hunar bhi sikhna hoga!
hai nisf-e-shab, voh dewaana abhi tak ghar nahi aaya,
kisi se chaandni raaton ka qissah Chir gaya hoga!!!!

No comments:
Post a Comment