Thursday, May 20, 2010

Jab Meri Raah Teri Raah Se Milti Hi Nahi


Jab Meri Raah Teri Raah Se Milti Hi Nahi, 
Phir Mere Sath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai, 
Apni MasooM TaMannaon Ko Rehbar Na Banao, 
Khwaab Phir Khwaab Hai Labon Ki Haqeeqat Kya Hai, 
Ye Nahi Raah Tujhe Raas Na Aayegi,

Maine Maana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar, 
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi, 
Apni MehrooMi-E-KisMat Se Pareshan Hoon Main,
Bebasi Ashq-E-NidaMat Ke Siwa Kya Degi, 
Waqt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi...

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai, 
Kabhi Nazrein Milati Hai Kabhi Nazrein Churati Hai, 
Kabhi Deewana Karti Hai Kabhi Pagal, 
Kabhi Naagin Se Lat Se Khelti Hai Darati Hai, 
Kabhi MasooM Sa Chehra Bana Kar SeheM Jaati Hai, 
Kabhi Aanchal SaMetti Hai Kabhi Khud SiMat Jaati Hai, 
Kabhi Chalte Hi Chalte Thoda Sa Ruk Jaati Hai, 
Kabhi Aabroo Churati Hai Kabhi Palkein Jhukati Hai, 
Kabhi MasooM Sa Chehra Bana Kar SeheM Jaati Hai, 
Kabhi KhaMosh Se KhaMosh Chup Si Rehti Hai, 
Kabhi Chalti Hai Latak Matak Ke Chalti Hai, 
Kabhi Paayal Ki ChaM ChaM Se Neendon Ko Udati Hai, 
Kabhi Chhoti Se Chhoti Baat Pe Rooth Jaati Hai, 
Kabhi Dosti Banti Hai To Saare Dukh Bantti Hai, 
Kabhi Hijr Mein Akela Sa Tanha Sa Chhod Jaati Hai, 
Kabhi Gairon Se Hans Hans Kar Baatein Karti Hai, 
Kabhi Begana Karti Hai Kabhi Apna Banati Hai, 
Isiliye Areeb Itna Mujhko Bhaati Hai, 
Apni Chizon Pe Mera NaaM Likhe Jaati Hai, 
Aankhon Hi Aankhon Mein Dilko Har Baar Kehti Hai, 
Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai...

Waqt Aaj Ye Kis MuqaaM Par Le Aaya Hai

Waqt Aaj Ye Kis MuqaaM Par Le Aaya Hai, 
Mujhe Apno Ne Hi Kyon Begana Banaya Hai, 

Dikhta Nahi Hai Yahan Ab Apna Sa Kyon Koi, 
Ek Sannata Sa Rishton Ke DarMiyaan Aaya Hai, 

Dikhta Hai GaM Hi GaM Charon Taraf, 
MasooM Sa Mera Dil Apne ZakhMon Ko Dikhane Se Ghabraya Hai, 

Saath Chal Ke Char KadaM Chhod Diya Apno Ne, 
Mere Apno Ko Shayad Gairon Ne Behkaya Hai, 

Dard Aaj Phir Chhalak Pada Hai Aankhon Se PaiMane Ki Tarah, 
Aaj Phir Ye Dil Ko Kaunsa Haadsaa Yaad Aaya Hai, 

SaMne The HuM Ke Bhool Chuke Hai Sab Kuch, 
Par Aaj Bhi Kyon Unke NaaMko Apne Dilki Dhadkano Mein Paya Hai...

Gar mujhe iska yaqeeN ho mairay hum dum mairay dost


Gar mujhe iska yaqeeN ho mairay hum dum mairay dost
Roaz o shab shaam o saher
Main tujhay behlata rahooN
Main tujhay geet sunata rahooN
Halkay shereeN
voh absharooN kay
baharooN kay
chaman nazarooN kay geet
Amad e subh kay
Mehtaab kay
SaiyarooN kay geet
Tujh say main husn o muhabat ki
Hikayaat kahooN

Kaisay maghroor haseenaooN kay barfaab say chais
Gar muhabat ki hararat say pighal jatay hain
Kaisay ik chehray ki tehray hoay manoos naqoosh
Daikhtay daikhtay yaklakht badal jatay hain
Kis tarhaaN aariz^e^mehboob ka shafaf baylaur
yek bayak baada^e^ahmer say dehek jata hay
Kaisay gulcheeN kay liyay jhukti hay khud shaak^e^gulab
Kis tarhaaN raat ka eayvaan mehek jata hai

Yunhi gata rahooN gata rahooN tairee khatir
Geet bunta rahooN baitha rahooN tairee khatir
Par mairay, geet tairay, dukh ka mudava hi naheeN
Naghma jarra naheeN, munh main sau gham kha sahi
Geet nashtar to naheeN marham^e^aaza sahi
Tayray aazaar ka
Tayray aazaar ka
chara naheeN
nashtar kay siva
Aur yeh safak maseeha
mayray qabzay main naheeN
Is jahaN kay kisi zeerooh kay qabzay maiN naheeN
HaaN magar tayray siva
Tayray siva
Tayray siva…

Youn hi hansi hansi main hum

Youn hi hansi hansi main hum 
Dillo'n se khel jaatay hain 
Koi choti si teekhee baat 
Koi chubhta hua jumla 
Koi zehar aalood lehja 
Koi bezarar si zomaani baat 
Sunney walay kay dil par ghao laga jati hai 
Phir kitni hi talaafi kay marham lagao 
Woh aansoo'n jo aankh se girta hi nahi 
Andar hi andar jam jaata hai 
Baraf par giray, Mosam kay qatray ki tarah 
Aur woh baraf toh shayad waqt ki garmi se, pighal jaati hai 
Magar woh qatra jab pighalnay lagta hai, phail jaata hai 
Barh jaata hai, bas khatam nahi hota 
Aur yuon hi hansi hansi main hum 
Dillo'n se khel jaatay hain-

cheer ke dekh le is dil mein bachaa kuch bhi nahi

cheer ke dekh le is dil mein bachaa kuch bhi nahi
is ghar mein teri yaadon ke sivaa kuch bhi nahi

kahaan ka ishq,wafa,pyaar, mohabbat kaisi ?
aaj kal soney ke sikkoN se badaa kuch bhi nahi

apne haathon ki lakeeroN se khafa hyun, lekin
mere mehboob mujhe tujhse gilaa kuch bhi nahi

humne haste hue jaan de di tere qadmon mein
tu kyon rota hai ke tera to gayaa kuch bhi nahi

Ek zamana tha ke palkon pe khwaab rehte the
ab to aankhon mein aansuyon ke sivaa kuch bhi nahi

duaa kiije , ke karishma hi koi ho jaaye
iss duinya mai mohabbat ki davaa kuch bhi nahi

sar-e-mehfil faqat nazren milaayi thi tumse
ghabraaye kisliye ? humne to kaha kuch bhi nahi

yaaro main mita hun apni marzi se,
unhey tum kuch na kaho unki khataa kuch bhi nahi

Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha 
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha

Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha 

Jane kyun qatratay hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha 

Pani mangte magte meray honth pathar ho gaye
Woh shaks mashkiza liye khara dekhta raha 

Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue
Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha 

Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha 

Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN
Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha

Kabhi Naraz mat hona

Kabhi Naraz mat hona!

Gilay chahay bohat karna,
Rulana aur bohat larna
Suno Naraz mat hona!

Kabhi aisa jo ho jaye,
k teri yaad sey ghafil,
kisi lamhe jo ho jaon!
bina dekhe teri surat,
kisi shab main jo so jaon!
to sapnon main chalay aana,
mujhe ehsaas dila jana!
Suno Naraz mat hona!

kabhi aisa jo ho jaye,
jinhe kehna zarori ho!
wo mujh sey lafz kho jaen,
Anna ko beech mat lana!
meri awaz ban jana!

Kabhi Naraz mat hona!

Tamaam umr azaabon ka silsilaa tou raha

Tamaam umr azaabon ka silsilaa tou raha 
Ye kam nahin hamain jeene ka hausala tou raha 

Guzar hi aaye kisi tarah tere deevaane 
Qadam qaadam pe koi sakht marhala tou raha 

Chalo na ishq hi jeetaa na aql haar saki 
Tamaam waqt maze ka muqaabla tou raha 

Main teri zaat mein gum ho saka na tuu mujh mein 
Bahut qareeb the ham phir bhi faasala tou raha 

Yeh aur baat k har ched laubali thi 
Teri nazar ka dilon se mua'mala tou raha 

Bahut haseen sahi wazae-ehatiyaat teri faysal
Meri havas ko tere pyaar se gila tou raha

Falsafa-e-ishq main pesh aaya sawalon ki tarah

Falsafa-e-ishq main pesh aaya sawalon ki tarah,
Hum pareshan hi rahay apne khayalon ki tarah...

Sheesha'gar bethay rahay zikar-e-maseeha lay kar,
Aur hum toot gaye kaanch k pyaloon ki tarah...

Jab bhi anjaam-e-muhabbat nay pukara khud ko,
Waqt nay paish kiya hum ko misaloon ki tarah...

Zikar jab hoga Muhabbat main tabahi ka kaheen,
Yaad hum aaen gay dunya ko hawaloon ki tarah...!

Be-His Hain Yahan Log Bhala Soch Ke Karna

Be-His Hain Yahan Log Bhala Soch Ke Karna
Is Dor Main Logon Se Wafa Soch Ke Karna

Ik Baar Jo Roothy Hum To Mana Tum Na Sako Ge
Hum Jaise Wafadaar Ko Khafa Soch Ke Karna.

Gul Shakh Se Bichrey To Kahin Ka Nahi Rehta
Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna

Aaj Rootha huwa ek shaks boht yaad aaya

Aaj Rootha huwa ek shaks boht yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt boht yaad aaya

Meri aankho ke har ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee to bht yaad aaya

Jo mere dard ko seene mein chupa laita tha
Aaj jab dard huwa mujh ko bht yaad aaya

Jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha
Aaj kajal jo lagaya to bht yaad aaya

Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi
Aaj jab dil nay bulaya to bht yaad aaya

Mere jeevan ki her khushi mein wohi tha bus
Aaj jab yaad woh aaya to bht yaad aaya

Popular Posts