Youn hi hansi hansi main hum
Dillo'n se khel jaatay hain
Koi choti si teekhee baat
Koi chubhta hua jumla
Koi zehar aalood lehja
Koi bezarar si zomaani baat
Sunney walay kay dil par ghao laga jati hai
Phir kitni hi talaafi kay marham lagao
Woh aansoo'n jo aankh se girta hi nahi
Andar hi andar jam jaata hai
Baraf par giray, Mosam kay qatray ki tarah
Aur woh baraf toh shayad waqt ki garmi se, pighal jaati hai
Magar woh qatra jab pighalnay lagta hai, phail jaata hai
Barh jaata hai, bas khatam nahi hota
Aur yuon hi hansi hansi main hum
Dillo'n se khel jaatay hain-
No comments:
Post a Comment