Monday, August 9, 2010

Mere Bistar Se Uttar Dukh Mere



Mere Bistar Se Uttar Dukh Mere…….
Mein Ek Umarr Issi bistarr Per……..
Apni Neendon Se Kinara Kar Kay……..
Teri Neendon Ki Hifazat Kee Hai……

Aaj Ajab Shikasta Hein Aa`saab Mere……..
Neend Bhi Zid pe Uttar Aayi Hai…………
Mein Jo Her Raat Tere Pehlu Mein
Ek Karwat Pe Parra Rehta Hun………
Aaj Aasooda Badan Soanay De……….

Aaj Kee Raat Faqat Aaj Ki Raat……..
Aaj Aasooda Badan Soanay De

Kissa kisi tareh bhi mukammel na ho saka




Kissa kisi tareh bhi mukammel na ho saka,
Dil ro raha tha ankhon mai jal thal na ho saka.

Too jaraha tha aur mujhe kuch bhi na hua,
Mai tere gum-kade main bhi paagel na ho saka.

Veeraniyan na jayengi gher ki tere bagair,
Jangel bagair kais ke jungel na ho saka.

Ye gum to kabra main bhi mere saath jayga,
Main uski aankh ka kaajel na ho saka.

55 bares ki umra to hone ko aagayi,
lekin wo chehra aankhon se ojhel na ho saka.

Main mushkilon main reh ke bhi saabit kadam raha,
Wo boriya hoon jo kabhi makhmal na ho saka.

jo jeene aur hone ke beech ka farq nahi samajhtaa

Prashant Vasl 


jo jeene aur hone ke beech ka farq nahi samajhtaa
Vo mujhe nahi samajhtaa
Kyunki mere liye sirf jeena
SaansoN ke aane Jaane ko kehte hain
Aur ye to COMA ke Mareez mein bhi hota hai
Jo jeete huye bhi nahi jeeta
Hote huye bhi nahi hota

Hona waqt ki sakht zameen per
jeete ji, apne wajood ke nishaan chodnaa hai
Hona samay ki tez lehroN ko
Thoda sa hi sahi
kisi sarthak disha mein modna hai
aik aesi disha mein, Jiske ksheetij per
tumhaara Naam jadaa ho
Chota sa hi sahi

Main hona chahta hoon, us samay bhi
jab mujh mein saansoN ka ye silsila toot jaaye
main hona chahta hoon, us seema ke baad bhi
Jahaan mera shareer peeche choot jaaye............

abhi kuch kaam karney hain


Abhi rona hai
zabt-e-ghum ka darya paar karna hai
abi to zehn ko
teri judaee k liye tayyar karna hai
abhi to akhri lamho'n mein tum ko pyar karna hai
abhi to qarya qarya
hum ko tere pyar mein badnaam hona hai
abhi yeh kaam hona hai
lab-e-sahil kharey ho kar
zuban-e-khamshi mein janey kitni bate'n karni hain
tumhare naam sari rate'n karni hai
wo jitney din mere jeewan k baqi hain
tumharey naam karney hain
abhi kuch kaam karney hain
abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke'n ge
abhi to you'n bhi hona hai
k teri jheel si ankho'n mein
mujh ko doob jana hai
abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko
ankho'n mein basana hai
abhi to hijr k samjhotey teh honey hain
hatho'n mein tumhara haath thamey
haa'n kisi weera'n sarak pe
chandni raato'n mein kitni door jana hai
abhi to mann mein ik ehsas jagey ga
kisi k paas aney ka
kisi k door janey ka
abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai
abhi to you'n bhi hona hai
tere daman pe girney se zara pehley
tere ashko'n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai
tumhe'n ik akhri khat bhi to dena hai
abhi to husn ko palko'n ki dori mein pirona hai
abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain
abhi ruk jao
na jao
abhi kuch kaam karney hain

Jab log jazbon ki tauqeer nahi karte


Jab log jazbon ki tauqeer nahi karte
Hum koi bhi dukh apna tehreer nahi karte

Dil cheer deta hai ye lehjey ka rookha pan
Karti hai jo zubaan wo teer nahi karte

Mausam jab bhi uksaaye chale aana
Hum raat ko darwazey zanjeer nahi karte

Likhte hain wohi jo har ek pe guzarti hai
Pariyon ki kahani hum tehreer nahi karte

Chalne kaa hauslaa nahin ruknaa muhaal kar diyaa


Chalne kaa hauslaa nahin ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa

milte hue dilon ke biich aur thaa faislaa koi
usne magar bichharte vaqt aur savaal kar diyaa

ae merii gul-zamiiN tujhe chaah thii ek kitaab kii
ahl-e-kitaab ne magar kyaa tera haal kar diyaa

ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir
baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal kar diyaa

mumkinaa faislon men ek hijr kaa faislaa bhii tha
ham ne to ek baat ki usne kamaal kar diyaa

mere laboN main muhr thi par mere shisha-ruu ne to
shaher ke shaher ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa

chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko khwaab-o-khyaal kar diyaa

muddaton baad usne aaj mujhse koi gilaa kiyaa
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa

Dekho to ye umeedon ka diya jalta hey kahaan tak



Dekho to ye umeedon ka diya jalta hey kahaan tak
Aankhon mein ye ik khwaab naya palta hey kahan tak

Na'jaaney kis gumaan ke behlaawey mein uljhaa kar
Wo saath to chala aaya hey par chalta hey kahaan tak

Hey naaz bohut zabt pe magar dekhna hey mujh ko
Ye haalaat main jalta hey to pighalta hey kahaan tak

Log taak main beth'tey hain ke deikho to is ka kirdaar
Majbooriyon ke saanchey main dhalta hey kahaan tak

Merey tajas'sus-bharey gumaan ko ab ye fikr lagi hey
Ke rangon main waqt apney tujhey rangta hey kahaan tak

Imtehaan teri wafaaoN ka abhi aaya hi nahi hey
Dekhain ge tu badalta hey to badalta hey kahaan tak

Tujhe naaz hay kay mein haseen hun meray gulistan ko zawal kia



Tujhe naaz hay kay mein haseen hun meray gulistan ko zawal kia,
mujeh fakhar hay kay mein ishq hun jo jalaa na doon to kamal kia,


mujhe zindagi ki dua na day mujeh zindagi ki talab nahi,
meri maut ko jo taal day is zindagi ki majaal kia,


hamain manzilon ki khabar nahi hamain rahguzar ki talash hay,
is rahguzar per nikal paray to urooj kia or zawal kia,


teray pyar mein shikway gilay teri in adaon pay mar chalay,
jo hayat thi tujhe waar di, ab jawab kia or sawal kia,

Haakim-e-shehar bata ! Waqt kay shikanjon nay



Haakim-e-shehar bata !
Waqt kay shikanjon nay
Khuwahishon kay phulon ko
Noch noch torra hai
Kya yeh zulm thora hai?

Dard ki jazeeron nay
Aarzoo ke jeewan ko
Maqbaron main dala hai
Zulmaton ke dairay hain
Log sab lutairay hain

Maut rooth baithi hai
Zaat raiza raiza hai
Zindagi tere hathon
Paaimaal hai janaan
Ik sawaaal hai janaaan!

Kaisay maan loon jeewan?
Saans hi nahin koi
Karb karb lamhay yeh
Baar baar dastay hain
Log hum pe hanstay hain

Taar taar Aanchal hai
Dard dard jeewan hai
Shabnami si palkain hain
Qurb hai na doori hai
Zindagi adhooori hai

Ab yaqeeen aaya hai
Maut bhi zaroori hai...!

Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya


Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya
jane wala jaldi mai tha mil k jana bhool gaya

Waqt-e-rukhsat meri Ankhein ponch raha tha hathon se
Usko gham tha itna ziada khud wo rona bhool gaya

Waqt k behtay dharey mai ye kaise gaflat maine ki
Main bhi kehna bhool gaya,wo bhi rukna bhool gaya...

Ajnabi Hai To Mere Zehan Mein Rehta Kyun Hai?


Ajnabi Hai To Mere Zehan Mein Rehta Kyun Hai?
Woh Jo Pathar Hai To Sheeshoon ka Maseeha Kyun Hai?

Woh Hawa Hai To Guzzar Jaye Hawaoon Ki Tarah
Woh Samandar Hai To Behta Rahay... Thehra Kyun hai?

Mere Aangan Mein Nahi Koi Umeedon Ka Ghulab
Phir Yeh Mosam Mere Aangan Mein Uttarta Kyun Hai?

Jiss Kay Chehray Pe Sabhi Jhot Kee Tehreer`en Hein
Dil Ussi Shaks Kay Waadon Se Behalta Kyun Hai?

Yeh Mera Dil Yeh Masoom Sa, Anjaan Sa Dil
Phir Na Janay Uss Kay Naam Pe Dharakta Kyu Hai?

Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha



Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha
Mein Aap, Woh, Janab Se Aagay Nahi Barha

Muddat Hui Kitab-e-Mohabbat Shurru Kiye
Lekin Mein Pehle Baab Se Aagay Nahi Barha

Lambi Musawatein hein Magar Iss Sawar Ka
Paaon Abhi Raqaab Se Aagay Nahi Barha

Tool-e-Kalam Kay Liye Mein Ne Kiye Sawal
Woh Mukhtassar Jawab Se Aagay nahi Barha

Rukhsaar Ka Pata Nahi Aankhen To Khob hein
Darshan Abhi Naqaab Se Agay Nahi Barha

Woh Lazat-e-Gunnah Se Mehroom Hee Raha
Jo Khuwahish-e-Sawab Se Aagay Nahi Barha

Koi Phool do Koi Khawab do mein bahut dino se Udaas Hon



Koi Phool do Koi Khawab do mein bahut dino se Udaas Hon
Meri Zeest ko Aab -O- Taab do mein bahut dino se Udaas Hon

Ke Ye Intizar ke Sare Pal Hein Azab -e-Jan bany Howy
Mere Khat Ka kuch tu Jawab do mein bahut dino se Udaas Hon

Jisay Parh Ke Dil ko khusi Milay Mere Sare Jazbay Mehak Ut'hein
Mu'jhy Aisi Koi kitaab do mein bahut dino se Udaas Hon

Osi Ishq Se Osi Chah se Osi Pyar se Osi Maan se
Mere Haath mein ek Gulab do mein bahut dino se Udaas Hon....

jo rothy usay mana lena



jo rothy usay mana lena
jo bigray usay bana lena
sab kuch dy kar
sab kuch paa lena
yeh jo hasti ka afsana hai
jab ISHQ kiya tou jana hai

tum dor raho ya paas raho
hum chahty hain khush bash raho
youn ban kar hamarai aas raho
kiyn kho kar hi kuch pana hai
jab ISHQ kiya tou jana hai

yeh IHQ hamari masti bhi
yeh ISHQ hamari majbori
yeh ISHQ hamari manzil bhi
kiyn suli pe charh jana hai
jab ISHQ kiya tou jana hai ...

Kitna bebas mere muqaddar ka sitara nazar aya



Kitna bebas mere muqaddar ka sitara nazar aya,
Siwaye apne gher k roshan sara jahaan nazar aya

Mai wo bekasi ka sawaal hun k aansu bhi na baha saka khud per,
jab lut gaya aashiyana mera tab sara jahaan nazar aya

Mera luta hai aashiyana basne se pehle Yaaro,
kaise keh dun sare mehfil us waqt kya kya nazar aya

Bhale hi cheen lo binai meri ,
bina binaayi k bhi unka chehra nazar aya

Ye unka husn-e-khayaal hai ya kamaal hai mere zabt ka,
mai luta luta sa tha mager sab ko basa basa nazer aya

Kisi ne mujhe se tanhai me sawaal pocha tha,
zubaan se siskiyaan aur aankhon me lahoo nazer aya

Apni daastaane gham kya bayaan kerta Hussaini,
wo bikher chuka hai is khader k zarra zarra nazar aya

dil hi thay hum dukhay huay tum ne dukha lia to kia



dil hi thay hum dukhay huay tum ne dukha lia to kia
tum bhi to be aman huay humko s ata lia to kia

apke ghar mein hur taraf manzar e mah o aftab
aik charagh e shaam agar mein ne jala lia to kia

bagh ka bagh apki dastaras e hawas mein hai
aik ghareeb ne agar phool utha lia to kia

lutf ye hai ke admi aam karay bahar ko
mouj e hawa e rang mein ap naha lia to kia

ab kahain bolta nahi ghaib jo kholta nahi
aisa agar koi khuda tum ne bana lia to kia

jo hai Khuda ka admi uski hai saltanat alag
zulm ne zulm se agar hath mila lia to kia

ajki hai jo kerbala kal pe hai uska faisala
aj hi apne agar jashn mana lia to kia

loog dukhay huay tamam rang bujhay huay tamam
aisay mein ahl e shaam ne shehar saja lia to kia

perhta nahi hai ab koi sunta nahi hai ab koi
harf jaga lia to kia shair suna lia to kia

Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney



Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney
Phir Bhi Khush Reh Kar Khood Ko Saza De Main Ney

Khushi Tu Na Mumkin Se Hai Mere Zindage Main
Phir Bhi Zindage Main Khusion Ko Panah De Main Ney

Dukh Sehney Ke Adat Se Par Gaye Hai Mujh Ko
Is Dukh Sey Jaisey Dosti Kar Le Hai Main Ney

Merey Dukhon Ko Aaj Tak Samjh Na Saka Koi
Phir Bhi Kise Sey Umeed Lagaye Hai Main Ney

Us Ney Merey Dukhon Ko Ek Bahana Samjha
Phir Bhi Us Ke Berukhi Ko Apna Liya Main Ney

Apney Ansu Or Gham Ley Kar Kahan Jaon Main ?
Jis Key Sath Yeh Sab Banta Tha Usey Hi Koh Diya Main Ney.

Aye bewafa zindagi kyon mujhse daga karti ho


Aye bewafa zindagi kyon mujhse daga karti ho
jo bhee bana apna, usey paraaya karti ho

chaha jo muskurana toh aankhe bhigoti ho
ab yahan koi nahi, kyon intezaar karavati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho..........

kaun hai yahan jo suljhaaye uljhi zulfein
kyon toote dilon ko yuin jalaati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho.........

gar game dard ka hee samundar ho to
kyon chahat ka meetha dard jagaati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho.......... .

shaam dhale jo paagal dil sona chahe
kyon mujhe rulaane chali aati ho

zindagi kyon mujhse daga karti ho......

dastaras mein nahi khalaat tujhe kia maloom


dastaras mein nahi khalaat tujhe kia maloom
ab zaroori hai mulaqaat tujhe kia maloom

raat ke pechley pehar need sheekan tanhai
kaise kerti hai sawalaat tujhe kia maloom

tu ba-zid hai ke sir-e-aam parastish hoo teri
main hoon paaband - e - rawayaat tujhe kia maloom

jashan sawan ka yun bhar char ke mananey wale
zulm kia dhaati hai barsaat tujhe kia maloom

shaana waqt pe ab zulf pareshan ki tarhan
bikhari rehti hai meri zaat tujhe kia maloom

silsila war dehektay hain sehar hone tak
sir-e- masargaa'n marey jazbaat tujhe kia maloom

saada baatein thein khayyal us ki magar un mein kaien
chup thay rangeen khayyalaat tujhe kia maloom

Tujhe Izhar-e-Muhabbat se agar nafrat hai


Tujhe Izhar-e-Muhabbat se agar nafrat hai
tu ne honton ko larznay say to roka hota

be niazi se magar kanpti awaz ke saath
tu ne ghabra ke mera naam na poocha hota

tera ghamaz bana khud tera andaz-e-kalam
dil na sambhla tha to qadmon ko sambhala hota

yun to huin mujh se sirf aab-o-hawa ki batain
apne tootay huay fikron ko to parkha hota

tere bas main thi agar mashal-e-jazbat ki lau
tere rukhsar pe gulzar na badhka hota

apne badlay meri tasveer nazar aa jati
tu ne us waqt agar aaina daikha hota

poochta kaun hai seepi main chupe moti ko
jo tere dil main tha honton pe bhi aaya hota

Teri Chahat Main Hum es Tarhan Tarap Rahai Hain



Teri Chahat Main Hum es Tarhan Tarap Rahai Hain
Khoon Ban K Ansoon Mosalsal Barass Rahai Hain



Mohabbat Ban karnay Walon Ka Yon Uraoo Na Mazak
Piyar K Roog Laga Kar Abb daman Jhatak Rahai Hain


Wo Lamha Judaiee ka kasi Azziyat Dey Gaya Mujhko
Zakham Hai Gahra Jab, Hi Tou Sisak Rahai Hain


Kia bigara Tha Jo Yon Roswwa Kia Zamaney Main
Mari wafaoon Ka Kia Khoob sila Dey Rahai Hain



Mout se Pahlay Koiee Jata nahi Duniya Se dost
Zinda tou Hian Lakin Mar Mar K Gee Rahai Hian

Zindagi k is lamhay Main bethi sooch rahe hoon



Zindagi k is lamhay
Main bethi sooch rahe hoon
ke mujhe tum se kitni Mohabat hai,
shayad iska andaza kerna,
Namumkin hai meray liye,
Mohabat ki koi inteeha nahei hoti,
isay bayaaN kerne ki koi zabaaN nahei hoti,
sirf itna jan lo JanaaN,
jitay taray asmaaN main hain,
jitnay phool zameeN per hain,
meray dil ke nihaaN khanoon main,
itnay hi Deep jalay hain,
Jo Tumharay naam ke hain,
Suno Humsafar!
Zindagi ke kisi lamhay main,
mujh se juda tum maat hona,
Lamha_e _Qayamat hoga wo meray leye,
KE TUMBIN ZINDAGI SE MAUT ACHI HAI..........

Tum apni ankhon ki kaali shaam merey naam kardo


Tum apni ankhon ki kaali shaam merey naam kardo
Phir chahey jo ilzam merey naam kardo


Ik umer se tumhari chahat basi hai rooh mein
Tum bhee apni har tumanna mujhey daan kardo


Mein khuley Asmaan taley khara hoon
Tum apni mohabbat ki rida mujh par dhaal kardo


Mohabbat to hai iqrar ki mohtaaj
Tum apna har lafz har sher merey naam kardo

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho



Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey Ho

Mastaana Hawa Kay Jhonkoun Se Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko PakaDney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna




Aankhoun Mein Dhonya Sa Chaa Jaana Saasoun Mein Sitarey Se Khilna
Rastey Mein Tumhara MurD MurD Kar Takna Woh Mujhe Jaatey Jaatey


Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareeb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey



Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Paatey Hi Kuch Sharmaana, Kuch Bal Khaana


Humsayoun Kay Darr Se Katraana, Ghar Waloun Kay Darr Se Ghabrana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon


Halaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon


Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey Ho

Qalam Ki Nook Per Ab Tak Lahoo Key Qatrey Hain


Qalam Ki Nook Per Ab Tak Lahoo Key Qatrey Hain.....

Khabar Key Hath Per Likha Huwa Hay Sabar Abhi.......

Samay Ki Aankh May Ab Tak Safar Ki Uljhan Hay.......

Bikharta Hoon May Kabhi Aur Kabhi Saanwarta Hoon....

Na Tootta Hoon Mukammal Na Pura Jourta Hoon.......

Main Darmiyain Say Aagay Jo Baar Nahi Paya........

Yea Mera Doosh Nahi Raastoon Ki Saazish Hay.......

Kisi Bhi Semt Chaley Ab Huwa Yea Sabit Hay.......

Abhi Dukhoon Ko Meri Zindagi Ki Haajat Hay........

Kabhi zamaane ki Baton ka humper Asar Ho jaaye


Kabhi zamaane ki Baton ka humper Asar Ho jaaye
Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar Ho jaaye
Haan kuch logon ne jo shraab ko zahar ka naam Diya
Wo jo saath Dein to ik pyaala zahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi Basar ho jaaye

Zindgi kaatne ke hum Ne Bhaane Dhoondhe
Kangaal Basti Main hum Ne khzaane Dhoondhe
Thak ker Howa Main choor sahar ho jaaye
Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar Ho jaaye


Pyaas jis ki thee wo kabhee Bhee paas na aaya
Zindgi ko Mera salaam raas na aaya
Cum se Cum Mujh ko zindgi ki Qadar Ho jaaye
Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar ho jaaye

Ho chuka intizaar ab lamhaat ka khatam


Ho chuka intizaar ab lamhaat ka khatam
Ab sirf hum hein ya phir tum

Zara Aankhein "mor" kar poocho Apne dil se
Kay tum mein nahein hein kiya hum?

Woh khawab nahein haqeqat thi
Kabhi chor kar aap ko gaye he nahein hum

Maan lo kay hum woh phool hein
Murja kar bhi kushyaan bakheirty hein hum

Koi tasleem karey ya na karey
Tumein chahein ghein apna bana kar sada hum

Haan waqia hi!ab aik hi rasta hai
Kay mil jaye hum aap say hum

Jeena mushkil hai bagheir aap kay fani dunya mein
Kay pal bar bhi guzartey nahein tumarey bina hum

dil ki pehli arzoo ki shama ko bujha kar



dil ki pehli arzoo ki shama ko bujha kar
hum ne tujhe apnaya hai khud ko gunwa kar,

jin aankhoon ka noor tha jin nazroon ka maan tha
aaya hoon unhi nazroon se main khud ko gira kar,

main kar raha tha us se tere husan ki batain
chup chap sun raha tha wo nazrain jhuka kar,

khamoosh main hua to herat hoi mujhe
wo de raha tha tujh ko duaa hath utha kar,

khayega na ab wo mere naam ki kasmain
roota hua gaya hai meri kasam wo kha kar ,

mana k shaz us main buhat hosla sahi
zinda na reh shayad tera pyar gunwa kar

Payar Ka pehla Khat Likhnay Main Waqat To Lagta Hey



Payar Ka pehla Khat Likhnay Main Waqat To Lagta Hey
Naye Parindon Ko Uddnay Main Waqat To Lagta Hey


Gaanth Agar Lagg Jaye To Phir Rishtay Hon Ya Dorri
Laakh Karrain Koshish Khulnay Main Waqat To Lagta Hey

Jism Ki baat Nahi Thi Unn K Dill Tak Jaana Tha
Lambi Doori Tay Karnay Main Waqat To Lagta Hey

Hum Ne Elaaj-e-Zakhmay Dill To Dhoondh Liya Lakin
Gehtay ZAkhmon Ko Bharnay Main Waqat To Lagta Hey

tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boj utardo



tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil say boj utardo
main bohat dino say udas hon mujhey koi sham udhar do

mujhey apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khad-o-khal
mujhey apnay rang main rang do meray saray rang utar do

kisi or ko meary haal say na garz hai na koi wasta
main bikhar gaya hon samait lo bigar gaya hon sanwar do

meri wehshaton ko barhadiya hai judayun k aazab nay
meray dil pay haath rakho zara meri darhkanon ko qarar do

tumhain subh kaisi lagi kaho meri khawishon k dayar ki
jo bhali lagi to yahin raho issay chahaton say nikhar do

wahan ghar main kon hai montazir k ho fikr dair sawair ki
bari mukhtasir yeh raat hai issay chandni main guzar do

koi baat kerni hai chand say kisi shakhsar ki oot main
mujhey rastay main yahin kahin kisi kunj-e-gul main utar do

Meray naseeb main likha nahi gia tujh ko


Meray naseeb main likha nahi gia tujh ko
Magar main chahti hoon had say bhi ziada tujh ko

Tera hi aks numayan hai meri ankhoon main
Kareeb a k dikhaoon main aaina tujh ko

Mujhay tu teri khushi zindagi say barh kar hai
Khafa hua hai mujh hi say ye kia hua tujh ko

Mujhay tu jagna har shab teray khayaloon main
Jo so bhi jaon tu khwaboon main dekhna tujh ko

Tu chand ban k meray ghar main chandni karta
Magar ruttoon ki ghata nay chupa liya tujh ko

Main janti hoon k tu baywafa nahi hai magar
Kabhi mili hi nahi mohlat-e-wafa tujh ko

Kabhi parhay ga agar tu,too mil hi jaiy ga
Meri ghazal main kahin mera madda tujh ko

Loog jab sang uthanay lagtay hain


Loog jab sang uthanay lagtay hain
yaad mujh ko woo anay lagtay hain

ik shikasta see arzoo lay kay
zkham dil koo jalanay lagtay hain

taiz hota hay dhoop kaa sooraj
jab musafir thikanay lagtay hain

aaj phir karr loo tum bhana koi
mujh koo bhanay aachay lagtay hain

ik tamasha hay baikhudi apni
hum sabhoon koo deewanay lagtay hain

poochta hoon joo koi baat unn say
woo nazar koo jhukanay lagay hain

Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan


Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan
Mizaaj apna badalta hai woh hawa ki tarhan



Woh apne aap sey begaana kar gaya humko
Ek ajnabi jo mila khaas aashna ki tarhan



Qadam Qadam pey bhatakna qabool hai mujh ko
Agar tu saath rahey merey rehnuma ki tarhan



Hum us ki yaad ko Dil sey lagakey jee leyngey
Bhula sakey to bhuladey woh bewafa ki tarhan

Dil pey lagey ghaav zara gehray hi hotey hain


Dil pey lagey ghaav zara gehray hi hotey hain
meri takleef per ansoo na bahaya karey koi

yeh dunya merey nazdik maktal se nahi ziada
mujhey zindagi key kissey na sunaya karey koi

main jo bhi kehta hoon faqat sach hi kehta hoon
burey anjaam se mujh ko na daraya karey koi

zakhmoon ki tasheer se dard kam nahi hota
her shaks ko apney zakham na dikhaya karey koi

agar haan kahoon to haan agar naa kahoon to naa
har baat main ek hi baat na dohraya karey koi

har hath mujh ko lahoo rang nazar aata hai
merey liye apna hath na barhaya karey koi

merey shab-o-rooz ki tafseel jis key pass hoti hai
usey merey shehar ka aalam to na sunaya karey koi....

Bholana Apne Bas Ho Tu Tum Ko Bholaonga


Bholana Apne Bas Ho Tu Tum Ko Bholaonga
Apne Dil Ke beqarariyaan Kabhi Tum Ko Sunaoonga

Tere Kehne Pe Ya Assol Apna Liya Dost
Takleef Bhi Pohanchay Gar Tu Muskuraoonga

Dil Ke Baat Har Baar Dil Mein Reh Jati Hai
Haal-e-Dil Kis Tarhan Tujh Ko Sunaoonga

Tarpaya Hai Jis Tarhan Tuney Mujhey
Kabhi Aye Ga waqt Mein Tujh Ko Tarpaoonga

Khawab Reh Jayngay, Shayed Ratjagah Rah Jayega



Khawab Reh Jayngay, Shayed Ratjagah Rah Jayega
Woh Ager Bichra, To Mery Pass Kya Reh Jayega

Khatum Ho Jayegi, Uskay Baad Meri Zindagi
Sirf Mar Janay Ka Marhala Reh Jayega

Chand Chup Jayega Aakhir Badlon Kay Darmyan
Raat Dhaal Jayegi, Koi Jagta Reh Jayega

Aik Khushbu Sihan Main Urti Phiray Gi 4 Su
Aik Ansooo Gaal Per Behta Hua Reh Jayega

Tu Guzar Jayega Mamoolan Gali say Ajj Bhi
Teri Khushbu Se Rasta Mehekta Reh Jayega

Asmano Se Palat Ayegi Meri Her Dua
Aur Younhi Phaila Hua Dast-e-Dua Reh Jayega

Rah Main Bikhray Huay Pattay Utha Ker Daikhna
In Kitaboon Main Hamara Tazkara Reh Jayega
..

Phiroon Main Tery Lye Dar-Ba-Dar, Naseeb Mera


Phiroon Main Tery Lye Dar-Ba-Dar, Naseeb Mera
Mery Khuda Nay Banaya Safar Naseeb Mera...

Mera Wajood Hay Pani Main Chand Ki Surat
Samandaron Nay Banaya Bhanwar, Naseeb Mera

Bas Aik Lamhay Ko Palkain Jhapak Gayn Meri
Woh Mujh Ko Mil To Gaya Tha Magar, Naseeb Mera

Yeh Dukh Lye Nahi Main Nay, Dye Gaye Mujhko
Yeh Faslay, Yeh Thakan, Yeh Dagar, Naseeb Mera

Main Dairay Ka Safar Bandh Longi Pairon Main
Hamesha Sath Rahayga Ager Naseeb Mera...

Bachpan k dukh kitne ache hua kerte thy


Bachpan k dukh kitne ache hua kerte thy
Tab tu sirf khilone toota kerte thy,

Wo khushiyan bhi kiya khushiyan thi,
Titli ko paker k uchla kerte thy,

Chote thy tu faraib bhi chote hua krte thy,
Dana dal ker chirion ko pkra kerte thy,

Apni jan jane ka ehsas tak na hota tha,
Jlte huey sholon ko chera kerte thy,

Ab tu ek aansoo bhi ruswa ker jata hai,
Bachpan mein ji bhar k roya krte thy.

suna hai keh tum pardais ja rahey ho



suna hai keh tum pardais ja rahey ho.

duniya kay rangon say anjan ho

sab jan jao gay

suno!! har dais kay chand ko qareeb say tukna!

sab titliyun kay rangon ko choo choo layna,

taron kee chamak Aankhon mein basaa layna.

kalyun kee khushbo say sanso ko mehka layna,

sab baharein, sab sitaray ,

sari khushoyan, saray nazaray

chun chun kay lay Aana.

haan magar ek baat dhiyan mein rakhna!

keh peechay des mein bhee ek sitara hey.

jo sirf tumharay nam say chamakta hey.

ek titli see larki hey

jo sirf tumharay ehsass say hee rangeen hey

ek kali sa wajoood hey

jo sirf tumhari hee khushbo mein lipta hey.

yeh soach layna keh woh tumhari muntazir hey

ussi kee khatir wapis Loat kar Aaanay kay liyay JAANA!

Apni apni tanhai ki dewaar may chunay hoye


Apni apni tanhai ki dewaar may chunay hoye
Apni apni badnaseebi kay haathon luty hoye
Hum
Kon kon say zhkmon per phaye rhky
Ab tu parinday paal lanay say bhi tanhai
Nahi katti
na abaadat say naseeb badlty hain
rookhi sookhi kha ker late janay say
ab neend nahi atti
Ablay giinnay bhty tu ginty hi rahay
Dhuk chunny bhet jaye tu chunty hi rahay
Rasty musafir nahi hotye
Na hi musafir rastay honay cahhiye
Waqt,Halaat,Naseeb
Jis ka jab ji chahe chalta phiry
Rondtta phirey....!

Ki Wafaaon ki Umeed Be_Wafaaon Se


Ki Wafaaon ki Umeed Be_Wafaaon Se
Thi Paani se Ladaai..Sharaar Mera Dil

Ab Husn_o_Ishq ki Baaten Na Kijiye
Mohabbat se Hai Sharamsaar Mera Dil

Ispe Phool Ke Jagah Aansoo Charrhaiye
Hai Haseen Khwaabon ka Mazaar Mera Dil

Dhadkan Ruk Jaati Hai Tere Naam se
Choo ke Dekhiye tu Aik Baar Mera Dil

Jalao Na Us Ko Abhi Mere Dosto
Kisi Ka Kar Raha Hai Intezaar Mera Dil  

Kabhi izhar lafzoon ka bhi acha nahin lagta


Kabhi izhar lafzoon ka bhi acha nahin lagta
kabhi iqrar jazbon ka bhi acha nahin lagta


Kabhi laraztay hont bhi kai raz khol daitay hain
kabhi dil ki darhkan main tera hi nam bajta hai


Kabhi kisi takleef main bhi hum khushian manatay hain
kabhi jo yad ayay tau khushiyoon main bhi ansoo bahatay hain


Kabhi pahroon tumhain soch kar muskaratay hain kabhi
samnay anay par hum chahra chupatay hain


Kabhi dil yeh chahta hai kay tum door na jao
magar jab pas atay ho to hum door jatay hain


Kabhi zara si bat par hum tum say rooth jatay hain
kabhi dil ki khwahish par hum tum ko manatay hain


Dunya kay har mozoo par tum say bat rahti hai magar
kabhi ankhoon main daikho to hum palkain jhukatay hain

dil mai koi aa basa acha laga


dil mai koi aa basa acha laga
phool sehra mai khila acha laga

har ada us shookh ki hai dilfareb
kiya bataeN hum ko kiya acha laga

jub se dekhi hai kisi ki ek jhalak
phir na koi doosra acha laga

saath rehta hai tasawwor mai koi
hai ajab yeh raabta acha laga

beth kar tanha kisi ko soochna
khoob hai yeh mashkhala acha laga

Har shab sochte hein tujhe aur teri la-hasil mohabbat ke khuwab


Har shab sochte hein tujhe aur teri la-hasil mohabbat ke khuwab
Kabhi yun he to kabhi be-dard teri nazar se toot jaate hein mere khuwab

Aaine mein nazar takraati hai, paagal dharkan rukhti hai
Din sabhi guzar jaate hein lekin raat guzarne nahi dete zaalim tere khuwab

Saara bharam tootne lage to seene mein balaa ka toofan uthe ga
Jalaa denge dil hum apna aur sambhaal rakhenge chand naazuk khuwab

Humsafar jo raahon ke ho jao to rooh tak sar-shaar ho jaate
Haye! Kahaan sach hote hai magar khuwabon ki dhund mein lipte khuwab

Phir raat mehek uthegi, phir taaron se chaand ki mehfil sajegi
Phir mere dil ko naye zakhm dene aajaayenge tere wehshi khuwab.

Popular Posts