dastaras mein nahi khalaat tujhe kia maloom
ab zaroori hai mulaqaat tujhe kia maloom
raat ke pechley pehar need sheekan tanhai
kaise kerti hai sawalaat tujhe kia maloom
tu ba-zid hai ke sir-e-aam parastish hoo teri
main hoon paaband - e - rawayaat tujhe kia maloom
jashan sawan ka yun bhar char ke mananey wale
zulm kia dhaati hai barsaat tujhe kia maloom
shaana waqt pe ab zulf pareshan ki tarhan
bikhari rehti hai meri zaat tujhe kia maloom
silsila war dehektay hain sehar hone tak
sir-e- masargaa'n marey jazbaat tujhe kia maloom
saada baatein thein khayyal us ki magar un mein kaien
chup thay rangeen khayyalaat tujhe kia maloom
No comments:
Post a Comment