Chalne kaa hauslaa nahin ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa
milte hue dilon ke biich aur thaa faislaa koi
usne magar bichharte vaqt aur savaal kar diyaa
ae merii gul-zamiiN tujhe chaah thii ek kitaab kii
ahl-e-kitaab ne magar kyaa tera haal kar diyaa
ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir
baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal kar diyaa
mumkinaa faislon men ek hijr kaa faislaa bhii tha
ham ne to ek baat ki usne kamaal kar diyaa
mere laboN main muhr thi par mere shisha-ruu ne to
shaher ke shaher ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa
chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko khwaab-o-khyaal kar diyaa
muddaton baad usne aaj mujhse koi gilaa kiyaa
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa
No comments:
Post a Comment