Monday, August 9, 2010

Haakim-e-shehar bata ! Waqt kay shikanjon nay



Haakim-e-shehar bata !
Waqt kay shikanjon nay
Khuwahishon kay phulon ko
Noch noch torra hai
Kya yeh zulm thora hai?

Dard ki jazeeron nay
Aarzoo ke jeewan ko
Maqbaron main dala hai
Zulmaton ke dairay hain
Log sab lutairay hain

Maut rooth baithi hai
Zaat raiza raiza hai
Zindagi tere hathon
Paaimaal hai janaan
Ik sawaaal hai janaaan!

Kaisay maan loon jeewan?
Saans hi nahin koi
Karb karb lamhay yeh
Baar baar dastay hain
Log hum pe hanstay hain

Taar taar Aanchal hai
Dard dard jeewan hai
Shabnami si palkain hain
Qurb hai na doori hai
Zindagi adhooori hai

Ab yaqeeen aaya hai
Maut bhi zaroori hai...!

No comments:

Popular Posts