Thursday, May 6, 2010

Mohabat ke sumandar mein uterney say zara pehlay

Mohabat
Mohabat ke sumandar mein
uterney say zara pehlay
Tumhain yeh soochna ho ga
Mohabat aik sehra hai
Jahan paoon bhranay say
Kadam chup-chap jultay hain
Mohabat aisi duniya hai
K is mein jis taraf ja'ain
Koi rusta nahin milta
Mohabat aag jaisi hai
Yeh seenon mein soolagti hai
Mohabat anso'on jaisi
Yeh palkoo pay chumakti hai
Mohabat dhoop jaisi hai
Kahin saya nahin milta
Mohabat barishoon jaisi
Mohabat key fizaoon mein
Hamisha dard milta hai
Mohabat k jazeeray per
Judaee bain karte hai
Mohabat ik diya sa hai
Jo jalta hai hawaoon mein
Mohabat hai saza jaisi
Mohabat hai khizan jaisi
Mohabat phool jaisi hai
Juda hoo shakh say jub yeh
bikhartee toot jati hai
Mohabat k sumandar mein
otarney say zara pehlay
Tumhain yeh soochna hoo ga
Tumhain yeh soochna hoo ga

Apne hothon par sajana chahta hoon

Apne hothon par sajana chahta hoon
Aa tujhe main gungunana chahta hoon

Koi aansoo tere daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main karte karte yaad tujko,
Ab tujhe main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !


Aakhri hichki tere zaano pe aye,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apne hothon par sajana chahta hoon,
Aa tujhe main gungunana chahta hoon !

Woh Mujh Se Yeh Nahin Kehta

Woh Mujh Se Yeh Nahin Kehta
Use Mujh Se Mohabbat Hai
Mager woh Aaj Kal Aik Janoon ki Zid Main Rehta Hai
Ajab Aik Bekhudi Hai, jo Use Bechain Rakhti Hai
Woh Mujh Se Baat Karta Hai....
Bohat Hi Aam Si, Mosam Ki, Logon Ki
Mehaz Duniya Ki Rasmi Si
Woh Mujh Se Baat Karne Ke Bahane Dhondta Hai Un Hawalon Se
Samjhta Hai Main Us Ki Aam Si Baaton Ko
Buss "Yonhi" Samjhti Hoon
Woh Milta Hai Mujhe Aksar Bahano Se
Ke Main Guzra Yahan Se, Socha Baat Hi Kar Loon
Samjhta Hai Main Us Ke In Bahano Ko Na Jaano Gi
Kabhi Jo Phone Karta Hai
To Uski Mohabbat Us Ke Lehje Se Jhalkti Hai
Mujhe Bechain Karti Hai
Woh Mera Dhiyan Rakhta Hai
Meri Har Baat Ko Hi Bin kahe Woh Jaan Leyta Hai
Samjhta Hai Woh Yeh Phir Bhi
Us Ne Khud Ko Chupa Rakha Hai Khud Hi Se
Mager Aksar
Woh Khud Anjane Main Apna Yeh Parda Chaak Karta Hai
Ke Jab Meri Bohat Pehle Kahi Hue
Har Baat Ko Woh Yaad Rakhta Hai
Aur Unhi Lafzoon Ko Mere Samne Dohra Bhi Deta Hai
Yon Lagta Hai Ke
Us Ne Meri Kahi Har Baat Ko Yaad Rakha Hai
Woh Mujh Se Yeh Nahin Kehta
Keh Us Ki Khawaish Usko Bohat Bechain Rakhti Hai
Ya Shayad In Dinon Woh Khud Se Bhi Chupta Hai
Magar
Uski Nighain Aksar Use Nakaam Kartin Hain
Keh Sare Jaam Ulfat Ke Woh Bhar Bhar Kar Lutati Hain
Woh Darta Hai K Kahin Kho Na De Mujh Ko
Keh Koi Baat Uski Mujh Ko Us Se Door Na Kar De
Woh Mujh Ko Sochta Hai
Jagta Hai Raat Bhar Woh Bhi
Mager Shayad Abhi Usko Mohabbat Main
Khamoshi Se Hi Jalna Hai
Keh Woh Jab Tak Parh Nahin Leta
Yeh Aankhein Jis Main K Uska Naam Likha Hai
Keh Mere Laho Ki Gardishon Main Raqs Karti Chahtein Uski
Woh Jab Tak Paa Nahin Leita
Samjh Nahin Leita, Jab Tuk
Keh Main Bhi Gamzan Hoon
Khamoshi Se Us K Raaste Par
Main Bhi Jagti Hoon...Sochti Hoon Raat Bhar Us Ko
Magar Us se Nahin Kehti.
"Mujhe Us Se Mohabbat Hai"

Aey Khudaya Sun Meri Faryaad

"~*~Aey Khudaya Sun Meri Faryaad~*~
~*~Tu Tou Kehta Hai K Mujhay Pukar~*~

~*~Main Tu Insaan K Ziada Kareeb Hoon~*~
~*~Tu..........Sun Mere Maalik~*~

~*~Meri Qismat Ki Siyaa Bakhtii Par~*~
~*~Tere Karam Ki Baarish Kab Hogi~*~

~*~Meri Tu Sirf Itni Faryaad Hai~*~
~*~K..........Aaj Ki Shab..........~*~

~*~Ya Meri Manzil Ka Pata Bata~*~
~*~Ya Phir Hamesha K Liay Faryaad Karne Wali~*~

~*~Zabaan Khamoosh Karde~*~
~*~Kion K..........~*~

~*~Ab Asi Hayat Ki Mujhay Aarzoo Nahin~*~
~*~Jis Main Mohabbat Meri Manzil Na Ho~*~

kabhi apnati hai kabhi thukrati hai

kabhi apnati hai kabhi thukrati hai
zindagi kaise rang dekh lati hai
chaar din ki zindagi hai doston
teen din tu sirf yeh rulati hai
jis ke zindagi main pyar na ho
phir tu woh moot si ho jati hai
zindagi ke haar moor paar humain
sirf tanahi aur bebasi nazar ati hai
hum tu ab ghumon ke adi hain
humse tu koshiyan bhi door bhag jati hai
hum kabhi bhi samjh na sake
yeh zindagi kia chahti hai

kaheen ik masoom nazuk si larki boht khoobsoorat

kaheen ik masoom nazuk si larki boht khoobsoorat mager sanwali si mujhay
apnay khusabon ki bahoon main pa ker kabhi neend main muskurati to ho gi
badan dheemay dheemay sulagta to ho ga saansain thapkiyan day k sulati to
hoon gi wo hi khuwab din ki mundhairon pr aker usay man hi man main lubhatay
to hoon gay wo besaakhta dheemay dheemay suron main meri yaad main kuch
gungunati to ho gi chalo khat likahin ji main ata to ho ga mager ungaliyan
kapkapati to hoon gi kalam haath say choot jata to ho ga umangain kalam phir
uthati to hoon gi mera naam apni kitabon per likh kr wo daanton main ungali
chabati to ho gi kaheen ik maasoom nazuk si larki bohat khoobsoorat mager
saanwali si

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay


Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

Jo AAta hay WOh Ja Taa Hay Ya Dunya Ani Jaa Ni Hay
Yahan Her Shey Musafir Hay Safer Main Zindaagane HAY
Ujaloon Ki Zaroorat Hay Andhera Meri Kismat Hay

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

Zara Aye Zindagee Dum Lay Tera Deedar Tu Ker Lon
Kabhee Dekha Nahin Jis ko Uska Deedaar Tu Ker Loon
Abhi Say Choor Ker Maat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hay

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

Koi Anjaan Sa Chehraa Obher Taa hay Fizaaon Main
Ya Kis Ki AAhatain Jageen Meri Khamoosh Rahon Main
Abhi Aye Mout Naa AAnaa Mera Thikaana janat Hay

Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hay
Mager Ay Zindagee Phir Bhi Mujha Tujh Say Mohabbat HAY

Khaamoshi... Mere haal ki khamoshi

Khaamoshi...
Mere haal ki khamoshi
Alfaaz ki yahan koi jagah nahi
Uljhi uljhi aur be'sukhan
Maflooj hua takhayul
Aur bazm-e-khayaal
Bilkul akeli
Aur saakin.

Khaamoshi...
Mere haal ki khamoshi
Jo taareekh me maratab ker paati
Phir se likhti apna istaqbaal
Sudhaar leti me apna dehakta salf
Aur mann-harran haal
Her yaad pe ek aansoo.. jub
Maa'ney rakhti hai.. na koi shay, na insaan.

Khaamoshi...
Mere haal ki khaamsohi
Kuch nahi naz-o-namood ke waastey
Na koi fail, na kirdaar
Be-langar.. behti hui
Reza reza huay khayaali paiker
Dhundla gay sub aks.. be'nuqta sub haal ke saath
Hai ye waqt-e-baazgasht ya hai waqt-e-maraj'aat?

Khaamsohi...
Mere haal ki khaamoshi
Rokay rakha in muzahmaton ne
Samjhoton-o-makaariyon ne
Khud'azeeyatain aur Khud'aazariyan
Un'kahe khayalaat..
Jokh-e-waadi-e-margazar me
Her dam rahe mere saath.

Khaamoshi...
Mere haal ki khaamoshi
Kyun de rahi hoon khud ko saza
Jub mera khayaal tera khayaal nahi
Aur mere khwaab tere khwaab nahi
Bhatakne do..
Inhein asoodgi me
Khaamoshi ki dehshat me.

Zindagi kia hai?....kis ne jana hai

Zindagi kia hai?....kis ne jana hai
sirf jeene ka aik bahana hai
ik tere samne faqat main hoon
per mere samne zamana hai
tum ko dekha hai pehli bar mager
yuoon lage silsla poorana hai
wo to batoon ma ker gia manoos
agnabi hai wo hum ne mana hai
dost acha na roothne pai
rooth jai to phir manana hai
aao kuch shairi hi kerte hain
aaj mosam bada suhana hai
mujh se jo ziada aashna tha mera
aaj wo shaks kouion begana hai
sirf itni si aarzo hai sahab
pyar dena hai pyar pana hai

Mundamil ho gay sub ghaao Koi daagh nahi hai baaqi

Mundamil ho gay sub ghaao
Koi daagh nahi hai baaqi
Reh gai mosam-e-khizaan ki
Faqat ek dhundli yaad.
Kia dukhta hai phir?
Kia rista hai phir?
Athaah baatni gehrai me
Ek pheeki Tees..
Jalti hui..
Sard aag.. badalti..
Raakh me.
Vo jo mudat hui
Sub marr chuka thaa
Ranjeeda hai ab..
Surat-e-khayaali
Jahan kabhi tha, ek
Dharakta hua dil!

Yeh jii Chahta hai Tumhein khat Likhon


Yeh jii Chahta hai Tumhein khat Likhon
Magar sochta hon kay khat Main Tumhain
Wafaa Aashna, be-Murrawat Likhon
Likhon kiya Agar main Tumhain khat Likhon...
Woh Waadey Likhon yah woh Qasmein Likhon
Woh Milnay Milaanay ki Rasmain Likhon
Un Aankhon kay Woh surkh Dooray Likhon
Larztay Labon kay Katoray Likhon
Tabassum kay Sholay Shararay Likhon
Shararat kay Rangeen ishaaray Likhon
Hoee Baat khaamoshyon Main Likhon
Katii Raat Sargoshyon Main Likhon
Fasaana Likhon yah Haqeeqat Likhon
Likhon kiya Agar Main Tumhain khat Likhon...
Nazar Rah Guzar Dar Dareechay Likhon
Haram Farsh Chilman Ghaleechay Likhon
Khalish karb Zakhm-e-Tammanna Likhon
Junon Bekhudi Jaam-o-Meena Likhon
Jafa Berukhi Bainiyaazi Likhon
Haqeeqi Muraadi Majaazi Likhon
Dil aaraa Dil Aazaar Dilbar Likhon
Sanam Sangpaara Sitamgar Likhon
Tumhaari Adaa Apni Wehshat Likhon
Likhon Kiya Agar Main Tumhain khat Likhon...
Mulaqaat ka Aakhri Pal Likhon
Main Daaman Likhon yah kay Aanchal Likhon
Glogeer Afsurdaa Gharyaan Likhon
Woh Namnaak Palkon ki Ladyaan Likhon
Kashakash Hawaadis Salasil Likhon
Hayaat-o-Ajal ka Main Haasil Likhon
Ghazal, Nazm, Qata, Rubaii Likhon
Hadees-e-Dam-e-Alwidaai Likhon
koi khat Likhon yah Wassiyat Likhon
khon kiya agar Main Tumhain khat Likhon.

chehra mera tha nigahin us ki

chehra mera tha nigahin us ki
khamshi main bhi woh baatain us ki

meray chahray pay ghazal likhti gain
shair kahti hoi aankahain us ki

aisay mausam bhi guzaray hum nay
subhain jub apni theen, shaamain us ki

faisla mauj-e-hawa nay likha
aandhian meri, baharain us ki

neend ye sauch kur tooti aksar
kis tarah kut-ti hain raatain us ki

door rah kur bhi sada rahti hain
mujh ko thamay huay bahain us ki

Gum Apni Mohabbat Mein Dono

Gum Apni Mohabbat Mein Dono
Nayab Ho Tum Nayab Hain Hum
Kiya Hum Ko Khuli Aankhein Dekhein
ik Khawab Ho Tum ik Khawab Hain Hum
Kiya Mehsher Khaiz Judai Hai
Kiya wasl Qayamat Ka Ho Ga
Jazbat Ka ik Sailab Ho Tum
Jazbat Ka ik Sailab Hain Hum
ik Haans Purani Yaadoon Ka
Betha Hua Kanker Chunta Hai
Tapti Hui Hijr Ki Ghariyoon Main
Sookha Hua ik Talab Hain Hum
ik Waqat-e-Talatum Khaiz Hain Hum
Gardish Main Tumhe Bhi liye Lein Gye
Is Waqt Na Tair Aay Kishti-e-Dil
Is Waqat To Khud Girdaab Hain Hum
Aay Chasham-e-Falak Aay Chasham-e-Zameen
Hum Loog tou Phir Aanay Kay Nahin
Do Chaar Gharee Ka Sapna Hain
Do Chaar Gharee Ka Khawab Hain Hum

Tum ko chahte huwe bhi bhool jana acha laga

Tum ko chahte huwe bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga....

Tum ajnabi the mere liye magar apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi,magar sadiyon se jaan kar acha laga

Khawabon mein yaadon mein tum the magar tum ko bhulana acha laga
Meri rooh ka ik hissa the magar khud se juda karna acha laga

Meri zindagi ka sarmaya the magar tum ko lutana acha laga
Meray armanon ka sawan the mager tum ko barsana acha laga

Meri khushiyon ka jahan the magar tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga

Sab khawashon ko mitana sirf tumhe pana acha laga
Logon ke kehne mein aana aur sab kuch bhulana bolo kisse acha laga

Yehi to rasm-e-duniya hai ise nibhana acha laga

Door jo aaj hai Yaad aate to hain

Door jo aaj hai
Yaad aate to hain
Khawab adhure sahi
Khawab sahare to hain
Aaj Bhi Meri
Rahein rokti hai
Yaadein teri
Daman Khenchti Hain
Bhool Chuke
Hain Jo Humein
Yaad Aate To Hai
Sadiyon Ke Fasle
Aaj Hai Darmiyan
Hojayein Magar
Jitni Bhi Dooriyan
Aap jahan bhi rahein
app Humare tou hain
Khawab Adhure Sahi
Khawab Sahare To Hain
Jane Phir Kab Mile Tere Mere Raste
Aas Toote Nahin
Yaad Itna rahe
Raat Dhalni to hai
Aaane ujale to hain

abhi kuch waqt baqi he kali ko phool ban'ne main

abhi kuch waqt baqi he
kali ko phool ban'ne main
or us ki shaakh per
kuch or nai konpal nikalne main
abhi main hun bohat chota
meri mama ye kehti thin
ke bachon ki dua ko tum
kabhi bhi rad nahin kerte
mere papa bhi kehte the
ke tujh se jo bhi kuch maango
tu deta he, tu data he
to ay pyaare se Allah jee
meri mama mere papa
ke jin ko kal bohat se log
tere paas chor aaye
to ab wo tere mehman hain
mere pyaare se Allah jee
tujhe maloom he sab kuch
ke kal ki raat jab
khaala ne mujh se ye kaha
ke ab mama mere papa
kabhi wapis na aain ge
to mujh ko kis qader takleef ponhchi thi
main saari raat roya tha
na saari raat soya tha
mere pyaare se Allah jee
zara mujh ko batana tu
meri mama mere papa
na jab tak raat ko
mujhe pyaar ker laite
na sukh ki neend sote the
to kia kal raat wo donon bhi
mere sath jaage the
mere pyaare se Allah jee
main un bin reh nahin sakta
abhi main hun bohat chota
main tujh tak aa nahin sakta
nahin maaloom he rasta
tu aisa ker
meri mama mere papa
ko lota de

Aaye ho to thoDa baitho, ek raaz ki baat batate haiN

Aaye ho to thoDa baitho, ek raaz ki baat batate haiN
tum samjho ya na samjho phir bhi tum ko samjhate haiN

Jee kar ke naam kamana to aksar logon ko ata hai
kuchh aise log bhi hote hain jo mar kar naam kamate haiN

Pahle to pyar ki baateiN wo sharma sharma batlate they
ab haale dil ka afsana batla kar ke sharmate haiN

Pahle wo Ghusse maiN aksar ruk ruk karke chal padte they
Ab mere khayaloN mein shayad chalte chalte ruk jate haiN

Maalum nahiN dil ki dharkan seeney mein hai ya mahfil meiN
lekin ham unke jaate hi beychain bohat ho jate haiN

Koi dhundo us shaair ko jisne chand achchhe sher likhe
likhte likhte Wasey aksar khud mein hi gum ho jate haiN

ye zard mosam key khushk pattey

Khushak Pattay


ye zard mosam key khushk pattey

hawa jinhain ley gai ura ker

agar kabhi in ko daikh paao

to soch laina

k in main her barg ki namo main

ziyaan gaya arq shaakh_e_gul ka

kabhi ye sarsabz konpalain they

kabhi ye shadaab bhi rahey they

khuley hoey hont ki trha narm or shugufta

boht dino tek

ye sabz pattey

hawa key raelon main bebasi sey tarap chukey hain

magar ye ab khushk ho rahey hain

magar ye ab khushk ho chukey hain

agar kabhi iss taraf sey guzro

to daikh laina

barahna shaakhain hawa key dil main gari hoi hain

ye ab tumhaarey liye

naheen hain.

Maine us se kuchh bhi kaha to nahi hai

Maine us se kuchh bhi kaha to nahi hai
Magar haal us se chhupa to nahi hai
Kyu aise chup hai wo judai ke waqt
Kahin pyar us ne bhi kiya to nahi hai.

Is se pehle ki wo dekhe meri aakh nam hai
Aur puchh baithe ki aisa kya gam hai
Main kar ke bahana khud pucch lu ye
Meri aakh me kuch gira to nahi hai

Kucch der aise hi khamosh hoke
Mujhe pyar karti hai bole wo ro ke
Ye soch muskurau ki kash aisa hota
Ye soch ro padu ki hua to nahi hai

Ab na shayad mulakat ho
Aur na kabhi koi baat ho
Mana zindgi se wo ja chuka hai
Magar mere dil se gaya to nahi hai
Wo pehle bhi dil me tha ,ab bhi yahin hai……………

Hawa Jab Teez Chalti Hai Tumhari Yaad Aati Hai

Hawa Jab Teez Chalti Hai
Tumhari Yaad Aati Hai
Jab Pattey Sar-Saratey Hain
Aur Ziker Tumhara Hota Hai

Kabhi Bholey Sey Shab Ko
Meray Dil Main A Ker Dekho
Hai Aik Mahfil Sajji Hoti
Aur Ziker Tumhara Hota Hai

Tumhin Kesay Bataoon Kitni Chahat
Main Nay Ki Hai Tum Sey
Kay Jab Bhi Aansoo Chhalaktey Hain
Aur Ziker Tumhara Hota Hai

Kabhi Chanda Ko Main Dekhon
Kabhi Tarey Main Gintta Hoon
Kabhi Chandni Muskurati Hai
Aur Ziker Tumhara Hota Hai

Zamana Hai Bohat Zalim
Kahin Yeh Chhen Na Lay Tum Ko
Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon
Aur Ziker Tumhara Hota Hai

Tumhara piyaar mere char soo abhi tak hai

Tumhara piyaar mere char soo
abhi tak hai
Koi Hisaar mere char soo
abhi tak hai
Bicharte Waqt jo tum sonp gaye the mujhe
Wo lntizaar mere char soo
abhi tak hai
Main bhi Girt howe paaniyon ki
zad mein hoo
Aik Abshaar mere chaar soo
abhi tak hai
Tu Khud hi door kho gaya hai magar
Teri pukaar mere chaar soo
abhi tak hai
Koi Gumaan mujhe door tum se
kaise karein
Ke Aitbaar mere chaar soo
abhi tak hai

Humari nazar bohat kuch keh deti hai

Humari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samjh kar to dekho 

Humse dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum se dil laga kar to dekho 

Har mushkil rah be asaan ho jaye gi bus
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho 

Hum tumhein zindagi mein har khushi den gye
Bus ik baar humse pyaar kar ke to dekho

Mere Jaan Mere Humdum Mere Aarzoo Tum Hi Ho

Mere Jaan Mere Humdum
Mere Aarzoo Tum Hi Ho

Mere Zindagi Ka Maqsad
Mere Jeene Ka Silsilaa Ho

Mere Bandagi Tum Hi Ho
Mere Roshni Tum Hi Ho

Mere Ulfat Hai Tum Hi Se
Mere Mohabbat Bhi Tum Hi Ho

Mere Aashiyanaa Tum Hi Ho
Mere Rahguzar Tum Hi Ho

Mere Har Dua Tum Hi Ho
Mere Har Khawahish Tum Hi Ho

Mere Sub Kuch Tum Hi Ho
Mere Zindgi Tum Hi Ho

Ankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga

Ankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga

Itna Manoos Na Ho Kholoot-e-Ghum Se Apni
Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhe Ga To Dar Jaye Ga

Doobte Doobte Kashti Ko Uchala De Doon
Mein Nahi Koi To Sahil Pe Utar Jaye Ga

Zindagi Teri Atta Hai Tu ye Jane Wala
Teri Bakhshish Teri Dhaliz Pe Dhar Jaye Ga

Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka Faraz
Zalim Ab K Bhi Na Roye Ga Tu Mar Jaye Ga

Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai,

Tujhse Juda Ho Jaane Se Darr Lagta Hai,
Ulfat Nakaam Ho Jaane Se Darr Lagta Hai.


Nahi Hai Mumkin Jeena Tere Bin,
Tujh Bin Mar Jaane Se Darr Lagta Hai.


Kise Hai Fikr Duniya Ki, Zamaane Ki,
Tere Mukar Jaane Se Darr Lagta Hai.


Nahi Koi Aarzu Zindagi Me Tere Siwa,
Tujhse Bichhar Jaane Se Darr Lagta Hai.


Tujh Bin Saansein Haraam, Dhadkan Gunaah,
Tujh Bin Jeeye Jaane Se Darr Lagta Hai

Mere Ghum Kuch Puchna Chahte Hain

Mere Ghum Kuch Puchna Chahte Hain
Kia Tum Meri Tanhaiyeo Ko Apnao Ge
Har Pal Muje Eksa Piyar De Paoo Ge
Bolo Kia Tum Muje Itna Chahoo Ge

Mere Ghum Kuch Puchna Chahte Hain

Kia Tum Meri Udhassi Ko Apnaoo Ge
Ya Har Pal Muje Phele Ki Tahra Tardpao Ge
A Khushi Kia Tum Mere Pass Ana Chaho Gi
Kia Tum Muje Apna Kehna Chaho Ge
Bus Mere Ghum Ye Hi Puchna Chahte Hain

agar jo dimaag ki sunogi to haar jaogi

agar jo dimaag ki sunogi to haar jaogi
humjaisa pyaar phir kahan paogi

jaan daikhey ki baat to her koe kerta hai
zindagi bananay wala kahan say laogi

jo ek nazar daikhogi tum hamein dil say
tu har taraf sirf hum he ko paogi

yeqeen apni mohabbat per itna hai mujhey
mayri chahat ko daikhogi to lout aogi

mayri aankhoon k samander mein doob gae ager jo
kahein jana bhi chahogi to na ja paogi

DIL KI DHERKAAN KI TARAAH DIL MAI BASAALON TUMKO

DIL KI DHERKAAN KI TARAAH DIL MAI BASAALON TUMKO
KOI EHSAAS JUDAAI KA NAA REHNEY PAAYE
IS TARAAH KHUD MAI MEREE JAAN BASAALON TUMKO
TOU JO ROOTHEY KABHII MUJHSEY MEREY DIL KEY MAALIK
SAAREE DUNYAA SEY KHAFAA HOOKER MANAALON TUMKO
JEB BHI DEEKHOO TEREY CHEHREY PER UDAASI KA SAMAA
YEHII CHAHOON KE KISSI TARAAH HAANSAA LON TUMKO
TOU JO THAK HAAR KE LOOTEY TOU YEHII KHUWAAHISH HOO
PAAS IN PAALKO KI CHAAOO MAO SULAALON TUMKO

Hamain Khaber Hai Hum Ahle Dil Ka Mahabatoon Main Yeh Haal Hoga.

Hamain Khaber Hai Hum Ahle Dil Ka Mahabatoon Main Yeh Haal Hoga.
Bahar Main Bhi Woh Hubs Hoga Key Sans Lena Mahal Hoga.

Naqoosh Dhundla Gaye Hain Jiskey, Kheyal Jiska Dhuwan Dhuwan Hai.
Woh Zard Pattoon Key Korey Kagaz Pey Likkhee Koi Misal Hoga.

Jo Naptee Hain Musafatoon Ko, Lateef Jazboon Ki Shiddatain Hain.
Kaheen Sadee Sa atoon Ki Hud Main, Kaheen Pey Lamha Bhee Saal Hoga.

Mughey Hai Siad Sey Woh Nisbat Key Mughko Manzoor Hai Aseeri.
Qafas Ki Aaghoosh Sey Jo Nikla To Wus atoon Ka Wabal Hoga.

Tumharey Lehjey Ki Talkhion Ko Bhula Key Ek Bar Mil To Loon Main
Mager Ho Itna Yaqeen Mughko, Bichar Key Tumko Malal Hoga

Har khushi mein koi kami si hai

Har khushi mein koi kami si hai
Hansti ankhon mein bhi nami si hai

Din mein chup chap sar jhukae tha
Raat ki nabz bhi thami si hai

Kis ko samjhaen kis ki baat nahi
Zehan aur dil mein phir thani si hai

Khuwab tha ya gubar tha koi
Gard in palkon pe jami si hai

Keh gae hum kis se dil ki baat
Shaher mein ik sansani si hai

Meri zindagi ho tum Meri bandagi ho tum

Meri zindagi ho tum
Meri bandagi ho tum
Meri rooh ka karar ho tum
Meray kheyalon ka izhar ho tum

Meray hir dard ki dawwa ho tum
Meray liya ab-e-shifa ho tum
Meri hir kushi ki inteha ho tum
Meray hir ghum kay agay dewar ho tum

Meray andharon main roshini ho tum
Meray rastay main subhaa ho tum
Meri umeed ho tum
Meri tumheed ho tum

Meray dil ki dhurkan ho tum
Meri sanson ki thundak ho tum
Meray charay ki muskhrat ho tum
Meri zubban ki awaz ho tum

Meri nuss nuss main ho tum
Jidhar jaon nazar atay ho tum
Meray qlum ki jan ho tum
Meray kagaz pur wahid nishan ho tum

Meri gumshudda pehchan ho tum
Meray gumshuda mehmaan ho tum
Meri nigahon ki talaash ho tum
Meray gulshan ki bahhar ho tum

Meray khubaon ki tabeer ho tum
Meray sochon ki tusveer ho tum
Tupti dhoop main chaonn ho tum
Grum sehhra main nuklistan ho tum

Asmaan per chamakta sitra ho tum
Bhatkay musafer ka akhari sahara ho tum

bajha keh ankh mein neendon ke silsale bhi nhi

bajha keh ankh mein neendon ke silsale bhi nhi
shakast-e-khawab ke abh mujh mein hosle bhi nhi

nhi nhi yeh khabar dushmano ne di ho gi
woh aye aa ke chale bhi gye mile bhi nhi

yeh kon loog andheron ki baat karte hain
abhi to chand teri yaad ke dhale bhi nhi

abhi se mere rafogar ke hath thakne lage
abhi to chaak mere zakhm ke sile bhi nhi

khafa agarcha humeisha hue magar abh
woh barhami hai keh hum se unhen gile bhi nhi

WO MERAY BACHPAN KI YADEIN BARHI SOHANI

WO MERAY BACHPAN KI YADEIN BARHI SOHANI
WO DIL KA BEHALNA SUN KE KOI KAHANI

WO BAY FIKRI KE DIN WO BAY FIKRI KI RATAIN
WO MASOOMIAT KI RUTAIN THEIN BARHI DEWANI

WO KHOF SE KAMPNA KABHI SARDI SE THITHARNA
WO BADIL KA GARAJNA WO BARISH KA PAANI

WO MAKTAB KA PEHLA DIN WO NAEE DOSTI
WO SUB KO MERA TAARUF MERI HI ZUBANI

WO KHUB THA MUSTAQBIL KE KHWABON KA SUN NA
WO KABHI MAAAN TO KABHI BAABAA KI ZUBAANI

WO AAWARGI PE PAABANDI WO GHAR KI QAID
WO CHORI SE NIKALNA WO AAPAS KI RAZDANI

WO BARHAY BHAYYA KI DAANT WO UN KA ROB
WO MERA SOCHNA KE KAB AAY GI JAWAANI

WO MATTI MEIN KHELNA WO DOSTON KI NARAZGI
WO AAPAS MEIN LARNA AUR PHIR WO SOCH INTAQAMI

WO DIN LOTAIN GE NA HI WO PAL AAIN GE
WO YAADEIN HO GAI HAIN BAHUT HI PURANI

Gumsum huwa, awaaaz ka darya tha jo ek shaks

Gumsum huwa, awaaaz ka darya tha jo ek shaks
Pathar bhi nahi ab woh, sitara tha jo ek shaks

Shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehray ko baray ghoor sai parhta tha jo ek shaks

Sahra ki tarha dair say pyasa tha jo ek shaks
Badal ki tarha toot kay barsa tha jo ek shaks

Hathoon mein chupaye huway phirta tha kya zakham
Sheeshay kay khilonay say behlta tha jo ek shaks

TERA DEKHNA AUR SHERMANA MUJHEY ACHA SA LAGA

TERA DEKHNA AUR SHERMANA MUJHEY ACHA SA LAGA
AUR PHIR DIL MAIN BASANA MUJHEY ACHA SA LAGA......

KABHI KABHI KEHTA HON DIL SE MAIN.................
TERA YOUN DIL LAGANA MUJHEY ACHA SA LAGA

ROZ-O-SHAB KA MILNA KUCH THEAK NAHIN.................
DUNYA WALON SE CHUPANA MUJHEY ACHA SA LAGA

KOI NAHIN IS DUNYA MAIN TEREY JAISA...............................
TERI TASVEER SE BAATAIN KARNA MUJHEY ACHA SA LAGA

MERA BAAT BE BAAT ROOTH JANA SHAKIR......................
AUR TERA HER BAR KA MANANA MUJHEY ACHA SA LAGA

jo ghair they wohisi baat par hamrey howay

jo ghair they wohisi baat par hamrey howay
keh hum say dost buhat bay khabar hamrey howay

kisay khabar keh woh muhabbat thi keh rakabt thi
buhat say log tujhey dekh kar hamarey howay

ab ik hujoom shikasta dilaan hai saath apney
jinhain koina milaa hamsafar hamrey howay

kisi nay gham tu kisi nay mizaje gham bakhsha
sab apni apni jagha charah gar hamrey howay

bujhay ke taak ki shmain na dekh taroon ko
isi junoo main tu barbaad ghar hamrey howay

woh aitamaad kahan say faraz lain gay
kisi ko choor kay woh ab agar hamrey howay.

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga

tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat k liye thori hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai
tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga

apne jazbat mein nagmat rachane k liye
main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga

teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aye jagata hua jadu aye
tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aye
tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga

yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo

yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo
mor chakor papiha koyal sab ko mat karo

sawan to man bagiya se bin barse bit gaya
ras mein dube nagme ki ab tum barsat karo

hijr ki ik lambi manzil ko janewala hun
apni yadon ke kuch saye mere sath karo

main kirnon ki kaliyan chunkar sej bana lunga
tum mukhre ka chand jalao raushan rat karo

pyar buri shay nahin hai lekin phir bhi yar "Qateel"
gali-gali taqsim na tum apne jazbat karo

Koi pooch lay to main kia kahoon usay kia bataoon

Koi pooch lay to main kia kahoon
usay kia bataoon?
yeh roz-o-shab to janum janum pay muheet hain
mairay zakhm zakhm dil-o-nazar
mujhay is janam main nahi milay,
mairay rut-jagay mairay hamsafar
mairay saath aaj nahi chalay,
yeh muheeb-o-jast-e-fikr jo
mairay naqsh naqsh ki rooh hai
koi bay-sabaat bayaan nahi
yeh to aatma'oon ka aks hai
yeh to deotaoon ka dihaan hai
ye to janay kaisi
sadi sadi ki aziyatoon ka giyaan hai
yeh ajeeb mairi muhab'batain
yeh ajeeb mairay gham-o-alam
yeh naseeb sang-e-siyah par
yeh warq warq pay garay qalam
yeh kara hisaar naya nahi
maira intezar qadeem hai
maira us say pyar qadeem hai
yeh ajeeb mairi muhab'batain

Piyaar Ke Deep Jalane wale kuch Kuch Pagal Hotey Hein

Piyaar Ke Deep Jalane wale kuch Kuch Pagal Hotey Hein
Apni Jaan Se Janey Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Hijar Ke Gehrey Zakham Milley Tu Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhaane Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein

Jan Se Piyare Loogon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Bataney Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Khawboon Mein Bhi AnMoL Milan Ke Sapney Deikhtey Rehtey Hein
Neendoon Mein Muskane Waley Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Deikha Hai
Sachi Baat Bataney Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Piyaar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai
Shab bhar Ashk Bahaney Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Piyaar Kahan Kertey Hein
Auroon Ko Mehkaney Waley Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Us Ke ISHQ Mein Bheeg K Mujh Ko Ub Yeh Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Mein Aaney Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein

Ghamoo ki jo faseel hai wo is kadar taweel hai

Ghamoo ki jo faseel hai
wo is kadar taweel hai
ghazab to hai ya ik nahii
faseel dar faseel haii
tum is ki her mundaaiir par
arzoo'on k tail sayy
charagh e dil jalaoo na
zara sa muskuraoo na!!
wo phir say yaad agaya
jo roth kar chala gaya
usay khyal bhi nahii
ksi ka dil dukha gaya
ab uski meethi yaad main
shaboon ko jaag jaag kar
ya rat jagayy manaoo na
zara sa muskuraoo na
ya gham humaisha ayy gain
ya dil youn hi jalain gay
mager khushi k atay hii
ya gham bhi bhool jain gayy
malool ho k gham say tum
zara pulkoon pay youn hi
sitaray jhilmilaoo na
zara sa muskuraoo na
zara sa muskuraoo na!!!

Tu Jo Rooti meri palkon pay nami reh jay gi

Tu Jo Rooti meri palkon pay nami reh jay gi
Zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi 

Tark-e-Ulfaat ke Irade par zara phir sochiye
Main chala jaaonga aur tu dekhti reh jay gi 

Ye nahi Kehte ke Tuj bin Jee nahi paengy hum
Haan humari Zindagi mein ik Kami reh jay gi 

Piyar ke sadqe ye lagta hai hamare Darmiyaan
Aur kuch na bhi Raha ye Dosti Reh jay gi 

Main To Tae kar ke Chala jaonga duniya ka Safar
Mere baren mein ye Dunia Sochti reh jay gi 

Zaat se Bar kar hai apni mujh ko apna piyara Fun
Main Agar na bhi Raha Ye Shairi Reh jay gi

Mera Dost Jo Mujh Se Hua Tha Khafa

Mera Dost Jo Mujh Se Hua Tha Khafa
Mudattoon Baad Woh Mujh Se Khud Aaker Mila
Jhoti Nafrat Ke Patharoon Se Jo Bana Tha Qila
Muhabbat Ke Kankaroon Ne Kia Aaj Is Ko Fana
Aab Qila Koi Na Tameer Ho Aisa Yahan
Rab Se Mangi Hai Mein Ne Aab Ye Hi Dua
Lagay Tere Bin Mujhay Sare Mosam Khizaa
Kyun Ke Main Tha Yahan Aur Tu Tha Wahan
Aab Naza Na lagay Humhari Dosti Aye Khuda
Koi Silsila Dil Mein Aisa Muhabbatoon Ka chala
Koi Kuch Bhi Kehay Humeen Sunna Nahi Hai
Bas Yehi Kamiyaab Dosti Ki Hai Behtreen dawa

Meri Nazar Se Kabhi Jo Ek Dafa Dekhun

Meri Nazar Se Kabhi Jo Ek Dafa Dekhun,
Apne Liye Pyar Hi Pyar Chahat To Dekhun,

TuM Ko Sab Batane Mein Lagegi Muddat Mujhe,
Ho Sake To Har LaMhe Ko Mehsoos Karke To Dekhun,

Dhundti Hai Har Taraf Dil I Bekarari Jise,
Aye Dil! Main Usse Kidhar Kidhar Ko Dekhun,

Hona Na Kabhi TuM Mujhse Juda,
Qabool Hote Hue Kash Meri Dua Ko Dekhun,

Nahi Chahe HuM Apni Chahat Ka Koi Sila
Bas Teri Nazar Mein Apne Aap Ko Dekhun...
 

Popular Posts