Dil hijr k dard se boujhal hai,ab aan milo tu behtar ho
es baat se hamko kia matlab,ye kaisay ho,ye keun kar ho
ek bheek k dono kase hain,ek piyaas k dono piyasay hain
ham khaite hain,tum badal ho,ham nadiya hain,tum sagar ho
ye dil hai k jalte senay main,ek dard ka phora allhar sa
na gupt rahay na phoot bahay,koe marham ho koe nashtar ho
ham saanjh samay ki chaya hain,tum charhtii raat k chandr maa
ham jate hain tum aatay ho,pher mail ki sorat keun kar ho
ab husn ka rutba aali hai,ab husn se sehra khali hai
chal basti main banjara ban,chal nagri main soudagar ho
ab Insha jee ko bolana kia,ab piyaar k deep jalana kia
jab dhoop aur chaya eak se hon,jab din aur raat barabar ho
wo ratain chaand k saath gaaen,wo batain chaand k saath gaaen
ab sukh k sapne kia daikhain,jab dukh ka soraj sar par ho