Thursday, December 9, 2010

koi to ho jo meri soch ko kitäb karay


koi to ho jo meri soch ko kitäb karay
aur apne lafz mere naam intisäb karay

main apni chändni raatoN mein us k geet likhuN
wo mere dard k sehra ko phir chanaab karay

main us se pyär karun aur be-kinär karun
wo mujh pe zulm karay aur be-hisäb karay

main dhoop ban k nikharta rahun bikharta rahun
wo mujh ko khud mein saméTay to aaftäb karay

ab is tarah ka säthi kab milay ga Faräz

No comments:

Popular Posts