Thursday, August 27, 2009

Jis Simat Bhi Dekhoon Nazer Atta Hai Kay Tum Ho

Jis Simat Bhi Dekhoon Nazer Atta Hai Kay Tum Ho
Aai Jan-e-Jahaan Yeh Koi Tum Sa Hai Kay Tum Ho

Yeh Khawaab Hai, Khushboo Hai Kay Jhonka Hai Kay pal Hai
Yeh Dhund Hai Badal Hai Kay Saya Hai Kay Tum Ho

Is Deed Ki Saait Hai Kaye Rang Hain Lerzaa'n
Mai Hon Kay Koi Orr Hai Dunyaa Hai Kay Tum Ho

Dekho Yeh Kisi Orr Ki Ankhain Hain Kay Meri
Dekho Yeh Kisi Orr Ka Chehra Hai Kay Tum Ho

Yeh Umer-e-Guraizaa'n Kaheen Thairay Tu Yeh Janoo'n
Her Ik Saans Mai Mujh Ko Yehi Lagta Hai Kay Tum Ho

Ik Dard Ka Phaila Howa Sehra Hai Kay Mai Hoon
Ik Mouj Mai Ayaa Howa Daryaa Hai Kay Tum Ho

Wo Waqat Naa Aai Kay Dil-e-Zaar Bhi Sochay
Is Sheher Mai Tanhaa Koi Hum Sa Hai Kay Tum Ho

Abaad Hum Aashufta Sirroo'n Se Nahi Maqtil
Yeh Rasum Bhi Is Sheher Mai Zindda Hai Kay Tum Ho

Aai Jan-e-Faraz Itni Bhi Toufeeq Kisay Thi
Hum Ko Gham-e-Hasti Bhi Gawaara Hai Kay Tum Ho

Popular Posts