Tuesday, July 6, 2010

haan main ne tujhe chaha


Agar hoti kabi zuban is GULAAB kii


Agar hoti kabi zuban is GULAAB kii
tum se karta wo sifarish NIKAAB kii......


Kitne hi Dil tujh pe machale hai
ye sab sazish hai tere SHABAAB kii......

Ab b ankhe tarasti haiN didar ko
ab b to zeenat hai KHUAAB kii......

Ab b teri sazayen mujhe yaad hai
ab b hai mujhe chahat AZAAB kii......

Ab b wo lamha sitam dhata hai
jis lamhe ki thi jurat ADAAB kii......

Kuch yaad_e_nishani de ja



Kuch yaad_e_nishani de ja
Wo rut mastni de ja

tuje bhool k b na bholo
kuch aisi kahani de ja

tere aagan me jo dhondta hoo
wo yaad_e_purani de ja

tere ane se loot ai thi jo
wo saba suhani de ja

teri sanso ka meri sanso se jo
wo sanjok_e_tarjamani de ja

tere jane se ro sako
wo ankho ka pani de ja...

Jo aansu na hote aankho mein


Jo aansu na hote aankho mein
to aankhein itni khubsurat na hoti


jo dard na hota dil mein
to khushi ki koi qeemat nahi hoti

jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti

agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti..

Deyar-e-noor main tera shaboon ka sathi ho


Deyar-e-noor main tera shaboon ka sathi ho
Koi to ho jo meri vehshatoon ka sathi ho

Main uss se jhoot bhi boloon to mujh se sach bole
mere mazaj kay sab mousmoon ka sathi ho

Main uss k hath na aoon woh mera ho kar rahe
main girr paroon to meri pastiyoon ka sathi ho

Woh mere naam ki nisbat se mootaber thehray
gali gali meri ruswaiyoon ka sathi ho

Kare kalaam jo mujh se to mere lehjye mein
main chup rahoon to mere taywaroon ka sathi ho

Main apny aap ko dekhoon who mujh ko dekhye jaye
woh mere nafss ki gumrahiyoon ka sathi ho

woh khawab dekhye to dekhye mere hawale se
mere khayal kay sab manzroon ka sathi ho

mujhay hayratooN se hai wasta meray dil ka qisa ajeeb hai


mujhay hayratooN se hai wasta meray dil ka qisa ajeeb hai
jo visaal ruut maiN bichar gaya wo tu jaaN se be qareeb hai

mujhay hosh tha tu khbar na the maiN jano'N maiN tha tu pata chala
wo jo meray dil ka makeeN hai wohi jism-o-jaaN ka haseeb hai

tujhay janta be nahi koi mera haraf haraf hai mu'etbaR
tujhay zar mila mujhay shuhratiN ye be apna apna naseeb hai

mujhay kon tuj se raha'ee day mujhay apna ap dekha'ee day
meray dil maiN ab bhi ghari huiwe teri arzoo ki saleeb hai

maiN mohbatooN ka safeer hooN mera kaam khushbo bakhairna
nahi is se koi be muamla k WO door hai ya qareeb hai

mujhay zinghi maiN sakooN milay yehi arzoo hai meray Khuda
mujhay teeraghi se najat day k tu roshni ka naQeeb hai

Har Shaksh Keh Raha Hai Tujhay Dekhnay K Baad


Har Shaksh Keh Raha Hai Tujhay Dekhnay K Baad
Daawaa Mera Baja Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Hum Aa K Terey Shehar Say Wapis Na Jayein Gain
Yeh Faislaa Kia Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Sajda Karoon K Naqsh-E-Qadam Choomta Rehoon
Gar Ka'abaa Ban Gaya Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Kehtay Thay Tujh Ko Log Maseehaa Magar yahan
Ek Shaksh Mar Gaya Hai Tujhay Dekhnay K Baad

Sajdaa Tujhay Karoon Ga Tu Kaafir Kahain Gain Log
Yeh Kon Soochta Hai Tujhay Dekhnay K Baad..

MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz kya karte


MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
Rahay hum bhi gurezaaN, aap bhi naaraaz, kya karte?

Sanam tujh se muHabbat ka bhala aaghaz kya karte
LaboN per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?

Mire aHbaab kyaa karte, mire dam-saaz kyaa karte?
Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?

Hujoom-e-shehr me hum kho gaye kuch chain paane ko
Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?

Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
Usey bhaati thi TooTe kaanch ki aawaaz, kya karte?

Ham us ke saamne chup saadh kar baiThaa kiye, phir bhi
"Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?"

Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi
Magar tum jaan kar woh raaz, kya karte?

Zindagi hai ek safar aur yeh safar mushkil main hai


Zindagi hai ek safar aur yeh safar mushkil main hai
Iss safar main har musafir koshish-e-manzil main hai

Jis sukun-e-dil ki khatir mehfilen sab dekh lein
Woh sukun-e-dil kahin hai to teri mehfil main hai

Hain chaman main khaar hi bikhrey huay charon taraf
Intizar-e-fasle gul hai aur chaman mushkil main hai

Bekhudi mein main ne bhi duniya se tora waasta
Zindagi meri usi din se badi mushkil mein hai

Ek nazar main jaan ley kar mujh se boley “kya hua”
Ai khuda yeh bholpan to bas merey qatil main hai

Josh main aab-e-rawan ek taiz dhara hi bana
Meri kashti doobne ko halqa-e-saahil main hai

Masjid main aake kisqadar rahat mili Aye dil na poochh
Ab to khuda ka saath hai us ki raza iss dil main hai

Door hai manzil agar to kyon pareshan ho
Lazzat-e-sehra nawardi doori-e-manzil main hai...

ye tanhaai,unka gam,unke naam se


ye tanhaai,unka gam,unke naam se
bas kat rahi hai zindagi aaraam se

jalta hua dil le gaya tha mehfil mein
lagaa di maine aag apne kalaam se

dil ke tukdon pe likh di dastaan-e-gam
dikhayie nazren churaa ke is paigaam se

dil maikade ke naam se uktaa gaya
jab se pi ,aapki aankhon ke jaam se

zara pardon se jhhank kar to dekhiye
baithaa hun aapki chaukhat pe shaam se

socha shayad maan jayen sar jhukane se
woh aur khafa ho gaye mere salaam se...

Galli Main Dard Ke Purzey Talash Karti thi


Galli Main Dard Ke Purzey Talash Karti thi
Mere Khatoot ke Tukrrey Talash Karti Thi


Bholaye Koun Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadmey Talash Karti Thi


Ajab Hijer Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Pattey Talash Karti Thi


Qayyam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi


Tamam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhey Talash Karti Thi


Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se Uss Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payarey Talash Karti Thi


Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbey Talash Karti Thi


Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi


Duaayeen Karti Thi Ujrrey Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi....



_________________

jisse naaz sheesha-e-dil pe hai, usse shayad iss ki khabar nahi


jisse naaz sheesha-e-dil pe hai, usse shayad iss ki khabar nahi
ke ye patharon ka dayaar hai, yahaan koi aayeina'gar nahi

wo musafir-e-shab-e-zeest hon, ke kisi ki mujh pe nazar nahi
mere raaste ki sahar to hai, mere raaste mein sahar nahi

mere saath saath ravaan to hai, koi saya sa kisi yaad ka
hai wohi shareek-e- safar mera, jo mera shareek-e-safar nahi

gham-e-dil tera gham-e-dil sahi, issey kar tu nazr-e-gham-e-jahan
wo charaagh koi charaagh hai, jo charaagh-e-raah-e-guzar nahi

ye shamim-e-ishq ki be.dili, ye hayat-e-fan ki udaasiyaan
mere shehr-e-gham mein hai kon si, wo gali jo khaak basar nahi

main kisi ke husn ki dilkashi, jo bayaan karoun to bhi kis tarah
ke nazar ke paas zabaan nahi, to zabaan ke paas nazar nahi

ye dayaar-e-ghaflat-e-shauq hai, na hamare saath chale koi
ke guzar rahein hain wahaan se hum, jahan khud hamara guzar nahi

na hii ghuncha-e-dil khila, na mili hayaat ko roshani
ye sehar to aur kisi ki hai, ye sehar hamari sehar nahi

Woh Boli Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein


Woh Boli Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa ki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Haawi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai
Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Maut Mujh Se Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon,! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon,! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon,! Deep To Aise Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo ! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umar Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai
Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon,! Sochne Mein Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein
Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne
Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar
Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein
Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga
Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun
Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon
Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai
Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai
Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utrey
Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon Ke yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi
Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein
Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho
Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Haan Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil
Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa K bas Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi
Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main
Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta
Woh Kehti Hai Ke Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen
Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho
Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Saf Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai
Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho Jayein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjagon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi
Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho jao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun
Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil
Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai
Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal Gaye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Main Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per
Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara
Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati Hai
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi
Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai
Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai
Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon
Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan
Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon
Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bohat Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, Tamanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak Jang Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain
Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai
Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein
Main Kehta Hoon k yeh Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai
Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan
Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki
Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein
Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan
Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon
Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon
Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon
Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain
Woh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se
Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai
Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon
Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein
Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye
Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai
Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein
Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon
Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar
Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon
Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein
Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai
Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho
Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai
Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne
Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein
Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho
Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki
Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre se Kya Hasil
Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai
Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein
Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per
Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya
Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai
Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen
Main Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain
Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein
Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola
Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath Chalte Hain
Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai
Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed
Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain
Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain
Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain
Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta
Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti
Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti
Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete
Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein
Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai
Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai
Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain
Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata
Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain
Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho
Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain
Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai
Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen
Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per
Woh Kehti Hai, Zameen Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Zameen Hum se Bohat Naraz Rehti Hai
Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain
Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi
Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain
Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain
Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai
Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai
Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon
Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho
Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho
Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang Jaisi Ho
Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Woh Boli, Main Samandar Paar Janat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya
Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain
Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein
Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain
Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain
Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein
Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein
Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain
Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain
Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya Nahi Karta
Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta
Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain
Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai
Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain
Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai
Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein
Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak
Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi
Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa
Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein
Woh Boli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai
Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si
Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi
Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal jata Hai Lamhon Mein
Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain
Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai
Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain
Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya
Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain
Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phir Palat Aaye
Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni
Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar ki Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir
Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho
Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata
Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra
Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai
Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya
Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge
Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai
Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai
Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai
Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi
Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle
Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha
Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To
Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi
Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi
Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi
Main Kehta Hoon, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha
Woh Mujh Se Poochti Hai,Tum Kise Mujrim Samajhte Ho
Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha
Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya
Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Gay
Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai
Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho
Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum
Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To
Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai Jahanon Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai
Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai
Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kiya Kam Hai
Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare
Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko
Woh Kehti Hai, Suno Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho
Woh Kehti Hai,Yeh Saare Log Kyun Baatein Banate Hain
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai
 Main Kehta hoon, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai
Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hai
Woh Mujh Se Poochti Hai,Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Koi Anjaam aa Pohancha Hai Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho
Main Us Se Poochta Hoon,Is Qadar Nadaan Kab Se Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Main Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi
Woh Boli, Dard Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai....

dil kissi pe bewaja marta nahin hai


dil kissi pe bewaja marta nahin hai
hei dil paagal magar etna nahin hai

ham ne dekha hei ye sara zamana
kahin koi bhi tug jesa nahin hai

mere uss sher ki charcha buhat hai
jisse mein ne abhi likha nahin hai

ye sar sooli pe charh sakta hei lekan
kissi ke samne jukta nahin hai

muhabbat ka yahi to almya hai
jisse chaho wohi milta nahin hai

mohabbat akal ki tabe nahin hai
mohabbat mein kabhi socha nahin hai

jo kabhi jao mujhse door toh aik kaam kar jana


jo kabhi jao mujhse door toh aik kaam karjana
ek pal apni zindagi ka humaray naam kar jana

agar aajaye mout terey aanay se pehle
toh aakay humaray janazay ka ehtmaam kar jana

na rona itna kay dukh ho humain
mout ko mazak samajh kar anjaan ban jana

kuch pal ke baad sojaungi main humesha kay liye
phir mujhey bewafa keh key badnaam kar jana

jab guzro meri qabar sey toh munh na phairna
anjaan ban kay hi,dua salam kar jana

Garam SooRaj Ki Tapish Aai Ghata Si Mujh Ko


Garam SooRaj Ki Tapish Aai Ghata Si Mujh Ko
Dar Laga Ajj Her Aik Mooj-e-Hawa Se Mujh Ko

Her Girah Dil Ki Kholi Gancha-e-Nuras Ki Terha
Wo Mehak Aaye Phir Band Hawa Se Mujhay Ko

Mein Tu Mehroom-e-Azal Tha Hi Muger Kismaat Say
Dasht-e-Qurbaat Mein Kai Mil Gaye Piyasay Mujh Ko

Sawalay Rang Ki Aik Mohani Soraat Mohsin
Daas Gaye Apnay Takaloom Ki Ada Se Mujh Ko

Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon


Zakhm-e-dil ko gulaab kia likhoon
Chahatoon kay azaab kia likhoon

Apni auqaat se to waqif hoon
Khud ko mein maahtaab kia likhoon

Kis kay hisse mein aaeen taabeerein
Kis kay ujrey hein khawab kia likhoon

Jis ne likha hai zindagi mujh ko
Uss kay khat ka jawaab kia likhoon

Sadmey pehley bhi seh liye hein magar
Ab jo toota ataab kia likhoon

Tashnagi to na bujh saki
Kitney aaye saraab kia likhoon

Terey haathoon mein khichi hoi lakeer hoon mein


Terey haathoon mein khichi hoi lakeer hoon mein
Terey peroon mein jo pari hai wo zanjeer hoon mein

Mukammal kartey kartey jis ko adhoora choor dia
Terey haathoon ki bani hoi woh tasveer hon mein

Aik terey siwa sab kuch to hai paas merey
Kiun kay ab terey liye shayed buhat haqeer hoon mein

Kuch to hai kay jis ki kami si hai
Haan! muhabbat kay maamley mein aik faqeer hoon mein

Jab Say Kisi Ki Mujh Pay Inayat Nahi Rahi


Jab Say Kisi Ki Mujh Pay Inayat Nahi Rahi
Mujh Ko Bhi Zindagi Ki Zaroorat Nahi Rahi

Ham Nay To Khoon Apni Tamanna Ka Kar Diya
Lo Ab To Tum Ko Koi Shikayat Nahi Rahi

Hansna To Chahtay Hai'n Magar Kis Tarha Hansai'n
Muddat Guzar Gai Kay Yeh Aadat Nahi Rahi

Us Aainay Mai'n Tujh Ko Karai'n Kis Tarha Talash
Jis Aainay Ki Khud Koi Soorat Nahi Rahi

Aey Gardish-e-Jaha'n Hamai'n Ab Koi Gham Na Day
Ab Tairay Naaz Uthanay Ki Taqat Nahi Rahi

Raihnay Day Tana Zann Yoo'nhi Aehbab Ko Háya
Is Tarha Sun Kay Jaisay Sama'at Nahi Rahi...!!!

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya


Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon ruswaiyon ka silsila rehne diya !

Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehne diya !

Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehne diya !

Main samjhta tha khushi dega mujhay `saber-e- fareb,
Isliyey mainay ghamon say raabta rehne diya !

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehne diya,
Jaanay kyon ruswyaion ka silsila rehne diya !

Misal e abr zameen ka libaas ho jaon


Misal e abr zameen ka libaas ho jaon
jo youn nahi to samandar ki pyas ho jaon

tamam din ki karhi dhoop main yeh sochta hon
main shab ke pichlay pehar ka hiraas ho jaon

ab apne wastay tujhay mangnay se khauf aye
tuu hath utha kay teri iltmaas ho jaoon

bujhi bujhi huee ankhon kee tergi ki kasam
tujhay parhon to sitara sanaash ho jaon

Khushi milee to kayee dard mujh se rooth gaye
dua karo kay main phir se uddas ho jaon

meri kitab kay unwaan zara qareeb ayo
main apne aap tera iqtbaas ho jaon

ab apne aap sanwarnay ka shok kia mohsin
kisee ujartay huye dil ki aas ho jaoon

Mujh Se Milne Ke Wo Kerta Tha Bahane Kitne


Mujh Se Milne Ke Wo Kerta Tha Bahane Kitne
Ab Guzare Ga Mere Saath Zamane Kitne

Main Gira Tha Tou Bohat Log Ruke The Lekin
Sochta Hoon Mujhe Aaye The Uthane Kitne

Jis Tarah Main Ne Tujhe Apna Bana Rakha Hai
Sochte Honge Yehi Baat Na Jane Kitne

Tum Naya ZaKham Lagao Tumhein Is Se Kia Hai
Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne

Tere Mere Beech Zamana Parta Hai


Tere Mere Beech Zamana Parta Hai
Dil ko Kitni Baar Batana Perta Hai


Thehar Gayi Hai Baat Muqadder Per Aa Ker
Khud Ko Yeh Aksar Samjhana Parta hai



Sochon ko Kab Qaid Koi ker Paya hai
Lekin Khud ko Tu Samjhana Parta hai



Rasta ho Dushwaar Ya Raahi Anjaane
iss Jeevan ka Saath Nibhana Parta hai



Khamoshi ke Dassne ka Darr Ho Jis Dam
Ayse Mein Khud Shor Machaana Parta hai



paas mere tou sirf tumhari yaaden hain
Yaadon Se Dil ko Behlaana Parta hai

Wafa main ab yeh hunar bhi ikhtyaar karna hai


Wafa main ab yeh hunar bhi ikhtyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aitbaar karma hai

Yeh tujhko jaagtay rehnay ka shoq kab se hua?
Mujhe tu khair tera intizaar karna hai…

Hawa ki zid main jallaye hai ansoouon k chiraagh
Kabhi yeh jashan sar-e-rah guzaar karna hai

Who muskura kar naye wasooso main daal gaya
Khayal tha usay sharamsaar karna hai

Tere firaaq main din kis tarhan katein
K shaghal-e-shab tu sitaare shumaar karna hai

Chalo yeh Ashak hi moti samajh kar Baich aayein
Kisi tarhan tu humein Rozgaar karna hai

Ghum-e-hijr-e-yaar kab tak, rahoon be-qarar kab tak


Ghum-e-hijr-e-yaar kab tak, rahoon be-qarar kab tak
merey dil bata yeh mujhko, karoon ussko pyar kab tak


yeh hujoom-e-na-muradi ghum-e-be-shumar kab tak
terii baat kaa bharosaa teraa intezaar kab tak


shab-e-hijr ki udasi kahin mujhko lay na doobey
meri dharkano pe hoga tera ikhteyar kab tak


na hi aaj ka bharosa na hi kal ki hain umeedein
teri raah guzar takun mein shab-e-wasl-yaar kab tak


mein nikal pari thi tanha liyey saraey ranj dil par
magar phir khayal aya keh sahoon yeh baar kab tak


merii aankhein takrahi hein teri wapsi ki raahein
tu hi ab bata dey mujhko karoon intezar kab tak


mujhay yoon tou dey geya hay wuh dilasa jatey jatey
magar ab yeh sochti hoon karoon eaitbaar kab tak


buhat ilteja ki uss ney ,kaha us nay nahi jao
magar uss ki be-dili ka bhala sehtii waar kab tak

Yunhi do pal sahi, ghamgeen dil ko shaad karte hain


Yunhi do pal sahi, ghamgeen dil ko shaad karte hain
Ameer-e-shehar kay agay koi fariyaad karte hain

Thikaney dhoondtey hain ab kissi ujrey huwe dil main
Chalo aoo koi veeran ghar abaad karte hain

Tumhare yeh jahan walay humein pagal samjhte hain
Bhoola deite hain khud ko hum , tumhein jab yaad karte hain

Unhein fursat kahan betaab dil ka haal sun'ne ki
Humare liye kab waqt woh barbaad karte hain?

Purani baat hai, toofan kay rykh ko palat deina
Jo dil ko phair dey, aisa hunar eejad karte hain

Yeh khamoshi se barsoon inki bunyaadoon mein palte hain
Gharoon ko nafratoon kay zalzaley barbaad karte hain

Tumhari gosh main sar rakh kay sona chahte tu hain
Magar kab rizq kay zindaan humein azaad karte hain?

Zindigi Tujh Ko Jiya Hay Koi Afsos Nahin


Zindigi Tujh Ko Jiya Hay Koi Afsos Nahin
Zehar Khud Main Nay Piya Hay Koi Afsos Nahin

Main Nay Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Dunya Main
Bas Ye Hi Jurm Kiya Hay Koi Afsos Nahin

Meri Qismat Main Likhay Thay, Yeh Un hi K Aansoo
Dil K Zakhmon Ko Siya Hay Koi Afsos Nahin

Ab Giray Sang K Sheshon Ki Ho BARISH
Ab Kafan Orh Liya Hay Koi Afsos Nahin

Khud Apne Liye baith K Sochein Ge Kisi Din


Khud Apne Liye baith K Sochein Ge Kisi Din
Youn Hai K Thujhe Bhool K Dekhein Ge Kisi DIn

Bhatake huwe Phirate hain kai lafz jo dil mein
Duniya ne diya Waqt to likhein ge kisii din

Hil jayein ge ik baar to arshoun ke Dar-o-Baam
ye Khaak nashein log jo bolein ge kisii din

Aapas ki kisi baat ka milta hi nahein Waqt
Har baat ye kehte hain k baithein ge kisi din

Aai jaan teri yaad ke be-naam parinde
shaaKhoun pe mere dard ki utarein ge kisi din

Jaati hai kisi jhil ki gehrai kahan tak
Aankhoun mein teri Doob ke dekhein ge kisi din

Khushbu se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likhein ge kisi din

Soyein ge teri Aankh ki Khlvat mein kisi raat
saaye mein teri zulf ke jagein ge kisi din

Khushbuu ki tarah, asl-e-sabaa Khaak numa se
Galiyoun se tere shehar ki guzarein ge kisi din

hai yehi ab ke kafan baandh k sar se
Us Shehar-e-Sitam gaar mein jayein ge kisi din

Tera ghamgeen ankhoon se muskura deina



Tera ghamgeen ankhoon se muskura deina
Mere har sawal ka jawab huwa

Meri har raat ka har pehar
Teri hi yaad main abaad huwa

Tujhe apne roo-ba-roo dekh sakoon
Mere liye ab aik khwaab huwa

Tera qismat kay agay sar juka deina
Mere liye zindagi bhar ka azaab huwa

Teri aik choti si chup kay agay
Zindagi ka har lamha barbaad huwa

Toot kar bikhar sa gaya hoon main



Toot kar bikhar sa gaya hoon main
Zinda hoon, per jaise mar gaya hoon main

Mehsoos kar raha hoon gham-e-zindagi
Khushiyoon se jaise mehroom ho gaya hoon main

Parchayi bhi ab saath nahi rehti
Mehfil main jaise tanha ho gaya hoon main

Dhoondta hoon khud ko akele rastoon main
Per, bheer mein jaise kahiin kho gaya hoon main

Chalta raha zindagi kay andherey rastoon pe
Laga manzil se bhatak gaya hoon main

Na janay kab thamey ga yeh zindagi-e-safar?
Chalte chalte bohut thak sa gaya hoon main

Mujhko ruswa sar-e-bazaar na karwaya kare


Mujhko ruswa sar-e-bazaar na karwaya kare
Kash ansoo meri ankhoon main hi reh jaya kare

Ay hawa, maine tu bass iska pata poocha tha
Ab kahani tu har baat ki na ban jaya kare

Bass bohut dekh liye khwaab suhaney din kay
Ab woh baatoon ki rafaqat se na behlaya kare

Ik museebat tu nahi tooti so ab iss dil se
Jiss museebat ne guzarna hai, guzar jaya kare

Jiss kay khwaaboon ko main ankhoon mein saja kar rahoon
Iski khushboo kabhi mujhko tu mehkaya karay!

surkh si khushi hai..nadaan si zaroorat


surkh si khushi hai..nadaan si zaroorat
dheere dheere saaso ko bhi ho chuki ek muddat
aasmano ke pare..kahi khil sa raha ek..phool
kaise kahe hai kya..kah do to tum ho na kaho to nazaakkat

thodi si karne ka dil karta hai ek shrarat..
badmash ye ..na farmaan sab.. ungliyo par likhte hai ek nasihat

kadmo pe kadm rakh ke chalna..
thodi dabti..kuch ruthati..
har arzoo ki..ek choti si chahat

chahat..ke dhaage ka sira..
baandhe apne haathon me.rakha hai
teri nazdeekiyo ki amanat

hai kuch ashiyaane mein ek rukta sa lamha


hai kuch ashiyaane mein ek rukta sa lamha
ek tammana be-imaani ek khwahish fanna
meri hotho pe aake tham jaati hai
un hazaaron saaso ki tarah..
ek lafz woh ehsaas ko kabhi soche jo na kaha..

teri kesho mein ghane raat ke saaye the
teri surkh hotho pe jo hamne paaye the
har us nishaani pe rakha jab hamne pyaar bepanah

tum nahi…na hai woh ruh.. na wo sama
bas khaomshi hai..kuch dhaage hai jinhe aaj bhi mein bun raha..
rote hai ab bhi us gali ke kinaaro mein..
jab chota tha tume mere haath ko
kabhi laute nahi tum ..bas mein yun hi har pal ..har lafz har lamha..har saas dekhta raha..

Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaonga


Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaonga
Ab agar aur Dua do gey tu mar jaonga

Pooch kar mera pata, waqt rayegaa na karo
Main tu banjara hoon, kya janay kidhar jaonga!

Har taraf dhund hai, jugnu hai na chiraag koi
Kon pehchane ga, basti main agar jaonga

Zindagi main bhi musafir hoon eri kashti ka
Tu jahan mujhse kahegi,utar jaonga

Phool reh jayenge guldaan mein yaadoon ki nazar
Main tu khushboo hoon, fizaon main bikhar jaonga

Itna toota hoon kay chooney say bikhar jaonga
Ab agar aur dua do gey tu mar jaonga!

Jo bhi jhoota tha, wohi khwaab dikhaya khud ko


Jo bhi jhoota tha, wohi khwaab dikhaya khud ko
Bar'ha maine banaya tha tamasha khud ko

Jo na'maloom tha pehle issey maloom kya
Phir bohut dair taluk, gham main jalaya khud ko

Koi be'mol samanjhte huwe le jayega
Issi dhun mein pas-e-bazaar sajaya khud ko

Mujhe Maloom hai, mujh mein bhi kayiin khamiyan hain
Kabhi samjha bhi nahi, maine KHUDA sa khud ko

Aankh se aankh milaa, baat banaata kyun hai


Aankh se aankh milaa, baat banaata kyun hai
Tu agar mujhse khafa hai to chupaata kyun hai

Ghair lagta hai, na apno ki tarah miltaa hai
Tu zamaane kee tarah mujhko sataata kyun hai

Waqt ke saath haalaat badal jaate hain
Ye haqeeqat hai magar mujhko sunaata kyun hai

Aik muddat se jahan qaafile guzre hi nahin
Aisi raahoN pe chiraaghon ko jalaata kyun hai

Dard ko ashk bana'ne ki zaroorat kya thi


Dard ko ashk bana'ne ki zaroorat kya thi ?
Tha jo iss dil mein, dikhanay ki zaroorat kya thi?

Humne jo kuch bhi kiya, apni muhobbat main kiya
Go samnjhte hain kay zamaney ki zaroorat kya thi

Ho jo chahat tu tapak parti hai ankhoon se
Ay mere dost, bataney ki zaroorat kya thi?

Itne hasas hain, sansoon se pighal jatay hain
Bijliyan hum pe giraney ki zaroorat kya thi?

Hum tu pehle hi tere huq mein tehi' dust nazar aye
Aise ghayal pe nishanay ki zaroorat kya thi ?

Aisa lagta hai kay kamzor bohut hai tu bhi
Jeet kar jashan mana'ney ki zaroorat kya thi ?

Syed ankhoon se hai shikwa na hi dil se koi
Naqsh paani pe bana'ney ki zaroorat kya thi?

Dil main ik leher si uthi hai abhi


Dil main ik leher si uthi hai abhi
Koi taza hawa chali hai abhi

Shor barpa hai khana dil main
Koi deewar si girri hai abhi

Kuch tu nazuk mezaaj hain bhi
Aur yeh chaut bhi nayi hai abhi

Jee jalaney dey hum'nafs kay mujhe
Fursat-e-naala shaabi hai abhi

Bhari duniya main jee nahin lagta
Janay kis cheez ki kammi hai abhi

Tu shareek-e-sukhun nahin hai tu kya
Hum sukhun teri khamoshi hai abhi

Yaad kay benishaan jazeeron sey
Teri awaaz arahi hai abhi

Shehar ki be'awaaz galiyoon mein
Zindagi tujhko dhoondhti hai abhi

So gaye log us haweli kay
Aik khirki magar khuli hai abhi

Tum tu yaaro! abhi se uth bethey
Shehar main raat jagti hai abhi

Waqt acha bhi ayega 'Nasir'
Gham na kar, zindagi pari hai abhi..

Apne hathoon ki laqeeron main chupa ley mujhko


Apne hathoon ki laqeeron main chupa ley mujhko
Main hoon tera naseeb, apna bana ley mujhko

Main jo kaanta hoon tu chal mujhse daman bacha kar
Main hoon gar phool tu jhoorey mein saja mujhko

Main khuley dar kay kissi ghar ka saman hoon pyare
Tu dabey paon kabhi aa kay Chura ley mujhko

Tarq-e-ulfat ki kasam bhi koi hoti hai kasam
Tu kabhi yaad tu kar, bhoolne walay mujhko

Mujhse tu poochne aya hai wafa kay maa'ni
Yeh teri sada dili maar na dalay mujhko

Main samander bhi hoon, moti bhi hoon, ghota zan bhi
Koi bhi naam mera ley kar bhula ley mujhko

Tuney dekha nahin ainey se agay kuch bhi
Khudparasti main kahiin tu na ganwaa ley mujhko

Kal ki baat aur hai, main ab sa rahoon yan na rahoon
Jitna jee chahey tera, aaj sata ley mujhko

Band kar sang-e-wafa kar diya gharqaab tuney
Kon aisa hai jo ab dhoondh nikaley mujhko

Khud ko baant na daloon daman daman
Kar diya agar tuney mere hawale mujhko

Badah phir badah hai, main zeher bhi pii jaon 'qateel'
Shart yeh hai, koi bahoon main sambhaley mujhko

Hijr ki shab main qaid rakhe yan subha visaal mein rakhe



Hijr ki shab main qaid rakhe yan subha visaal mein rakhe
Acha MAULA! teri marzi tu jiss haal mein rakhe

Khel yeh kaisa khel rahi hai dil se teri muhobbat
Ik pal ki sarshari dey aur dinoo ka malal rakhe

Maine saari khushbooyen anchal se band kar rakhiin
Shayed in ka zikr tu apne kissi sawaal main rakhe

Kissi se tere anay ki sarghoshi ko sunte hi
Maine kitne phool chuney aur apni shawl main rakhe

Mushkil ban kar toot pari hai dil per yeh tanhayi
Ab janay yeh kab tak isko apne jaal main rakhe

Duniyaa ney hum pe jab koi ilzaam rakh diya


Duniyaa ney hum pe jab koi ilzaam rakh diya
Ham ney muqaabil us kay teraa naam rakh diya

Ik Khaas had pey aa gai jab teri berukhi
Naam us kaa humne gardish-e-ayyaam rakh diya

Main lar kharaa raha hoon tujhe dekh dekh kar
Tuney tu mere samne ik jaam rakh diya

Kitna sitam zareef hai woh saahib-e-jamaal
Us ne diyaa jalaa ke lab-e-baam rakh diya

Insaan aur dekhe baghair us ko maan ley
Ik Khauf kaay bashar ne Khuda naam rakh diya

Ab jis kay jii main aaye wohi paaye roshni
Hum ney tu dil jalaa kay sar-e-aam rakh diya

Kya masilahat shanaas tha woh admi 'Qateel'
Majburiyoon ka jis ne wafaa naam rakh diya

Na kar umeed mujhse yun saharey ki


Na kar umeed mujhse yun saharey ki
Main khud aik shajer hoon jhuka jhuka sa

Kaise kar doon main abaad kissi ko
Main khud aik shehar hoon tabah tabah sa

Kahan sey doon main khushi kissi ko
Main khud aik dil hoon dukha dukha sa

Na maang mujhse yun roshni ko
Main khud aik qafas hoon ghuta ghuta sa

Kaise ley loon main saath kissi ko
Main khud aik qaafila hoon luta luta sa

Humne apnay armaanon ko aag lagaanaa seekh liyaa


Humne apnay armaanon ko aag lagaanaa seekh liyaa
Aag lagaakar, armaanon kee khaak uraanaa seekh liyaa.

Khel ke sach se aankh michaulee jab hum baazee haar gaye
Sachchaayee kee aankh se humne aankh milaanaa seekh liyaa.

Pyaar mein paagal dil kee jab se hunsee uRaayee logo ne
Chup kee chilman meiN dil kee har baat chhipaanaa seekh liyaa.

TooTay khwaab kee kirchon ne jab khoon bahaayaa aankhon se
KHwaab mein khoyee aankhon ko din raat jagaanaa seekh liyaa.

Patthar ho gayee aankhen ab takte takte raah bahaaron kee
Dard ke sookhe patton se is dil ko sajaanaa seekh liyaa

Asar kuch bhi tera harf-e-shikaybi nahi karta


Asar kuch bhi tera harf-e-shikaybi nahi karta
Yeh marhoom mere zakhmoon ki maseehayi nahi karta

Na'janay kaisi veraani bassi hai apni ankhoon mein
Koi manzar nigahoonki pazirai nahi karta

Kabhi abaad thi dil main mussarat aur ab yun hai
Kay gham bhi iss khandarr main bazm'arayii nahi karta

Yeh kaisa shehar hai kay Be'murawat log hain iske
Yahan koi hamare saath achayi nahi karta

Sadaa atii hai aik umr se Dil kay parinday ki
Yeh taair muddatoon se naghma sirayii nahi karta

Bass Ab khamosh rehne ka irada kar liya humne
Fughan bekaar hai jab koi shunwayi nahi karta

Yaadon mein guzaari hui har shaam tere naam


Yaadon mein guzaari hui har shaam tere naam
Meri is bematlab zindagi ka jaam tere naam

Tere deedaar ko tarasti huwi pyaasi yeh nigaahein
Dil mein dehakti aag ka paigaam tere naam

Tu zindagi mein aaya tab se chhaayi hai bechaini
Tujhse pehle jo mayassar tha woh aaraam tere naam

Andheron mein bhi saath chalta tha tera saaya
Iss baar meri tanhai ka kalaam tere naam

Aaya karta tha tere chahne waalon ki fehrist meiN
Khubsoorat maaina rakhne waala mera naam tere naam

Meri nazar, meri umar, meri jaan, mera jigar
Mohabbat ki ibtedaa aur anjaam tere naam

Aye jaan-e-jigar meri har aik khata ho maaf
Duniya se jaate jaate mera salaam tere naam

Mere sabar ka na ley imtehaan Meri khamoshi ko tu sada na dey


Mere sabar ka na ley imtehaan
Meri khamoshi ko tu sada na dey
Jo jee sakay na tere bin
Ussey jeene ki Dua na day

Tu azeez Dil-o-nazar se hai
Tu kareeb Dil-o-jaan se hai
Mere jism-o-jaan ka yeh fasla
Kahin aur barha na day

Tujhe bhool ke na bhula sak'oon
Chah kar bhi na pa sak'oonn,
Meri hasratoon ko shumar kar
Meri chahtoon ka sila na dey

Wo tarap jo Shaul-e-jaan mein thi
Mere Tanbadan me lipat gayi
Jo bujha sakey to bujha isey
Na bujha sakey to Hawa na day

Tujhe agar miley kabhi Fursatien
Meri shaam phir se Sawar dein
Agar qatal karna hai to Qatal kar
Yoon Judaiyoon ka azaab na day

Kabhi yaad aao to is tarhan


Kabhi yaad aao to is tarhan
Kabhi gungunao to is tarhan

Mera dard phir se ghazal bane
Kabhi dil Dukhao to is tarhan

Meri Dharkanein bhi laraz uthein
Kabhi bhool jao to is tarhan

Na sisak sakein na balak sakein
Kabhi chor jao to is tarhan

Na ujar sakein na sanwar sakein
Kabhi yaad aao to is tarhan

Zindagi yoon huyi basar tanha




Zindagi yoon huyi basar tanha
Qaafila saath aur safar tanha

Apne saaye se chaunk jaate haiN
UmR guzri hai is kadar tanha

Raat bar bolte hain sannaaTe
Raat kaaTe koi kidhar tanha

Din guzartey nahi hai logon meiN
Raat hoti nahi basar tanha

Humne darwaaze tak to dekha tha
Phir na jaane gaye kidhar tanha

Main Khawab banke use neend me dikhai doon



Main Khawab banke use neend me dikhai doon
Woh jo mera qurb chahe to main use JUDAI doon

Kuch is tarah se mujhe chahe ki har ghadi
Main dhadkano ki tarah usse qalb me sunayi doon

Tarap tarap kar mujhe mangta rahe lekin
Siwaye apne main use saari Khudai doon

Kitaab khol ke dekhe to mera chehra hi
Main warq warq main usko dikhayi doon

Wo raah badalney main hawaon ki tarah tha


Wo raah badalney main hawaon ki tarah tha
Jo shakhs karri dhoop main chaaon ki tarah tha

Aik wo tarahdaar bahaaron se ziyada
Aik main ke ziyaankar khizaon ki tarah tha

Ik wasl ki janat main guzara huva lamha
IK hijr ke dozakh ki sazaon ki tarah tha

Us shakhs ki manzil thi kahin qaaf ke aagey
Main raah main partey kisi gaaon ki tarah tha

Aik joo-e-dard dil se jigar tak rawaan hai aaj


Aik joo-e-dard dil se jigar tak rawaan hai aaj
Pighlaa huwa raagon main ik aatish-fishaan hai aaj

Lab sii diye hain taa na shikaayat kare koi
Lekin har aikk zakhm ke munh main zubaan hai aaj

Taarikiyon ne gher liyaa hai hayaat ko
Lekin kisi kaa roo-e-haseen darmiyaan hai aaj

Jeene kaa waqt hai yahi marne ka waqt hai
Dil apni zindagi se bohut shaadamaan hai aaj

Ho jata hoon shahid har ahl-e-wafa ke saath
Har dastaan-e-shauq meri dastaan hai aaj

Aaye hain kis nishaat se ham qatl'gaah main
Zakhmon se dil hai choor nazar gul-fishaan hai aaj

Zindaaniyon ne torr diyaa zulm kaa ghuroor
Wo dab-dabaa wo raub-e-hukoomat kahaan hai aaj

Main umar kay raste main chup chaap bikhar jata



Main umar kay raste main chup chaap bikhar jata
Aik din bhi agar apni tanhaiyoon se darr jata

Main tarq-e-talluq per zinda hoon so mujrim hoon
Kash uske liye jeeta apne liye mar jata

Main shehar ki ronaq main ghum ho kar bohut khush tha
Aik shaam bach'aa leta, Aik roz tu ghar jata

Kal samne thi manzil, peeche meri awazein
Chalta tu bicchar jata, Rukta tu safar jata

Uss jaan-e-takallum ko tum mujh se tu milwatey
Taskheerna kar'pata, hairan tu kar jata

Abhi is taraf na nigah ker, maiN Ghazal ki palkaiN saNwaar looN



Abhi is taraf na nigah ker, maiN Ghazal ki palkaiN saNwaar looN
Mera lafz lafz ho aayena, tujhay ainay meiN utaar looN

MaiN tamaam din ka thaka hua, tu tmaam shab ka jga hua
Zara Teher ja isi mooR per, teray saath shaam guzaar looN

Agar aasmaaN ki numaishooN meiN, mujhay bhi izn-e-qyaam ho
To maiN motiooN ki dukaan say, teree baaliaN, teray haar looN

Kaye ajnabi teree raah maiN, meray paas say yoooN guzar gaye
JinhaiN daikh ker ye taRap hoye, tera naam lay kay pukaar looN

Ye hawa na jaanay kahaaN kahaaN bharee dhoop meiN liyea phiray
Mere barg-e-dil zara Teher ja, tujhay aaNsooN meiN saNwaar looN

Hain labrez aaahoN Se thanddi hawayein



Hain labrez aaahoN Se thanddi hawayein
Udaasi mein doobi huwi hain ghattaayein

Muhabbat ki duniyaa per shaam aa chuki hai
Siyaah posh hain zindagi ki fizaayein

Machalti hain seeney mein laakh aarzooyein
Tarapti hain aankhon mein laakh Iltijaayein

Taghaaful ki aghosh mein so rahey hain
Tumhaare sitam aur meri wafaayein

Magar phir bhi Ay mere maasoom qaatil
Tumhain pyaar karti hain meri duaayein

Mujhe apne zabt pe naaz tha Sar-e-raat bazm yeh kya huwa


Mujhe apne zabt pe naaz tha Sar-e-raat bazm yeh kya huwa
Meri aankh kaise chahlak gayi Mujhe ranj hai kay yeh bura huwa

Meri zindagi kay chiraagh ka Yeh mezaaj kuch naya nahi
Abhi roshni, abhi teergi Na jalaa huwa , na bhuja huwa

Mujhe koi bhi dushman-e-jaan mila Woh pukhta'kaar jahan mila
Na kissi ki zarb ghalat pari Na kissi ka teer khataa huwa

Mujhe rastey main para huwa Aik ajnabee ka khat mila
Kahiin khoon-e-dil se likha huwa kahiin aanso'on se mitta huwa

Mujhe humsafar bhi mila tu woh Sitam zarf meri tarhan
Kayiin manziloon ka thaka huwa Kayiin rastoon main lutta huwa

Safar ki hadh hai wahan tak ke kuch nishan rahe


Safar ki hadh hai wahan tak ke kuch nishan rahe
Chale chalo ke jahan tak ye asman rahe

Ye kya uthaye qadam aur aa gai manzil
Maza to jab hai ke pairon may kuch thakan rahe

Wo shakhs mujh ko koi jalsaz lagata hai
Tum us ko dost samajhte ho phir bhi dhyan rahe

Mujhe zamin ki geharaion ne dab liya
Main chahta tha mere sar pe asman rahe

Ab apane bich marasim nahi adawat hai
Magar ye bat hamare hi darmiyan rahe

Magar sitaron ki faslen uga saka na koi
Meri zamin pe kitane hi asman rahe

Wo ek sawal hai phir us ka samna hoga
Dua karo ke salamat meri zaban rahe

Pas-e-marg mere mazaar par jo chirag kisi ne jala diya


Pas-e-marg mere mazaar par jo chirag kisi ne jala diya
Usse ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya

Mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari
Woh jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya

Dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
Kahin javey us ka na dil dahal meri lash par se hata diya

Meri ankh jhapki thi aik pal mere dil ne chaha kay uth kay chal
Dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le kay jaga diya

Zara unki shokhi tu dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
Mere pichey aye dabe-dabe mujhe sanp keh kay dara diya

Main ne dil diya main ne jan di magar ah! tuney na qadr ki
Kisi bat ko jo kaha kabhi usse chutkiyon mein uraa diya

jo utar kay zeenayay shaam say teri chashmay_khush main sama gayay


jo utar kay zeenayay shaam say teri chashmay_khush main sama gayay
wohi jaltay bujhtay charagh say, meray baam-o-dar ko saja gayay

ye ajab khail hai piyar ka, main nay aap daykha ye maujza
wo jo lafz meray gumaa.n main thay, wo teri zaba.n pay aa gayay

wo jo geet tum nay suna nahi, meri umr bhar ka riyaaz tha
meray dard ki thi wo dastaa.n, jisay tum hansi main ura gayay

wo charaghay jaan kabi jis ki lau, na kisi hawa say nigoo.n hui
teri baywafae kay vasvasay, usay chupkay chupkay bujha gayay

wo tha chand shaamay_visaal ka, k tha roop teray jamal ka
meri rooh say meri aankh tak, kisi roshni main naha gayay

ye jo bandganay niyaaz hain, ye tamaam hain wohi lashkari!
jinhain zindagi nay amaa.n na di, to teray hazoor main aa gayay

teri bayrukhi kay dayar main, main hawa kay saath hawa hua
teray aainaay ki talash main, meray khwab chehra ganwa gayay

teray vasvasoon kay fishaar main, tera sheharay_rang ujaar gaya
meri khwahishoon kay ghubaar main, meray mah-o-saalay wafa gayay

wo ajeeb phool say lafz thay, teray hoont jin say mehak uthay
meray dashtay khwab main duur tak, koi bagh jaisay laga gayay

meri umr say na simaat sakay, meray dil main itnay sawal thay
teray paas jitnay jawab thay, teri ik nazar main sama gayay

Beech derya mera haath choor gaya woh


Beech derya mera haath choor gaya woh,
Meri zindagi ka sahara, Mera saath choor gaya woh,

Meri nadaanioon peh iss qadar hansnay wala
Roota mujhay ik shaam choor gaya woh

Meeri aankhoon ki chamak cheen li uss nay,
mery khwaboon ko weeran choor gaya woh

In laboon ki muskurahatain samait ker saari,
Ik sada, Ik naam choor gaya woh

ik baar milay mujhko tu main betlaoon
bikhri kirchiyaan sar-e-aam choor gaya woh

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi


Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
Tuney mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi

Neend ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha
Yun laga jaise wo shab ko dair tak soya nahi

Har taraf deewar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
Keh sake jo dil ki halat wo lab-e-goya nahi

Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
Kat'ta hoon zindagi bhar main ne jo boya nahi

Janta hoon aik aise shakhs ko main bhi 'Munir'
Gham se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahi

Huwi hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tu


Huwi hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tu
Kahan gaya hai mere shehar kay musafir tu

Bohut udaas hai aik shakhss tere jaaney sey
Jo ho sakey tu chala aa ussi ki khaatir tu

Meri misaal ki aik nakhl-e-khushk-e-sahara hoon
Tera khayaal ki shaakh-e-chaman ka taair tu

Main janta hoon kay duniyaa tujhe badal deigi
Main manta hoon kay aisaa nahin bazahir tu

Hansi khushi se bichhar jaa agar bichharnaa hai
Yeh har maqaam pey kya sochta hai aakhir tu

'Faraz' tuney ussey mushkilon main daal diya
Zamaanaa sahib-e-zar aur sirf shaiyar tu

Kat hi gayi judai bhi kab yun huwa kay mar gaye


Kat hi gayi judai bhi kab yun huwa kay mar gaye
Tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
Janey woh tu kidhar gaya janey woh hum kidhar gaye

Raahon main hi miley thy hum, raahein naseeb ban gayiin
Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gaye

Woh bhi gubar-e-khak tha hum bhi gubar-e-khak thy
Woh bhi kahin bikhar gaya hum bhi kahin bikhar gaye

Koi kinar-e-ab-e-ju baitha huwa hai sarnigun
Kashti kidhar chali gayi janey kidhar bhanwar gaye

Tere liye chaley thy hum tere liye thehar gaye
Tu ne kaha tu ji uthe tu ne kaha tu mar gaye

Waqt hi kuch judai ka itna taveel ho gaya
Dil mein tere firaq kay jitne tye zakhm bhar gaye

Barish-e-vasl wo huwi sara gubar dhul gaya
Woh bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gaye

Itne qareeb ho gaye itne raqeeb ho gaye
Wo bhi "Adeem" dar gaya uam bhi "Adeem" dar gaye

Popular Posts