Dil main ik leher si uthi hai abhi
Koi taza hawa chali hai abhi
Shor barpa hai khana dil main
Koi deewar si girri hai abhi
Kuch tu nazuk mezaaj hain bhi
Aur yeh chaut bhi nayi hai abhi
Jee jalaney dey hum'nafs kay mujhe
Fursat-e-naala shaabi hai abhi
Bhari duniya main jee nahin lagta
Janay kis cheez ki kammi hai abhi
Tu shareek-e-sukhun nahin hai tu kya
Hum sukhun teri khamoshi hai abhi
Yaad kay benishaan jazeeron sey
Teri awaaz arahi hai abhi
Shehar ki be'awaaz galiyoon mein
Zindagi tujhko dhoondhti hai abhi
So gaye log us haweli kay
Aik khirki magar khuli hai abhi
Tum tu yaaro! abhi se uth bethey
Shehar main raat jagti hai abhi
Waqt acha bhi ayega 'Nasir'
Gham na kar, zindagi pari hai abhi..
No comments:
Post a Comment