Safar ki hadh hai wahan tak ke kuch nishan rahe
Chale chalo ke jahan tak ye asman rahe
Ye kya uthaye qadam aur aa gai manzil
Maza to jab hai ke pairon may kuch thakan rahe
Wo shakhs mujh ko koi jalsaz lagata hai
Tum us ko dost samajhte ho phir bhi dhyan rahe
Mujhe zamin ki geharaion ne dab liya
Main chahta tha mere sar pe asman rahe
Ab apane bich marasim nahi adawat hai
Magar ye bat hamare hi darmiyan rahe
Magar sitaron ki faslen uga saka na koi
Meri zamin pe kitane hi asman rahe
Wo ek sawal hai phir us ka samna hoga
Dua karo ke salamat meri zaban rahe
No comments:
Post a Comment