Tanha hoon tu meri apni koshish bhi hai iss mein
Aur kuch meri taqdeer ki sazish bhi hai iss mein
Uper se faqat raakh ka ik dhair hi sahi
Nichey kahin thori abhi atish bhi hai iss mein
Yeh rooh ka sannata nahin itna bhi khamosh
Ik shor sa karti huwi khwahish bhi hai iss mein
Yeh zindagi ik pyass ka sehra hi nahin hai
Har lamha tere dard ki baarish bhi hai iss mein
Jammid nahin itna bhi lahoo meri ragoon mein
Baqi abhi moham si gardish bhi hai iss mein
Yeh meri ghazal tere hi rangoon ka beyaan hai
Uss per sey mera rang-e-nigarsh bhi hai iss mein
No comments:
Post a Comment