Tuesday, July 6, 2010

Baat nikley gi tu phir door tal'ak jaye gi


Baat nikley gi tu phir door tal'ak jaye gi
Log bewajah udaasi ka sabab poochein gey
Yehbhi poochein gey kay tum itne pareshan kyun ho
Ungliyaan uthayen gey sookhey huwe baloon ki taraf
Ik nazar dekhein gey, guzrey huwe saalon ki taraf
Chooriyoon pe bhi kayiin tanz kiye jayenge
Kaampte hathoon pe bhifiqrey kasey jayenge
Log zaalim hain, har baat ka tana deinge
Baaton baaton mein mera zikr bhi ley ayenge
Unki baaton ka zara bhi asar mat leina
Warna chehre jay taasur se samanjh jayenge
Chahe kuch bhi hon, sawalaat na karna unse
Mere baraymain koi baat na karna unse
Warna
Baat nikley gi tu phir door tal'ak jayegi

1 comment:

Anonymous said...

good work faysal ji.:-)

Popular Posts