Yunhi do pal sahi, ghamgeen dil ko shaad karte hain
Ameer-e-shehar kay agay koi fariyaad karte hain
Thikaney dhoondtey hain ab kissi ujrey huwe dil main
Chalo aoo koi veeran ghar abaad karte hain
Tumhare yeh jahan walay humein pagal samjhte hain
Bhoola deite hain khud ko hum , tumhein jab yaad karte hain
Unhein fursat kahan betaab dil ka haal sun'ne ki
Humare liye kab waqt woh barbaad karte hain?
Purani baat hai, toofan kay rykh ko palat deina
Jo dil ko phair dey, aisa hunar eejad karte hain
Yeh khamoshi se barsoon inki bunyaadoon mein palte hain
Gharoon ko nafratoon kay zalzaley barbaad karte hain
Tumhari gosh main sar rakh kay sona chahte tu hain
Magar kab rizq kay zindaan humein azaad karte hain?
No comments:
Post a Comment