Tuesday, July 6, 2010

Baandh lain haath pay seenay pe saja lain tumko



Baandh lain haath pay seenay pe saja lain tumko
jee main aata hay ke taweez bana lain tumko

Phir tumhain roz sanwarain tumhain bharta dekhain
kion na aangan main chan-beli sa laga lain tumko

jaisay balon main koi phool chuna karta hay
ghar kay guldaan main phulon sa saja lain tumko

kaya ajab khawahishain uth-ti hain hamaray dil main !
kar kay munna sa hawaon main uchalain tumko

is qadar toot kay tum pay hamain payaar aata hay
apni baanhon main bharain, maar hi dalain tymko

kabhi khabon ki tarah aankhon ke parday main raho
kabhi khawahish ki tarah dil main bula lain tumko

hay tumhare liye kuch aisi aqeedat dil main
apnay hathon main duaon sa utha lain tumko

jaan denay ki ijazat bhi nahi detay ho
warna mar jain abhi mar kay mana lain tumko

jis tarah raat kay seenay main hay mahtaab ka noor
apnay tareek makaano main saja lain tumko

ab to bas aik hi khawahish hay kisi mor pay tum
hamko bikhray howe mil jao sambhlain tumko

No comments:

Popular Posts