Tuesday, July 13, 2010

Wo kehta hai usay muj say payar nahi hai


Wo kehta hai usay muj say payar nahi hai
Wo go her pal mery intazare main rehta hai
Wo go her pal mery sath rehta hai
Wo go apnay hataoon per mery naam ki mehndi legata hai
Wo go mery liay sanwarta hai khud ko
Wo jis nay mery sath k liay sub ka sath choor diya
Wo jis ke sansan mery liay chalti hain
Wo go mujay khud say zayada cahahta hai
Wo go khud say zayada mera khayal rakhta hai
Wo gis ke nazar her pal mujay talash kerti hain
Wo gis ke sansan yah soch ker ruknay lagti ha k ma kehi ja reha hoon
Wo gis ke ankhon mein sirf mery hi tasveer hai
Wo gis ke ankhon ma sirf mera hi sapna hai
Wo gis k labo pa sirf mera hi naam hai
Wo go khud ko mujay sonpna cahta hai
Wo go kehta ha mery Akhri sans bhi tumhary liay hai
Wo go yah chata hai hamsha mery banhoon mein reahy
Wo go meri kushi ko apni kushi ganta hai
Wo go mery dukh ko apna dukh manta hai
Main to janta hoon usay muj say payar hai
Mughr wo phir bhi yahi kehta hai
Usay muj say payar nahi hai
Na janay wo kyun kehta hai
Usay muj say payar nahi hai

gaye guzray huwon ko kuch sahara kiyun nahi deta


gae guzray huwon ko kuch sahara kiyun nahi deta
woh qadir hai to raaton ko sitara kiyun nahi deta

koi rasta to ho aankhon ko dukh mein paar lagnay ka
samandar dai diya hai to kinara kiyun nahi deta

woh kiyun kar aise waise meray pallu baandh deta hai
jisay mein chahta hun woh pyara kiyun nahi deta

woh mujh ko bandh kay betha hai kiyun apni muhabbat mein
woh mera dil woh meri jaan khudara kiyun nahi deta

sar-e-takmeel-e-ghum bhi ek shikwa hai mera us say
woh adha cheenta kiyun hai woh sara kiyun nahi deta

Ham aaj saath saath nahi chaand raat hai

Ham aaj saath saath nahi chaand raat hai
Tere khyal saath hain aur chaand raat hai

Kal saath the to chaand na tha phir bhi khush the ham
Tere bina udaas hain aur chaand raat hai

Ik roz chaand idd ka tha chhat pe dekhati
Tune kaha tha aaj to mil chaand raat hai

Dil ka har ek zakhm hai hara chandni me aaj
Jo tu nahi to khak bas ye chaand raat hai

Dil pe navazishen thin teri chandani si hi
Har raat hi lagti thi jase chaand raat hai

Saare hi hain chhat pe khade dekhate hain chaand
Mera hi chaand saath nahi chaand raat hai

 

Aye Dil Ye Tu Ne Kaisa Rog Liya


Aye Dil Ye Tu Ne Kaisa Rog Liya
Maine Apno Ko Bhula Key
Eik Ghair Ko Apna Man Liya!!!!
Har ek ka dil bahelaya,
Na mera hi dil bahelana aaya muje
Shabe gum mein bhi hasata raha,
Kaya karu, Fir bhi na rona aaya muje...
Machal Machal kar arman mere khud hi dafan ho jate hai,
Jis dhage ki mai janib hun,Are, Vo dhage hi kafan ho jate hai!!!
Mita de apni Husti ko Agar doh Martba Chahe.....
Ke Dana Khak may Milkar Gul-e-gulzar hota hay.
Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein
Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein,
har dil mein kahi chuppa hua gum hein
Rakibo ke sir galat ilzame bevafai hai,
Gairo ne to sirf hava di hai, Aag apano ne lagayi hai!!!
Pyaar toh kiya mainey bahut,
magar izhaar na karna aaya ...
usney poocha toh mujhsey bahut,
magar ikraar na karna ayaa...
husn-o-jawani ho to har aik ko gharoor aata hai
tere bahar adaoon ko dekh kar hamain saroor aata hai
tujeh bahar kaha to iss leye kay har mosaam
shajar se rooth bhi jaye to lot kar zaroor aata hai.
Us falak ke teer ka kya nishana tha
Jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha
Bas pahunch hi rahi thi kashti saahil pe
Is toofan ko bhi abhi hi aana tha...
Sir se chaddar, badan se hava le gayi,
Zindagi hum fakiro se kaya le gayi,
Meri muththi mein to kuch sukhe hue phool hai,
Khushbo ko udakar hava le gayi,
Maien samandar ke sine mein chala gaya,
Raat ek mauj aayi Usen baha le gayi,
~Chand~ ne raat ko Jagakar kaha,
Kssi ladake ne tumhari ashaqui le gayi...
Aap gairon ki baat karte ho
Aap gairon ki baat karte ho
Humne apnoko azmaya hai
Log katonse bachke chalte hain
Log katonse bachke chalte hain
Humne phoolon se zakham khaye hain.
aanken band kar bhi hum tera deedar karte hain
aee sanam hum to sirf tum se pyar karte hain.
lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta
saans rahte,teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
aakhiri pal tak oo bewafaa , tujehe yaad karta hoon
teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.
Khhoob gaye pardes ke apne, deewaaro dar bhool gaye,
sheesh mahal me aisa bhi kya, mitti ke ghar bhool gaye ...
mere ashqon ka har qatra,
tere mohabbat ki nishani hai,
jo tu samjhe to moti (pearl) hai,
tu na samjhe to paani hai..!!
youn to koi tanha nahi hota,
chaah kar bhi koi juda nahi hota,
mohabbat ko to majbooriyaN hi le doobti hai,
warna khushi se koi bewafa nahi hota!!
mera har iqraar, tere har inkaar se achha hoga.
mera har din, teri har raat se acha hoga.
yaqeeN nA aaye, to apni doli se jhaaNk lena.
meri maiyat ka janaaza, teri doli se achha hoga!!!

Ae Khamosh raat aye odass chand


Ae Khamosh raat....
aye odass chand
din guzar gaya, ye raat phir lout aayee
naa tumne aana tha na tum aaye
dil ko phir se samjha diya hai..ae khamosh raat
kahin diya jala diya hai...ae khamosh raat

aarzoo thee bahut tere aane ki
par kayee mousam guzar gaye aur tum na aaye
ab dil ko behla diya hai.. ae khamosh raat
ise jina sikha diya hai ..ae khamosh raat

kis baat ki saza de gaye..hamne to wafa ki thi
phir bhi koi shikwa nahin gila nahin tumse..
ab dil pe pehra laga diya hai..ae khamosh raat
kahin diya jala diya hai...ae khamosh raat

Kal Shaam Se Aaj Ki Sehar Ho Gayi


Kal Shaam Se Aaj Ki Sehar Ho Gayi,
Dekhte Hi Dekhte Taareekh Bhi Badal Gayi..
Kaise Khumar Hai Mere Yaar Ke Ishq Mein,
Ke Neend Bhi Aayi Nahi Aur Raat Guzar Gayi..

Ek Pal Aisa Na Mila Ke Palkein Moond Lete Hum,
Ek Pal Aisa Nahi Ke Koi Khwab Dekh Lete Hum..
Bas Unke Khayalon Mein Khoye Rahe Aur
Aankh Khuli Rahi..
Ke Neend Bhi Aayi Nahi Aur Raat Guzar Gayi..

Ek Lamha Aisa Na Mila Ke Nazaron Ko Pher Lete Hum,
Ek LAmha Aisa Nahi Ke NAzare Dekh Lete Hum..
Bas Unke Chehre Ki Shokhiyon Mein Doobe Rahe Aur
Nazrein Uljhi Rahin..
Ke Neend Bhi Aayi Nahi aur Raat Guzar Gayi..

Ek Baar Yun Bhi Hua Ke Mere Paas Baithe The Wo,
Ek Baar Aisa Bhi Ki Unki Baahon Mein Simte The Hum..
Ab Kis Qadar Iss gustakh Dil ko Sambhalein Hum,
Khamoshiyon Se Sawal Karta Raha Dil Aur
Kayi Ghadiyan Beet Gayin..
Ke Neend Bhi Aayi Nahi Aur Raat Guzar Gayi

Chaandni ban kar, raat mein bahon mein aa jaanaa tum


Chaandni ban kar, raat mein bahon mein aa jaanaa tum
Chand jaltaa rahegaa, thandak mere dil ko pahunchaana tum


Aaine mein lagaa aks apna dekh, husn sharmaa gaya
Hum hans pade, ki who ainaa nahin tasveer thee tumhaari.


Jaam hathon me le kar 'ghum poore kar liye
Tasveer dil me sajaaye, safar tanhaai ka bhee kat hee jayegaa


Itnaa yaad kiya ki yaadon mein bas gayee ho tum is tarah
Ki jab yaad karte hain to yaadon mein nazar aati ho 

Khud bhool jaati ho apna pataa, meri yaadon mein bataati ho
Phir bhee shikayat hai, ki hum yaad nahin karte tumko


Kutchh lamhe punchhte hain mujhse, kyun aaj tum mere saath nahin
Zindaa to lagte ho, par zindagi jaisi koi baat nahin...

Shaam Dhall Gaye Thi Aur Raat Nay Basera Ker Liya Tha


Shaam Dhall Gaye Thi

Aur Raat Nay Basera

Ker Liya Tha

Badalo Ki Ghunghat Main

Chupa Hua
~
CHAND~
KhoobSurat To Laga

Lekin Tumhare Jaisa Nahy

Her Lamha Apnay Aander

Khushnuma Rung Liye

Jhilmilatay Hue Taaray

Garz Key Her Teraf Qudrat Ka

Husan Phaila Hua Tha

Sabh Kuch Tha Phir Bhi

Mere Aankh Mian Nami Thi

Kiu Key Sirf

TUMHARI KAMI THI

Humne mehboob ki aankhon par Haathon ko apne


Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…
Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…
Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…
Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai,
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…

Bun mein leay sitaroun ki baraat chandni



Bun mein leay sitaroun ki baraat chandni
Phirti hai mayre saath sari raat chandni.

Tu janti hai aaj main kitna uddas houn
Un se kara de aaj mayri baat chandni.

Chader safaid ohr ker roti hai sari raat
Ub daikh gaikh ker mayre halaat chandni.

Cha jao aaj chand ke chehre peh badilo
Bharka rahi hai phir mayre juzbaat chandni.

Janan ne aik phool ko chooma tha isleay
Dil main saja gai kai baghaat chandni.

Utra houn main bhi chand se kirnoun ke sath sath
Kyun poochiti hai mujh se mayri zaat chandni.


Parhta houn main bhi isleay shaed mile khuda
Moosa ko de gai thi jo Tauraat chandni

Janan tumhare payar ke sehra ke wastay
Afzal ke gher se le gai bursaat chandni.

Dil ka rishta hai hamara Dil ke kone mein naam hai tumhara


Dil ka rishta hai hamara

Dil ke kone mein naam hai tumhara

Har yaad main hai chehra tumhara

Hum saath nahi to kya hua

Zindgai bhar pyar nibhane ka wada hai hamara

Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,

Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,

Chandni raton mein aye gi meri yaad,

Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.

Meray Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN


Meray Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN
Ye mera chehra, ye meree ankaiN
Bujhe hu-ay say charagh jaysay
Jo pher say jalnay kay muntazir hauN

Vo chand chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

JinhouN nay paymaN key-ye thay mujh say
rafaqatoN kay, mohabatoN kay
Kaha tha mujh say ke ay musafir rahe vafaa kay
JahaN bhee ja'ay ga hum bhee AiaN gay saath tere
BanaiN gay raatoN maiN chandni hum toe din maiN saa'ye bakhair daiN ge

Vo ~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

Vo apnay paymaN rafaqatoN kay mohabatoN kay
Shikast kar kay
Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu'ay haiN
Magar Musafir koe kya khabar hay
Vo ~Chand~chehra toe bujh gaya hay
Sitara AnkhaiN toe so ga'eey haiN
Vo zulfaiN bay sayaah ho ga'eey haiN
Vo roshni or voh saa'ye meree ata thay
So meree raahoN maiN Aaj bhee haiN
ke maiN musafir ra-hey vafaa ka

Vo~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

HazaaroN chehroN hazaaroN ankhaiN
HazaaroN zulfoN ka aik selaab-e-tund lay kar
mere ta'aqub maiN Aa-ra-hey haiN
Her aik chehra hay chand chehra
HaiN saary ankhaiN sitara ankhaiN
Tamaam haiN
Meharbaan saayah daar zulfaiN
MaiN kiss ko chahooN, maiN kiss ko choomoN
MaiN kiss kay saa'ye maiN bait jaaoN
bachooN ke toofaN maiN doob jaaoN
Ke mera chehra, na meree ankhaiN
Mera Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN

Hogaye rukhsat ghata barish k baaad



Hogaye rukhsat ghata barish k baaad
Aik diya jalta raha barish k baaad

Meray behtay huyey Anson ko dekh ker
Roo pari thandi hawa barish k baad

Meri tanhai ka daman tham ker
Kuch udasii nay kaha Barish k baaad

Yaad teri Orh ker main so gaya
Khwab ka daar khul gaya barish k baad

~Chand ~dekh ker badloon ki qaid main
Aik sitara roo dia barish k baaad

Apnay ghar ki her katchi dewar per
Naam tera likh dia barish k baaad

Nainoo kay is darpan main tumhara chahra rahta hay



Nainoo kay is darpan main tumhara chahra rahta hay

Sans ke har ek lah main tumhara naam sajta hay

Pyar tumhara singhar hay mera har pal tum say kahte hoon

Tumharay naino ke chilmun main shayad kahee rahtee hoon

Jub jub ~CHAND~ ko daikhte hoon to woh mujh say kahta hay

Are oo pagle taira ~CHAND~ to tujh main basta hay

Hathoo ke lakeeroo main tumhe ko padte hoon

Phir halka sa muskura kar naam tumhara laite hoon

Jab jab hawa choote hay tumhay mahsoos karte hoon

Jab jab dil dhadkta hay tumhay yaad karte hoon

aaj mere ghar meri ~CHANDNI~ aayi


aaj mere ghar meri ~CHANDNI~ aayi
andheron mein jaise roshni aayi

der tak jalta rata raat ka say jaisa
tere aane se ab subeh suhani aayi

jis simt dekhoon nazar uthake to
tere hi naam ki khush jabani aayi

kahte hai admi ko admi ka saharen
jine ke liye bas tere hi kahani aayi

teri kahan manoon sirf yeh to bata
kis jannat se teri yeh jawani aayi

teri jabin par kiyun aye hai shikan
kis baat pe tujhe yeh pareshani aayi

jist ke har rang manoon to phir
tere baat pe mujhe bada aasani aayi

jab tu rukhsat ki baat karti hai alam
aankhon mein bin bulaye pani aayi

chandni raat baaki hai bhi aur nahi bhi


chandni raat baaki hai bhi aur nahi bhi
aankhon mein neend baaki hai bhi aur nahi bhi

yeh jo jaam tu mujhe de raha hai
ismein tera pyar saaqi hai bhi aur nahi bhi

jab se maine unhe bulana socha hai
mere ander bebaaqi hai bhi aur nahi bhi

is dunyia ke riwajon se bezaar
mera dil aaki hai bhi aur nahi bhi

Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho


Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho
Mujay Apnay Dill Ka Mehmaan Kaho

Mujay Dekho Har Lamha Yuhi
Mujay Tum Apni Pehchaan Kaho

Main Poori Karoo Tumhari Har Khawahish
Mujay App Apna Maaan Kaho

Har Haal Mein App Muj Ko Hi Socho
Muj Se Dill Ka Har Armaan Kaho

Har Lamha App Ko Hi Chahoo Main
Mujay Payar Ki App Apni Shaan Kaho

Mere Dill Ki Dharti App Ki Hai
Ussay Zameen Kaho Asman Kaho

Sub Kartay Hain Batain App Ki
Har Azooo Ko Meri Zaban Kaho

App Ki Dunia Mein Khoii Rehti Hun
Mujay Mast Kaho Anjaan Kaho

Rakhoo Door Har Shaher Ko App Se
Mujay Dost Kaho Negebaan Kaho

Bheek Payar Ki Apni De Do
Chahy Fakiir Kaho Sultan Kaho

Dosti aur Pyaar ke Beech ki Patli Lakeer


Dosti aur Pyaar ke Beech ki Patli Lakeer
Kab Mein ne Paar ki nahi pata
Un Nazdekiyon ka sabab batana chaha tha mein ne


Per...Tum Nahi Samjhi

Sang Chahta tha Tumhara, Sada ke liye
Kyon ker Kaisay Kehta Tum se?
Tumhare liye apna Pyaar Jatana Chaha tha mein ne


Per...Tum Nahi Samjhi

Kabhi Jhaank ker Meri Aankhon mein dekha hota
Saari Dastaan Parh lete Tum
Be-Inteha Pyar Jhalakta tha Tumhare liye in mein


Per...Tum Nahi Samjhi

Badalon ko phar ker, Taaron ki Chadar se jab Chalkti ~Chandni~Chhoti Mujh ko
To lagta Bahon mein bhar liya Tum ne
Mein Tarapta Raha Tumhare liye


Per is Tarap ko...Tum Nahi Samjhi

Apna Kaam, Apne Dost, Apne Sapno mein Khoya raha
Apni Masrufiyat se Tumhein na Waqt mila
Mere sapne, Meri Aarzoo, Mere Armano ko


Per...Tum Nahi Samjhi

Mere Armano ko Dafna ker Tum kisi aur ki hoi
Mere Aansuon ko Puchti Tum, Mujhe Samjhati rahi
Un Aansuon ka Sabab, Apna Pyaar Khone ki Tarap


Meri Adhuri Kahani ko...Tum Nahi Samjhi

Meri her ek ada main chupi thi teri mohabt


Meri her ek ada main chupi thi teri mohabt
tu ne mehsos na kiya ye or baat hay

main nay her dam tayray he khawab daykhay
mujhe tabeer na mili ye or baat hay

mai ne jab b tujh se baat krnay chaha
mujy alfaz na milay ye or baat hay

mein teri mohabat k samandar main door tak nikla
mujhay sahil na mila ye or baat hay

Quadrat nay likha tha tujh ko meri taqdeer main
Tairi qismat main may na tha...ye or baat hay

jab shaam aagan main utar aae mujhe yaad karlena


jab shaam aagan main utar aae mujhe yaad karlena
jab ~CHANDNI~ har so bikhar jae mujhe yaad karlena

shub bhi gahri ho aankhain bhi be khuaab hun
aur kisi ki yaad tumhain satae tu mujhe yaad karlena

kabhi asa ho aansoo chunne wala koi na ho
aur rone ko bhi je chahe mujhe yaad karlena

jab koi bhi na aae maseehaee ko
dard jab had se barh jae mujhe yaad karlena

tum asa karna gum rehna tamam saal khud main
magar jab khizan ka mosam aae mujhe yaad karlena

Chandni~ raat k hatho pay sawar utri hai



Chandni~ raat k hatho pay sawar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.

iss main kuch rang bhi hain ,
khaab bhi khusbuain bhi.

jhilmilati huwi khwahish bhi, aarzoain bhi.
issi khushbu main kayi dard bhi afsaanay bhi.

issi khushbu nay banaay kayi dewanay bhi.
meray aanchil pay umeedo ki Qataar utri hai.

koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.
issi khushbu say kayi yaad k dar kultay hain.

meray pairoo say jo leptay to safar khiltay hain.
yahi khushbu jo meray ghar say utta layi thi.

ab kissi toar palat kar nahein janay daiti.
meri dehleez bulaati hai mujhay loat aao.

yahi khushbu mujhay wapas nahein aanay daiti.
ranj aur dard main doobi yeh bahar utri hai..

Zindagi jali, jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah



Zindagi jali, jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah

~Chandni~ khili khili ~chandni~, ~chandni~
khili kuch is tarah

Dali pe lage phule they, ped se tano se aise kuch jude,
Rishta modte, Dilo ko todte, Dali ko chodte daar lage
Zindagi jali jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah

Akele raaste, Akele chale, Dur Dur tak dhul ude,
Tanhai Thi, tanhai Banti, tanhai se tanhai kati
Zindagi jali jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah

Suraj ka phera, roshni basera, phelaja dharti par Kuch aise
Zannat jaise, bhulkar raasta, aakar dera basaye hai

~Chadni~ khili khili ~chandni~, ~chandni~

khili kuch is tarah
Zindagi jali jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah

Dil ke jazbaat, ankho se baayan, baat aise jo chali
Samjhe kai, nasamjhe koi, samjhaye use ye kis tarah,
Zindagi jali jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah

Khushiyo ki lehar, hasi ki fuhaar, muskaan kuch aisi khili
Ankho ka Pani, Moti zabani, thamaye na thame is tarah
zindagi jali jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah

~Chandni~ khili khili ~chandni~, ~chandni~

khili kuch is tarah
Zindagi jali jali zindagi, zindagi jali kuch is tarah

Ek umer ke baad uss ko dekha


Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
Simtee hui uss ke baazuoon mein
Ta dair sochtee rahi thee
Kisi abr-e-guraiz paa ki khatir
Main kaise shajar se katee rahi thi
Kiss chaoon ko tarq kar diya tha
Mein uss ke galey lagi hui thi
Woh ponch raha tha aansoon merey
Lakin bohot dair ho chukii thi

DiL NeY Chaha Hai Tujhe IzhaaR Nahi Kar SakTa


DiL NeY Chaha Hai Tujhe IzhaaR Nahi Kar SakTa ..!!
TumheiN PaYuN KaiSe IqraaR Nahi Kar SakTa ..!!

Es Gham-E-Dil Ki HaqeeqaT Ko BayaaN KaiSe KarOOn ..!!
MaanGe Tu JaaN Bhi Agar ..!! InkaaR Nahi Kar SakTa ..!!

Tujh Ko ChahoON Ya KirdaaR BanaYOn ApNa ..!!
Ishq Donu SeY Hai MaGar IzhaaR Nahi Kar SakTa ..!!

DiL MeiN UtRi TeRi TaSweeR BarhaY ArsaY SeY HAi ..!!
BaaT DiL Ki Hai MaGar SarTaaJ Nahi Kar SakTa ..!!

Aik gulab tha Bara udas tha


Aik gulab tha
Bara udas tha
Rang bhi us ka tha kuch urra urra sa
Shabnam k ansoo rawan thay us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha moasam phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
Mein nay ju dekha usay
Pass ja k pocha us say
Kyon hai udas too?
Kyon kerta hai dil barbad too?
Kis ko kerta hai yad too?
Yeh sun ker woh ronay laga
Shabnam k ansoo say moon dhonay laga
Or rotay rotay bas yeh kehnay laga
Mera yar mujh ko chor gaya hai
Mera pyar mujh say moon mor gaya hai
Ab mein kis k liye khil jaoon
Ab mein kis k liye khushboo mahkaoon
Mujhe kon apnay dil say lagai ga
Mujh ko kon apni sansoon may basai ga
Mera chaman ojar gaya hai
Mera yar mujh say bichar gaya hai
Bas ab to her lamhay us ki yad hai
Bas beqarari hai, tarap hai faryad hai
Mujh ko koi mera payar lota dey
Mujh ko koi mera yar lota dey...
Mera yar mujh ko chor gaya hai...

Maine Poocha kaise ho Badle Ho ya waise ho


Maine Poocha kaise ho
Badle Ho ya waise ho
Roop wohi Andaaz wohi
ya phir is main koi kami


Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumhare pass to hoga
main Bichrri yeh majboori thi
kab manzoor mujhe Doori thi


saath Humara kab chhoota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai
Aankh se jo aansu Behte hain
Tum ko khabar hai kya kehte hain


maine kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari
Phool wafa ke khil jaayen ge
ek Din Phir Hum mil jaayen ge

Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai



Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai
Sar agar jhukao to sanam khuda ho jaata hai

Jab talak kaam aate raho, humsafar kehlaate raho
Kaam nikal jaane par humsafar, koi doosra ho jaata hai

Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswaaion ka
Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jaata hai

Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin
Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jaata hai

Hara-bhara hai gulshan-e-yaar, yeh bahar ke din hai
Khizan aane par dekho ek ek patta, kaise juda ho jaata hai

Yahi sachchai hai, haqeeqat hai, yahi dastoor-e-zindagi hai
Kuch der milte hain humraahi,phir har koi tanha ho jaata hai

wahi rastay, wahi wadiyaan kahan khoo gay, mere humsafar


wahi rastay, wahi wadiyaan
kahan khoo gay, mere humsafar
mujhe duniya nay jo kaha
main bhee sun kay chup raha
tumhjhe kehta bewafa
nahee mana dil mera
mujhe tujh say pyaar thaa
mujhe aab bhee pyaar hay
tu na aay gee aab lout kay
mujhe phir bhee kayoon intezar hay

Dushman mere khusiyOn ka zamana hi nahi tha


Dushman mere khusiyOn ka zamana hi nahi tha
Tum ne bhi kabhi apna to jana hi nahi tha

Kia karta akaila main saja kar kOi mEhfil
Jab shehar main kisi ne nibahna hi nahi tha

Dil ne to bOhat chaha magar kis tarah jeetay
JeenaY k liye kOi bahana hi nahi tha

Mur mur k dekhta raha maiN Umar bhar magar
Tum aaye nahi tum ko to aana hi nahi tha

Aik rasta bacha tha wO bhi lotne ka tha
Jata main kahaN kOi thikana hi nahi tha

Ab jhuk k mere lash ko jhinjhOr rahe ho
Jaise tumhare "SHAYAR" ko jana hi nahi tha

Halaat K Qadmoon Pay Qalandar Nahin Girta


Halaat K Qadmoon Pay Qalandar Nahin Girta
Tootay Bhi Jo Taara Tu Zameen Par Nahin Girta

Girtay Hain Samandar Main Baray Shooq Say Dariya
Laikin Kisi Dariya Main Samandar Nahin Girta

Samjho Wahan Phal Daar Shajar Koi Nahin Hai
Woh Sehan K Jis Main Koi Pathar Nahin Girta

Hairaan Hai Kaiey Rooz Say Thehra Howa Paani
Talaab Main Ab Kion Koi Kankar Nahin Girta

Woh jahaan banade koi jahan pyar hi pyar ho


Woh jahaan banade koi jahan pyar hi pyar ho,
Jahan mann ka sakoon aur dil ka karaar ho,

Jahan her taraf churiya chehkein aur mann muskaye,
Jahan hazaron phool khile aur her mausam bahar ho,

Jahan koi shikwa na ho na koi kare gunah,
Jahan sirf hansti howe sachai ka ikaraar ho,

Jahan milan ho pyar karnewale har dil ka,
Jahan bewafai na ho aur na hi intazaar ho,

Jahan mohabbat ki kabhi na haar ho,
Jahan sirf khushiyan ho aisa Sansaar ho

Is mausam main jitne phool khilain gai


Is mausam main jitne phool khilain gai
In main teri yaad ki khushboo her su roshan hogi
pata pata bhule basre rangon ki tasweer banata guzre ga
ik yaad jagata guzre ga
is mausam main jitne taare asman pe zahir hongai
in main teri yaad ka paker manzar manzar uryan hoga
teri jhilmil yaad ka chehra roop dhikhata guzre ga
is mausam main
dil dunya main jo bhi ahat hogi
is main teri yaad ka saaya geet ki surat main dhal jaye ga
shabnam se awaaz mila ker kaliyan isko dohraeen gi
teri yaad ki sun gun laine chand mere gher utre ga
ankhain phool bichaeen gi
appni yaad ki khushboo ko dan karo aur appne dil main ane do
yah meri jholi ko bhar do yah mughey mar jaane do

Mohabbatoon Ka ShaooR Pa Kar Wisaal Ka Bhi Suroor Pa Kar


Mohabbatoon Ka ShaooR Pa Kar
Wisaal Ka Bhi Suroor Pa Kar
Kami HaY Baqi
Bhanwar K Jaise LaGe SamAndeR

SamAndaron Mein Utar K Dekhain
Bahot Mile Hain Bichar K Dekhain

Zara Ye Dekho K Heer Ranjha
Nahi Mile To Kia Hoa HaY
Tammam Duniya Wahin Rahi haY
Yahan Pe Koi Kami Nahi HaY
Samaj Se Sab Mita K jhagre

Hum Ek dooje Se Larh K Dekhain
Bahot Mile Hain Bichar K Dekhain

Yeh iBtida Mein Lage Ga Mushkil
Bahot Si Raatain Na So Sakain Gay
Kabhi Tto Hatoon Ko Hum Malain Gay
Kabhi iN Ankhoon Ko Num Karien Gay

Her Ek Nasehat Buri Lage Gi
Jahan Se Kam Dosti Rahe Gi
Mager Phir Akhir!Bahot Dinoon Baad Aisa Ho
Zamane K Sung Chal Parien Gay


Abhi Se Aao Ye Kar Key Dekhain
Bahot Mile Hain Bichar K Dekhain

jaan se apni guzar gaya hota


jaan se apni guzar gaya hota
tum na milte to mar gaya hota

hoon salamat,,tabhi ti yak ja hoon
toot-ta to bikhar gaya hota

nasahon ne zara si ghaflat ki
warna main bhi sudhar gaya hota

inteha be rukhi ki karne mein
kaash,,,main aap par gaya hota

dard hoon iss liye to uthta hoon
zakham hota,,,to bhar gaya hota

wo zindagee kae safar mein iss kadar masroof rahta hai


wo zindagee kae safar mein iss kadar masroof rahta hai
choota hai mare ko mager peenay sae darta hai

wo pyaar kae aihsaas ko mehsoos kerta hai
chata hai mujh ko mager panay sae darta hai

wo mehfil mein janay ki khuwaish to rakhta hai
nazar mein rakhta hai per deikhnay sae darta hai

wo meri kurbut ki takmeel to kerta hai
phelata hai haath per magnay sae darta hai

wo doston ko zindage ka mehvar samajhta hai
daeta hai un ko mager lenay sae darta hai

wo dusht kae safar mein tunha hi chalta hai
jeena to chahta hai mager zindagee sae darta hai

na chahtay huay bhi uss ko kaisay bhuladon
jo sagar ki khuwaish mein sehra ko tukta hai

Dil Mein Ab Dard-E-Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi


Dil Mein Ab Dard-E-Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Zindagi Meri Ibaadat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Main Teri Barah-E-Gah- E-Naaz Mein Kya Pesh Karun,
Meri Jholi Mein Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Aye Khuda Mujhse Na Le Mere Gunahon Ka Hisaab,
Mere Paas Khoon Bhare AshQon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Wo To Mit Kar Mujhko Mil Hi Gayi Raahat Warna,
Zindagi Ranj-O-Musibat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi...

Log toot jatay hain aik ghar banany main


Log toot jatay hain aik ghar banany main
Tum tars nahiin khatay bastiyaan jalanay main

Aur jaam tootain gay is sharaab khanay main
Mausmoon k anay main mausmoon k janay main

Her dharaktay pathar ko log dil samajhtay hain
Umrain beet jatiin hain DIL ko DIL banany main

Faakhta ki majboori, yey bhi kah nahiin sakti
Kon saanp rakhta hai us k aashyaanay main

Dosri koi larki zindagi main ayey gee???
Kitni dair lagti hai us ko bhool janay main???

Kisi bhi dukh par malaal karna Na tumko aya na mujhko aya


Kisi bhi dukh par malaal karna Na tumko aya na mujhko aya
Wafaon ko lazawaal karna Na tumko aya na mujhko aya!

Jo fasley thay unhain mitana agarchy donon hi jantey thay
Magar talluq bahal karna na tumko aya na mujhko aya!

ankhon mein dobi sadain sun kar na wo hi roya na mein hi tadpa
k rooh ko mala maal karna na us ko aaya na mujh ko aaya

Dua k roshan charagh apni hathelion per jalaye humney
Khuda se lekin sawal karna na tumko aya na mujhko aya!!

Hum toot bhi jatay hain to charcha nahi kartay


Hum toot bhi jatay hain to charcha nahi kartay,
Dukh dard bhi sehtay hain tamasha nahi kartay,

Hum apnay mafadaat ki takmeel ki khatir,
Har shakhs k jazbaat se khela nahi kartay,

Humain koi gila hay to khud apnay DiL se hai,
Oron pay hum ilzam tarasha nahi kartay,

Matlab paraston k jo aadi nahi hotay,
Wo hath mila k kabhi chora nahi kartay,

Kuch is tarah k log bhi mil jatay hain aksar,
Jo DOSTI rakhtay hain NIBHAYA nahi kartay

Vo Boli, Main Suhaney Mausamon k Geet Jaisi Hoon


Vo Boli, Main Suhaney Mausamon k Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Deyhaation Ki Preet Jaisi Ho

Vo Boli, Main Chamakti Chandni k Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Muhabbat k Puraney Jhang Jaisi Ho

Vo Boli, Main Lehakti Waadion Ki Khushbouu Jaisi
Main Bola,Qaaf Ki Shehzadion Ki Khushbouu Jaisi

Vo Boli, Main Samander Paar Ki Jannat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumharey Khas Istaqbaal Ko Aaya

Vo Kehti Hay, k Mujh Se Tiltliyan b Pyar Karti Hain
Main Kehta Hon,Unhein Tum Baag k Phoolon Si Lagti Ho

Vo Kehti Hay, Mujhay Jugnu b Chooney k Liye Ayein
Main Kehta Hon, Tumhein Vo Chand Ki Mehman Samajhty Hain

Vo Kehti Hay, Meri Aawaz Ko Gunmbad Tarastey Hain
Main Kehta Hoon, Tumhari BaazGasht Meharban Chahey

Vo Kehti Hay, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro Dey To Ghatayein Raqs Kar Uthein

Vo Kehti Hay, Parinday Pyar Se Mujhko Bulatey Hain
Main Kehta Hon, Shajar Aksar Tery Qissay Sunatey Hain

Vo Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya Nahi Karta
Main Bola, Iss Tarah To Koi b Roya Nahi Karta...!!!*

Guzer rahe hain jo mujh per azaab uss k hain


Guzer rahe hain jo mujh per azaab uss k hain
Ke meri chasm-e-tamana main khawab uss k hain

Main zakham zakham hon,mera naseeb hain kaante
Wo rung rung hai,saare gulaab uss k hain

Kitaab meri,qalam mera,soch bi meri,mager
Jo likhe hain main ne wo baab uss k hain

Nahi hai mere muqaddar ka ek bi taara
Ye kehakshan,ye maah'taab uss k hain

Wisal-o-hijer ka mosam ussi ka mosam hai
Sawal mere hain shayed,jawab uss k hain

Woh meri zaat ka ik mustanad hawala hai
Kitaab-e-ishq k saare nisaab uss k hain

Main hairton k samandar main gharq hon
Tamam aks sir-e-sat'h-e-aab uss k hain

shikwa e wafa kijiye koi to gilla kijiye


shikwa e wafa kijiye
koi to gilla kijiye

hum udaas hain to kya
aap khush raha kijiye

zindagi hai lamhon ki
hum se mat larrha kijiye

ho koi shikayat to
saaf keh diya kijiye

dil bahut pareshan hai
koi gham atta kijiye

mere khawab mill jayen
aap bus dua kijiye

Ajeeb shakhs tha hatho`N mein haath chor gaya



Ajeeb shakhs tha hatho`N mein haath chor gaya
Wo do Qadam chala tha k saath chor gaya

Un k naam ki nisbat se keh gaya sub kuch
Merii zabaan pe magar apni baat chor gaya

Zameen ka bojh mere ser pe aa gaya jaise
Wo aise paoon talay Kayenaat chor gaya

Wo aftaab ka suraj tha merii duniya mein
Gaya tu saray zamanay mein raat chor gaya

Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha


Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chorr gaya raah may mujhe
May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha

Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao kay yeh kaisa Pyaar tha

Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha

Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha

Yeh baat umer bhar samjh na paayi may
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha

Saaza Pe Chor Diya, Jaza Pe Chor Diya


Saaza Pe Chor Diya, Jaza Pe Chor Diya
Har Aik Kaam Ko Hum Ne, Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yaad Rakhey Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kaam Tha Uski Raza Pe Chor Diya

Ab Us Ki Marzi Bhuja De Ya Phir Jala De
Charagh Hum Ne Jala ke Hawa Pe Chor Diya

Ab Us Se Baat Kiye Baghair Kaisai Rahein Gai Hum
Ye Masla Duaa Ka Tha, So Duaa Pe Chor Diya

Is Liye To Woh Kehta Hai Dewana Hum Ko
Keh Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

Koi Baat Aesi Kiya Karo, Koi Lafz Aesa Kaha Karo


Koi Baat Aesi Kiya Karo, Koi Lafz Aesa Kaha Karo
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa, Koi Shair Aesa Parha Karo

Nahi Dukh Main Is KO Rakha Karo, Kabhie Sukh Bhi Isko Diya Karo
Ye Udas Hai Kayi Roz Se,Mere Dil Main Aa Ke Raha Karo

Jo Kahthin Kathin Se Hain Raaste,Ye Sabhi Hain Kyon Mere Waaste
Ye Jo Jal Rahi Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Is Main Jala Karo

Abhi Taq Tumhari He Aas Hai, Mere Dil Ke Ab Bhi Tu Paas Hai
Hai Ye Dil Tumhare Hisaar Main,Esey Meri Jaan Rehaa Karo

Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho,Faqat Ek TUmhari He Baat Ho
Abhi Jesy Tum Mere Saath Ho,yunhi Mere Sath Raha Karo

Shabnami raat suhani hai mujhe PHONE karo



Shabnami raat suhani hai mujhe PHONE karo
Eik ghazal tum ko sunani hai mujhe PHONE karo


Phir naya khawab dekhana hai sehar hone tak
Pher nayi Shamma jalani hai mujhe PHONE karo

Na main barbad hun, na abhi ruswa tum
Na mukammal yeh kahani hai mujhe PHONE karo


Tum se mill kar hi main bichron, koi lazim to nahe
Pher bhe ik rasam nibhani hai mujhe PHONE karo

Tumhara Hall Tu Pucho Kase Guzri hey Dil Par
Judi Katni Na Ghane hey mujhe PHONE karo

Tum Ko Milney ka Huner Ayta He Nahe
Humey Aye Baat Batani Hey mujhe PHONE karo

Mere Ghazalon Ne  Chand ko Runak de Hey
Jubhi Aye Raat Suhani Hey mujhe PHONE karo

Dharkan dharkan Yaadon Kii Baraat Akaila Kamra


Dharkan dharkan Yaadon Kii Baraat Akaila Kamra
Main Aur Meray Zakhmii EhSasaat Akaila Kamra

Gaye DinOn Kii TaSveerOn Kay bUjhtay hOye NaQoosh
Taza, Rark e Ta'aluq Kay Sadmaat Akaila Kamra

dOsh e Hawa Pay Urnay Walay KhizaaN Kay Aakhrii Patay
Apni Akailii Jaan, Gham e Halaat, Akaila Kamra

Aadhii Raat Ko Chand Say Karna Balknii Mein Baatien
Sunta hAi Har Raat Meray NaGhmaat Akaila Kamra

Sab Samaan Beham hAin "Sajid" Likhnay Likhanay Kay
KhOon e JiGger Aur AansOo Dil Ki Dawaat Akaila Kamra

Chaman Mein Jab Bhi Saba Ko gUlaab POchtay hAin


Chaman Mein Jab Bhi Saba Ko gUlaab POchtay hAin
tUmharii Aankh Ka Ahwaal, Khwaab POchtay hAin

Kahaan Kahaan hOye rOshan hUmaray Baad Chiraagh?
Sitaray Deda e Tarr Say Hisaab POchtay hAin

wO TaShna Lab Bhi Ajab hAin jO mOaj e SehRa Say
Suraagh e Habs, Mizaaj e Saraab POchtay hAin

Kahaan Basii hAin wO Yaadien, Ujrana hAi Jinhien?
DilOn Kii Baanjh Zameen Say Azaab POchtay hAin

Bras Parien Teri Aankhien tO Phir Yeh Bhaid KhUla
Sawaal KhUd Say Bhi Apna Jawaab POchtay hAin

Hawa Kii hUmSafrii Say Ab Aur Kya HaaSil ??
Bas Apnay Shehar Ko Khana Kharaab POchtay hAin

jO Be Nyaaz hAin KhUd Apnay hUsn Say "Mohsin"
Kahaan wO mUjh Say Mera Intekhaab POchtay hAin

Is Apni Kiran Ko Aati hOii SubahOn Key Hawaley Karna hAi


Is Apni Kiran Ko Aati hOii SubahOn Key Hawaley Karna hAi
KantOun Sey Ulajh Kar Jeena hAi PhOolon Sey Lipat Kar Marna hAi

Shayed Wo Zamana lOut Aaye Shayed Wo Palat Kar Dekh Bhi Lien
In Ujrii Ujrii NazrOun Mein Phir kOii FaSana Bharna hAi

Yeh SOz e dOraan Pey Ashk e Ravaan Yeh Kavash e Hastii Kya Kehiye
Martey hAin K Kuch Din Jee Lien hUm Jeetay hAin K Aakhir Marn hAi

Eik Shehar e Waffa Key Band DareChey Aankhien Meechey SOchtey hAin
Kab Qafilla Haaye Khanda o gUll Ko In RahOun Sey Guzarna hAi

Is Neelii DhUnd Mein Kitnay bUjhtey Zamaney Raakh Bikhair Gye
Eik Pal Kii Palak Par dUnya hAi Kya Jeena hAi Kya Marna hAi

RastOun Pey Andhairey Phail Gye Eik Manzil e Gham Tak Shaam hOii
Aey hUmSaffarO Kya Faisla hAi Ab Chalna hAi Key Thehar jAna hAi

Har Haal Mein Eik ShOreedgii e AfsOon e Tamana Baqi hAi
KhwabOun Key Bhanwar Mein Beh Kar Bhi KhwaabOun Key Ghaat Utarna hAi

Aa tehri jab barsaat tu palkain bheeg gaien


Aa tehri jab barsaat tu palkain bheeg gaien
Roee jab bhi raat tu palkein bheeg gaein

Aankhoon ko jab gehri kaali barkha ki
Sonp gya soghaat tu palkein bheeg gaein

Apnay bhi jab chor kay wapas paltay thay
Thaama us nay haath tu palkein bheeg gaein

Yu'n tu har nuqsaan pay haavi zabt raha
Bikher gai jab zaat tu palkein bheeg gaein

Phelay tu aankhoon main hairat tehri thi
Smajh main aai baat tu palkein bheeg gaein

Baat bichernay per hi khatam nahi hoti
Chala jo koi saath tu palkein bheeg gaein

Har ilzaam ko sehnay ka koi ehad tu tha
Aur chairi jab baat tu palkein bheeg gaein

Kisi ki khooj main phir kho gaya kon



Kisi ki khooj main phir kho gaya kon
gali main rote rote so gaya kon.

Bare muddat se tanha the mere dukh
Khudaya, mere aansoo ro gaya kon.

Jala aae thi main to aastee'n tak
laho se mera daman dho gaya kon.

Jidhar diakhon khari hai fasl-e-garya
mere shehroon main aansoon bo gaya kon.

Abhi tak bhaiyoon main dushmani thi
ye maa k khoon ka pyasa ho gaya kon.

kia begaray ga ab mera dushman


kia begaray ga ab mera dushman
mein to khud apna ho gia dushman

dost to saath choar jatay hain
aur rakhta hai wasta dushman

dost deatay hain baduwian mujeh
dey raha hai mujeh dua dushman

khauf tufan ka ab neigh muj ko
hai safenay ka na-khuda dushman

Ham k thehray ajnabi, itni madaraaton k baad


Ham k thehray ajnabi, itni madaraaton k baad
Phir banain gay aashna, kitni mulaqaton k baad

Kab nazar mein aaye gi, bedaagh sabzay ki bahaar
Khoon k dhabay dhulain gay, kitni barsaaton k baad

Dil tou chaha, par shikast-e-dil ne mohlat he na di
Kuch gillay shikway he kar laitay, munajaaton k baad

Thay bohot bedard lamhay, khatm-e-dard-e-ishq k
Theen bohot be-mehr subhain, mehrbaan raaton k baad

Unn se jo kehnay gaye thay, Faiz jaan sadqa kiye
Unkahi he reh gayi wo baat sab baaton k baad

Popular Posts