Aik gulab tha
Bara udas tha
Rang bhi us ka tha kuch urra urra sa
Shabnam k ansoo rawan thay us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha moasam phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
Mein nay ju dekha usay
Pass ja k pocha us say
Kyon hai udas too?
Kyon kerta hai dil barbad too?
Kis ko kerta hai yad too?
Yeh sun ker woh ronay laga
Shabnam k ansoo say moon dhonay laga
Or rotay rotay bas yeh kehnay laga
Mera yar mujh ko chor gaya hai
Mera pyar mujh say moon mor gaya hai
Ab mein kis k liye khil jaoon
Ab mein kis k liye khushboo mahkaoon
Mujhe kon apnay dil say lagai ga
Mujh ko kon apni sansoon may basai ga
Mera chaman ojar gaya hai
Mera yar mujh say bichar gaya hai
Bas ab to her lamhay us ki yad hai
Bas beqarari hai, tarap hai faryad hai
Mujh ko koi mera payar lota dey
Mujh ko koi mera yar lota dey...
Mera yar mujh ko chor gaya hai...
No comments:
Post a Comment