Tuesday, April 20, 2010

SWAT ke aik Be-ghar Bachay ke Naam

!!!.... SWAT ke aik Be-ghar Bachay ke Naam ....!!!

Os ujri basti ki tooti hoi deewar k saaey main
wo rota howa bacha
kehta hai aey Rab
kyon banaya tha mera makan kachha
kay us kachay makan ki bikhri hoi mitti main
abhi bhi rachi hai meray khoon ki khushboo
meri maan ki duaoon ki khushboo
Khuda k liye mat lay jao mujhay yahan say
sonay do mujh ko is ki aaghosh main
sun-nay do mujhay iss ki lori ki awaz
rotiyan pakatay howay in choryun ki awaz
shaid koi bulaey mujhay
kay beta khana kha lo
andheira ho raha hai lot aao
kahein thand na lag jaey
meray thitartay howay jism ko koi to dhaampo
meri bay-ronaq aankhoon main koi tu jhanko
kay main kiya chahta hoon
kuch tu janoo...!!


**********************

Mohabbat ik azeeyat hai


Mohabbat ik azeeyat hai

mohabbat sirf ik derd hai
mohabbat jeet hoti hai
mager isey haar kehtey hein
mohabbat dukh deti ha.


yeh her ik pal museebat hai
mohabbat ik azeeyat hai
mohabbat sirf ik derd hai



mohabbat mein sabhi jeeney merney ki
qasmein khaatey hein
mohabbat kerne waley, sapnoun ke
deep jalaatey hein


mohabbat bin maangey mil jaana
bhi aik naimat hai
mohabbat pa ke khoo janey mein
bhi koi hikmat hai


mohabbat ik azeeyat hai
mohabbat sirf ik derd hai



mohabbat mein mileey derd bhi
apney lagtey hain
mohabbat mein milii takleef hum
roz sehtey hain


mohabbat mein mitta detey hain
hum apni hi hasti ko
mohabbat mein amer ho janey ki
apni si koshish ho


mohabbat khuwaab ho ya koi
dilchasp haqeeqat ho



mohabbat mein hai posheeda
takmeel insaan ki


mohabbat qaieenaat mein
qoonjti awaaz hoti hai
mohabbat jeet hoti hai
mohabbat haar hoti hai

yeh her pal terpaati hai
mohabbat dil jalaati hai
yeh her lamha sataati hai
nami aankhoun mein rehti hai
khamshi mujh se kehti hai
mohabbat tum nahi kerna
mohabbat tum nahi kerna

hansi apni nahi rehti
khushi apni nahi rehti
dukh humjouli ban jaatey hain
sukh hum se aankh churaatey hain

socha tha hum ne bhi yehi
mohabbat hai nahi kerni
mager hum haar baithey hain
hum khud ko maar baithey hain



na apne nafs pe hai qaabu
na dil pe hukumraani hai
kaho tum hi mujhe humdum
yeh kaisi zindagani hai


ke houn main khud se sherminda
mohabbat meri afsurda

jisey paaya bh to aise
jaise sham'ma ko perwaana
usi ke ishq mein jeena
usi ishq mein hai mer jaana

nazroun mein wohi chehra
ho yaadoun mein wohi manzer
woh her pal sochtey rehna
unhi ko chahtey rehna
unhi ko maangtey rehna

unhi ko kehna mere ho
unhi se sherma jaana


woh un ke saath guzarey pal
hon jaisey haseen manzer

kaho tum hi mere jaana
ho kyoon nazroun se oujhal
na din ko chaain aata hai
na raat loori sunaati hai

teri yaadein teri baatein
mujhe abh zakhm deti hain
woh beetey pal suhaaney pal
hain abh mere liye aik boujh
jinhein jaana tum sambhalo
mujhe aa ker tum apna lo



tumhein paaney se khooney tak
tumhein khoo ker apn'aney tak
her ik pal thaa imtehaan
woh mera dil woh meri jaan

tumhi kaho mere humdum
mein kaise khud ko samjhaoun
ke apne dil ko behlaaoun
koi to ho ujli kiran
jo dey umeed mujhe humdum

ke ab mein haar baithi hoon
mein khud ko maar baithi hoon
jo ab hoon mein aise tanha


hai dil mera touta sa
jo na jurr ke bhi jurr paaye
na zakhm aise ke bher paayein
hain bas askhq jo behtey hain
yeh baa'rha mujh se kehtey hain



sahi kehta thaa pagal dil
sahi kehti thi meri soch
sahi kehti hai yeh duniya
mohabbat ik azeeyat hai
mohabbat sirf ik derd hai....!!!

Toot kar zara dekho

Toot kar zara dekho
Tum ager bikhar jaao.
Bebasi me ghir jaao.
Dil se ek sada dena..
Bus mujhe bula lena...
Me tumhen sambhalunga..
Zindagi me chalne ka.
Rasta badalne ka..
Ek hunar sikha dunga...
Tum ko hosla dunga.
Or
jab tum sambhal jao.
Roshni me dhal jao
To mujh ko yun sila dena...
Tum mujhe bhula dena.....!!!

koi Mujh ko Aisi Dalil De


koi Mujh ko Aisi Dalil De,
ke Mein Toot ker,
Tere Naqsh Ankh ki Putliyon Se Mita Sakoon...

koi Mujh ko Aisi Dalil De,
ke Mein Dill Se Phir,
Teri Umr Bhar ki Rafaqton ko Bhula Sakoon...

koi Mujh ko Aisi Dalil De,
ke Mein Umr Bhar,
Teri Yaad ka koi Jashn Hi Na Mana Sakoon,

Ager Aisi koi Sabeel Hay, To Phir Azma,
Jo Nahi Hay To Phir...
Mujhe Yaad ker... Mujhe Yaad Aaa...!!!

Usay Tum Kuch Nahi Kehna


*** USAY TUM KUCH NAHI KEHNA ***


Suno k Raigzaar-e-Umar Ka Yeh Akhri Zarra

Meri Bey Jaan Hatheli Se Phisalta Ja Raha Hay Ab

Meri Guzri Musafat Ki Thakan Ab Odh Ayi Hay

Mery Qasid...Suno. .. Janey Se Pehlay Itna Kehna Hay

Mery Ujrrey Shehar k Un Gali Koochon Mein Jao To

Jahan Bachpan Bitaya Tha...Jahan Sab Kuch Ganwaya Tha

To Uss Veeran Khandar Ko...Payaam- e-Aakhri Dena

Wahin Aangan Mein Dayein Hath Pe...Ek Pairr Dekho Ge

Usii Boorhay Shajar k Sin Raseeda Se Badan Par Tum

Mery Bey Rung Haathon Ki Lakeeron Ki Tarah...Ik Jaal Dekho Ge

Usii Peepal Ki Chhaon Mein

Kisi Masoom k Dil Ne...Kayii Sapney Sajaye Thy

Kisi Ki Aankh k Aansu...Kisi Dil Ne Bahaye Thy

Kisi Ki Jheel Aankhon Ne Kayii Sagar Lutaye Thy

Bohat Narmii Se Uss Peepal Ko Chho Kar...Itna Keh Dena

k Ab Aankhon k Yeh Darya..Kahin Sagar Nahi Hotay

Muqqadar Jin Ka Sota Hay...Kabhi Phir Vo Nahi Sotay

Usay Kehna Mery Qasid...

Jinhon Ne Umar Sari Teri Chhaon Mein Basar Kar di

Vo Aakhir Pal Tumharey Paas Aa Kar...Kuch Na Keh Paye

Lipat Kar Tum Se Ro Lein Ge...Agar Duniya Mein Reh Paye

Suno Qasid...

Wahan Se Chand Qadam k Faslay Par...Aik Chokhat Hay

Vohi Chokhat Hay Yeh Pyarey

Jahan Sajday Kiye Hum Ne...Jahan Par Zindagi Haari

Jahan Kuch Pal Jiye Hum Ne...Jahan Par Jaan Yeh Waari

Jawaan Margi Meri Par Shehar Yeh Matam Kanaan Hoga

Magar...Uss Aik Chokhat Par...Ajab Sa Hi Samaan Hoga

Wahan Raqsaan Sabhi Chehron Pe Kuch Ra'anaiyan Hon Gi

Wahan Bajtii Chaharon Soo...Bohat Shehnaiyan Hon Gi

Wahan Jis Ki Nazar Mein Jeet Janay Ki Thakawat Ho

Magar...Uss Dil Nasheen Chehray Pe...Gehrii Muskurahat Ho

Samjh Lena Mery Qasid...Yehi Qaatil Mera Thehra...

Meri Aankhein Yeh Le Jao...Mera Yeh Kaam Kar Dena

Usay Jee Bhar k Takna Tum...Meri Aankhon Mein Bhar Lena

Usay Chupkey Se Keh Dena

Tumharii Jeet Ki Khatir...Yeh Jeewan Jis Ne Haara Hay

Nahi Tum Ho Sakii Uski...Vo Mar Kar b Tumhara Hay

Nahi...Balkey. ..Mery Qasid...
Usay Tum Kuch Nahi Kehna......

Aao... or na socho.


Aao...
or na socho.
soch ke kia paao gey..
jitna bhi samjhey ho.
itna hi pachtaao gey.
Aao..
or na socho..
tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri dekhi bhali hai.
jane bhi do.
is ka kab tak sogg manana..
yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot ke hathon.
woh mushkil asaan karen hum.
tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa karne ki baten..
jeene ki...
marne ki baten..
hum dono yun waqt guzaren.
.me tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki koi taabeer na ho.
jitne din yeh mail rahe ga..
dekho acha khel rahe ga.
or kabhi dil bhar jaye to.
kehdena tum..
beet gaya milne ka mausam.
Aao.
or na socho...
soch ke kia pao gey...

Wo Siskiaan Leti Hui


Wo Siskiaan Leti Hui


Wo Siskiaan Leti Hui
Apne Ap Se Kuch Kehti Hui

Apne Ansoowoon Ko Roke Huwe
Alfaaz Us K Behke Huwe

Pir Ik Wo Faryaad Karti Hai
Taza Ik Wo Yaad Karti Hai

Our Phir

Har Roz Kisi Bhi Lamhe
Wo Siskiaan Leti Hui
Wo Khiyaloon Main Ati Hui

Kehti Hai
K Ab To Kaheen Baras Beet Gahe

K Mazi Ab Tum Laut Aao
Meri Taraaf Ab Tum Pallat Aao....

mohabbat ous ki surat

mohabbat ous ki surat
pyasi phankri ke hount ko serab karti hai
gulou ki aastinou mien anokhe rung bharti hai
sehr k jhatpatey mien, gungunati, muskurati, jagmagati hai,
mohabbat ke dino mien dasht bhi mehsoos hota hai
kisi firdous ki surat
mohabbat ous ki surat.

mohabbat abr ki surat,
dilo k sar zameen pe ghir k aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhoomta hai muskurata hai
azal k be namomti mien sabza sar authta hai
mohabbat aun ko bhi abaad aur shadaab karti hai
jo dil hai kabar ki surat
mohabbat abr ki surat.

mohabbat aag ki surat,
bhuje seeno mien jalti hai tou dil bedaar hotey hien
mohabbat ki tapish mien kuch ajab asraar hote hien
ke jitna ye bharakti hai, auroos jaan mehkti hai
dilo ke sahilo par jama hoti aur bikharti hai
mohabbat jhaag ki surat
mohabbat aag ki surat!

mohabbat khuwaab ki surat,
nigahoun mien autarti hai kisi mehtaab ki surat
sitaare aarzoo ke iss tarhan se jagmagate hien
ke pehchani nahi jati dil betaab ki surat!
mohabbat ke shajar par khuwaab k phanchi autarte hien
tou shakhien jaag authti hien
thakey harey sitarien jab zameen se baat karte hien
tou kab ki muntazir aankhou mien
shamaien jaag authti hien
mohabbat inn mien jalti hai chiraagey aab ki surat
mohabbat khuwaab ki surat.

mohabbat dard ki surat,
guzishta mousmou ka istiara ban k rehti hai
shabaney hijr mien, roshan sitara ban k rehti hai
munderou par chiragou ki luien jab thartarati hien
nagar mien na umeedi ki hawaaien sunati hien
gali mien jab koi aahat, koi saya nahi rehta
dhuke dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
gamou k bojh se jab tootney lagte hien shaney
tou ye aun pe hath rakhti hai
kisi hamdard ki surat!

guzarjate hien sarey kafiley jab dil ki basti se
fiza mien tairti hai dair tak
ye gard ki surat,
MOHABBAT DARD KI SURat............

Tum Ne Poocha Hey ke

Tum Ne Poocha Hey ke
Dukh kia Hota Hai ???

To Suno.....
Aisa Karna
Kabhi kisi ko Chahna
aur Chahate Hi Rehna...
Din Bher us ko Sochte hi Rehna....

Apne Haath ki Lakeeron mein us ka Naam Tarashte hi Rehna...

aur Jab kabhi Wo,
in Riyazaton ka Hisaab Mangne ke Liey,
samne aaey to ........

Tum "ANAA" ka Hath Thaam Lena.

Ager Wo kuch kahey to,
Muskura ker Anjaan Ban Jana.

Aur Jab Wo Mayoos Ho ker Laut Jaey to...

Apne Ander Jhankna,
aur,
Khud se Poochna ......

Tab Tumhara Dil Tumhain Bataey ga,
Ke....

Dukh kisko kihtey Hain.
aur...
Dukh kia Hota Hai....

Dil chahey woh koi baat karay


Dil chahey woh koi baat karay.
Jab koi saaz na acha lagey.
Jab dil ke taar bhi tootey hon.
Jab koi saath na deta ho.
Jab saarey mujhse roothey hon...
Jab ham bhi bhojal lagti ho..
Jab raaten mushkil kat'ti hon..
Jab dharkan shor machati ho...
Jab sansen ruk si jati hon..
Jab udas tabyat rehti ho..
Jab us ke pyaar ko tarsey hon..
DIL CHAHEY WOH KOI BAAT KARaY...
Woh Kahey...
Dil pe nahi hai zorr koi..
Mere dil me nahi hai or koi..
Woh Kahey...
Ke bus hum tere hain...
BUS ITNI SI WOH BAAT KARaY...
Dil chahey woh koi bAaT kArAy...

Barish mein jo nikli main


Barish mein jo nikli main
maatam ki sada aayi
noha mera kehne ko
pur-shur hawa ayi.


Iss ghar ki chatien kuch tu
mazboot karu tum bhi
baher tu zara jhankuo
ghanghor ghata aayi.



Main baech ke puhnchi hoon
iss dil ki sabhi qadrein
per log kehte hein...
main bighri ko bana aayi.



Niqsaan tumhara hai
tum ne na suna kuch bhi
dilchasp sa qissa tha
gheeroon ko suna aayi



Yeh jism tu fani hai
ruhon ka milan huga
yeh jiss mein likha tum ne..
woh khat bhi jala aayi


Main haar chuki baaz
iss aankh machli ki
her simat tumhein dhonda
her simat hila aayi.....!!

December K Hasee'n Din Thaay


December K Hasee'n Din Thaay
Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main

Hamaray Char Haathou'n Nay
Mujasma Ek Banaya Tha

Kaha Tha Aik Dojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni

Berhi Khoobsoorat Hai
Mujhey Ab Yaad Aata Hai

Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ussay Akhir Pighalna Tha

Ussay Tou Mitt He Jaana Tha...!!!

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne


Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne
jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
khain pe lalazar banya
gulab motia chambeli se
tulip ki larioon se goond ke
pyar ke rangoon se sainch ke
parioon si khawishoon ke jhoormat
main
hamare laboon pe
duaaon ke alwidi kalmaat
tum hamesh raho mere saat
marmareen hatehlioon pe naii
umeedoon ke roshan chiragh
sadioon se chand ke devi
kaat rahi hai charqha
narm narm galoon se
prem ki dhank se dhunak rahi hai
hur ane wali subha ko
Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham
ajj jati december ki sham
insaanyat ke naam
mohabbat azaadi shanti amaan hai
sub ki jaan
nafratoon ko kar do tammam
choti se hasti hai ye
pyar se basti hai
hamesha se hai
hamesha rahingain
Main or Nelaa Asmman.............!!!!

Filhaal jee lene dey

Filhaal

Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Oh Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Darr Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De

Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kachcha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De.........

Kal Raat Jane Kiya Hua


Kal Raat Jane Kiya Hua
Kuch Der Pehle Neend se




Kuch Ashk Milne Agaye
Kuch Khuwab Bhi Toote Hue
Kuch Log bhi Bhoole Hue




Kuch Rasta Bhatakti Huin
Kuch Gard mein Lipti Huin
Kuch Khoul mein Simti Huin




Be Rabt si Sochain Kayee
Bhooli hoi Baatain Kayee
Ik Shakhs ki Yadain Kayee




Phir Der tak Jagti Rahi
Socho Mein Gum Bethi Rahi
Ungli se Thande Farsh Per
Ik Naam Hi Likhti Rahi




Kal Raat Bhi wo Raat Thi
Kuch Der Pehle Neend se
Mein Der Tak Roti Rahi.........

Ek chaand tanha khara raha

Ek chaand tanha khara raha
Mere aasman se zara parey...
Mere saath saath safar me tha
Meri manzilon se zara parey...
Teri justujoo ke hisaar se
Tere khuwab tere khayal sey.
Me woh shakhs tha jo khara raha
Teri chahaton se zara parey...
Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi bhi dabi dabi si..
Mere lafz poorey to they
MAGER
Teri sama'aton se zara parey...
Tu chala gaya mere hamsafar
Zara murr ke dekh tu ek nazar...
Meri kashtiyan hen jali hui
Tere sahilon se zara parey...

mat poocho us ka naam jis main koi wafa na ho

mat poocho us ka naam jis main koi wafa na ho
esa kuch pooch jis wafa ky phool he ho
hum jase logon se poocho jis main wafa ky roop he ho
us dil ky darkhnaoo se pooch jis main us bewafa ka naam metany se pooch
zindagi main jo phir aye tu shkayat ho gi
us zindagi se boht se gela ho gi
mat pooch us ka naam jis main koi wafa na ho

Kisi ne kaha muhabbat kya hai

Kisi ne kaha muhabbat kya hai
Samandar ne kaha.
Mohabbat samandar ki gairaiyo main chupi hue ik ispet hai
Jis main chahat jaisi anmol moti mojood hain
Badal ne kaha.
Mohabbat ik dhanak hai jis me har rang nomayan hai
Shaa'er ne kaha.
Mohabbat ik aisi ghazal hai jo
Har ek sun ne wale ke dil main utar jati hai
Maali ne kaha./
Mohabbat gulshan ke phool ke woh dilkash khushboo hai
Jis me sara gullshan mehkta hai
Aankhon ne kaha.
Mohabbat aansoo ka samandar hai jo kisi ke
Intezar main khamoshi se baitha hai
Naseeb ne kaha.
Mohabbat karne wala is duniya ka khush kismat insaan hai
Aur jis ke dil me mohabbat nahin
Who is duniya ka badtareen insaan hai
Dil ne kaha..
Mohabbat Kisi KO khamoshi se chah Jane ka naam hai
Nafrat ne kaha.
Akhir jeet mohabbat ki hoti hai

Ajab Din Thay Mohabbat K




Ajab Din Thay Mohabbat K
Ajab Mousam Thay Chahat K

Kabhi Gar Yaad Aa Jain Tu Palkoon Pay Istaray Jhimilatay Hain...
Kisi Ki yaad Main Jaagna Maamool Tha Apna....

Kabhi Gar Neend Aa Jati Tu Hum Yeh Sooch Letey Thay.....
Abhi Tu Humaray Wastay Rooya Nahin Ho Ga

Abhi Sooya Nahin Ho Ga
Abhi Hum Nahin Rootay

Abhi Hum Nahin Sootay
So Phir Hum Jagtay Aur Us Ko Yaad Kartay Thay

Akelay Beth Kar Weeraan Dil Aabaad Kartay Thay
Humaray Samnay Taaroon Ki Jhurmat Main Akela Chaand Hota Tha....

Jo Is K Husn K Aagay Buhat Hi Maand Hota Tha.......
Falak Pay Raks Kartay Unginat Roshan Sitaaroon Ko Jo Hum Tarteeb Detey Thay

Tu Us Ka Naam Banta Tha
Hum Aglay Rooz Jab Miltay Tu Gusri Ki Har Bekaali Ka Zikar Kartay Thay

Har Ek Qissa Sunatay Thay........
Kahan Kis Waqt Kis Tarhaan Say

Dil Dharka Batatay Thay........ ..
Main Jab Kehta Keh "Jaana" Aaj Tu Raat Ko Main Ek Pal Nahin Sooya

Tu WOh Khamoosh Rehti Thi
Par Us Ki Neend Main Doobi Huey Do Jheel Si Aankhain

Achanak Bool Uthti Theen....... ...
Main Jab Us Ko Batata Tha Keh Main Nay Raat Roshan Sitaaroon Main Tumhara Naam Dekha Hai......... .

Tu Woh Kehti Thi K Tum Jhoot Kehtay Ho........
Sitaaray Main Nay Dekhay Hain Aur In Roshan SItaaroon Main Tumhara Naam Likha Tha......... ..

Lagta Hai Ab Apnay Sitaaray Mil Hi Jayein Gain
Magar Us Ko Khabar Kia Thi

Kinaaray Mil Nahin Saktay
Mohabbat Ki Kahani Main

Mohabbat Karnay Walay K
Sitaaray Mil Nahin Saktay...... ......

Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai

Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Jis main tum lekho
Ke kal kis rang ke kamre pehne kon si khushbon lagani hai
Kise kia baat kehni kon si kas se chupani hai
Kaha kis pair ke saye tale milna hai
Mil kar pouchna hai
Kia tumhe muje se muhabbat hai
Ye farsuda sa jumla hai
Magar phir b yahi jumla
Darechon aanganon sarkhon gali kochon main chu baron main
Chu baron ki tooti howi seryon main
Har jaga koi kisi se keh raha hai
Kia tumhe muje se mohabbat hai
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Jis main tum lekho
Tumhe kis waqt kis se kis jaga milna hai kis ko chor jana hai
Kaha par kis tarah ki guftagon karni hai ya khamosh rehna hai
Kisi ke sath kitni door tak jaana hai aur kab lout aana hai
Kaha aankhen milana hai kaha palken jukana hai
Ya ye lekho ke ab ki baar jab wo melne aaye ga
Tu us ka hath apne hath main le kar
Dhanak chehre par roshan jagmagati raqs karti us ki aankhon main uthar jayen ge aur phir gulshan-o-sehra ke bechon beech dil ki sultanat main khak urayenge
Buhat mumkin hai wo ajlat main aaye
Aur tum us ka hath hathon main na le pawo
Na aakhon main hi jhankon aur na dil ki sultanat ko fatah kar pawo
Jaha gugtagon karni hai khamosh ho jawo
Jaha khamosh rehna hai waha tum bolte jawo
Naye kamre pehan kar ghar se niklo meele ho jawo
Koi khushbo lagane ka irada ho tu sheeshi hath se gir jaye
Tum viraan ho jawo
Safar karne se pehle be sar-o-saman ho jawo
Muhabbat diary har giz nahi hai Aab-e-ju hai
Ju dilon ke darmiyan pehti hai khushbon hai
Kabi palkon pe lehraye tu aankhen hansne lagti hai
Ju aankhon main uthar jaye tu manzar aur pase-e-manzar shame jalne lagti hai
Kisi bi rang ko chole
Wahi dil ko gawara hai
Kisi maati main ghol jaye
Wahi maati sitaara hai.....

Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai

Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Jis main tum lekho
Ke kal kis rang ke kamre pehne kon si khushbon lagani hai
Kise kia baat kehni kon si kas se chupani hai
Kaha kis pair ke saye tale milna hai
Mil kar pouchna hai
Kia tumhe muje se muhabbat hai
Ye farsuda sa jumla hai
Magar phir b yahi jumla
Darechon aanganon sarkhon gali kochon main chu baron main
Chu baron ki tooti howi seryon main
Har jaga koi kisi se keh raha hai
Kia tumhe muje se mohabbat hai
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Jis main tum lekho
Tumhe kis waqt kis se kis jaga milna hai kis ko chor jana hai
Kaha par kis tarah ki guftagon karni hai ya khamosh rehna hai
Kisi ke sath kitni door tak jaana hai aur kab lout aana hai
Kaha aankhen milana hai kaha palken jukana hai
Ya ye lekho ke ab ki baar jab wo melne aaye ga
Tu us ka hath apne hath main le kar
Dhanak chehre par roshan jagmagati raqs karti us ki aankhon main uthar jayen ge aur phir gulshan-o-sehra ke bechon beech dil ki sultanat main khak urayenge
Buhat mumkin hai wo ajlat main aaye
Aur tum us ka hath hathon main na le pawo
Na aakhon main hi jhankon aur na dil ki sultanat ko fatah kar pawo
Jaha gugtagon karni hai khamosh ho jawo
Jaha khamosh rehna hai waha tum bolte jawo
Naye kamre pehan kar ghar se niklo meele ho jawo
Koi khushbo lagane ka irada ho tu sheeshi hath se gir jaye
Tum viraan ho jawo
Safar karne se pehle be sar-o-saman ho jawo
Muhabbat diary har giz nahi hai Aab-e-ju hai
Ju dilon ke darmiyan pehti hai khushbon hai
Kabi palkon pe lehraye tu aankhen hansne lagti hai
Ju aankhon main uthar jaye tu manzar aur pase-e-manzar shame jalne lagti hai
Kisi bi rang ko chole
Wahi dil ko gawara hai
Kisi maati main ghol jaye
Wahi maati sitaara hai.....

Ay Hawa ! Us sy Kehna

Ay Hawa!
Us sy Kehna
Sansey tu muntazir ab bi hain
Lab usay pukartey ab bi hain
Ansoo us naam pay behtey ab bi hain
Ay Hawa!
Us sy kehna
Wo Mohabbat jo zamaney sy chupai na gaye
Ye aur bat hai k batlai na gaye
Wo Ishq ki Manzaley Qaim ab bi hain
Ay Hawa
Us sy kehna
Us k Wajoob sy hain Dastiab Gehr Samandro K
Us Paiker e Husn K dam sy sab hi rang Zeest k
Fazain us sy Manoos ab bi hain
Ay Hawa!
Us sy Kehna
Ishq sy Wafa tak k Sab hi Silsaley
Jo hum dono ki chahto mai rahey
Wo silsaley Mumkinat mai ab bi hain
Ay Hawa
Usay Kehna
Mai Janta hu wo jo guzra Kal hai mera
Mai manta hu wo aane wala kal nahi mera
Magar......
Ay Hawa!!!
Usay Kehna
Mai & Mera Dil
Us ki Dastras mai Ab bi hai.....

Kitni raatein beet gayi

Kitni raatein beet gayi,
Kitne din beet gaye,
Bas beeta nahi to yaadon ka woh pal
Woh guzra hua kal..!!


***______________***


Beeti nahi to bas aankhon ki nami,
Aur mere jeevan mein teri kami,
Beeta nahi to yeh dard ka samaa,
Jo tu mujh ko de gaya..!!


***______________***


Aati nahi to labon pe hansi,
Tere gham ki yaad rula gayi,
Na jaane tu kaisi saughaat de gaya,
Dard-o-gham to mere daman se jod gaya..!!


***______________***


Ab to andhera hi achcha lagta hai,
Tamanna-e-roshni maar gayi,
Kitni raat beet gayi,
Kitne din beet gaye,
Humari aankhein mein to ashq bhare hi reh gaye..!!!


***______________***



Wo Aksar Bhool Jatii Hai

Wo Aksar Bhool Jatii Hai
Kabhi Khwaabon Key Jungle Mein
Kabhi Yaadon Kii Daldal Mein
Kisi Din Taiz Baarish Mein
Kabhi Darya Key Dhaarey Par
Kabhi Sehra Kinaarey Par
Wo Mera Naam Likhtii Hai
Kabhii Likh Kar Mitatii Hai
Kabhi Likhney Sey Pehley Hii
Mita Kar Hasney Lagtii Hai
Kisi Din Shaam Sey Pehley
Mitaana Bhool Jatii Ha
To Saari Raat Rotii Hai ......

Pyar mai tumhare nafrat nahi

Pyar mai tumhare nafrat nahi hai is ka suabot hum hain

hamen aapke pyaar pe bharosa hai is liye tumhare hum hain

Siva tere is dil me koi or bas sakta nahi

Is liye aap hame chorne k baray me kabhi soch sakte nahi....

Har pal is dil me teri yaad aati rehti hai

Is liye ye jaan bhi aap par hamesha mar mitne ke liye hazir rehti hai....

In aankho ke aansuyo ko hum teri yaad me behne se rok sakte nahi

Waise hi is dil ko aapke barray me na sochne se hum rok sakte nahi

Har pal dekhu sirf tere sapne

Sapne se jab uthu tab lagey kab banogay tum mere apne

Ha ham ne bhi aapse diwangi ki had tak pyaar kiya hai

magar hum aa na sake to aapka kya hoga?

is khayal se bhi dara karte hain

to bhi is dil me ek umid hai….

hum ek na ek din zarur milenge ye aas hai

tum hi ho jo is dil ki pyaas bujha sakte ho

or meri rah me phul bicha sakte ho

isiliye ye dil tere pyaar me pagal hai

chaho na chaho magar ye dil tumhari taraf hi murta hai

Hum jab bhi raste se guzrte hain

tab aisa lagta hai kahin se to mera pyaar

mujhe dekh raha hai..

magar bad me is pagal dil ko samjati hu

akele hi muskurati hon or khudh se kehti hon aayega wo din bhi

jab mera pyaar mere pass hoga.

or sirf mujhe dekh kar pyaar ko qarib se jane ga......

teri yadoon ki mehak


Yadoon Ki Mehak...

teri yadoon ki mehak,
sath liye akser hum ,
door khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain,
kyun k main janta hon,
hum aur tum
sirf khuwaboo main he mil saktey hain,
mainay socha hai is baar tumharay humraah,
aik aisi jaga utroonga,
aur tumhain apnay paas bitha ker,
aankho main aakhain daal ker,
bari himmat ker k tum say keh donga,
tumsay keh donga k tum meri ho
tum jo chahho to,
meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do,
zindagi yun to bohut thori hai muhabbat k liye
tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do,
kuch to bolo,
kuch to bolo
kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
bus yehi chund khiyalaat liye
teri yadoon ki mehak sath liye
akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian
kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain....

December Ki Thatharti Hoi Shamien



SuNooo....


December Ki Thatharti Hoi Shamien
Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien
Darakhto'n Se Girtey Huay
Khushk Zard Pattey
Woh Gao'n Ke Tama'm Raste
Mohabbato'n Ke Tama'm Rishtey
Khiyaal Abad Karte Hain
Tumhein Sab yaad Karte Hain...!!!

Kainat K Asool Pe

Kainat K Asool Pe

Shab-O-Roz Badaltay Hain

Masum B Ik Saal Main

Kai Rang Badaltay Hain

Yun Hi Fasloon Ki Taal Pe

Log Zindigiyan Badaltay Hain

Andaz Badaltay Hain

Jinhain Apna Samjhtay Hain

Wo Log Badaltay Hain

Go Har Pal, Har Lamha Badalta Hay


Faqat



Ik Mausm Musalsal Rehta Hay

Totay Howay Dil Main

Halchal Si Rehti Hay

Ab B Tu Yaad Ata Hay

Ab B Dil Doob Sa Jata Hay

Ankh Bhar Si Ati Hay

Ab B Ratjagoon Ka Daira Lagta Hay

Taron Ki Mehfil Sajti Hay

Tanhai Gungunati Hay

Udasi Ka Jaam Pilati Hay

Ansowon Say Daman Jalthal Sa Rehta Hay

Ye Meri Zindagi Ka Mausm Hay

Jo Musalsal Rehta Hay !!!

Door ek Laash pari hai

Dekho...

Door ek Laash pari hai..

Chohraaye key Daaie'n Janib

Konay per sun-san gali ki

Kachra-Kundi dekh rahey ho ?

Os ke pas, Lahoo me Luthrri

Khak-Alooda, Bhikrri Bhikrri

Ghair Ya apna, kon hai Jane ?

Aao ..! Dekhe'n aur Pechane'n

Naqsh mita daley, Goli ney

Rangat khoon me Doob gai hai

Jeib ta-tolo, kya rakha hai ?

Ye 2 khoon se tar, Gajray hen

10, 10 ke do note rakhey hen

Haath jo neechey daba hoa hai

Es ki sakhat griffet me kya hai ?

Shayad..! hai school ka Basta

Jeib se ye kya Jhaank raha hai

Ek Parcha hai, Khat hai... shayad

Tooti Phooti si Urdu mein

Rang-Brangi Pencilo'n key

Sab Rango'n se Likha hoa hai

.
.
.
.
.

" Aaj Jo Bhoolay Basta mera
Katti ho jaye gi... tum se toffee aur Biscut bhe lena...!
Peyarey Abu, Jaldi ana...!!!"


****************

Yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage


Yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage
Kisse kya khabar hai kahan toot jayen
Mohabbat ke darya main tinke wafa ke
Na jaane yeh kis morr per doob jayen

Ajab Dil ki basti ajab Dil ki vaadi
Her ek morr mausam nayi Khushiyon ka
Lagaye hain humne bhi sapno ke podde
Magar kya bharosa yahan baarishon ka

Muradon ki manzil ke sapno main khoye
Mohabbat ki raahon pe hum chal parhe the
Zara door chal ke jab Aankhein khuli to
Karri dhoop main hum akele kharre the

Jinhein Dil se Chaha jinhein Dil se pooja
Nazar arahe hain woh hi ajnabi se
Rivayat hai shayad yeh sadiyon purani
Shikayat nahi hai koi Zindagi se…

Kaise kahoon keh kya ho tum

Kaise kahoon keh kya ho tum*
Chalo main bataaun Kya ho tum*

Mere liye meri Duniya ho tum*
Choo ke jo guzri woh Hawaa ho tum*

Main ne jo Maangi, Woh Duaa ho tum*
Kare Mujh ko jo Roshan, Woh Diya ho tum*

Dil yeh kahe mera Jiya ho tum*
Kiya main ne mehsoos woh ehsaas ho tum*

Meri Nazar ki Talaash ho tum*
Meri Zameen ka Aakaash ho tum Laughing*

Mere Chehre ki Kashish ho tum*
Mere Sitaaron ki Gardish ho tum*

Meri Zindagi ka Qaraar ho tum*
Main ne jo Chaha woh pyar ho tum*

Mere Intezaar ki rahat ho tum*
Mere dil ki Chahat ho tum*

Tum ho tau yeh Duniya hai meri*
Kaise kahoon keh Meri jaan ho tum*

Ab wakt-e-judai hai mujhay ab alwida kah do

Ab wakt-e-judai hai mujhay ab alwida kah do
Ab phir wo tanhai hai mujhay ab alwaida kah do

Main lakh bura tahra hon yaron ki nazar may
Dil roo to raha hay magar aab alwida kah do

Meray AANSOO to meray hain meri khushian tumhari hain
Mobarak tum ko yea khushian mujhay aab alwida kah do

Meray janay pay na rona mujhay tum yaad na karna
May tanha tha may tanha hon mujhay aab alwida kah do

Mujhay afsoos to hoga yon sab say door janay ka
Meri yadoon may tum sab ho mujhay aab alwida kah do

Kisi kay dard ki wajah kisi kay dukh ka may sabab
Bano ga aab kabhi na main mujhay aab alwida kah do

Mujhay choora tha apno nay mujhay apnaya tab tonay
Tera ahsan mand hon may mujhay aab alwida kah do

Meray AANSOO nahi ruktay mujhay aab dard hota hay
Na mera dard barhnay do mujay aab alwida kah do

Mujhay jo piyar kartay thay mujhay jo apna kahtay thay
Wohi aab door hum say hain mujhay aab alwida kahdo

Mujhay kaflay ki talab na thi mujhay manzilo ki na chah thi
Mera dard mera tha humsafar mera dard meri hayat thi

Mujhay tonay chalna sikha dia mujhay manzilo ka pata dia
May na chal sakon ga tere sath aab : mujhay alwidda kah do..

Agar Mujhsey Mohabbat Hey Mujhey Sab Apney Gham De Do

Agar Mujhsey Mohabbat Hey Mujhey Sab Apney Gham De Do
In Aankhoun Kaa Har Ik Aansou Mujhey, Meri Qasam De Do
Agar Mujhsey Mohabbat hey …

Tumharey Gham Ko Apna Gham Banaa Loun To Qaraar Aaye
Tumhara Dard Siiney Mai Chhupaa Loun To Qaraar Aaye
Vo Har Shay Jo Tumhain Dukh Dey Mujhey Merey Sanam De Do
Agar Mujhsey Mohabbat hey …

Shareek-E-Zindagi Ko Q Shareek-E-Gam Nahin Kertey
Dukhoun Ko Baant Kar Q In Dukhoun Ko Kam Nahin Kertey
Tadap Is Dil Ki Thodi Si Mujhey merey Sanam De Do
Agar Mujhsey Mohabbat hey mujhye sarey apney gham de do …

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chali jana,

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chali jana,

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chali jana,

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chali jana,

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chali jana,

Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chali jana,

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama‘at ko talab hai wo suna do phir chali jana,

Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chali jana

Mere ek-ek ansoo ka hisab dena hoga

clMere ek-ek ansoo ka hisab dena hoga
Aye sangdil tujhko bhi meri tarha rona hoga

Siskiyo main lipti tanha bojhal raate
Har shab tujhko bhi meri tarha tadapna hoga

Mit rahi hai zindagi lamha-lamha teri yaado main
Aye-aarzoo-e-jaan ek din tujhko bhi mitna hoga

Rang layegi meri wafa ek din dekhna tu bhi
Pachtawe ki aag main tujhko bhi jalna hoga

Zulmat-e-shab guzari.. tadapte sitaro ki mehfil me
Lamhe-lamhe ka hisab tujhko bhi sanam dena hoga

Kitna kamzor tha tera pyar duniya ki baato me aa gaya
Degi daga duniya aur sar-e-raah tujhko lutna hoga,

Roz-e-mahshar mere ansuon ka hisab hoga
Aye zalim tujhko uske har ansoo ka hisab dena hoga

Wo Jab Bhi Mujh Say Milti Thi


Wo Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
Har Baar
Ek Masoomiyat Say
Poocha Karti Thi
Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
Aur Main Har Baar
Us Ke Chehrey Ko Choo Ke
Qasam Khaya Karta Tha
Par Kaash!!!
Mainey Aik Baar Hi Us Say Poocha Hota
Ke
Tum Mairi Hi Ho Na???

Suna Hay Jana ...... December Aanay Wala Hay

Suna Hay Jana ......
December Aanay Wala Hay

Tum Us Say Kehna..
Ab Keh Udaas Nahi Hona
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain
Ab Tu Hamari Saansay ...
Ak Dosray Ki Saanso Say Chalti Hain
Hamaray Dil Tu Ab Jaana
Ak Doojay Kay Seenay Main Dharaktay Hain

Usay Kehna -----------------

Main Nay Apnay Sab Sapnay
Teri Aankhon Main Bou Diye Hain
Ab Hamari Neenday
Hamaray Rat-Jagay Bhi Sanjhay Hain
Ham Ak Saath Ab
Ak Jesay Khowabo Main Utartay Hain

Usay Kehna --------------------

Ager-chy ...
Chaar-so Nazro Kay Hazaro Pehray Hain
Lakin ...
Ham Ak Doojay Main Magan Esay Keh
Ham Ab Zamanay Say Nahi Dartay Hain Jaana

Usay Kehna --------------------

Ham Mohabbat Kay Samandar
Main Ab Ak Saath Utar-tay Hain
Mohabbat Kay Geet Gaatay Hain
Wafa Kay Phool Chumtay Hain
Ham Akelay Bhi Hon Tu
Kabhi Tanha Nahi Hotay
Ab Tu Hijar Main Bhi
Wisaal Ka Sama Rehta Hay

Jaana Ab Kay
Tum DECEMBER Say Kehna
Ab Kay Udaas Nahi Hona..
Ab Tu Mohabbat Kay Sab Hi Taqazay Pooray Hain ------!!!!!!

Gulab chehre pay muskurahat

Gulab chehre pay muskurahat

Chamakti ankhon main shokh jazbay...

Wo jab bhi college ki sirhiyhon se

Sahaliyo ko liye uterti.........

Tu aisa lagta the jase DIL main uter rahi ho ,

Kuch aise taykan se baat karti thi jase duniya,

Us ki aankho se dekhti ho,

Wo apne rastay main DIL bijhati hui nigahon se has ke kehti,

Tumhare jase bohat se larkon se main ye batain

Bohat se barson se sun rahin hoon,

Main sahilon ki hawa hoon nilay samandaro se bani hoon-

Wo sahilon ki hawa si larki

JO raah chalti tu aisa lagta jase dil main uter rahi ho,

Wo kal mili tu isi tarha thi-

Chamakti aankho main shokh jazbe,Gulab chehre pe muskurahat

Ke Jase chandi si pighal rahi ho,

Magar jo boli tu us ke lehjay main wo thakan thi

KE JASE SADIYON SE DASHT-E-ZULMAT MAIN CHAL RAHI HO...

Muhabbat dil pe dastak hai

Muhabbat dil pe dastak hai!
Badan ko rooh ka
raasta dikhati hai
muhabbat ik dua hai
jo!
Hamesha saath rehti hai
muhabbat thandi chaon hai
jo!
Sehraon ke saffar main
kaam aati hai
muhabbat us ka pallo hai
jahan umeed ke kuch lafz
bandhey hain
muhabbat us ki aankhain hain
ki!
Jin main khuwab jaagtey hain
muhabbat uska chehra hai
ki!
Jis main dil ki teh main
rakhi khuwahisain
saans leyti hain
muhabbat dil pe dastak hai!

Aghar Tapakta Ashkon Ki Jagah Lahu Aankhon Se


Aghar Tapakta Ashkon Ki Jagah Lahu Aankhon Se
Koi Kisi Ko Phir Shayad Hi Rulata

Dil K Tootne Ki Hoti Jo Awaaz
To Tumhen Mere Dard Ka Andaza Ho Pata

Yadain Jo Na Aati Yunh Khamoshi Se Chupke chupke
To Mere Ghar Ki Raunaq Hoti TeRi MehfiL Se Bhi Zyada


Na Hota Agar Chand Main Daag
TeRi KhubsoRti Ka Mujhe Tod Mil Jata

Agar Karta Na Koi Kisi Se Bhi Be-Wafaai
To Shayron Mein Mera Naam Kahan Se Aata...

mere hamsafar mere hamnashen

mere hamsafar
mere hamnashen
main ne rab se manga to kuch nahin
main ne jab bhi mangi koi dua
nahin manga kuch bhi tere siwa
ye talab kiya ke mera khuda
sabhi rahtein
sabhi cyahtein
wo ata kare tujhe manzilen
ye talab kiya ke mera khuda
tujhe bakht de
tujhe taj de
tujhe takht de
mere hamsafar
mere chara gar
ye hai dosti ka kathan safar
mere saath chalna zara soch kar
zara dekh to mera hosla
mere paas jo bhi wo hai tera
nahin aur kuch bhi tere siwa
meri dosti
meri zindagi
meri bebasi
meri khamoshi
mera ilam bhi
mera naam bhi
ke meri subhu
meri shaam bhi
ke jo mil saken mere daam bhi
wo sabhi kuch tujhe ata kare
mere hamsafar
to yaqeen to kar
mujhe mangna to na asaka
main ne phir bhi mangi yehi dua
ke gawahi de ga mera khuda
main ne jab bhi us se talab kia
nahin manga kuch bhi
teri khushi ke siwa

KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN


KUCH LOG BADAL GAYE HAIN...

Is raat ki.. Tanhaeeyo ke
Sab rang badal Gaye hai
Chand nikla hai waise hi
Andhere badal Gaye hai
Jinke bharose thi khusiyan
Wo badal Gaye hain
Manzile to abb bhi WO hi hain
Kuch rastay badal Gaye hain
Jinpe kiya tha bharosa humne
Wo dost bicharr Gaye hain
Dakhe thay kabhi jo humne
Wo kahwab badal Gaye hain
Jo banay thay kabhi hamsafar
Aaj WO hi mukarr Gaye hain
Ais tutay huye dil kay saray..
Jazbaat badal Gaye hain
Na badle kabhi hum
Na badle hamaray khayalat
Bas rona hai yahi......

KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN

Dheeray dheeray khamoshi say

Dheeray dheeray khamoshi say
Raat k bheegay aangan main
Tapak rahi hai ankh say shabnum
Janay kis ki yaad liye
Chand bhi tanha
Main bhi tanha
Jag rahay hain hum dono
Kon chura k neend humari
Hum ko tanha chor gaya
Dekh k apna apna chehra
Jheel k thehray pani main
Dhoond rahay hain khud ko shayad
Maazi k weerano main
Raat ki sardi main kis ki
Sanson ki garmi phail gayee
Yaad k jaltay angaron per
Phir hasrat nay aah bhari
Jaagti ankhain dekh rahi hain
Khuwab jo pooray ho na sakay
Tu bhi so ja chand akelay
Mujh ko bhi so janay day...

maa rahmat ki barsaat

maa rahmat ki barsaat




Jab to paida howa kitna majboor ta,
Yeh jahan terey soochon se bhi door ta,

Hath poin bhi tabh teray apne na thay,
Terey ankhon main duniya k sapnay na thay,

Tujhe ata tah jo sirf rona hi tah,
Dhodh pee keh tera kaam sona hi tah,

Tujh ko chalna sikhaya Maan ney teri,
Tujh ko dil main basaya ta Maan ne teri,

Maan k saey main parwan charthne laga,
Waqt k sath kadh tera barthne laga,

Zoor-e-bazoo peh to bat kerne laga,
Khudh hi sajhne laga,khudh sanwarney laga,

Ik din aik haseena tujhay bhaa gaey,
Bhan k dulhan phir wo taray gher agay,

Farz apne se to door hone laga,
Bejh nafrat ka khudhi bonay laga,

Phir to Maan Baap ko bhulane laga,
Teer baton k phir to chalane laga,

Baat beh baat to unse larthnay laga,
Qaida ik bhana phir to phartne laga,

Yaad ker tujhse Maan ney kaha aik din,
Ab humara guzara nahi teray bin,

Sun k yeh baat to taish main agayah,
Tera gusa terey aqal ko kha gayah,

Josh main a keh to ne maan se kaha,
Main ta khamosh dhakta hi raha,

Aj kehta hon pecha mera chorth do,
Jo hai rishta mera tumse wo torth do,

Joi ja ke kahain kaam dhanda karo,
Loog martay hain tum bhi kaheen ja maroo,

Beth ker ahain bhartay they wo raat bhar,
Unki ahoon ka howa na tujh per asar,

Tera Baap ik din chala roth ker,
Kaisay bikharey they phir terey Maan tooth ker,

Phir wo bebas ajal ko bulate rahe,
Zindaghe her pal ush ko satate rahe,

Aik din moot ko bhi tarsh agaya,
Uska rona bhi taqdeer ko bha gayah,

Ashak ankhon main thay wo rawana howey,
Moot ka aik hichki baha nah howey,

Aik sakon uske chahray per chane laga,
Phir to mayat ko uski sajaney laga,

Mudatain ho gaey aj bortha hai to,
Jo parta totey khatiya peh korta hai to,

Teray bachay bhi ab tujhse dartey nahi,
Nafratain hain mohabatain wo kartay nahi,

Dard main to pukarey oh mere Maan,
Teray dum se hi roshan thay donon jahan,

Waqt chalta hai waqt rokta nahi,
Toth jata hai wo jo jhokta nahi,

Bhan k ebrat ka to ab nishan reh gayah,
Dhondhay zoor tera kahan reh gayah,

To Ehkam-e-Rabi bhulata raha,
Apnay Maan Baap ko to satata raha,

Kaat laey wohi to ney boya tah jo,
Tujh ko kaishe milay to ney khoya tah jo,

Yaad ker k gayah doer ronaey laga,
Kal jo to ney kiya aj hone laga,

Moot mangay tujhay moot atey nahi,
Maan ki surat nighahon se jathe nahi,

To jo khansay to ulad dhanthay tujhay,
To hai nasor dukh kon bantay tujhay,

Moot aey ghey tujh ko magar waqt per,
Bhan hi jaey ge terey qabar waqt per,

Qadar Maan Baap ki to pehchan laey,
Apney janat ko duniya main pehchan laey,

Aur laita rahey jo barthon ki duwa,
Ush k donon jahan uska hami Khuda,

Yaad rakhna tum merey is baat ko,
Bhool jana na Rehmat ki Barsaat ko..

Us ney poocha

Us ney poocha!!!!!

Us ney poocha
Haath ki Lakeeroon per hai Yaqeen tumhara?
Maine kaha bas thora thora
Wo bola, dikhlana to tehreer hai kiya haathoon per tumharay...?
Maine kaha chor do janay do
Kiya rakha hai in baatoon mai
Us ne jab israar kiya to
Maine mutthee khool dikhai
Us ne haath ko thama' daikha aur ye bola
"Cross" bahut hain zaida is per
Waisay qismat buree naheen hai
Haath chura ker mai ye bolee
Sach kehtay ho yunhee hoga
Tab wo aahista se bola
Sach poochoo to,mainay to sab jhoot kaha hai
Qismat k is ilm se mai bhee na waqif hoon
Maine to bas haath tumhara choona chaha....!!

Chaha jana tou faqat ik adat hai


Kahin Yeh Waqai Ajnabi Tou Nahi...

Chaha jana tou faqat ik adat hai
Jab buhat hadd se barh jaye muhabbat tou
hasil sirf mehroomiyan aati hain
faqat itni si hoti hai muhabbat
Koi iqrar-e-wafa karta hai
dil yaad usi ko kart ahai
lamha lamha beqarariyan barhti hain
wisl ke lamhe waa hote hain
aur phir ik taraf berukhi ka saman hota hai
dil toot ta hai ankhon se ashk rawan hote hain
faqat itni si hoti hai muhabbat
kab koi umer bhar chahta hai kisi ko
har ik lamhe mein hasil ruswayian ati hain
mehboob ko faqat hasil tanhayian ati hain
phir yeh baat samjh mein ati hai
faqat itni si hoti hai muhabbat
woh jiske liyeh hum raton ki neendein ganwa dete hain
woh jise hum khud se barh ker chahte hain
woh woh ik lamhe mein aise ajnabi banta hai
dekh kar khud ko bhi yeh guman hota hai
kahin yeh waqai ajnabi tou nahi
phir kahin jaker yeh baat samjh mein ati hai
faqat itni si hoti hai muhabbat...!!!

YE ZINDAGEE AJEEB SI


YE ZINDAGEE AJEEB SI!

KABHI GULZAAR SI

KABHI BAIZAAR SI

KABHI KHUSHI HAMARAY SATH SATH

KABHI GHAMON KI BARSAAT SI

YE ZINDAGEE BARI AJEEB SI

KABHI TOOFAN MAIN BHI HAIN RAASTAY

KABHI MANZILON KA PATA NEHE

KABHI DO QADAM PAY HAY ZINDAGEE

KABHI SADIONKA INTIZAAR SI

KABHI HAR PAL IMTIHAAN HAY

KABHI BIN MAANGAY INAAM HAY

KABHI KUCH Nahi

KABHI SAB KUCH HAY

YE ZINDAGEE AJEEB SI

KABHI GULZAAR SI

KABHI BAIZAAR SI

YE ZINDAGI AJEEB SI!!!!

Kia tum bhi

KiA TuM BhI ??
ShAm ki DehleeZ Pay Aas ka DiYa JaLaTaY Ho
AuR KiSi BerG.e.AwaRa ki aahat PeR
DerWazAy Ki JaNiB BhAgHay JaTay ho
KiA Tum Bhi??

DeRd ChUpanay Ki KoShIsH keRtaY KeRtaY
AkSeR ThAk SaY JaTay Ho
AuR Bin KarUn MuSKaTay ho
KiA Tum Bhi??

NeeNd Say PehLay PaLkoon Per DhaiRooN khawaB SaJatAy Ho
Ya PheR!!!
ByKhawAb JaZeeRoon Mae
RooTay RooTay So JaTay Ho
KiA Tum Bhi??

MERI BEBASI MERI MAUT HAI

MERI BEBASI MERI MAUT HAI
TERI BERUKHI TAU ZEHER NAHI

HER WADA HAI WAFA YAHAN
YE DIL HAI TERA SHEHER NAHI

HAN TU KEON LOT KAR AYE GA
IK KAFLA HUN MEIN MANZIL NAHI
JAHAN KHUSBO HO CHARON AUR
YE WO CHAMAN NAHI GULISTAN NAHI

AB HAR TARAF IK SANATA IK KHAMSHI CHAI HAI
IK MELA THA JAHAN YEA WO SHEHAR NAHI
YE TERAY HI QADMON KI CHAP HAI SHAYED
MAGAR YE MERI GALI NAHI MERA MAKAN NAHI

MERI BEBASI MERI MAUT NAHI
TERI BERUKHI TAU ZEHER NAHI

Ab KOI WADA NAHI WAFA YAHAN
YEA GAUR HAI.. DIL NAHI.. TERA SHEHER NAHI..

Tumhain jaan'na ijazat hai


Tumhain jaan'na ijazat hai
Koi bhi rasta chun lo
Humaray muntazir tehro
Ya hum ko alwida keh do
Tumhain jaa'nan ijazat hai

Humaray paoon main tou
Waqt ki zanjeer liptii hai
Qabal is k, k thak jaoo
Humaray saath chal k tum
Mohabbat ki thakawat tum ko
Hum say bad-guma'an kar day
Qabal is k, k har aik
Har aik wapsi ki raah khoo jaye
Jo socha bhi nahi hum nay
Wohi kal ko jo ho jaye
Tumhain jaan'an ijazat hai

Koi bhi faisla kar lo
Humaray muntazir tehroo
Ya hum ko alvida keh do
Humara tum say ye wada hai
Tumharai yaad ko hum tou
Sada dil k dareechay main
Youn he aabad rakhain gain
Tumhain hum yaad rakhain gain
Tumhain jaan'an ijazat hai
Tum apnay hosloon main jub
Thakawat see kabhi paoo
Kisi piyaray say mukhray ki
Haseen aankhon main kho jaoo
Ijazat hai tumhain jaa'nan
Agar is pal jo tum chahoo
Koi bhi faisla kar lo
Humaray muntazir tehroo
Ya hum ko alvida keh doo......................!!

Abhi tak dil dharakhta hai


Usay kehna,
Abhi tak dil dharakhta hai
Abhi tak saans chaltii hai
Abhi tak meri ye ankhain
Soohanay khawab bunti hain
Meray hontoon ki junbish main
Tumhara naam rehta hia
Abhi barish ki bondoon main
Tumhara piyar baqi hai
Usay ye bhi bata daina
Abhi izhaar baqi hia
Abhi yaadon k kantoon say
Mera daman ulajhta hai
Tumhara piyar seenay main
Kahin ab bhi dharakhta hai
Hawa ab bhi mawaqif hia
Humaray saath chaltii hia
Usay kehna...!!
Judai ka abhi mousam nahi aaya
Mohab'bat ki kahani main
Kahin par ghum nhai aaya
Magar sub kuch badalnay main
Bhala kai dair lagti hai
Naya sooraj nikalnay main
Bhala kai dair lagtii hai
Usay kehna!!
Woh jaldii faisla kar lay
Naiee rastoon pay chalnay main
Bhala kia dair lagtii hai ............!!

itna na terparoo

itna na terparoo
k tarap, tarap na rahe

suraj ke kirnain na rahain
chand ke chandni na rahe

dil main kasak na rahe
aankh main jalan na rehe

tamana, aarzo na rahe
khawab, khuwab na rahe

tanhayee ka ehsas na rahe
dukh, dukh na rahe

itna na terparoo
k tarap, tarap na rahe...

mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra


mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra
meri neendain churata hai tumhara chand sa chehra

keh jub bhi zikr hota hai kisi hoor-o-shumail ka
mujhay phir yaad aata hai tumhara chand sa chehra

falak k in sitaroon ko main sari raat ginta hoon
mujhay shub bher jagata hai tumhara chand sa chehra

main jub bhi dard ki tughyanioun mein doob jata hoon
mujhay wapis bulata hai tumhara chand sa chehra

andheri ratoon mein aksar tumhain main yaad kerta hoon
kahan gum ho sa jata hai tumhara chand sa chehra

hai jo charon taraf phaili teri hi roshni hai ye
falak per jagmagata hai tumhara chand sa chehra....

Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan


Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na Day,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na Day
ujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha esey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.....

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Gharri Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho Iss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna .....!!

Meri chahat ka safar iss liye doshwaar raha

Meri chahat ka safar iss liye doshwaar raha
Main muhabaat mai wafaon ka talabgaar raha

Ho gaye sare gilay door juda hotay he
Ghamzada wo hai na main us ka talabgaar raha

Inn hawaon main abb dhondta phirta hoon usay
Jin hawaon se kabhi barsar-e-pekaar raha

Naa muradi k siwa hijar k aram bhi thay
Phir zamane ka zamana he sitam gaar raha

Jazb-e-shok ne us waqt bhi chaha tujh ko
Jub wo shokhi na wo gaysoo naa wo rukhsaar raha

Ankh k gird koi zabt ki dewaar rahi
Aik dariya ka talatam pas-e-dewaar raha

Aik hasrat se meary dil mai kahen aur bhi thi
Her badalti huwi rut main gham-e-dildaar raha

Iss qadar humsafri se tha harasaan wo shakhs
Saath he chor gaya dasht k us paar raha......

Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye

Koi mera bhi to ho saath nibhanay ke liye
Mujhe maangey KHUDA se apna bananey ke liye
Mere aansoo meri palkon se churanay ke liye
Bas wohi ho mujhe seenay se laganey ke liye
Yun to hain chahnay walay bohat se dunya mein
Nahin hai koi magar saath nibhanay ke liye
Din bhar khwaab jo tootay thay samaitay humne
Phir so gaye naye khwaab sajanay ke liye
Roz ik Jehd-e-Musalsal mein lagi rehti hoon
Meri saanson ki rawaani to faqat dhoka hai
Haan main zinda hoon magar sirf dikhanay ke liye......

Kia khabar tum ko dosti kia hai

Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tu maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai sach bhi hai
Dil main reh jaye tu kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi hai sangeet bhi hai
Shair bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lo tum
Pyar ki inteha bhi dosti hai...

Mere Saahir Se Keh Dena

Mere Saahir Se Keh Dena......!!

Musaafir Aaj Tak Chup Hay...
K Uss k Haath Mein Tum Ne...
Jo Apna Haath Rakha Tha...
Vo Ab Tak Yaad Karta Hay....

Mere Saahir Se Keh Dena...........

K Sadiyon Ki Musafat Ne...
Mere Pairon Se Baandhi Hay...
Thakan Ab K Baras Itni......

K Apni Doobti Nabzoon Se Main Khaayaf Sa Rehta Hoon

Na Jaanay Kab Kahaan Pe Umer Ki Yeh Dor Kat Jaaiy.....

Main Apnay Aur Tumhaary Beech k In Faaslon Ko....
Chand Saanson Ki Kami Se Haar Na Jaaon.....
Bisaat-a-Jaan Par Phaili Dooriyon k Bojh Ko Le Kar....

Yunhi Mar Jaaon...!!!!

Mere Saahir Se Keh Dena..........

K Uss k Ishq k Talism Se Ab Tak Woh Nahi Niklay

K Jin Ko Uss Ki Aankhon Ne Faqat Ik Baar Dekha Tha


Mere Saahir Se Keh Dena..........

K Saaray Shehar Ko Mere

Yunhi Patthar Na Rehnay De

Mere Talism Kadon Mein Laut Kar Aaaiy

K Woh Patthar Tarastay Hain

Tumhaari Chashm Ki Jumbish Unhein Ik Baar Phir Kar De

Kisi Zee Rooh Ki Manind


Mere Saahir Se Keh Dena...............

Bichar Kar Tum Jo Miltay Thy

To Yun Mehsoos Hota Tha

K Jaisay Marg k Dhundley Kinaaron Tak Pohanchaty Hi

Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yaad Aa Jaaiy

Kaho Phir Se Chala Aaiy

K Uss k Laut Aany Se

Hamaari Doobti Nabzon Ko Phir Se Saans Aa Jaaiy! ! !

Agar Sehra Se Guzro To........

Mere Saahir Se Keh Dena..........!!!!!!!!!!

Be-Sada Lafzoon Main

Aaj Eesaa Karte Hain.!


Be-Sada Lafzoon Main
Waja-e-Zindagi Keh Kar
Wasaal Ki Zarorat Par
Phir Say Zor Daite Hain
Aaj Eesa Karte Hain

Zikar Wohi Karte Hain
Naam Or Daite Hain


Zabth K Kinaroon Say
Dard Aa Lipta Hai
Toot'te Kinarey Ab
Dard or Daite Hain
Aaj Eesaa Karte Hain

Dard Say Ulajh'te Hain
Zabth Toor Daite Hain


Tar Tar Daman Ko
Khaa'rr Khaa'rr Rahoon Main
Ranjee'shein Bhula Kar Hum
Aa K Joo'rr Daite Hain
Aaj Eesaa Karte Hain

Hum Nahi Palat-te
Rahoon Ko Moor Daite Hain


Sabz Sabz Mosam Main
Lal Lal Ankhoon K
Khuwaboon Ki Ragoon Say Hum
Khoo'n Nechoor Daite Hain
Aaj Eesaa Karte Hain

Yeh B Kar Guzarte Hain
Khuwab Toor Daite Hain



Aa K Ab Duaaoon Ki
Mata'mee Radaoon Main
Phir Say Keh Kar Alwedaa
Moqaa Or Daite Hain
Aaj Eesaa Karte Hain

Darya Main U'tarte Hain
Rab Pee Choor Daite Hain

Yanha Apni Apni Bari Per

Yanha Apni Apni Bari Per,

Sab Hanstay Hain,
Sab Rotay Hain,

Dil Tu Sab Ka Hota Hai,
Aur Dukh Bhi Sab K Hotay Hain,
Kuch Askh Dil Pay Girtay Hain,
Kuch Matti Main Mill Jatay Hain,

Kuch Lafz Aada Ho Jatay Hain,
Kuch Honton Main Sil Jatay Hain,

Mana K Adhuray Rehtay Hain,
Per Khuwab Tu Sab K Hotay Hain,
Kuch Kho Kar Bhi Paa Laitay Hain,
Kuch Paa Kar Bhi Kho Daitay Hain,

Yanha Apni Apni Bari Per,

Sab Hanstay Hain,
Sab Rotay Hain...

Jo Na Badla Tha Kabhi Us Ko Badaltay Daikha


Jo Na Badla Tha Kabhi Us Ko Badaltay Daikha
Gham Mujhay Day Kay Usay Haath Bhi Maltay Daikha

Aaj Tak Mil Na Saki Showq.o.Talab Ki Manzil
Kab Say Duniya Ko Isi Raah Pay Chaltay Daikha

Barh Kay Ik Owr Zamaanay Nay Laga Di Thokar
Jab Kisi Dard Kay Maaray Ko Sanbhaltay Daikha

Aik Ik Mowj Pay Saahil Ko Rahi Us Ki Talaash
Jis Ko Toofaan Ki Aaghosh Mai'n Paltay Daikha

Jab Hansi Aai Muqaddar Say Mairay Honto'n Pay
Aansuo'n Ko Bhi Usi Waqt Nikaltay Daikha

Ru'Baroo Un Kay Háya Woh Maira Josh-e-Girya
Ik Samander Tha Jo Aankho'n Say Ubaltay Daikha

Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hen

Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hen..!


Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hen
Jab Ankh Main Khuwab Damakte Thai
Jab Dil Main Dagh Camakte Thai

Jab Palkein Shehr K Raston Men
Askhoon Ka Noor Luta'ti Thi
Jab Sans Ujlay Cheroon Ki
Taan Maan Main Phool Sajati Thi
Jab Chand Ki Rim'Jhim Kirnoon Say
Sochoon Main Bhanwar Par Jate Thai

Jab Eik Talatum Rehtaa Tha
Apne Bai'Anth Khayaloon Main

Har Ahed Nibhane Ki Qasmen
Khaat Khoon Say Likhne Ki Rasmay
Jab Aam Thi Hum Dil Waloon Mein
Ab Apne Phe'kay Hontoon Par
Kuch Jalte Bhujte Lafzoon K
Yaa'Qout Pegalte Rehtay Hain

Ab Apni Ghum'Som Ankhoon Main
Kuch Dhool Hai Bekhri Yadoon Ki
Kuch Gard'Alooda Say Mosam Hein

Ab DHoop Ugalti Sochoon Main
Kuch Pai'man Jalte Rehte Hain


Ab Apne Weeran Angaan Main
Jitne Shub'hoo Ki Chandi Hai
Jitni Shamoon Ka Soo'na Hai
Us Ko Khak'sstar Hoo'na Hai


Ab yeh Batein Rehnay Di'jeeye
Jis Umr Main Kissay Bante Thai
Us Umr Ka Ghaam Seh'nay Di'jeeye

Ab Apni Ujri Ankhon Men
Jitne Roshan See Raten Hen
Us Umr Ki Sab Sugha'ten Hen

Jis Umr K Khuwab Khayl Hoye
Wo Pechli Umr Thi Beet Gaye
Wo Umr Beeta'yee Saal Hoyee

Ab Apni Ded K Rastay Men
Kuch Rang Hai Guzray Lamhoo Ka
Kuch Askhoon Ki Baraten Hen
Kuch Bhulay Basray Cheray Hen
Kuch Yadoon Ki Barsaten Hain

Yeh Pichlay Ishiqe Ki Batein Hain

Jo bhi kuch hai mohabbat ka phailaao hai

!! Jo Bhi Kuch Hai Mohabbat Ka Phailaao Hai !!

Jo bhi kuch hai mohabbat ka phailaao hai...!!
Tere mere abadd ka kinara hai yeh.........
Istiyara hai yeh...............

Roop ka daao hai...
Pyaar ka ghaao hai...
Jo bhi kuch hai mohabbat ka phailaao hai...!!!

Subh dam jis ghari, phool ki pankhari....
Os ka ayina jagmagaane laga....
Aik bhanwra waheen, dekh ker kahin.....
Shaakh ki aout se sarr uthaane laga....
Phool,bhanwra,talatum hai.... thehraao hai....!!
Jo bhi kuch hai mohabbat ka phailaao hai.....!!!


Khwaab kia kia chuney, jaal kia kia buney....
Mauj thamti nahi, rang rukte nahi....!!
Waqt ke farsh per, khaak ke raqs per................
Naqsh bante nahi, ab'rr jhukte nahi....!!!
Har musaafat ki duuri ka simtaao hai......
Jo bhi kuch hai mohabbat ka phailaao hai .....!!

Hawaei'n...!! Meri Terha Mayoos Lagti Ho

!!...Sheher-E-Khamosha'n...!!


Hawaei'n...!! Meri Terha Mayoos Lagti Ho..!!

Bohot Khamosh Aur Chup Chap Ho Kab Se.....

Tumhe Bhi Mil Nahi Payie'n Na Khushbu Bantne Wale..??

Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Aaj Khali Hai...!!!

Sawali Hai.....??

Hawa Meri Terha Tooti Si Lagti Ho..!!

Tumhare Haath Bhi Meri Terha Se Dard Aya Hai....!!

Gulaabi Mousamo'n K Naam Per, Hisse Mein Barg-E-zard Aya Hai..!!

Tumhein Bhi Raigaa'n Sari Musafat Yaad Aati Hain....!!!

Satati Hain....................

Hawa Meri terha Tum Bhi Larza'n Ho....??

Bohot Hi Sard Lagti Ho...........!!!

Tumhe Bhi Baraf Lehjo'n Ne Chatakhti Dard Deti.......

Sard Aaho'n Mein Badal Dala..!!!!!

Tumhe Bhi Zindagi Ke Wo Khuda Jaise Rawaiye Yaad Aate Hain....????

Rulaate Hain..???

Hawa Piyari !... Zara Sa Farq Baqi Reh Gaya Hum Mein...!!!!

Issi Ek Farq Ne Tum Ko Kaha Sansei'n.....!!

Mujhe Madfon Likha Hai.....!!!

Yehi Ek Farq Hai Hum Mein.....!!!

Tumhe Khushbu Kisi Din Khud Pukare Gi.........!!!

Ra'aunat Se Bharey Lehje.......

Sulagta Habs Mousam Seh Na Payei'n Ge....!!!

Dua Ka Roop Le Ker....!!

Sirf Tum Se Qurb Chahein Ge...!!

Mager Ik Farq Hai.......!!

Sheher-E-Khamosha'n Azan-E-Goyai Ko Tarse Ga...!!!!!!!!!!!

Be-Tahaasha Yaad Kia


" Yaad "

Be-Tahaasha Yaad Kia ....

Aur Bholayaa Bhi Buhat Hay Tujh ko..!!

Saari Roonaq Teray Damm Say Hay...

Aur....

Tere Bikhre Hoe Ghumm Say Hay...!!

Jis Qadar Meinne Tau'luk Tera Mehsoos Kia...

Itni Gehra'ee Toa Rooh Mein Howa Karti Hay....

Jis Qadar Meinne Teri Zaat Ko Khud Mein Paaya..!!

Itni Yak'tayee Kahan Millti Hay...!!

Faaselay Wuqa'tein Khoo Baitey Hein ...!!

Dooriyan Pheekhi Parein......

Itni Shidatt Say Tujey Soocha Hay....

Shidat'tein Ishq Ki Mai'raaj Howa Karti Hein....!!!!



_________________

Humein Awaaaz Matt Dena




" Humein Awaaaz Matt Dena "

Buhat Hu Ranjj Hay...!!

Aur Inteha'ee Be-Sukooni Hay..

Keh Hum Apne Jazbon Aur Wadoon Ki....

Tamana'on Ki Aur Apne Sabhi Khuwabon Ki...

Aisi Khoobsurat Aur Jawaan Lash'en.....

(Jinhein Hum Ek Nazer Dekhein

Toa Ab Bhi Unpe Humko Saans Lenay Ka Ghumaan Hota Hay)

Wojood Apne Samaith

Apne Hi Dil K Ek Ghooshe Mein....

Kissi Tareekh Shab Kay Haad'saati Say Kisi Lamhe K Ander...!!

Iss Tarag Say Dafann Kar Dhi Hein...

Keh Unko Khooj'na Toa Darkinaar...!!

Unka Nishaan Paana Bhi Abb Mumkin Nahe...!

So Pyaare........!!!

Tum Humein Ab Dhoondhne Ko Matt Nikalna....!!

Humein Awaaz matt Dena......!!

Keh Hum Ab Marr Chukey Hein ...!!

Akhri bar milo aise ke jaltay huay dil

Akhri bar milo aise ke jaltay huay dil

Rakh ho jaain koi aur taqaaza na karein

Chaak-a-wada na silay,
Zakhm-a-tamanna na khulay

Saans hamwaar rahay, shama ki lo tak na hilay

Baatein bas itni ke lamhay unhein aa ker gin jaaen

Aankh uthaaiy koi ummed to aankhain he chin jaaen

Us mulaqat ka ab koi weham nahin
Jis se aik aur mulaqaat ki soorat niklay

Ab nahin jaanan junoon ka na hakaayat ka waqt

Ab na tajdeed-a-wafa ka na shikaayat ka waqt

Lot gaiy shehr-a-hawaadis mein mata-a-alfaaz

Ab jo kehna hai to kaise koi noha kehiay

Aaj tak tum se rag-a-jaan k kaiee rishtay thay

Kal se jo ho ga usay kon sa rishta kehiay

Phir na dekhain aarz-o-rukhsaar milo

Maatami hai dam-a-rukhsat, dar-o-dewaar milo

Phir na hum hon, na iqraar na inkaar milo



Aakhri baar.....

Meri Jaan



Aakhri Baar Milo



_________________

Badaltay Mosam Badal Rahay Hain

Badaltay Mosam Badal Rahay Hain
Hazaar Rastay Nikal Rahay Hain
Tumhaari Dastak Ki Muntazir Hoon
Tumhain Sunaanay Ko Geet Kitnay
Mere Labon Par Machal Rahay Hain
Nadeem Mere
Kalaam Mere, Kaleem Mere
Chalay Bhi Aao Main Thak Gaee Hoon
Sajaa Ke Rakhoon Gi Ye Ghar Gharonda
Magar Adhoora Hai Saij Sapna
Na Jaanay Kese Ye Ho Raha Hai
Wo Door Mujh Se Main Door Us Se
Jo Hai Jahaan Bhar Mein Aik Apna
Haseen Mere
Harem-A-Dil Ke Makeen Mere
Chalay Bhi Aao Mein Thak Gaee Hoon
Har Aik Naimat Ki Aik Naimat
Tumhaari Chaahat Tumhaari Soorat
Magar Tumhen Kis Tarha Bataaon
Hai Farsh-A-Dil Par Nazar Jamaaiy
Hamaari Chaahat Hamaari Soorat
Suhaag Mere
Haseen Malhaar Raag Mere
Chalay Bhi Aao Mein Thak Gaee Hoon
Chalay Bhi Aao Mein Thak Gaee Hoon



_________________

Mairay pas teen cheezain hain



Mairay pas teen cheezain hain
rait mujhay wirasatt mein milli
pattharr main nay mehnatt say kamaya
aur yeh thorri si dhoop mujhay sarrakk parr
parri hui milli
main nay rait say apni umr banayi
main nay pattharr apnay pait parr bandha
main nay dhoop say apna saya banaya
main apnay sayay mein jallta hoon
main kissi pairr ka ehsan nahin loon ga
challtay challtay aik din apnay sayay parr girr jaon ga
tumm mujhay meri rait mein dafn karrna
mera patthar mairay pait say kholl karr meri qabr ka
qatba banana
aur meri dhoop ko azad karr daina...!

Hum Is Per Kuch nahi likhain gay

Hum Is Per Kuch nahi likhain gy...

Dil ka tumharay jo safhaa hai...

Wo aaj bilkul Sadaa hai..!!

Is per bhi toa likha tha HUM NE...

Aik Naam Kabhi

Paighaam Kabhi

Ashaar Kabhi

Sarkaar Kabhi

Wo Safhaa....

Tum ne DHO DALA

Wo Safhaa....

BILKUL KHALI HAI...!!

Ab kaghaz kay is safhay ko...

Kion Aagay Laa Kay Rakhtay Ho??

Kion Naam,

Paighaam,

Ashaar

Likhain...!!!

Hum Loag to jo Sarkar Likhain...............

Aik baar LIKHAIN...!!!!


Yeh mere haath ki garmi Jise choo ker

Yeh mere haath ki garmi
Jise choo ker
Tumhain aankh main hairat ke doure hain
Keh isse qabal jab bhi tumne mera haath thama
Barf ka mousam hi paya
Yeh mousam mere andar kitne berson se firokash tha
Bahar ati thi
Aur mere dareechon per kabhi dastuk na deti thi
Gulaabi baarishen
Mere liye mamnoo thi'n
Aur subha ki taza hawa ka zaiqa
Main bhool bethi thi
Mere malboos se sub garam rangon ko shikayat thi
Mujhe bus baraf ki chader pehenane ki ijazat thi
Magar janaa'n!
Tumhare saath ne to rooh ka mousam badal dala
Yahan ab rang ka tehwaar hai
Khushboo ka mela hai
Mera malboos ab gehra gulaabi hai
Mere khuwabon ka chehra mahtaabi hai
Mere haathon ki hiddat aaftabi hai jise choo ker...

Tumhain janay ki jaldi thi

Tumhain janay ki jaldi thi....
So apni jald baazi main
Tum apnay lams ki kirnain..Nazar k zaviye..poaron ki shamain
Mere seene main bharakta chhor aye ho...
Wahan takiye k neechay
Kuch sunehray rung ki tooti hui saansain
Kisi nozayeda khushbu k taza khuwabchay
Bistar ki shiknon main giray kuch khoobru lamhay
Dressing room main hanger se latki aik sud rangi hansi ko
Bas achanak hi pas-e-parda latakta chhor aye ho
Tumhain janay ki jaldi thi ab aisa hay k jab bhi
Be-khayali main sahi..! lekin kabhi jo is taraf niklo
To itna yaad rakhna...!!
Ghar ki chaabi saddar darwazay k bayen hath par
Aik khoal main rakhi milay gi

Or tumhain maaloom hay
kapron ki almaari hamesha se khuli hay
safe ki chaabi to tum ne khud hi gumm ki thi
So woh tabh se khula hay or us main kuch
Tumhari choorian ' aik aadh angoothi or un k beech
Kuch zard lamhay or un lamhon ki girhon main bandhi kuch lams ki kirnain
Nazar k zaviye ' poaron ki shamain or sunehray rung ki tooti hui
Saansain milain gi Or woh sab kuch jo mera or tumhara
Mushtarka sa ek asasa hay
Simat paye to le jana.........................................!!!!

Mujhay janay ki jaldi hay......!!!

Mein sun k uss ki sab baatein


Mein sun k uss ki sab baatein..!!

Faqat itna he kehti hoon..!!

Khafa hona , man'aa lena..!!

Ye sadiyon se rawayat hai..!!

Mohabbat ki alamat hai..!!

Gilay shikwe karo mujh se..!!

Tumhain yaara ijazat hai..!!

Magar ik baat meri bhi zara tum yaad rakhna..!!

Kabhi aisa bhi hota hai..!!

Hawaa'in rukh badalti hain..!!

Khiza'ain laut aati hain..!!

Khata'ain ho hi jati hain..!!

Khafa hona bhi..!!

Mumkin hai..!!

Hamesha yaad rakhna tum..!!

Taluq tor dene se kabhi toota nahi karte.. !!

Nazm Uljhi Howi Hay Seenay Mein


!!.. Nazm Uljhi Howi Hay..!!

Nazm Uljhi Howi Hay Seenay Mein...!!

Misrey Aa'tha Howey Hein Hontoon Per...!!

Urtey Phirtey Hein Titli'yun Ki Tarah...!!

Lafz Kaghiz per Bait'they Hi Nahe...!!

Kab Say Baita Hoon Mein Janum..!!

Saadey Kaghiz Peh Likh K Tera Naam...!!

Bass..... Tera Naam Hi Mukamal Hay...!!

Iss sey Behtar Bhi Nazm Kia hogi..??

Barishoon Ki Zadd Mein Hoon

Barishoon Ki Zadd Mein Hoon.........

Toa Is Qadar Tu......!!!!

Muztaribb Kyun...??????

Meinne Toa Apni....

Har Eik Khuwaish Ka Mausum...

Tujko Soom'pa Tha.....!!!

Teray Haaton Mein Tha.....
.
.
.
.

Mujko Hansi Pehnatey .........!!
.
.

Ya Aanso...........

Jab Woh Mera Naam


Jab Woh Mera Naam..!!

Apne Haatoon Ki Lakeeron Mein..!!

Talaash kar K Takh Gaya..!!

Toa Dheeray Se Sarrr Jhukaya...!!

Aur Muskura K Kaha,,!!


"LAKEERIEN JHOOT BOLTI HAIN".!!!

Yahan Jo Bhi Bichar Jaye


*~*Yahan Jo Bhi Bichar Jaye*~*


Tumhe Bhi To Khabar Ho Gi
K…..!!
Darya Paas Behte Hain,
To Pani Acha Lagta Hai
Kinaroon Per Juri Mit’ti Se Poocho….
Rog Chahat Ka
K Is Pani Ki Chahat Me…
Kinaroon Se Ukhar Ker…!
Ajnabi Simtoon mE Behna kItna Mushkil Hai
“Kinara Phir Nahi Milta”
Tumhe Bus Itna Likhna Hai
Yahan Jo Bhi Bichar Jaye….
..
.
Dobara Phir Nahi milta

Naya Saal, Naye Umeed

!! Naya Saal, Naye Umeed !!


Reshmi Dorr Ki Tarah...!!

Haath Say Pi'siltaa howa..

Yea Saal Bhi Jaa Raha Hay....!!

Guzertay Iss Saal Say...

Hisaab Kuch Lena Hay....!!

Zakhm Jo Deye Hein Iss Nay..!!

Unka Marhamm Poochna Hay....!!

Aur Poochna Hay....!!

Jo Khoo Dia, Ussey Pa'yein Kahan...??

Yaadon Ko Saari, Daf'nayein Kahan...??

Aa'gahii Apni Su'layein Kahan....??

Ya Yun Karr Lein...!!

Roota Pichla Saal Bhulaa Ker...!!

Aaney Walay Saal Say....

Dosti Kar Lein.....!!!!

Aasmaan k chand aur taarey

Aasmaan k chand aur taarey..
Tere mere khawab na hon!!
Ye jo farsh-e-khaak pe bikhra reza reza aaina hai..
Iss mein jitne aks hain saray..
Tere mere khawab na hon..!!

Dair rahain jo aankhon mein tou khawab parinday ban jate hain..
Lakh inhain azaad karo ye phir kar wapas aa jate hain..
Ye jo qufs k darwaze mein par phailaye baithe hain..
Ye darmanda oogan haray..
Tere mere khawab na hon..!!

Palkon ki dehleez se lag kar dekh rahe hain raston ko..
Mit'ti banti shaklon ko aur jalte bujhte rangon ko..
Bojhal chup aur oojhal dukh k saye saye baithe hain..
Ye be-chehra aur bechare..
Tere mere khawab na hon..!!

Behr-e- fanna mein mil jane tak milne se majboor bhi hain..
Ik dooje k saath bhi hai aur ik dojay se door bhi hain..
Lamhon k gird ab safar mein jo chakraye baithe hain..
Ye dono....darya k kinaray..
Tere mere khawab na hon..!!

Humaare daramiy'an Aisaa Koi Rishta Nahe Tha

Humaare daramiy'an Aisaa Koi Rishta Nahe Tha...!!

Tere Shaan'on Peh Koi Chahat Nahe Thi...!!

Mere Zimme Koi Aanghan Nahe Tha.....

Koi Vaada Teri Zanjeer-E-Paa'h Nahe Paya....!!

Kisi Iqraar Ne Meri Kalaii Ko Nahe Thaaama....!!

Hawa-e-Dasht Ki Maanind....

Tu Azaaad Tha............................

Raastey Teri Marzii K Tabhii Thay..!!

Mujey Bhi Apni Tanhai Peh...

Dekha Jaye Toa

Poora Tasarruf Tha....!!

Magar Jab Aaj Tu Ne...!

Raasta Badla............!!

Toa Kuch Aisa Laga Mujh ko...!!
.
.
.

Keh Jaise Tu Ne Mujh say Be-wafaii Ki.....!!

Koi Aur Tarhan Ki Baat Karoo

Koi Aur Tarhan Ki Baat Karoo…!!!

Dil Jis Say Sab Ka Bahell Jaye...!!

Dehaan Aur Taraf Nikal Jayee....

Koi Aur Tarhan Ki Baat Karoo…!!!

Dehaan Aur Taraf Nikal Jayee...

Kisi Aur Khayaal Main Dhaal Jaye....

Bay'masroof Din K Akheer Par....

Yea Dhalti Shaam Sambhaal Jayee....!!

Is Sakht Mukaam Zamanon Ka......

Yea Sakht Mukaam Badal Jayee....

Koi Or Tarhan Ki Baat Karoo.....

Kisi Ghaat Par Kashti Aaan Lagay.............

Koi Nayee Nayee Pechaan Lagay ....

Koi Naya Naya Anjaam Lagay..!!

Bay'masroof Din K Akheer Par

Yea Dhalti Shaam Sambhal Jayee

Koi Or Taran Ki Bat Karoo...!!

Sooch K Be-Kinaar Sehraa Main

Sooch K Be-Kinaar Sehraa Main....
Dhool Uraataa Hai...!!
.
.
YAAD Ka Mousam........!!

Apni Be-Harf Aankh Aisey Main....

Zindagi Kay Aw'raak Ullat'ti Hay...!!

Jaisay.....!!

Baarish Mein Bheeghti Chiryaa....!

Ghoonsley Ki Taraf Pallat'ti Hay.......!!!!!!!!!!

Ik Jhotha Lafz Muhabbat Ka

" Ik Jhotha Lafz Muhabbat Ka"


Is Dil Mai Salaamat Hai Ab Tak.....

Wo Shokh-e-Lab, Wo Harf-e-Wafa.....
Wo Naqsh-e-Qadam, Wo Aks-e-Hina...!!

So Bar Jissey Chooma Hum Ney....!
So Bar Parastish Ki Jis Ki...!!

Is Dil Main Salaamat Hai Ab tak...

Wo Garrd-e-Allam, Wo Deeda-e-Numm.....
Hum Jis Main Chupa K Rakhtey They.....
Tasveer Bikhartiii Yaadoon ki.......
Zanjjeer Pighaltey Waadoon ki..............
PoonJii Nakaam Iraadoon ki.....

Aye Taizz Hawa Naraz Na hoo..

Is Dil Mai Salaamat Hai Ab Tak..!!

Samaan Bichrtii Saa'et Ka...!
Kuch Tukkrey Garam Dopehroon K....
Kuch Rai'zey Narram Sawaaloon K..!!
Kuch DuR Anmool Khayaloon k....!!

Ik Sachaa Roop Haqeeqat ka...!!
.
.
.
.

"Ik Jhotha Lafz Muhabbat Ka"

Ye Baarish khubsurat hey

Ye Baarish khubsurat hey..

Aik arsey k baad..

Meri rooh mein..

Sairaab hone ki tamanna jaag uthi hey..

Magar badal k rastey mein..

Bohat se pairr aatey hein..

Main pal bhar k liye shaadab rahon..

Aur apni baaqi umr..

Phir sehra mein kaaton..??

Main apni pyaas pe raazi rahongi..

Mere aansoo mere dil ki kifalaat k liye kaafi rahen ge..!!


_________________

mujhy duaon main yaad rakhna

mujhy duaon main yaad rakhna
main wo musaafir hun jis ka rasta bohat kathan hai
main hun wo raahi jiski manzil kahen nahi hai
mera thikaana koi nahi hai
mera assasa hi dosti hai
jo maal.o.zar say bhi qeemti hai
ye ghup andheron main roshni ha
ye kaali raaton mian chaandni hai
ye meri izzat
ye meri shohrat
hai doston ki dua ka haasil
mujhy duaon ka aasra hai
meri bas itni si iltija hai
mujhay duaon mian yaad rakhna

Hawaa ki saans kyon sehmee hue hai

Hawaa ki saans kyon sehmee hue hai?

Meri waaqif thee jab aati thee kamre me,

Mere seene mein bhar jaati thee...

jaise baadbaan bharte hain kashtee ke,

Ye baarish gungunaatee thee,

Isi chat ki munderon par...

Ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par unglee se likh jaatee thee sandeshe....

Bilaktee rehti hai baithee hue ab band raushandaanon ke peechay

Dopehren aisi lagtee hai jaise bin mohron ke khaalee khaane rakhe hai

Na koi khelnewaalaa hai baazee aur na koi chaal chaltaa hai....

Na din hota hai , na ab raat hoti hai....

Sabhee kuch ruk gaya hai

Wo kyaa mausam kaa jhaunka tha jo is deewaar par latke hue tasveer tirchee kar gaya hai?


_________________

Mausam ki kharabi kay ba'is

Mausam ki kharabi kay ba'is...!!

Flight late hogai....!!

Toa socha..........!!!

Tum se baat karloon.....!

5 saal ka agreement hai.....!!

Jo extend bhi hosakta hai...!

Is laiy main koshish karoon ga..!

Mager tum...........

Us ka jumla adhora hotay huay bhi pora tha!

Isi liay line kat gai

Aur....!!

Acha hi huaa...!

Uss roaz mausam kharab tha kay......!!

Aan'dhioan kay shor main...!!

Aai'nay totnay ki awaz ...!!

Koi na sun saka..........!!!!!!!!!



_________________

Suna Ho Ga Buhut Tum Nay

Suna Ho Ga Buhut Tum Nay.....

Kaheen Aankhon Kee Rim Jhim Kaa...

Kaheen Palkon Kee Shabnam Kaa.....

Suna Ho Ga Buhut Tum Nay!!!

Kaheen Lehjay Kee Baarish Ka.....

Kaheen Aansoo k Saaghar Ka.....

Magar...!!!

Tum Nay Kabhi Humdum!!

Kaheen Daikhay...???

Kaheen Parhay...???

Kisi Tehreer k Aansoo!!!

Mujhay Teri Judae Nay....

Yahi Meeraaj Bakhsha Hai....

Keh Mein Jo Lafz Likhta Hoon...

Wo Saaray Lafz Rotay Hain......

Keh Mein Jo Harf Banta Hoon...

Wo Saaray Baatain Kartay Hain..

Meray Sung Is Judaae Mein......

Meray Ilfaaaz Martay Hain.......!!!


_________________

Tujhay Khabar Bhi Nahi

Tujhay Khabar Bhi Nahi....!!

K Teri Udaas Adhoori.....

Mohab'baton Ki Kahaaniyan....!!!

Jo Bari Ku'shaada-Dili Se.......!!

Hans Hans Ke Sun Rahaa Tha.......!!!

Wo Shakhs Teri Sadaqaton Par Fareefta....!!

Baa-Wafaa, Saabat Qadam...........

Ke Jis Ki Jabeen Pe!!!

Zaalim Raqabaton Ki Jalan Se....!!!

Koi Shikan Na Aaee...!

Wo Zabt Ki Karabnaak Shidat Se....!!!

Dil Hi Dil Mein....!!

Khamosh, Chup Chaap.........

Mar Gayaa Hai...

Kis Ko Ilzaam Dhein Apni Ruswaii Ka

Kis Ko Ilzaam Dhein Apni Ruswaii Ka.......!!!!

Kis Ko Ja Kar Kahein Qarabb Tanhai Ka....!!

Pyar K Khail Mein...!!

Wasal Ki Subah Se..!!

Hijar Ki Shaam Takk....!!

Jo Tamasha Hoa.....!!

Is Mein Shamil They Hum.....!!

....

Aap Maqtool Thay...!!
.
.
.
.

Aap Qatil Thay Hum..........


_________________

Tumhay Wapis Bhi Jana Hay

!!..Tumhay Wapis Bhi Jana Hay ..!!


Tumhy Wapis Bhi Jana Hay
Kabhi Tum Nay Bhi Socha Hay??
Kisi Ki Sochti, Sada Si AankhOon May
Udassi Ki Khufi Tahrrer Tum Ny Sub Mita Dali
Dhanak SapNoOn Ka Phir Say Ik Jaal Sa Bun Diya In Mein...!

Magar JanAa !!
Zara SocHo ..
AgaR Is Bar Bhi Sapnay Kisi Nay Torr Daly Tou ?
Woh in Ki Kirchiyaan Sari Ki Sari
Apni PalkoOn Mein Chupa Lay Gi

Agar Is Zindagi kay Bhees Mein Phir MarG nikli Tou ?
Galay Usko Laga Lay Gi

Tum Aisa Kyon Nahi Krty
Abhi Say Usko Batlaa Do
Tumhay Wapis Bhi Jaana Hay !!!!


Chalo kuch Aaj Hisaab-e-Ziyan-e-Jaan Kr Lain

Chalo kuch Aaj Hisaab-e-Ziyan-e-Jaan Kr Lain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Krain
Gilay Jo Dil Ki Tahoon Ma Han Aabloon ki Trha
Unhain Bhi Aaj Shanaasaiye Nook-e-Khaar Karain

Jo BayWafa Ho Usay BayWafa Kahain Khul Kr
Hadees-e-Chashm-o-Lab-e-Sookhta Kahin Khul Kr
Kahan Tak Yeh Takalum Zamana Sazi K
Pas-e-Kalaam ha Jo Kuch Zara Kahain Khul Kr
Khunk Khunk Si Hansi Hans K Mil Rahay Ho Kun!
Lahoo Ha Sard To Aankhain Bhi Munjamind Kr Loo
Jo Dil Ma Dafan Ha,Chehron pa Ishtihar Karain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Karain

Tumhara Mera Taaluq Bas Aik Lafz Ka Ha
Lugat k Ant Ma Simta Hoa Faqt Aik Lafz
Iss Aik Lafz Ma Sachai Ha Zamanoo Ki
Chalo K Aaj Yehi Lafz Ikhtiyar Karain
Tamam Umar Pari Ha Munafqat K Liye
Iss Aik Lafz Ka Daaman Na DaagDar Karain
Alam Shumar Karain..Dard Aashkar Karain
Chalo Aaj Kuch Hissab-e-ziyan-e-Jaan Kr Lain!

Udasi'on Ka Sabab Jo Likna


Udasi'on Ka Sabab Jo Likna...!!

Toa Yea Bhi Likhna...!!

Kay Chaand, Taare, Shahab, Akhein Badall Gaye Hein..!!

Woh Zinda Lamhe Ji Teri Rahoon Mein..!!

Tere Aaney Kay Muntazir Thay...!!

Woh Takh Kay Sai'yon Mein Dhal Gaye Hein....!!

Wo Teri Yaadein ... Khayal Tere..!!

Woh Ranj Tere..... Malaal Tere...!!

Wo Teri Aankhein......!! Sawaaal Tere....!!

Wo Tumse Mere Tamaam Rishtey....

Bichar Gaye Hein....

Ujer Gaye Hein......!!!

Udasi'on Ka Sabab Jo Likhna...!!

Toa Yea Bhi Likhna.....!!

Laraz'te Hontoon Peh Larkha'rati Dua K Sooraj....!!

Pigall Gaye Hein....!!

Tamaam Sapne Hi Jal Gaye Hein...!!

Udasi'on Ka Sabab Jo Likhna...!!

Toa Yea bhi Likhna...!!!!!

mere buss mien ho tu kabhii kaheen

mere buss mien ho tu kabhii kaheen
koii shehR aisa basao`N mae
jahan faakhta`oN kii phar-pharahatt se naghma-e-zaar-e-hayaat mien
jhunjhunatii saanso`N kii jhaanjharieN jo channak uthieN
tu dhanak k rungo`N mien bheeg jayein hawaas tuk
jahaaN chaand, maand na ho kabhii, jahann chaandnii ki rida bannay
merii baanjh dhartii k baasiyo`N ka libas tuk
jahan sirf hukm-e-yaQeen chalay, jahan be-nisha`N hoon Qayyas tuk
jahan aadmiyat k natQ-o-lub pe na shehR-e-yaar ka khoof ho
jahan sar-saraaye na aadmii kii raggo`N mien koii haraas tuk
jahan vehm na ho, na dilo`N mien vehm ka sehm ho
jahan such ko such se ho waasta
jahan jugno`N ko hawa dekhatii ho raasta
jahan khushbo`oN se badaltiii rutt ko hasadd na ho
jahan pastiyo`N se bulandiyo`N ko bhii kadd na ho
jahan khwaab ankho`N mein jagmagayei`N tu
jism-o-jaaN k sabhii dareecho`N mien tairgii ka guzaR na ho
koii raat aisii basar na ho k bashar ko apnii khabR na ho
jahan daagh daagh seheR na ho
jahan kashtiyyaN hoon rawan dawan tu samandaro`N mein bhanwaR na ho
jahan barg-o-baar se ajnabii koii shaakh, koii shajaR na ho
jahan chehchahatay hoay parindo`N ko barisho`N k azaab ka darr na ho
mere bus mein ho tu kabhii kaheeN
koii shehR aisa basao`N mae
jahan barf barf mohabbato`N pe ghum-e-jaaN ka asar na ho
rah-o-rasm duniya kii bandishieN, ghum-e-zaat k sabhii zaiQayy
sam-e-Qainaat kii talkhiya~N, kisii ankh ko bhii na cho` sakieN
jahan merii saNs ki taazgii terii chahato`N k kanwal mien ho
tera husn merii ghazal mien ho, jahan Qainaat kii ik sadaf
shab-o-roz k kisii pal mein ho
jahan noha-e-ghum-e-zindagii, merii hichkiyo`N se ayaaN na ho
jahan loh-e-khaak pe umeR bharr kisii be-gunah k khoon ka,
koii daagh, koii nishaaN na ho
koii shehR aisa kabhii, kaheeN
jahan dhoop cha`oN gallay milieN
jahan baanjh rutt mien bhii gul khilieN
jahan chahato`N k hujoom mien, kabhii geet aman k gaao`N mae
jahan zindagii ka rujz parho`N, jahan bey-khalal gun-gunao`N mae
jahan moj moj ki oout mien, tu kiraN bannay, muskurao`N mae
mere buss mien ho tu kabhii kaheeN
koii shehR aisa basaao`N mae

Kitni Sada

Kitni Sada,
Kitni Piyari,
Kaanch Ki Choori Jesi Larki,
Ik Kamre Mein Bethi,
Os Ka Haath Kalai Per Tha,
Jane Kin Sochoon Mein Gum Thi,
Ab Kia Ho Ga?
Mai Bhi Os K Pas He Betha,
Maine Os Ka Haath Pakra,
Or Piyar Se Pocha,
Kia Qissa Hai Meri jaan?
Os Ki Ankhain Bheeg Gaeen,
Or Wo Dheemi Si Awaz Mein Boli,
Dekho Choori Toot Gai...........

raNg-biraNge haseen kaaGhaz se

raNg-biraNge haseen kaaGhaz se
Khoob_soorat taraash kar beleiN
devataaoN ke but jamaa kar ke
roz lobaan ka dhuaaN de kar
ghar ko maNdir banaa ke rakha thaa

jab se guldaan meN magar tumne
khilte murjhaate phool rakhe haiN
jab se shaamil kiyaa hai saaNsoN meN
ziNdagii ke haseeN gunaahoN ko
maNdir ko ghar banaa liyaa hamne

terey hontoon ne chupkey se

terey hontoon ne chupkey se

mujhey ik baat keh di thi

jo khushbu se mau’atter hai

jo chanda se bhi roshan hai

jo titly se bhi nazuk hai

jo masti hai sharabon ki

tamanna hai jo khuabon ki

sada hai jo rubaabon ki

ibaarat hai nasaabon ki

jo surkhi hai gulabon ki

zaya hai chand sitaron ki

jo rangat hai baharon ki

jo gehri hai samander se

jo milti hai muqadder se

jo arfaa hai jahan bher se

jo shereen hai her ik she se

nasheeli hai jo is meh se

jo dherkan hai meri dil ki

rawani hai jo saanson ki

tarawat hai jo aankhon ki

jo palti hai khayalon mein

nahi milti misaalon mein

kaha hai jo dheerey se k

tum mujh se payar kerti ho


_________________


Wo Kehta Hay

Wo Kehta Hay...
Batao Be Sabab Kion Rooth Jatii Ho?
Main Kehtii Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao... .Acha Lugtaa Hay

Wo Kehta Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehtii Hoon...
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii...

Wo Kehta Hay...
Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gaya Itna?
Main Kehtii Hoon...
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

Wo Kehta Hay...
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehtii Hoon...
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Ga...

Wo Kehta Hay...
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehti Hoon...
K Yeh To Baadilon Ki Aankh Rotii Hay...

Wo Kehta Hay...
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehtii Hoon...
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...

Wo Kehta Hay...
Batao..Chooriaan Kaisi Lageen Tum Ko?
Main Kehti Hoon...
Mujhay Yeh Toot Kar Takleef Deti Hain...

Wo Kehta Hay...
Batao...Shaam Men Khunkii Hay Kion Itni?
Main Kehti Hoon...
Judaai Men Kisi Ki Aankh Rotii Hay...

Wo Kehta Hay...
Karon Jab Phone Sun Nay Kion Nahii Aatii?
Main Kehtii Hoon...
Terii Aawaaz,Sun,K Zabtt Rota Hay...

Wo Kehta Hay...
K Itnii Be Yaqeenii Kis Liye Aakhirr?
Main Kehtii Hoon...
K Itnii Be Yaqeenii,Sukh Men Rakhtii Hay...

Wo Kehta Hay...
Udaasi Par Kabhii Kuchh Likh K Dikhlaa Do...
Main Kehtii Hoon...
Meray Aagay Karo Sheesha...Main Likhtii Hoon...!


_________________

Woh Bikhra Hua Lehjaa Yaad Hai

Woh Bikhra Hua Lehjaa Yaad Hai Ab Tak
Jab Us Ne Kaha tha Mujh Sey
In Pighaltay Ayyam Main
Aur Haqiqatoon Ki
Kari Dhoop Main Jhulas Kar
Teray Liye Sochna
Acha Lagta Hai
Ye Jantay Huay Bhi
Ke Rastay Juda Hain
Tu Mera Muqqaddar Nahin
Apnay Aap Ko Dhoka Dena
Acha Lagta Hai
Kion ke Istarah Zeest Mujhay
Bari Aasaan Lagi Hai...!

wo samar tha meri dua’oon ka

wo samar tha meri dua’oon ka usay kiss ne apna bana liya
meri ankh kiss ne ujjaa’r dee mera khwaab kiss ne chura liya

tujhe kiya bata’yaiN ke dil’nasheen tere ishq maiN teri yaad maiN
kabhi guftagu rahi phool se kabhi chand chatt pe bula liya

meri jang ki wohi jeet thi mere fat’ha ka wohi jashan tha.
maiN gira to daur ke us ne mujhe bazuoo’N maiN utha liya

meri chand cho’nay ki hasrataiN meri khusboo hone ki khwahishaiN
tu milaa to aisa laga sanam mujhee jo talab thi wo pa liya

abhi to mout say pehlay

"abhi to mout say pehlay
hazaroon baar marna hai
abhi say thkk gaye ho tum
abhi to jan baki hai
dil o jan ki hadoon say bhi
kaheen aagae, bohat aagay
mairi bay antt chahat ko,
khiaal o khaab hona hai.
mujhay maloom hai mujh ko,
bohat barbaad hona hai.
gam e hijraan-e-dasht-o-jaan
may aisa moor aana hai
mujhay tum ko bhulana hai,
dil o jaan say mitana hai
mujhay tum ko bhulana hai
mujhay tum ko bhulana hai"

koi apna nahin banta

koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
us main apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta.........

ik taza hikayat hai

ik taza hikayat hai
sunlo tu inayat hai
Ek shakhs ko dekha tha
taron ki tarah hm nay
Ek shakhs ko chaha tha
apnon ki tarah hm nay
Ek shakhs ko samjha tha
phoolon ki tarah hm nay
Wo shakhs qiamat tha
kia uski krain baatain
Din us k lya paida
aur us ki hi thin raatain
Kb milta kisi se tha
hum se thin mulakatain
Rang uska shahabi tha
zulfon ma thin mahkarain
Aankhain thin k jadu tha
palkain thin k talwarain
Dushman bhi agar dakhay
so jaan se dil haray
Kuch tm se wo milta tha
baton ma shabahat thi
Haan tum sa hi lagta tha
shokhi main shararat main
Lagta bhi tumhi sa tha
dastoor e muhabat main
Wo shakhs hmain ik din
apno ki tarah bhola
Taron ki tarah dooba
phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya wo
hum nay buhat dhoonda
Tum kis lya chonkay ho
tum kis lya chonkay ho
Kb zikr tumhara hai
kb tum se takaza hai
kb tum se shikayat hai
ik taza hikayat hai
sun lo tu inayat hai
ek shakhs ko dakha tha
taroon ki tarah hm nay
ek shakhs ko chaha tha
apnon ki tarha hm nay

__________________

Mery Hamsafar

Mery Hamsafar
Mery Jism-O-Jaan Ky Har Aek Rishty Sy Mau’tabar
Mery Hamsafar
Tujhy Yaad Hein, Tujhy Yaad Hein
Wo Jo Qurbaton Ky Suroor Mein
Teri Aarzoo Ky Hisaar Mein
Meri Khaahishon Ky Wafoor Mein
Kai Zaaiqy They Ghuly Huwy
Dar-E-Gulsitaan Sy Bahaar Tak
Wo Jo Raasty They Khuly Huway
Sar-E-Loh-E-Jaan
Kisi Ajnabi Si Zubaan Ky
Wo Jo Khushnumaan Sy Haroof They
Wo Jo Sarkashi Ka Ghubaar Tha Cha-har Su
Jahan Aek Doo-Jy Ky Rubaroo
Hamen Apni Roo’hon Mein Phaelti
Kisi Naghmaggi Ki Khabbar Mili
Kisi Roshni Ki Nazar Mili
Hamen Roshni Ki Nazar Mili
To Jo Reza Reza Sey Aks They
Wo Behm Huwy
Wo Behm Huwy To Pata Chala
Ky Jo Aag Si Hy Sharar-Fishaan Meri Khaak Mein
Usi Aag Ka Koi Anbujha Sa Nishaan Hy Teri Khaak Mein
Isi Khaak-Daan Mein Wo Khaab Hy Jissy Shakl Deny Ky Waasty
Ye Jo Shash’johaat Ka Khel Hy, Ye Ravaan Huwa
Isi Roshni Sy Makaan Banna, Isi Roshni Sy Zamaan Huwa
Ye Jo Her Gumaan Ka Yaqeen Hy
Wo Jo Her Yaqeen Ka Gumaan Tha
Isi Daastaan Ka Bayaan Tha

Mery Hamsafar
Kisi Dhiaan Ky Kisi Taaq Per Hy Dhara Huwa
Wo Jo Aek Rishta-E-Dard Tha
Mery Naam Ka Tery Naam Sy
Teri Subh Ka Meri Shaam Sy
Sar-E-Rahguzzar Hy Parra Huwa Wohi Khaab-E-Jaan
Jisay Apni Aankhoon Sy Dekh Leny Ky Waasty
Kai Laakh Taaroon Ki Seerriyoon Sy Uttar Ky Aati Thi Kehkashaan
Sar-E-Aasmaan
Kisi Abbr Paaray Ki Ott Sy
Usay Chaand Takta Tha Raat Bhar

Mery Hamsafar
Usi Rakht-E-Gham Ko Sammet’ty
Usi Khaab-E-Jaan Ko Sanbhaalty
Mery Raasty Kai Raaston Mein Ulajh Gaye
Wo Chiraagh Jo Mery Saath Saath They, Bujh Gaye
Wo Jo Manzilen
Kisi Aur Manzil-E-Benishaan Ky Ghubaar-E-Rah Mein Kho Gayen
Kai Was’wason Ky Fishaar Mein Shab-E-Intazaar Si Ho Gayen
Wo Tanaab-E-Dil Jo Ukharr Gaye
Wo Khyaam-E-Jaan Jo Ujjar Gaye
Wo Safeer They Usi Daastaan-E-Hayaat Ky
Jo Warq Warq Thi Bharri Hui
Mere Shoq Se Tery Roop Sy
Kahin Chaaon Sy Kahin Dhoop Sy
Mery Hamsafar Tujhy Kiya Khabbar
Ye Jo Waqt Hy Kisi Dhoop Chaon Ky Kheil Sa
Isey Dekhty, Isey Jheilty
Meri Aankh Gard Sy Att Gai
Mery Khaab Rait Mein Kho Gaye
Mery Haath Barf Se Ho Gaye

Mery Hamsafar
Mery Bekhabar Tery Naam Per
Wo Jo Phool Khilty They Hontt Per
Wo Jo Deep Jalty They Baam Per
Wo Nahi Rahy
Wo Nahi Rahy Ky Jo Aek Rabt Tha Darmiyaan
Wo Bikhar Gaya
Kisi Shaam Aesi Hawa Chali
Ky Jo Barg They Sar-E-Shaakh-E-Jaan
Wo Gir Gaye
Wo Jo Harf Darj They Reat Per
Wo Urr Gaye
Wo Jo Raastoon Ky Yaqeen They
Wo Jo Manziloon Ky Ameen They
Wo Nishaan-E-Paa Bi Mit Gaye

Mery Hamsafar
Hy Wohi Safar
Maggar Aek Morr Ky Fark Sy
Tery Haath Sy Mery Haath Tak
Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Faasla
Kai Mausamoon Mein Badal Gaya
Usay Naapty, Usay Kaat’ty
Mera Saara Waqt Nikal Gaya
Tu Mery Safar Ka Shareek Hy
Mein Tery Safar Ka Shareek Hoon
Per Jo Darmiyaan Sy Nikal Gaya
Usi Faasly Ky Shumaar Mein
Usi Be-Yakeen Sy Ghubaar Mein
Usi Rahguzar Ky Hissaar Mein
Tera Raasta Koi Aur Hy
Mera Raasta Koi Aur Hy

*********************************

Popular Posts