Wednesday, August 7, 2013

Zarori nahi hai talwar se zeer karne ki

Zarori nahin hai talwar se zeer karne ki
Mere dushmin ki haar k liye meri jeet hi bahot hai

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir Waada Nahi Karna

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Waada Nahi Karna,
Ye Waaday Hum Ne Dekhay Hain K
Aksar Toot Jatay Hain,

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Zid Bi Nahi Karni,
Ye Zid Bi Hum Ne Dekhi Hai K Saathi
Choott Jatay Hain,

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Tohfa Nahi Dena,
Ye Tohfay Hum Ne Dekhay Hain Bohut
Majboor Kartay Hain

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Shikwa Nahi Karna
Ye Shikway Hum Ne Dekhay Hain
DiLon Ko Door Kartay Hain.

Patharon ki tabiaton mein khod ko parakhane wale

Patharon ki tabiaton mein khod ko parakhane wale
Patharon k shehar me dil laga k kiya karna

Nikal aye baton baton mein agar mera tazkara
Khataein chopa kar meri sifat beyan karna

Tujhe chahne walon ki jo fehrisit likhane betho
To halka sa naam hamara bhi shumaar karna

Jane se pehle bus yahi baat yaad rakhana
Jab bhi dil lagao to mohabbat lazawal karna

Tham lo kisi aur ka hath bhi lakin
Zindagani apni bus hamare hi naam karna

HUSSNAIN chahe cheen lain log tum se tumhara piar
Bus Khoda ki zaat par hi bharosa karna

Teri yadon k sahare aik aur saal beet geya

Teri yadon k sahare aik aur saal beet geya
Teri nafraton k sahare aik aur saal beet geya

Wo din jab pass hoa karte the hum kabhi
Unhi dinon ko soch kar hi aik aur saal beet geya

Suni thi to ne jo kabhi ghairon ki batain
Wo sach thi ya jhoot ,isi kashmakash me hi aik aur saal beet geya

Kia kya uss baras tujh se mohabbat k siwa
Iss be basi ko sochate hi aik aur saal beet geya

Tere dil me kia mokam tha mera?
Wohi oqat sochate hi aik aur saal beet geya

Para hai jo meri kitab main wo akhari khat
Onhi ilfaz ko parhate hi aik aur saal beet geya

Jo karti thi mujh se mohabbat ya majboor thi ana k hathon
Inhi majboriyon ko sochate hi aik aur saal beet geya

Hoi thi akhari molaqat ,college k peer k niche
Usi moatabar peer k niche hi aik aur saal beet geya

Iss saal bahot zakham khae hain doston se
Inhi zakhmon ko daikhate hi aik aur saal beet geya

Hum safar le chale wahan jahan tere siwa kuch na ho

Hum safar le chale wahan jahan tere siwa kuch na ho
Jahan qaid na ho umer ki
Jahan qemat na ho jazbon ki
Jahan hawas na ho chahat ki
Jahan mohtaji na ho lafzon ki
Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho
Jahan koel geet gati ho
Jahan hawa raqas karti ho
Jahan pareem ki nadiya behti ho
Jahan chaman khoshiyan manati ho
Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho
Tere lamas ki chahat nahin
Tere jisam ki bhook nahin
Tere honton ki lalach nahin
Tere joban ki pias nahin
Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho
Apni chahaton ki roshani de
Apni sochon ki tamtamahat de
Apni sakot ka biyan de
Apni dharkanon ka qarar de

Mere dil mein chope hoye raaz mangati hai

Mere dil mein chope hoye raaz mangati hai
Wo pagali ! mujh se meri jaan mangati hai

Rakhtati hai hasas apni samat ko wo
Samandar ki lehron se khamoshi mangati hai

Ajab faryad karti hai wo Khoda se
Hath otha kar meri moot ki dua mangati hai

Karti hai koshishen k mil jae use kahen se wafa
Kitni nadan hai sehra se samandar mangati hai

Kehti hai k abb mata do apni zindagi se mujhe
Mujh se meri zaat ka ikhtiyar mangati hai

Koi to samjha de yaro use yee hai pagal pan
Raat ki andhairi se jab subah ka ojhala mangati hai

Hoti hai pehle khod hi door mujh se
Phir wo judai ka sabab bhi mangati hai

Mangati hai wo apni sari yadain wapis
Mujh se meri zindagi ka asasa mangati hai

Rakhati hai gire hoe paton ko shajar par
Khazan k mosam me bhi khile gulab mangati hai

Koi to jala de meri zindagi ki shamah
Dunia abb bad naseebi k raz mangati hai

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai,

Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein,
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai,

Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya,
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai,

Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan,
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai,

Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,
Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai,

Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta,
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai,

Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai,

Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho,
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai,

Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir,
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai…

Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi baat kar koi baat kar

Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi baat kar koi baat kar
Tere lab hilain to kattey safar koi baat kar koi baat kar,

Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi baat kar koi baat kar,

Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi baat kar koi baat kar,

Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi baat kar koi baat kar,

Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi baat kar koi baat kar,

Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi baat kar koi baar kar,

Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi baat kar koi baar kar..

Shayed aik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai

Shayed aik ye bhi muhabbat ka atal qanoon hai
Dushmani shiddat se ho jati hai yaraney k bad...!

Koi Taweez Aisa do Sahib K Mein Chalaak Ho Jaon

Koi Taweez Aisa do Sahib K Mein Chalaak Ho Jaon
Bohat Nuksaan Deti Hai Mujhey Yeh Saadgi Meri

Hum to bekhudi main tera der samajh ker jhuk gaye

Hum to bekhudi main tera der samajh ker jhuk gaye
Ab Khuda jaane wo kaba tha ya butkhana

Khud-Kalami Ajeeb hoti hai

Khud-Kalami Ajeeb hoti hai
Khud se baatein Ap ke baatein

apny lehjy pe ghoar kar k bataa

apny lehjy pe ghoar kar k bataa
lafz kitny han teer kitny hain??

Sadiyon Se Ek Sapna Hai Kaho Pura Karogy Tum?

Sadiyon Se Ek Sapna Hai
Kaho Pura Karogy Tum?

Bhool Jao Mere Siwa Sub Kuch
Kaho Aesa Karogy Tum?

Nhi Kuch Or Tamanna Ab
K Bus Mere Ho Jao Tum

Kabhi Na Chor K Jaogy
Kaho Aesa Karogy Tum?

Faqt Ek lafz Sun’ne Ko
Kahin Barso Main Tarsa Hoon

MUJHE APNA BANA LO TUM
Kaho Aesa Karogy Tum...???

koi Zabt De Na jalal De

koi Zabt De Na jalal De
Muje Sirf itna kamal De
Muje Apni Rah Me Daal De
K Zmana Meri Misal De

Teri Rehmaton ka Nazool Ho
Muje Mehnato ka Sila Mile
Muje Maal-O-Zar ki Hawas Na Ho
Muje Bus Tu Rizq-E-Halal De

Mere Zehn Me Teri Fikr Ho
Meri Saans Me Tera Zikr Ho
Tera khof Meri Nijat Ho
Sabhi khof Dil Se Nikal De

Teri Bargaah Me Ay KHUDA
Meri Roz-O-Shab Hy yahi Dua
To RAHEEM Hy,
To KAREEM Hy,
Mujy Mushkilon Se Nikal De.
 .Ameen!

Shab e tanhayi

Shab e tanhayi
Woh ju bare sukh mein hay
Usay kehna
K raat ka pichla paher hay
Aur abhi hum jaagte hain
Humari ankhon se neend kooson door hay
Humare lab abhi tak us k naghmay gungunate hain
Humara zehan ab bhi us ki batain sochta hay tou
Kabhi hum hans se dete hain
Kabhi jee bher k rote hain
Shab e tanhayi ki yakh basta hawao
Usay kehna hum ab bhi ba'wazu ho ker tumhara naam lete hain
Usay kehna' ya apna naqsh dho jaye
 Ya phir se apna ho jaye

Mainay chaha usay bhool jaon

Mainay chaha usay bhool jaon...
Faramosh ker doon wo sab...Roz-o-shab...
Us ko daikhoon to uoon jaisay waqif nahi...
Main bhi us ki terah,ab kisi aur ko saath lay ker chaloon...
Her ghari khush rahoon,muskurati phiroon...
Bay'wajaah,bay'sabab!
Jab hawa k qadam misl-e-maynosh bay'dhab say pernay lagain!
Chaandni khirkiuoon say pukaaray,nigaahain chamaknay lagain!
AAhatain kaan main sabz sergoshiyaan ker k chalnay lagain...
Dast-e-mosum k ayjaz say payrahan...Zerd patay badalnay lagain...
Bakht khuwaabeedah gull aankh malnay lagain...
Kaaash uoon ho k tab...Us ko daykhoon to wo ajnabi sa lagay...
Us ki aahat pay khuwahish k gull na khilain...
Wo pukaaray ager us ki aawaaz per kaan tak na dherooon...
Ehd-e-rafta ki her yaad ko bhool ker,Aaanay wali rutoon ka sawagat karoon...
Us k chehray ko chehroon k anmbooh main is teraah gum karoon...
Phir wo aankhain rahain,na wo gaysu ,na lab...
Mainay chaha usay bhool ja'on....
Faraamosh ker doon wo sab............
Roz-o-shab!!!!!!!!!

Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din

Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din
 Tumhare Dil Main Utrunga, Muhabbat Ki Sada Ban Kar

Mere Josh-e-Junoon Par Saari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Bhetho Youn Khuda Ban Kar

Tumhein Ye Raaz Batla Doon, K Aksar Chaand Raaton Main
Tere Aangan MaiN Aata Hoon SitarOn Ki Zaya Ban Kar

Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhar Ki Khaatir
Hatheli Per Racha Lena Ye Mehke Ga Heena Ban Ker

Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey

Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey
Ye ab ke khizaan ko kya huwa kiun meri nigah mein thehar gai

Mein kya bataaon ke ab ki baar chaman ki haalat ajeeb thi
Har phool maatam-sara mila meri jahan jahan bhi nazar gai

Ye kon jaaney ke kya huwa mein dhoond dhoond ke thak gaya
Ke wo jo aek titli thi baagh mein najane woh bhi kidhar gai

Abhi hey zara wo asar jisey meri zaat ney pooja kabhi magar
Wo junoon to kab ka khatam huwa wo soorat to dil sey utar gai

Mujhey kis jurm ki saza mili ke meri rooh tak hey thaki hui
Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai

Ye chiraagh-e-jaan bhi ajeeb hey ke jala huwa hey abhi talak
Teri bewafaai ki aandhiyaan to kabhi ki aa ke guzar gai

Merey aasmaan k haath mein bas aik chaand tha aas ka
Usey baadlon ney nigal liya to meri kainaat hi ujarr gai...!!!

Tumhari Qabr par main faateha padhne nahin aaya

Tumhari Qabr par main,
faateha padhne nahin aaya
Mujhe maalum tha
,tum mar nahin sakte,
tumhare maut ki sachhi khabar,
jisne udayi thi, wo jhutha tha,
wo tum kab the?
koi sukha hua patta,
hawa mein girke toota tha,
Meri aankhein,tumhare manzaron mein qaid hai ab tak
,main jo bhi dekhta hoon, sochta hoon,
wo, wohi hai,*jo tumhari nek-naami aur badnami ki duniya thi,
Kahin kuchh bhi nahin badla,
tumhare haath, meri ungliyon mein saans lete hai,
main likhne ke liye jab bhi, qalam kaagaz uthata hoon,
tumhe baitha hua main,apni hi kursi mein paata hoon,
Badan mein mere, jitna bhi lahoo hai,wo tumhari,lagzishon, naakamiyon ke saath behta hai,
meri aawaz mein chhup kar, tumhara zehen rehta hai,
Meri beemariyon mein tum,meri laachariyon mein tum,
Tumhari qabr par jisne tumhara naam likha hai,
wo jhutha hai.
tumhari qabr mein,
main dafan hoon,Tum zinda ho!!!
Tum zinda ho!!!
Mile fursat kabhi to faateha padhne chale aana...

Dasht-e-shab par dikhayee kya dengi

Dasht-e-shab par dikhayee kya dengi
silavatein roshni mein ubhrengi

ghar ki deewarein mere jaane par
apni tanhaaiyo’n ko sochengi

ungaliyo’n ko taraash doo’n phir bhi
aadatan uss ka naam lik’khengi

rang-o-bu se kahee’n panaah nahi
khwaahishein bhi kahaan amaa’n dengi

ek khushbu se bach bhi jaau’n agar
doosri nikhatein jakad lengi

khidakiyo’n par dabeez parde ho’n
baarishein phir bhi dastakein dengi.

Muhabbat Kernay Walay

Muhabbat Kernay Walay To
Hamesha Saath Rehtay HaiN
Muhabbat Main Judaee Ka
Koi Mausam Nahin Hota
Zameen WalooN se Yeah Keh Ker
Falak se Dhall Gaya Sooraj
Ujaala BaanT Dainay se
Ujaala Kam Nahin Hota
Mujhay Tum Chorr Ker Khud bhi
Tu Saari Umer Tarpe ho ...
Koi Aesi Saza Datien,
Tumhain Tu Gham Nahin Hota

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa
Ke Maine Bhi Lutaya Hai Mohabbat Main Sakoon Apna!

Zindagi Thehair Jaa

Zindagi Thehair Jaa


Abhi Aik Morr Baaqi Hai..!

Meri Saansoon Mein Atki Si,

Abhi Aik Door Baaqi Hai..!

Jise Chaha Bohat Mein Ne,

DIL Ki Chah Mein Jaana..!

Unhi Ke Saath Ki Woh Aik,

Ghadi Anmol Baaqi Hai..!

Meri Aankhoon Mein MOHABBAT Ka Samaa,

Phir Laut Aaye Ga..!

Woh Kehte Hain Tumhaare Sang,

Khushi Kuch Aur Baaqi Hai..!

Unki Har Baat Ke Andar,

Chupi Ek Ankahi Dastak..!

Jo Har Pal Mujh Se Kehti Hai,

Ye Dhadhkan Tum Se Baaqi Hai..!

Hain Kitne Raaste Lekin!

Ye DIL Jaana Nahi Chahta..!

Ke! CHAHAT Ki Aik Zanjeer,

Abhi Paaoon Mein Baaqi Hai..!

Mujhe Rona Nahi Aata Mujhe Khona Nahi Aata

Mujhe Rona Nahi Aata
Mujhe Khona Nahi Aata

K Tum Bin Jeena Mushkil Hai.
Jo Dard Tum Dena Chahte Ho
 Mujhe Sehna Nahi Ata.

Tum To Reh Lo Ge
Saath Kisi Aur K Mgr.
Main Kya Krun K
Mujhe RASTA Badalna B Nhi Ata.

Tum To Waaqif Ho
Andaz-e-Guftugu K
Mujhe To Baat Krne Ka
Salika B Nhi Ata

Tum To Jeet Jate Ho
Larr Jhagar Kr B
Dekho Mujhe To
Larna B Nhi Ata

Tum To Khush Reh Lo Ge
Mere Bin
Dekho Tumhare Bin Tu
Mujhe Jeena B Nhi Aata

Ab to Aa ja Guzar gaya hoon main

Ab to Aa ja Guzar gaya hun main !
Log kehtay hain mar gya hun main !

Tum se Milta tha Sirf Ujra hua !
Dekh kitna sanwar gaya hun main !

Khaar Chuntay umar Tamaam hui !
Aaj pholon se bhar gaya hun main !

Tu to aa k Wada wafa kar ja !
Apne wade se phir gya hun main !

Ghum-e-hayat, Qissa-e-Shikast-e-hasti!
Qaid shairon mein Kar gaya hun main !

Muthiyaan khaak se bharay Dunia !
Lehad mein utar gaya hun main !

Ab To Aa Ja Guzar Gaya Hun Main

Tumhain kitna yeh bola tha k meri zindagi mein is tarah shamil nahi hona

Tumhain kitna yeh bola tha
k meri zindagi mein is tarah shamil nahi hona
jab ankhain subh ko kholon
pukaron naam main tera
kabhi jab aaina dekhon
tumhara aks meri ankh ki putli main jam jaye
khushi mujh ko mile koi
tumhara sath main dhondhon
dukhon mein bhi yahi chahon*
k mere paas ho bass tum
tumhain kitna yeh bola tha
mujhe badal se barish se*muhabat hay hamesha se
mager tum ne muhabbat ko junoon mein kuon badal dala?
main ab barish k mousam mein
tumhi ko dhondhta kyoun hon?
unhi sochon mein bheega hon*
main tanha bheegta kyoun hon?
tumhain kitna yeh bola tha
meri addat nahin badlo
meri khatir nahin badlo
mager tum ne badal dala
mera sab kuch badal dala
main ab ju khud ko takta hon
mujhe tum yaad ati hon
tumhain kitna yeh bola tha
mujhe tum yaad mat ana
k tum ko bholna waise hi*mere bass se bahir hay
mujhe jab yaad ati ho tou yeh mehsoos hota hay
mujhe tum yaad kerti ho
tumhain kitna yeh bola tha
mujhe tum yaad mat kerna
mujhe tum yaad mat ana
meri is zindagi mein is tarah shamil nahin hona
yaad hay na tumhain kitna yeh bola tha?

Hairaan hoon ke ye konsa Dastoor-e-Wafa hai

Hairaan hoon ke ye konsa Dastoor-e-Wafa hai
Tu Misl-e-Rag-e-Jaan hai , Tou kiyon mujh se khafa hai..?

Tu Ahl-e-Nazer hai to nahi tuj ko khaber kiyoon
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai

Likha hai mera naam samander pe hawa ne
Or dono ki fitrat mein sukoon hai na wafa hai

Shikwa nahi mujh ko ke hoon Mehroom-e-Tamanna
Gham hai to faqt itna ke tu dekh raha hai

Hum rakhte hain dawa k hai qaboo hamain dil per
Tu saamnay aa jaye to ye baat juda hai ...!

Hakikat Hai Yakeen Kar Lo Main Usko Bhool Kar Khush Hoon

Hakikat Hai Yakeen Kar Lo Main Usko Bhool Kar Khush Hoon
Mohabbat Mar Chuki Ab To Main Usko Bhool Kar Khush Hoon,

Badalti Rut Ki Waja Se Tabiyat Kuch Bojhal Si Hai,
Yun Mera Haal Mat Poocho Main Usko Bhool Kar Khush Hoon,

Mere Lehje Pe Mat Chonko Meri Aankhon Mein Mat Jhaanko,
Yun Hairat Se Na Dakho Main Usko Bhool Kar Khush Hoon,

Tumhe Kya Weham Hai Tum Q Mujhse Poochte Ho,
Ae Mere Dost Main Usko Bhool Kar Khush Hoon,

Tum Uski Yaad Se Keh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hoon
,
Ab To Udasi Saare Ghar Mein Phelti Jaati Hai Gum Bankar,
Dar-E-Deewar Pe Likh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hoon!

Kaash badil ki tarha pyar ka saya hota

Kaash badil ki tarha pyar ka saya hota
Phir main din raat tere shehar pe chaya hota

Mujh si takhleeq ka ilzaam na aata tujh pr
Main agar naqsh e ghalat hoon, na bnaya hota

Khawab toote the agar tere bhi meri hi trah
Bojh kuch teri bhi palkon ne uthaya hota

Lams haathon ka bhi kafi tha pigalne ke liye
Mom ke but ko zameen pr na giraya hota

Raah main aag ke darya se guzarna tha agar
Tu ne khawabon ka jazeera na dikhaya hota

Achi Sorat pah Ghazab Toot k Aana Dil ka

Achi Sorat pah Ghazab Toot k Aana Dil ka
Yaad aata hay hamain Haaye Zamana Dil ka

Tum bhi Choom lo Bay Sakhta Pyar Aajaye
Main Sunaoun Jo Kabhi Dil say Fasana Dil ka,
...
In haseeno ka Larak Pan hi rahay Ya Allah
Hosh aata hay to aata hay satana Dil ka,

Poori Mehndi bhi Lagani nahi aati ab tak
Kuin Kar Aaya tujhay Ghairoun say lagana Dil ka,

Hoor ki shakal ho tum,Noor k putlay ho tum
aur is par tumhain aata hay jalana Dil ka.

Baad Muddat k yeh ae Daagh Samajh Main Aaya
Wohi Daana hay,Kaha Jis nay Nah mana Dil ka......

Udas Tehreer Parh K Meri Mere Sanam Muskura Na Dena

Udas Tehreer Parh K Meri Mere Sanam Muskura Na Dena,
Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun Khayal Karna Jala Na Dena,

Guzar Rahi Hai Tumhari Kaise Bichar K Humse Rula K Humko,
Haqeeton Ko Zaroor Likhna Aana Ki Khatir Chupa Na Dena,

Koi Puchay Kidhar Gaya Wo Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara,
Jo Furqaton Ka Sabab Bany Thy Kisi Bahsar Ko Bata Na Dena,

Main Mar B Jaon To Muskurana Ehsas-e-Gham Ki na Chott Khana,
Jo Qurb-e-Gham Se Nighayen Bheegen To Rukh Se Anchal Hata Na Dena,

Lahu Se Tehreer Kar Raha Hoon Main Apni Saari Kahani MOHSIN,
Jo Phar bhi Do To Paas Rakhna Hawa Mein Tukray Urha Na Dena.......!!!!

Waqt udta he chala jaata hai jhonka ban ker

Waqt udta he chala jaata hai jhonka ban ker
Aur main tere khyalon se nikal ta hi nahin.

kaainaat ek naye husmn ki jauu mangti hai
Aur main jaada-e-anwar pe chalta hi nahin.

Rooh aalaam ki yalgaar se chilaati hai
Aur main pyaar ke andaaz badalta hi nahin'

Tu mere pyaar se inkaar kiye jaati hai
Aur aas ka pather pighalta hi nahin.

Mein us ki yaad ko dil mein bahaal rakhta tha

Mein us ki yaad ko dil mein bahaal rakhta tha,
Khud apne aap se zeyada kheyal rakhta tha,

Zara si baat pe woh mujhse rooth jata tha,
Main us se pyar ka rishta bahaal rakhta tha,

Sambhaal rakhti thi ik khawhish-e-wisaal mujhe,
Woh hijar deta tha, mujh ko niddhaal rakhta tha,

Main kitne qurb se guzra hoon kya pata us ko,
Woh shakhs mujh ko bohat pur’malaal rakhta tha,

Mujhe to dost mere maaar gaye Arshad,
Main bach geya hoon ke himmat kamaal rakhta tha..

Sirf itna nahin dil dukhaa kar geya

Sirf itna nahin dil dukhaa kar geya,
Sara jeewan woh mera sazaa kar geya,

Jis ki tu raah takta hai sham-o-sehar,
Sab hawaley woh tere bhalaa kar geya,

Phool, khushbu, chaman, chand, taarey, sabaa,
Saarey sathi woh hum se khafaa kar geya,

Tu kahan aur yeh bewafayi kahan,
Yeh zamana tujhe bewafaa kar geya,

Sab darakhton pe kuch kuch likha reh geya,
Naam aese woh mera mitaa kar geya,

Yaad meri sataaye gi shab bhar usey,
Aaj din bhar humain jo sataa kar geya,

Yeh bhi mumkin hai Arshad na lottay kabhi,
Jo humain chaar din ka bataa kar geya..

Jeeti baazi haara hoon

Jeeti baazi haara hoon,
Ab main toota taara hoon,

Sehraa hoon ik jaltey dukh ka,
Main ik gham ka dhaara hoon,

Sachaayi ka shola dil main,
Main jalta hua angaara hoon,

Galiyon galiyon dhoondon tujh ko,
Main bhi ik banjaara hoon,

Arshad meri qeemat kya hai,
Main matti hoon, gaara hoon..

Hawaa ke sath chalte ja rahe ho

Hawaa ke sath chalte ja rahe ho,
Bohat aagey nikalte ja rahe ho,

Chale jao magar yeh to bata do,
Yeh rastey kyon badalte ja rahe ho,

Khud apne hath se yeh khat jalaye,
To ab kyon hath maltey ja rahe ho,

Humain samjhaa rahe ho pyar se tum,
Suno! tum bhi badaltey ja rahe ho,

Uthaa kar bojh kandhon per jafaa ka,
Suna hai phir sambhaltey ja rahe ho,

Lagi ho koi chott dil par jaise,
Utha kar dard chalte ja rahe ho,

Barhaa kar dosti suraj se Arshad,
Ghanney saaye main chalte ja rahe ho..

Tujhe sochte hain gulaabon ko le ker

Tujhe sochte hain gulaabon ko le ker,
Khayalon main kitne saraabon ko le ker,

Teri ankh mein doob janey se pehle,
Bohat sochtey hain sharabon ko le ker,

Mujhe chahtey ho kahan se kahan tak,
Yehi sochtey hain jawabon ko le ker,

Mujhe apni chahat ki aghosh de do,
Kahan jaaon ga apne khawbon ko le ker,

Mujhe us ne apna na maana to Arshad,
Kahin ja basoon ga kharaabon ko le ker..

Kab kare kis se kare ishq ka peimaan koi

Kab kare kis se kare ishq ka peimaan koi,
Jaan! muddat se nahin dekha hai jaanan koi,

Dil behelta nahin phailay huye viraanon main,
Koi le aye, kisi sheher se jaanan koi,

Zindagi, teri inaayat pe nichaawar kardi,
Phir bhi rehta hai to bata tera ehsaan koi,

Koi pagal koi wehshi kabhi dekha kab tha,
Kese hota na mere roop se hairaan koi,

Jitni yadain hain teri, sath liye phirta hoon,
Ab mere pass nahin baaki hai samaan koi,

Kese utrey gi thakkan jism ki phir shaam ke baad,
Raat utri na ho jis sheher mein asaan koi.

Roshni kar raha hai is dil mein

Roshni kar raha hai is dil mein,
Ik diya sa jala hai is dil mein,

Dar hai aankhen na phir chalak jayen,
Ik kaanta chubha hai is dil mein,

Jis ke saarey makaan khali hain,
Sheher aesa basaa hai is dil mein,

Gungunaane lagi hain saansain bhi,
Koi rehne laga hai is dil mein,

Koi jis ka nahin ilaaj Arshad,
Dard aesa uthaa hai is dil mein..

Ab phool yeh wafaon ke chunta nahin koi

Ab phool yeh wafaon ke chunta nahin koi,
Guldaan udaas they usey takta nahin koi,

Gham baantne ki aas pe na rehna dosto,
Auron ki aag mein yahan jalta nahin koi,

Yu’n roshni ne khalaq se cheena hai aitbar,
Tareekiyon se ab yahan darta nahin koi,

Dunya to teri yaad ka paikar bhi cheenti,
Sad-shukar is pe dastaras rakhta nahi koi,

Wakif hain is safar ki sau’bat se sarey log,
Is raah-guzaar e ishq pe chalta nahin koi,

Dukh ki kisi sadaape paltey nahin hain hum,
Seenay mein ab to dard bhi uthta nahin koi..

Kash tu mujh ko mil gayi hoti

Kash tu mujh ko mil gayi hoti


Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta,
Apne dil mein tujhe basaa leta,
Meri kismat badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga,
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,

Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga,
Maut ko bhi galey laga loon ga,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti..

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna,
Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna,

Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga,
Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna,

Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha,
Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna,

Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai,
Dil-e-tabaah ko ab hasta haal kya karna..

Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna

Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna,
Hain log bohat khaas humain aam na karna,

Janey ki ijazat to diye dete hain lekin,
Raste main kahin aate huye shaam na karna,

Kuch roz se yeh haal hai chahat mein tumhari,
Bekaar parre rehna koi kaam na karna,

Main bhi na dikhaon ga sar-e-raah girebaan,
Tum bhi mere waadon ko sar-e-aam na karna,

Is shart pe hai tark-e-taluq ki ijazat,
Badnaam zamane mein mera naam na karna,

Hum log palat aaney ki haatir nahin jate,
Wa sham ke baad apne dar-o-baam na karna,

Yadon ka nasha hosh urra deta hai Arshad,
Saaqi se kaho samne ab jaaam na karna..

Hanste huye logon ko rulaya nahin karte

Hanste huye logon ko rulaya nahin karte,
Hum apna koi zakham dikhaya nahin karta,

Ik bar jisy apni nigahon se gira dain,
Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,

Us sakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai,
Jo pairr barre hote hain saaya nahin karte,

Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,
Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahin karte,

Yeh khel mohabbat ka hai phir soch lo Arshad,
Kho dete hain yahan sab kuch paaya nahin karte..

Woh hijar to deta hai judai nahin deta

Woh hijar to deta hai judai nahin deta
Kya tarfa tamasha hai bhujai nahin deta,

Mehsoos to hota hai rag-e-jan mein hi aksar,
Woh dard ka naghma jo sunaayi nahin deta,

Hain bhool bhulayi’an bhi ke rasta nahi milta,
Yeh sheher-e-sitam’gar hai rehayi nahin deta,

Tum ne kabhi socha hai ke parwana-e-nayab,
Khamosh hi marta hai duhaayi nahin deta,

Is dabr-e-harabat mein nuksaan yeh Sahir,
Jo deed ke kaabil hai dikhayi nahin deta..

Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote

Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote
Har jai chehre wafa ka pekar nahin hote

Jin k pass hoti hain umer bhar ki yadain
Wo log tanhai me bhi tanha nahin hote

Na daikh yon kisi ghareeb ko nech nazroon se
Koi majbori na ho to hath phele nahin jate

Waste daite hain abb Khoda k tujhe
Aur hum se abb jabar sehne nahin hote

Shaid ajj me tere naseeb me hota
Agar tum mere ansaon par hanse nahin hote

Bhool jate hain jo apni mohabbat ko
Ankhon me un k anso nahin hote

Photata hai jin k andar chashma mohabbat ka
Daman un k kabhi mele nahin hote

HUSSNAIN chahte hain jo kisi ko sache dil se
Aik din k wo mehtaj nahin hote

Meri ankhon mein najane kia parh raha tha

Meri ankhon mein najane kia parh raha tha
Shaid uss mein apna naam parh raha tha

Yee daikh kar uss ka wajood bhi kanp otha
Mujh pe beti hoi jab dastan parh raha tha

Judai ki afat bhi usi waqt hi ai thi
Jab wo mere hath ki lakerain parh raha tha

Pal bhar k lie bhi kia use meri yaad na ai
Uss shajar par likha jab apna naam parh raha tha

Shaid yakeen aa hi gea tha mere piar par use
Jab lahoo se likha mera khat parh raha tha

HUSSNAIN mehsos ho rahi thi use apni zaat bhi
Mere sene ki jab wo dharkan parh raha tha

Mehsos hota hai dard dil ka

Mehsos hota hai dard dil ka
Yaad karta hon jab tumhen dil mein

Karne gea tha tujh se izhar-e-mohabbat
Reh gai dil ki batain mere dil mein

Bholana jo chaha har aik ka chehra to
Bus gai sirf teri sorat kahen dil mein

Chor dia hai mene abb har aik ko
Basaea tha zamane ko kabhi dil mein

Kabhi zarorat parhi to shaid kaam hi aa jae
Tere thane sambhal rakhe hain dil mein

Kabhi milen fursaten to loot ana tum
Jaga bacha rakhi hai abb bhi dil mein

Na poch yee sun kar takleef hi ho gi
Tere ghamon ko chopa rakha hai dil mein

Jo suna hai kia such suna hai?
Bus gae ho tum kisi ghair k dil mein

HUSSNAIN zamane ko kahin khabar hi na ho jae
Chopae rakhate hain har khawaish dil mein

Loot aoo K zindagi ki raah mein

Loot ao…
K zindagi ki raah me…
Mohabbaton ki chah me…
Ghairon ki panah me…
Koi akela hai tujh bin…
Loot ao…
K zakhamon k ghao me…
Sulagti dhop k jhalao me…
Waqt k bahao me…
Koi akela hai tujh bin…
Kisi ki sans laina tak dushwar ho gea…
Loot ao…
K kahen sanson ki door na jae…
K akhen mohabbat siraf hasrat hi ban k na reh jae…
Loot ao…

Uss ki majbori ka mujh ko ehsas bahot hai

Uss ki majbori ka mujh ko ehsas bahot hai
Judai ki aziyat mein bhi lutaf bahot hai

Koshish bahot ki k mata sakon un ko
Tere mere bech phir bhi fasala bahot hai

Zarori nahin hai kisi talwar se zeer karne ki
Mere dushman ki haar k lie meri jeet hi bahot hai

Chor dia hath uss ka bus yahi keh kar
Teri har khoshi mujh ko anmol bahot hai

Na samajh yon k kahen mur jaen ge tere Bin
Tere intazar k lie meri sans bahot hai

Hath nahin phelata abb kahen bhi ja k
Nawazne k lie aik hi zaat bahot hai

Karta hon bus me hi tujh ko mohabbat
To bhi mujh ko chahe ye hasrat bahot hai

Zarori nahin hai kisi ko noha sunane ki
Annso girane k lie meri dastan hi bahot hai

Chor de abb har kisi ka hath thamana
Tujhe chahne k lie HUSSNAIN bahot hai

Yakeen aa gea hai HUSSNAIN abb hum ko bhi
Mohabbat k raste par chalana dushwar bahot hai

Sar-e-mehfil eman ka soda hote hoye daikha

Sar-e-mehfil eman ka soda hote hoye daikha
Insan ko hewan bante hoe daikha

Nahin hai yaad abb hum ko kahen bhi khof-e-Khoda
Jhooti gawahi jab Quran par laite hoye daikha

Abb Khoda ! kia uss se bhi bari gumrahi hogi
Zor-e-bazo se bint-e-Hawa ko nachate hoye daikha

Jo orakh rakhate hain labada parheez gari ka
Raton ko me-khane se inhain nikalte hoye daikha

Agar sunta hai to hi har kisi ki dua ko
Kion phir logon ko aoron se mangate hoye daikha hai

HUSSNAIN aoqat kia hai teri uss zaat k age
Uss dar pe to shehan-shahon ko jhokate daikha hai

Abb bhola do mujh ko

Abb bhola do mujh ko…
Kisi kamzoor lamhe ki tarah…
Kisi bête hoe sawan ki tarah…
Kisi kai hoi achai ki tarah…
Kisi guzare hoe sawan ki tarah…
Kisi bachpan me suni hoi kahani ki tarah…
Kisi la jawab karte hoe sawal ki tarah…
Kisi gungunae hoe geet ki tarah…
Kisi gire hoe annso ki tarah…
Abb bhola do mjujh ko…
Bhola do…

Meri bichari hoi adaa yad aye gi

Meri bichari hoi adaa yad aye gi
Aik din tujhe meri mohabbat yad aye gi

Hijar ki karwi raton me sone wale
Sohani wasal ki rat yad aye gi

Agg par nange paon chalte chalte
Mere dard ki shidat yad aye gi

Sir rakhate hoe kisi kandhe par
Mere shanon ki khoshboo yad aye gi

Rote rote jab to thak jae gi
Mere ansaon ki qadar yad aye gi

Sorkhi lagate hoe apne labon par
Mere honton ki hidat yad aye gi

Sunae gi jab bhi kisi ko hal-e-dil apna
Mujh par beti hoi dastan yad aye gI

Tohfa laite hoe doston se apne
Meri di hoi pael yad aye gi

Kare gi jab bhi to apni ankhain band
Meri halki si sorat yad aye gi

Kajhal lagate hoe apni ankhon me
Meri ki hoi sataesh yad aye gi

Odhair omari me jane k bad
Apni khoi hoi jawani yad aye gi

Hina lagae gi jab to apne hathon par
Mere naam ki lagi mehnadi yaad aye gi

HUSSNAIN sunte hoe geet raqebon se
Meri sunai hoi ghazal zaror yad aye gi

Chalo Phir se mohabbat karte hain

Chalo…
Phir se mohabbat karte hain…
Sabhi khataein bhola daite hain…
Tote hoye rishte jhor laite hain…
Chalo…
Phir se mohabbat karte hain…
Phir se qadam rakhate hain
Mohabbat ki wadi mein…
Phir se tham laite hain
Aik dosare ka hath…
Phir se doob jate hain
Khawabon k samandar mein…
Phir se jagate hain
Chahat ki hararat ko…
Phir se bana laite hain…
Aik be naam se rishte ko…
Phir se moor daite hain
Larzashon k tofan ko…
Chalo…
Phir se mohabbat karte hain…

Use kehna Bahot aziyat daiti hai December ki amad

Use kehna…
Bahot aziyat daiti hai…
December ki amad
Use kehna…
Paton k girane ki sansanahat…
Abb bhi teri ahat daiti hai
Use kehna…
Rota hoa asman…
Girtin hoi bijliyan…
Yaad karati hain…
Rafaqat-e-shab mujh ko
Use kehna…
Phir se toor daiti hain…
December ki odas shamain…
Use kehna…
Waqt-e-olafat yad kara k…
Phir khod bhi chor daiti hai
December ki amad…

Aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha

Aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Ho aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Tere bina jeene ka iraada to nahin tha
Aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Ho aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha

Hey tere liye raaton mein chaandhni ugaayi thi
Tere liye raaton mein chaandhni ugaayi thi
Kyariyon mein khushboo ki roshni lagayi thi
Jaane kahan tooti hai dor mere khwaab ki
Khwaab se jaagenge socha to nahin tha, socha to nahin tha
Aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Ho aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha

Hey shaamiyaane shaamon ke roz hi sajaaye the
Shaamiyaane shaamon ke roz hi sajaaye the
Kitni ummeedoon ke mehmaan bulaaye the
Aake darwaaze se laut gaye ho
Yun bhi koi aayega socha to nahin tha, socha to nahin tha
Aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Ho aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Tere bina jeene ka iraada to nahin tha
Aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha
Ho aisa koi zindagi se vaadaa to nahin tha

Popular Posts