Monday, July 15, 2013

Main aksar sochta hoon aur phir heraan hota hoon

 میں اکثر سوچتا ہوں
اور پھر حیران ہوتا ہوں
کہ آخر کون سی قوّت بڑی ہے
پرندے ہوں کہ چوپائے
سمندر کی کوئی مخلوق ہو
یا خود سمندر
وہ دریا ہو کہ ہو صحرا کی وسعت
بشر ہویا کہ ہو ابلیس کی ذات
طلب ہر ایک کی ہے
فتح مندی
یہاں قامت میں جو جتنا بڑا ہے
اسی نسبت سے اس کی خواہشیں ہیں
ہر اک کی ذات کا بنیادی مقصد
اَنائے ذات کا اظہار کرنا
کتابِ حق کی کوئی بات ہویا
رموزِ زندگی کی داستانیں
کہانی رزم گاہِ زیست کی ہو
کہ بزمِ آرزو کی لن ترانی
جہاں بھی دیکھتے
بس ایک نکتہ سب سے روشن ہے
کلاہِ ذات کو خوش نام رکھنا
جبینِ آرزو پر ’’فتح‘‘ لکھنا
مگر
کہانی جیت کی
ہابیل کے تازہ لہو سے
لکھا تھا وقت نہ
قابلی کے دامن پہ جس خطِّ جَلی میں
اسی انداز سے تجدید اس کی
ہمارے عہد میں بھی ہو رہی ہے
سنا ہے حشر تک ہوتی رہے گی
خدا کے نیک بندوں کا تناسب
لہو روتی ہوئی آنکھوں سے پوچھیں
چلیں ہم مان لیتے ہیں کہ یہ سب
سفر کے درمیاں کے حادثے میں

مگر جب ہم یہ سنتے ہیں
قریبِ روزِ محشر بھی
خدا کے نیک بندوں کے لیے
ترسے گی دنیا
کہیں میلوں پہ جا کے
لرزتا ٹمٹماتا سا چراغِ راہ کوئی
فلک کی سمت پیہم تک رہا ہو گا
علم اس وقت بھی سب سے نمایاں
اسی ابلیس کے ہاتھوں میں ہو گا
تو پھر میں سوچتا ہوں
کہ آخر کون سی قوّت بڑی ہے
٭٭٭

Ham Ehl-e-Wafa Husn Ko Ruswa Nahi Kartay

Ham Ehl-e-Wafa Husn Ko Ruswa Nahi Kartay,
Prdaa B Uthey Rukh se to Dekha Nahi Kartay,

Rakhtay Hain Jo Auroun k Liye PyarKa Jazba,
Wo Log Kabi Toot Kr Bikhra Nahi Kartay,

Kehti Hy to Kehti Rahay Maghroor Ye Dunya,
Hum Murr K Kisi shaks Ko Dekha Nahi Kartay,

Hum Log Be-Wafa Hain, Bad-Naam Hain Lekin,
Jo Log Muqaddas Hain, Kya Kya Nahi Kartay,

Ikhlas KiJageer Ko Hum Ehl-e-Mohabbat,
Taqseem to Kr Letey Hain Bechaa Nahi Kartay.

Bohat muddat se aisa hai

Bohat muddat se aisa hai,

K wo khmosh rehta hai,

Koi gehra hai ghum shayd,

Jisay chup chap sehta hai,

Yunhi chaltey huay tanha,

Koi ghamgeen sa naghma,

wo aksar gungunata hai,

Doran-e-guftagu yunhi,

Milen nazron se jb nazren,

To baten bhool jata hai,

Kisi gum sum si halat main,

Ya pihr barish k mausam main,

Fakat itna hi kehta hai,

Udasi be-waja si hai,

Bohat bojhal tabiyat hai,

Bhala sach kyun nahi kehta,

USAY muj say shekayat hai..
_________________


Tumhein ik baat kehni hai

Tumhein ik baat kehni hai,

'Magar naraz maat hona,

'K tum jo har ghari mujhko,

'itna yaad aate ho,

'Humein itna satate ho,

'K hum tum dur hain dono,

'Bohat majbur hain dono,

'Na itna yaad ao tum,

'Na yun itna satao tum,

'K itna yaad aa kar yun,

'Hamen pagal bana k tum,

'Faqat itna bata do k,

'Hamari JAAN lo ge kya?

'Magar ye bhi haqeeqat hai,

'Tuhmari YAAD hi to hai,

'Jo har pal sath rehti hai,

'Khushi me bhi,ghamon mein bhi,

'Udasi k palon mein bhi,

'Tuhmari YAAD hi to hai,

'Jo har pal ye batati hai,

'Mujhe ehsas dilati hai,

K

"HUM TUM BIN ADHURE HAIN

Chalo phir shart lag jaye

Chalo phir shart lag jaye
main sabit aaj kar doon ga

k tum ne dil lagi ki hai
muhabbat naam ki ' ki hai

sun kar us ki baatoon ko main booli

sada dil larke

agar main dil lagi karti

to jeene se na yon darti

muhabbat naam ki karti
wafaein aam si karti

magar phir bhi ana teri
teri taskeen ki khatir
ye kahti hoon

han main ne dil lagi ki thi
tujhe apna hi samjha tha
tujhe dil se lagaya tha

jahan na koi gham puhnche
wahan tujh ko chupaya tha


magar jana yaqeen jano

tumhare hosle ki main
daaad deti hoon

k kitne be rukhe se tum ne keh dala

Chalo phir shart lag jaye

Chalo phir shart lag jaye


Tumhein ye daar hai Meri ankhen ro paren gee

Tumhein ye daar hai Meri ankhen ro paren gee,

K in main tum ho

Tumhari izat,

tumhari shohrt,

tumhara rutba

Tumhein mubarik

Main apni ankhon se bol doun ga

Tumhein na dekhen

Magar suno to,

muje yaqeen hai

Ye ro paren gen. . .
ye ro paren gen

iss dafa december main tere aane ka sun kar


iss dafa december main
tere aane ka sun kar
dil ki dharkno ko bhi
khayal tera na aya
be yaqeni qayam thi
lehje par asar na tha
khayal bhi to yakja the
hont bhi to sakit the
hathon ki wo be cheni
unglion ka chathkhana
kush bhi na tha ab ki bar
ham ne to ye samjha tha
k jo ham ne socha tha
ham kamyab hain us main
k tujh ko bhol jane ki
har nishani qayam thi

iss dafa december main

iss dafa december main
tere ane ka sun kar
kuch bhi na kiya ham ne
na hi tere tuhfon ko
ab ki bar khola he
na hi tera khat koi
aansuon se dhoya he
tere sab kitaben bhi
bar bar parhne ki
pahle thi jo aadat si
wo bhi na rahi ab k
yani k zabat mera
kamyab he ab k
tujh ko bhol jane ki
har nishni qayam thi

iss dafa december main

iss dafa december main
tere ane ka sun kar
kuch bhi na tha pahle sa
pahle ki tarah ab k
bagh ki tarf jana
ache ache sare phol
tere khatir chun lena
kamre ki wo har khirki
pholon se wo bhar dena
kamre ki sajawat main
ghar ki sab araish main
hamara mashwre dena
kam pora hone par
sare kam ka phir se
khud se jaiza lena
tere har pasand ka wo
zahan main mere hona
kuch bhi na tha ab ki bar
shayad k ham sache the
tujh ko bhol jane ki
har nishani qayam thi

iss dafa december main

iss dafa december main
tujh ko bhol jane ki
har nishani qayam thi
par hamin pata na tha
tujh ko bhol jane ki
is sari koshish main
ham kamyab the kitne
tujh ko bhol jane ki
har naishani k hote
tujh ko yad rakhne ki
ik nishani qayam thi
har nishani se barh kar
ya nishani dayam thi
jis ko ham na samjhe the
wo to chalte chalte hi
jab aaene talk puhanche
aks apna dekha to
chalakte hue aanso
dekh kar laga ham ko
jase ham se goya hon
lahja bhi sawali ho
or ham se kahte hain
iss dafa december main
us ko bhol jane main tum
tum kamyab ho kitne
tum kamyab ho kitne

iss dafa december main

or
ham ya sochte hain k
iss dafa december main
us ko bhol jane ki
har nishani qayam thi
phir us ka zikar aane par
ashkon ka ya beh perna
gar us ko bhol jane ki
har nishani qayam he
phir us ka zikar aane par
ye serabi kesi he
maloom ye hi hota he
k
us ko bhol jane ki
har nishani jhoti he
har dafa december main
us ka zikar aane par
hamare aadtain sari
agar che badal jain
zabat ye mera sara
gar che sath mera de
par jo ashk hain mere
usi ko yad karte hain
ye faryad karte hain
k
iss dafa december main
loot kar jo aao tum
phir kahin na jao tum
kash kahin na jao tum

iss dafa december main . . . .

December mein to kamre ki main khirki khool leta hoon

December mein to kamre ki main khirki khool leta hoon
magar ye dik ka darwaza nahi kholta nahi kholta....

sirf ek baar aao


mere sabar par koi ajaar kiya meri dhopeher per ye aber kyu

mere sabar par koi ajaar kiya meri dhopeher per ye aber kyu 
mujhe odhrney de azeeyatein meri aadatein na kharaab kar

ajeeb zulm huye hain duniya mein mohabbat per

ajeeb zulm huye hain duniya mein mohabbat per
jinhein mili unhein qadar nahi jahan qadar thi unhein mili nahi

har gharri dard ki shiddat se sisakti ankhain

har gharri dard ki shiddat se sisakti ankhain
Aur oopar se tere wasl ke khawabon ke azaab
Roz aangan mein kharray pair se girty patty
Aur sar-e-shaam parindon pe guzrti aafat
Nabz aur dil ki baghawat se
tarapti hai hayat
Is bharay shehr mein bharta hua logon ka Qehat
Roz hoti hai mere sath deewaron ki jharrap
Roz ik sans ko phaansi ki saza milti hai
Ab to aa ja meri jan ke pyare dushman
Ab to aa ja K tere hijr k Qaidi ko yahan
Roz is shehr mein marnay ki dua milti hai

Sochta hoon ke mein ne

Sochta hoon ke mein ne...
kion chaha, kion itna eitebaar kiaa...
tum ne chorr hi to jana thaa...

ajab si baat hai...
aankh band ho tumhein sochoon...
har dil ki dharrkan ...tumhein mangey...

is qadar pyar to nahi paao ge...
is terah paas koi aaye bhi to...
yaqeen hai mujh ko...
dhoondhtey raho ge...
lekin...kisey...kahan..

koi nahi hai ab to...
jisko dhoondh paao..
jissey dil ka haal sunao...

koi nahi hai...
khud hi to torr diye tum ne...
chahaton ke sab rishtey..
sab kasmein khud hi torr deen tumne...

sochta hoon...ab to shayed
aitebaar ker hi na paaoon.
jorr liya hai rishta..
is tanhayi se ..
jo pal pal ehsaas dilati hai...
ke wo meri hai...

haan ye tanhayi meri hai....
aur koi nahi
kabhi nahi....!!!!

us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai

us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai
sath hi muhabbat ka wasta bhi likha hai

us ne ye bhi likha hai mere ghar nahin ana
saaf saaf lafzon main rasta bhi likha hai

kuch haroof likhay hain zabt ki naseehat main
kuch haroof main us ne hosla bhi likha hai

shukria bhi likha hai dil se yaad karnay ka
dil de dil ka hai kitna faasla bhi likha hai

kaya usay likhain ‘Mohsin’ kaya usay kahain ‘Mohsin’
jis ne kar ke be-jan phir jan-e-jaan bhi likha hai

Toot k chahna aur phir toot jana

Toot k chahna aur phir toot jana
baat choti hai mager jan leva hai

humdardi na karo mujh se aye mere humdard

humdardi na karo mujh se aye mere humdard
who bhi bare humdard thay jo dard hazaron day gaye

wo kehta hai k pather dil log rote nahi

wo kehta hai k pather dil log rote nahi
usay kiya khabar k pani k chashme hamesha pathron se nikla kerte hain

meri nigah se ho jaye na gustakhi koi

meri nigah se ho jaye na gustakhi koi
tujhe sar utha k bhi dekha to faqat paon tak

be-basi se uski aankhon mein bhi aa gaye aansoo

be-basi se uski aankhon mein bhi aa gaye aansoo
jab dene laga wo mujhe mashwara judai ka

hum wo aana parast hain jo haar kar bhi kehtay hain

hum wo aana parast hain jo haar kar bhi kehtay hain
wo manzil hi badnaseeb thi jo hum ko na paa saki

sath chalne ko thay sabhi dost lakin

sath chalne ko thay sabhi dost lakin
meri manzil tak ka saathi mera saaya nikla

Mout tu naam se badnaam hai werna

Mout tu naam se badnaam hai werna
takleef to zindagi bhi bohat deti hai

kon kharedega ab Heeron k daam mein tere aansoo

kon kharedega ab Heeron k daam mein tere aansoo
wo jo dard ka Tajar tha usne mohabbat choor di

wo bare tajassus se pooch baitha mere ghum ki waja

wo bare tajassus se pooch baitha mere ghum ki waja
phir halka sa muskraya or kaha mohabbat ki thi na

kyu itni Tasdeek kerte hoo

kyu itni Tasdeek kerte hoo
har hawale se hum yumhare hain

kiya pochte hoo mere karobaar ka

kiya pochte hoo mere karobaar ka
Aaine bechta hoon aandhoon k seher mein

Hum ne To Ek Hi Shaks Par Muhabbat Khatam Kardi

Hum ne To Ek Hi Shaks Par Muhabbat Khatam Kardi
Ab Muhabbat Kis Ko Kehte Hai Kuch Maloom Nahi…

Humain Maloom Tha Anjaam Ishq Ka Lekin

Humain Maloom Tha Anjaam Ishq Ka Lekin,
Jawani Josh Par Thi, Zindagi Barbaad Kar Bethay

Faqat Khawabo Se Hi Nahi Milta Sakoon Sone Ka

Faqat Khawabo Se Hi Nahi Milta Sakoon Sone Ka…
Kisi Ki Yaad Me Raat Bhar Jagne Ka Bhi Apna Maza Hai

Kash Tum Hume Dekh Lete Mud Ek Bar Jane Se Pehle

Kash Tum Hume Dekh Lete Mud Ek Bar Jane Se Pehle
Phir Shayad Tum Na Ja Pate Humari Aisi Halat Dekhne K Baad

Kisi Ko Chaho To Is Aandaz Se Chaho

Kisi Ko Chaho To Is Aandaz Se Chaho
K Uss Ko Jab Bhi Pyaar Mile To Tum Yaad Aa Jao…!!

Kitne Aansoo Baha Diye Hain Is 4 Din Ki Mohabbat Main

Kitne Aansoo Baha Diye Hain Is 4 Din Ki Mohabbat Main
Kash Sajde Main Bahate To Aaj Gunaho Se Pak Hote

Main Manta Hoon K MUNFARID Nahi Hoon Main

Main Manta Hoon K MUNFARID Nahi Hoon Main
Magar Koi To Baat Hai K Deewani Hui Wo

Meri Aankhen Bhi Mujhse Ek Din Yeh Keh Dein Gi

Meri Aankhen Bhi Mujhse Ek Din Yeh Keh Dein Gi
Khuwab Uske Na Dekha Karo Hum Se Ab Roya Nahi Jata..

Pal Hain Ke Rukte Nahi Udte Hi Jate Hain Phir

Pal Hain Ke Rukte Nahi Udte Hi Jate Hain Phir
Ankhon Ki Dehleez Pe Kaise Ruk Gaya Wo Ek Pal

Tamaam Umar Guzar Gayee Hume Ek Lamha Talash Karne Mein

Tamaam Umar Guzar Gayee Hume Ek Lamha Talash Karne Mein
Wo Lamha Jo Humari Talash Mein Kahin Kho Gaya

Tamanna Thi K Koi Toot K Chahta Humein Magar Afsos

Tamanna Thi K Koi Toot K Chahta Humein Magar Afsos
Hum Khud Hi Toot K Bikhar Gaye Kisi Ki Chahat Mein

mujhe tanha dekh kar tum itne haqeer kyu hote ho

mujhe tanha dekh kar tum itne haqeer kyu hote ho
mujhe mohabbat hai ek aise shakhs se jo tanhaion main mujhe yaad aata hai

waada-e-wasal ki umeed k bhar aanay tak

waada-e-wasal ki umeed k bhar aanay tak
Hum tere hijar se hijrat nahi kerne waley

Gali mein tooti hoi churiyan mili hain subha subha

Gali mein tooti hoi churiyan mili hain subha subha
Raat kisi masoom ki mohabbat pe zawaal aaya hoga

jo dil k aaine mein hoo wohi pyar k Qabil

jo dil k aaine mein hoo wohi pyar k Qabil
warna deewaar k Qabil to har tasveer hoti hai

usi ka ziker phir chairo k aansoo toot kar niklain

usi ka ziker phir chairo k aansoo toot kar niklain
mujhe dil k sabhi parday nami se paak kernay hain

Tu to wo tha k mohabbatein banta kerta tha

Tu to wo tha k mohabbatein banta kerta tha
aaj kyu mangta hai uss ka pyar faqeeron ki tarhan

Takleef kabhi jo hoo mujhe sochne se tumhein

Takleef kabhi jo hoo mujhe sochne se tumhein
lamha bhi na lagana mujhe bhool jana tum

mujhe neend nahi aati tumhari yaad aane k baad

mujhe neend nahi aati tumhari yaad aane k baad
magar ek khuwaab ki laalach mein phir sona bhi perta hai

Iss Dil Nay Terey Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki

Iss Dil Nay Terey Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Hadd Yeh K Dharakney Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki

Tabeer Ka Aizaaz Huwa Hai Ussay Hasil
Jis Nay Meray Khaabon Main Shiraakat Bhi Nahi Ki

Ulfat Tou Bari Baat Hai Hum Say Tou Sar-e-Shehar
Logo Nay Kabhi Dhang Say Nafrat Bhi Nahi Ki

Aadaab-e-Safar Aab Woh Sikhaatay Hain Jinho Nay
Dou Chaar Qadam Ki Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki

Kiya Apni Safaayi Main Bayain Detay K Hum Nay
Na Kerda Gunaahi Ki Wazaahat Bhi Nahi Ki

Khaamosh Tamashaayi Ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakham Sahey Dil Pay , Shikaayet Bhi Nahi Ki

Iss Ghar K Sabhi Log Mujhay Chornay Aaye
Dehleez Talak Uss Nay Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki

Uss Nay Bhi Ghulaamo Ki Safo Main Hamay Rakha
Iss Dil Pay Kabhi Jis Nay Hakoomat Bhi Nahi Ki

dafan jo sadiyon talay hai wo khazana de de

dafan jo sadiyon talay hai wo khazana de de
aik lamhay ko mujhay apna zamana de de

chaap de apne khad-o-khaal meri ankhon per
phir rahaish ke liye aaina khana de de

aur kuch tujh se nahin mangta mere aaqa
na rasai ko ziarat ka bahana de de

maut jab aaye mujhay kash tere shehr main aaye
khaak-e-batha se bhi keh de ke thikana de de

zindagi jang ka maidan nazar aati hai
meri har saans ko aahang-e-tarana de de

apnay hathon hi pareshaan hai ummat teri
us kay uljhay huay halaat ko shana de de

apnay mazi se muzaffar ko nidamat tau na ho
us ke amrooz ko farad-e-yagana de de

Ye zindagi ik tashnagi

Ye zindagi ik tashnagi…
Kahein main nahi
kahein tum nahi.
kahein apna naam o nishaan nahi!
Isi zindagi k saraab main,
hamain apna aap mila nahi..
chalay raat bhar..jalay dhoop main!!
magar manzilon ka pata nahi…
raah e hayaat ki dhool nay…
sab lay liya, kuch diyaa nahi…
yehe silsala hai hayaat ka..
kahein main nahi..
kahein tum nahi…
kahein apna naam o nishaan nahi…
ye zindagi ik tashnagi

hansi khankti hui aur bhuji bhuji khushiyaan

hansi khankti hui
aur bhuji bhuji khushiyaan
hai Pyar ki mahek se
hai rachi hui ghariyaan
maza anokha sa hai
aate jaate lamhon main
kitaabain godh mein pheli
hai khoye baaton mein
rafaqaton mein khazana
jo hum ne paaya hai
na dil pe bojh hai koi
na ghum ka saaya hai
humein ye ghunn hai ke khushboo
ko hum to dekhain gay
yaqeen hai ke sitaaron
ko bharh ke choo lain gay
khula ye raaz bicharna
bhi tha bahaaron ko
kisi ke haath nahin
choo sake sitaaron ko
kabhi dareechon mein shammain
jo hum jalaatain hain
toh geet lehjay khayalon
main gungunate hain

aankh ki nadiya ashk ki nayya yaad tumhari Chand ki raat

aankh ki nadiya ashk ki nayya yad tumhari Chand ki raat
Jharna,jugnu tim tim taary kitni payari Chand ki raat

Sookhy patty sard hawaen sooni sarken main or tum
Shah or malka hath hain thaamay aur darbari Chand ki raat

Mera bachpan Dor patangen pakki neenden kachy ghar
Chupan chupai cheena jhapti Raj dulari Chand ki raat

Tash k patte yar hamare maili chadar Gehri chaal
Saans ka huqqa behki baten Hum pe taari Chand ki raat

Dil ko choo jati hai raat ki awaz kabhi

Dil ko choo jati hai raat ki awaz kabhi
chonk uth’ta hon kahin tumne pukara hi na ho
marnay ke baad bhi meri ankhen khuli raheen
adat pari hovee thee teray intezar ki

kuch haar piro dalo gul’dastay bana rakho
araasta mehraben aangan mein saja rakho
Farsh-e-dil-o-jan yonhi ta-subh bicha rakho
hay raat andheri ye chokat pe diya rakho

shayad ke woh ajayen, darwaza khula rakho

yaad aa hi gai hogi, ab aa hi raha hoga
dar jaye na rastay main, sunsaan bada hoga
muddat se nahi aaya ab yaad bhi kya hoga
dehleez pe ja betho ghar bhool gaya hoga

aaker na palat jaye, darwaza khula rakho

kya meri lagan ab tak waisi hi lagi hogi
kya mil ke usay ab bhi waisi hi khushi hogi
kya chah meri usko waisi hi abhi hogi
ya mujh se bichar kar phir kuch aur badhi hogi

najanay kab ajaye, darwaza khula rakho

aisa na ho kay yeh shab phir yun hi guzar jaye
ta subho yunhi tarpoon tab bhi na magar aye
jab bhi koi ahat ho dam aank mein aa jaye
reh reh ke nazar uthay mayos palat aaye

shayad magar ajaye, darwaza khula rakho

kuch haar piro dalo gul’dastay bana rakho
araasta mehraben angen mein saja rakho

Main Shaair Hoon To Akser Loog Mujh Se Pochtey Hein

Main Shaair Hoon To Akser Loog Mujh Se Pochtey Hein
Is Haseen Israar K Baare mein
Bataain To Bhala Kia Hai?
Muhabat Aakhrish Hai Kia?
Wasi Me Hans K Kehta Hoon
Kisi Pyase Ko Apne Hissey Ka Paani Pilana Bhe
Muhabat Hai
Bhanwar Me Doobte Ko Saahiloon Tak Le K Jana Bhe
Muhabat Hai
Kisi K Waaste Nanhi Si Qurbani Muhabat Hai
Kaheen Hum Raaz Saare Khool Saktey Hoon Mager Phir Bhe
Kisi Ki Bebasi Ko Dekh Ker Khaamosh Reh Jana
Muhabat Hai
Ho Dil Me Dard, Weraani Mager Phir Bhe
Kisi K Waaste Jabran He Hoonto Per Hansi Laana
Zaberdasti He Muskana
Muhabat Hai
Kaheen Barish Me Seh’me, Bheegte Billi K Bachey Ko
Zara Si Deir Ko Ghar Ley K Aana Bhe
Muhabat Hai
Koi Chirya Jo Kamre Me Bhatakti Aan Nikli Ho
To Us Chirya Ko
Pankhey Band Ker K Raasta Bahir Ka Dikhlana
Muhabat Hai
Kisi K Zakhm Sehlana
Kisi Rotey Huwe Ke Dil Ko Behlana
Muhabat Hai
K Meetha Bool Meethi Baat Meethey Lafz Sab Kia Hain?
Muhabbat Hai
Muhabat Aik He Bas Aik He Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Us Ki Batoon Khushbowoon Me Dolna Kab Hai
Muhabat Us Ki Zulf K Bul Kholna Kab Hai
Muhabat K Hazaaron Rang
Laakhon Ista’aarey Hein
Kisi Bhe Rang Me Ho Yeh
Mujhey Apna Banati Hai
Yeh Mere Dil Ko Bhaati Hai

Popular Posts