Monday, July 15, 2013

iss dafa december main tere aane ka sun kar


iss dafa december main
tere aane ka sun kar
dil ki dharkno ko bhi
khayal tera na aya
be yaqeni qayam thi
lehje par asar na tha
khayal bhi to yakja the
hont bhi to sakit the
hathon ki wo be cheni
unglion ka chathkhana
kush bhi na tha ab ki bar
ham ne to ye samjha tha
k jo ham ne socha tha
ham kamyab hain us main
k tujh ko bhol jane ki
har nishani qayam thi

iss dafa december main

iss dafa december main
tere ane ka sun kar
kuch bhi na kiya ham ne
na hi tere tuhfon ko
ab ki bar khola he
na hi tera khat koi
aansuon se dhoya he
tere sab kitaben bhi
bar bar parhne ki
pahle thi jo aadat si
wo bhi na rahi ab k
yani k zabat mera
kamyab he ab k
tujh ko bhol jane ki
har nishni qayam thi

iss dafa december main

iss dafa december main
tere ane ka sun kar
kuch bhi na tha pahle sa
pahle ki tarah ab k
bagh ki tarf jana
ache ache sare phol
tere khatir chun lena
kamre ki wo har khirki
pholon se wo bhar dena
kamre ki sajawat main
ghar ki sab araish main
hamara mashwre dena
kam pora hone par
sare kam ka phir se
khud se jaiza lena
tere har pasand ka wo
zahan main mere hona
kuch bhi na tha ab ki bar
shayad k ham sache the
tujh ko bhol jane ki
har nishani qayam thi

iss dafa december main

iss dafa december main
tujh ko bhol jane ki
har nishani qayam thi
par hamin pata na tha
tujh ko bhol jane ki
is sari koshish main
ham kamyab the kitne
tujh ko bhol jane ki
har naishani k hote
tujh ko yad rakhne ki
ik nishani qayam thi
har nishani se barh kar
ya nishani dayam thi
jis ko ham na samjhe the
wo to chalte chalte hi
jab aaene talk puhanche
aks apna dekha to
chalakte hue aanso
dekh kar laga ham ko
jase ham se goya hon
lahja bhi sawali ho
or ham se kahte hain
iss dafa december main
us ko bhol jane main tum
tum kamyab ho kitne
tum kamyab ho kitne

iss dafa december main

or
ham ya sochte hain k
iss dafa december main
us ko bhol jane ki
har nishani qayam thi
phir us ka zikar aane par
ashkon ka ya beh perna
gar us ko bhol jane ki
har nishani qayam he
phir us ka zikar aane par
ye serabi kesi he
maloom ye hi hota he
k
us ko bhol jane ki
har nishani jhoti he
har dafa december main
us ka zikar aane par
hamare aadtain sari
agar che badal jain
zabat ye mera sara
gar che sath mera de
par jo ashk hain mere
usi ko yad karte hain
ye faryad karte hain
k
iss dafa december main
loot kar jo aao tum
phir kahin na jao tum
kash kahin na jao tum

iss dafa december main . . . .

No comments:

Popular Posts