Friday, July 16, 2010

Har Toofan Me Meri Kashti Ko Sahara Mile Ye Zaroori To Nahi


Har Toofan Me Meri Kashti Ko Sahara Mile Ye Zaroori To Nahi,
Har Mod Par Tumhe Deedar Hamara Mile Ye Zaroori To Nahi,

Kuch Baatein Labon Tak Laayi Jayein Ye Zaroori To Nahi,
Har Zakham Sab Ko Dikhaya Jaye Zaroori To Nahi,

Har WaQt Aasman Mein Chand Rahe Ye Zaroori To Nahi,
Har Lakeer Me Mera Naam-O-Nishan Rahe Ye Zaroori To Nahi,

Manta Hoon Main Bhi Ke Judai To Badi Mushkil Hai Tere Bina,
Par MuQaddar Ke Har Waar Se Lada Jaye Ye Zaroori To Nahi...

Ankh Mein Koi Sitara Ho Zaroori To Nahi


Ankh Mein Koi Sitara Ho Zaroori To Nahi,
Pyar Mein Koi Hamara Ho Zaroori To Nahi,

Ye HaQeeQat Hai Ke Mujhe Tujshe Mohabbat Hai,
Par Tere Sath Guzaara Ho Zaroori To Nahi,

Ye Mere Dar Se Jo Phoolonki Mehek Aati Hai,
Tere Aane Ka Ishara Ho Zaroori To Nahi,

Doobte WaQt Ki Nazar Uspe Bhi To Pad Sakti Hai,
Samne Mere Kinara Ho Zaroori To Nahi,

Kam Nahi Ye Bhi Ke Hai Shaher Hamara Lekin,
Shaher Mein Koi Hamara Ho Ye Zaroori To Nahi,

Ho Sakta Hai Khata Uska Nishana Aye Khushi,
Teer Usne Mujhe Maara Ho Ye Zaroori To Nahi...

Zara Sochne Do Itni Jaldi Bhi Nahi Achhi


Zara Sochne Do,
Itni Jaldi Bhi Nahi Achhi,
Main Ye Tasleem Karti Hoon
Tumhe Mujhse Mohabbat Hai,
Magar Ye Kya Khabar Tumko
Mujhe Kiski Zaroorat Hai,
Mujhe Kisse Mohabat Hai,
Baja Kehte Ho Zalim Karb-E-Tanhayi,
Anokhe Zakham Deta Hai,
FaQat Ek Gam RafaQat Hai,
Ye Chahat Apni Fitrat Hai,
Mujhe Bhi Apni Tanhayi
Bahut Mehsoos Hoti Hai,
Baatein Kya Kisiko
Muztarib Dilki Jo Halat Hai,
Musalsil Runj-O-Majrohi,
Yehi Ab Meri Kismat Hai,
Tum Achhe Ho,
Mujhe Bhi Achhe Lagte Ho,
Magar Mujhse Kahin Badh Kar,
Wo Duniay Khoobsurat Hai,
Jo Daulat Mand Armano Ki Jannat Hai,
Zara Socho Tumahre Dil Me Jo Mere Liye Hai,
Par Josh Rughbat Aur Chahat Hai,
Ye Sab Kuch
Kya Tumhare Pyar Ki Belos Jazbon Ki,
Alamat Hai,
Nahi Aisa Nahi Hai
Is Dard Aur Ashoob Main Pyari
Wohi Kuch Besh Keemat Hai
Jo Ek Jins-E-Tijarat Hai...

Banna Sanwarna Achha Nahi Lagta


Banna Sanwarna Achha Nahi Lagta,
Be-Sabab Hasna Achha Nahi Lagta,

Chand To Hai Be-Hajab,
Har Aankh Mein Utarna Achha Nahi Lagta,

Tum Hi Aao To Kuch Baat Bane,
Ab Kisi Aur Ka Samna Achha Nahi Lagta,

Sabah Ne Kaha Mausam Ne Angdai Li Hai,
Tum Bin Mausam Suhana Achha Nahi Lagta,

Paimane Beasar Hai Teri Aankhon Ke Samne,
SaaQi Ke Haath Se Peena Achha Nahi Lagta,

Khazaan Parasti Mein Guzri Hai Umar Sari,
Ab In Baharon Se Ulajhna Achha Nahi Lagta...

Wo Jo Majboori Ke Saaye Mein Pale The


Wo Jo Majboori Ke Saaye Mein Pale The,
Log The Adhe Adhoore Par Bhale The,

Aapne Jashna Manaya Jis Jagah Par,
Us Jagah Par Raat Bhar Sapne Jale The,

Haaye Kitna Kar Gaye Nakaam Humko,
WaQt Par Jo Ho Na Paaye Faisle The,

Chhod Kar Jab Raah Mein Sab Chal Diye To,
Kaam Aaye Tab Hamare Honsle The,

Dar Samajh Kar Is Tarah Uthne Lage Kyon,
Log Jo Baithe Ghane Pedon Ke Tale The...

Barso Ki Chahat Ko Ek Pal Mein Badalte Dekha Humne


Barso Ki Chahat Ko Ek Pal Mein Badalte Dekha Humne,
Toot Kar Chahne Walon Ko Baat Se Mukarte Dekha Humne,

Naaz Kart Ethe Jo Apni Wafaon Par,
Unhi Ko Beawfayi Karte Dekha Humne,

Kaise Saja Lein Sapne Apni Udaas Aankhon Mein,
Har Khwab Ko Toot Kar Bikharte Dekha Humne,

Karte The Jo Wada Hamesha Saath Chalne Ke,
Phir Unhi Ko Raasta Badalte Dekha Humne,

Aitbaar Nahi Raha Kisi Par Bhi Kya Karein,
Is Aitbaar Ko Kayi Baar Marte Dekha Humne...

Sukhe Honth, Sulagti Aankhein, Sarso Jaisa Rang


Sukhe Honth, Sulagti Aankhein, Sarso Jaisa Rang,
Barso Baad Wo Dekh Ke Mujhko Reh Jayega Dang,

Maazi Ka Wo Lamha Aaj Bhi Mujh Ko Khoon Ke Aansu Rulaye,
Ukhdi Ukhdi Baatein Uski Gairon Jaise Dhang,

Dilko Pehle Hi Dard Ki Deemak Chaat Gayi Thi,
Rooh Ko Bhi Ab Chadta Jaye Tanhayi Ka Rang,

Inhi Ke Sadke Ya Rab Meri Mushkil Aasan Kar De,
Mere Jaise Aru Bhi Hai Jo Dilke Haathon Tang,

Sab Kuch De Kar Hans Di Aur Phir Kehne Lagi TaQdder,
Kabhi Na Poori Hogi Tere Dilki Umang,

Kyon Na Apni Chudiyon Ko Kirchi Kirchi Kar Dalun,
Dekhi Hai Aaj Ek Sundar Dulhan Doli Ke Sang,

Shabnam Koi Jo Tujse Haare, Jeet Pe Maan Na Karna,
Jeet Wo Hogi Jab Jitogi Apne Aap Se Jang, 

Hum Kya Karte Kis Raah Chalte


Hum Kya Karte Kis Raah Chalte,
Har Raah Mein Kaantein Bikhre The,
Un Rishton Ke Jo Chhut Gaye,
Un Sadiyon Ke Yaaron Ke
Jo Ek Ek Kar Ke Toot Gaye,
Jis Raah Chale Jis Simt Gaye,
Yoon Paanv Lahoo Luhaan Hue,
Sab Dekhne Wale Kehte The,
Ye Kaisi Reet Rachaye Hai,
Ye Mehandi Kyun Lagaye Hai,
Wo Kehte The Kyon Kehte
Wafa Ka Na-HaQ Charcha Karte Ho,
Paanv Se Lahoo Ko Dho Dalo,
Ye Raahein Bahut Banjar Hai,
So Raastein In Se Pothe Gaye,
Tum Dilko Sambhalo Jis Mein Abhi
So Tarah Ke Nashtar Chubhte Hai...

Kaha Usne Mujhe "Tab" WaQaye Tumse Mohabbat Thi


Kaha Usne,
Mujhe "Tab" WaQaye Tumse Mohabbat Thi,
Kaha Maine,
Mujhe To Aaj Bhi Tumse Mohabbat Hai,
Wo "Tab" Ki Baat Karte The,
Main "Ab" Ki Baat Karti Hoon,
Magar Jo Faasla "Tab" Aur "Ab" Ke Darmiyan Maujood Hai,
Wo Humse To Milkar Bhi Sameta Jaa Nahi Sakta,
Wo Ab Tak Aa Nahi Sakte,
Main Tum Ko Paa Nahi Sakti...

Jab Se Tune Mujhe Deewana bana Rakha Hai


Jab Se Tune Mujhe Deewana bana Rakha Hai,
Patthar Har Shakhs Ne Hathon Me Utha Rakha Hai,

Us Ke Dil Par Bhi Kadi IshQ Me Guzri Hogi,
Naam Jis Ne Bhi Mohabbat Ka Maza Rakha Hai,

Patharon Aaj Mere Ghar Pe Baraste Kyon Ho,
Maine Tumko Bhi Kabhi Apna Khuda Rakha Hai,

Ab Mere Deed Ki Duniya Bhi Tamashayi Hai,
Tune Kya Mujh Ko Mohabbat Mein Bana Rakha Hai,

Pee Jaa Ayaam Ke Talkhi Ko Hans Kar Aye Dil,
Gam Ko Sehne Mein Bhi Kudrat Ne Maza Rakha Hai...

Suno..... Naaraz Ho Humse


Suno.....
Naaraz Ho Humse???

Magar Hum Wo Hain Jin Ko To Manana Bhi Nahi Aata,
Kisine Aaj Tak Humse Mohabbat Jo Nahi Ki Hai,

Mohabbat Kis Tarah Hoti Hai?

Hamare Shaher Ki Galiyon Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka,
Aur Is Sheher-Pareshan Ke Gulshan
Sukhe Gulabon Se Bhari Thi,
Aur Un Mein Na Khushbu Thi Na Koi Phool Tum Jaisa,
Mehak Uthti Hamari Dil Ki Dhadkan Jiski Qurbat Se,
Hum Aise Sheher Ki Sunsaan Galiyon Mein,
Kisi Sukhe Hue Veeran Patte Ki Tarah Se The,
Ke Jab Zalim Hawa Hum Par Qadam Rakhti,
To Uske Paanv Ke Niche Hamara Dam Nikal Jaata,
Magar Patjhad Ka Wo Mausam,
Suna Hai Tal Chuka Ab To,
Magar Jo Haar Honi Thi
So Wo To Ho Chuki Hamari,

Suno......
Haare Hue Logon Se To Rootha Nahi Karte...

Aaj Phir Yaad Uski Mujhe Aayi Hai


Aaj Phir Yaad Uski Mujhe Aayi Hai,
Aaj Phir Sang Apne Laakhon Gam Laayi Hai,
Aaj Phir [/Color=Red]Matam[/Color] Hoga Mere Dilka,
Na Jaane Kab Tak Ye Silsila Rahega,
Aaj Phir Bahut Door Shehnaiyan Bajegi,
Jaise Ke Mere Dil Pe Chhuriyan Chalegi,
Aaj Phir Koi Hasega To Koi Royega,
Na Jaane Kaun Jagega To Kaun Soyega,
Aaj Phir Kismat Meri Mujhe Wahin Laayi Hai,
Jahan Par Likhi Hui Abhi Tak Judai Hai...

Kya Khabar Thi Ke Main Is Darja Badal Jaungi


Kya Khabar Thi Ke Main Is Darja Badal Jaungi,
Tujhko Kho Dungi Tere Gam Se Sambhal Jaungi,

Ajnabi Banke Milungi Main Tujhe Mehfil Mein,
Tu Na Chhede To Main Baat Badal Jaungi,

Dhoond Paaye Na Jahan Yaad Bhi Teri Mujhko,
Aise Jungal Mein Kisi Roz Nikal Jaungi,

Zidd Mein Aaye Hue Maasum Se Bachhe Ki Tarah,
Khud Hi Kashti Ko Dubone Pe Machal Jaungi...

Mil Gayi Thi Talvar, Khud Dil Ke Tukde Kiye Hazaar


Mil Gayi Thi Talvar, Khud Dil Ke Tukde Kiye Hazaar,
Jab Chun Rahe Hai Ek Bhi Na Mila Ab Hue Lachaar,

Mohabbat Kar Li Duniya Se Ho Gayi Humse Khata,
Paa To Kuch Na Sake Jo Tha Wo Bhi Kho Diya Ab Kar Rahe Hai Vichaar,

Na Kare Pyar Koi Na Kare Aitbaar Koi Na Kare Dilka Vyaapaar,
Panchhi Udna Sikh Raha Tha, Pyar Ka Teer Laga Ab Hua Bekarar,

Na Pyaar Ke Badle Pyaar Ki Aas Rakho Na Aas Rakho Wafa Ki,
Pyar Karo To Aas Rakho Intezaar Ki, Aur Qurbaan Hone Ko Ho Ja Taiyar,

Labz Mein Matlab Na Mila Pyar Ka Ab Hawaon Me Dhund

Rahe Hai,
Sun Kar Hawaon Ne Rukh Mod Liya Kya Itna Bura Hota Hai Ye Pyar?

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera, Kyon Bujha Gaya Aawargi


Ye Dil Ye Pagal Dil Mera, Kyon Bujha Gaya Aawargi,
Is Dasht Mein Ek Shaher Tha Wo Kya Hua Aawargi,

Kal Shab Mujhe Be-Shakl Si Awaz Ne Chaunka Diya,
Maine Kaha Tu Kaun Hai To Usne Kaha Aawargi,

Ek Tu Ki Sadiyon Se Mera Hamraah Bhi Hamraaz Bhi,
Ek Main Tere Naam Se Na Aashna Aawargi,

Ye Dardki Tanhaiyan, Ye Dasht Ka Veeran Safar,
Hum Log To Ukta Gaye Apni Suna Aawargi,

Ek Ajnabi Jhonke Ne Jab Pucha Mere Gam Ka Sabab,
Sahara Ki Bhigi Ret Par Maine Likha Aawargi,

Le Ab To Dasht-E-Shab Ki Saari Vusatein Sone Lagi,
Ab Jagna Hoga Hamein Kab Tak Bata Aawargi,

Kal Raat Tanha Chand Ko Dekha Tha Maine Khwab Mein,
'Mohsin' Mujhe Raas Aayegi Shayad Aawargi...

Khushi Ka Gam Hai, Na Gam Ki Koi Khushi Ab To


Khushi Ka Gam Hai, Na Gam Ki Koi Khushi Ab To,
Bahut Udas Guzarti Hai Zindagi Ab To!

Tere Bagair Bhi Dil Ki Tasalliyon Ke Liye,
Ek Intezar Ki Shab Thi, So Dhal Chuki Hai Ab To!

Ek Ashna Ke Bichhadne Se Koi Nahi Badla,
Hawa-E-Sheher Bhi Lagti Hai Ajnabi Ab To!

Tamam Raat Rahi Dil Mein Roshni Ki Lakeer,
Misaal-E-Shama Seher Wo Bhi Jal Bujhi Ab To!

Kahan Gaya Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehre,
Ujdi Si Nazar Aati Hai, Har Gali Ab To!!!

Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate Haan Magar Jab Bhi Saans Leti Hoon


Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate,
Haan Magar Jab Bhi Saans Leti Hoon,
Khushbu Ki Tarah Saanson Mein,
Roz Tum Bikharte Ho,
Rooh Mein Hardam Utarte Ho...

Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate,
Jab Kadi Dopaher Mein Sooraj Ka
AQs Mere Badan Pe Padta Hai,
Saaya Ban Kar Saath Saath Chalte Ho,

Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate,
Raat Ki Zulf Jab Bikharti Hai,
Sapna Bankar
Meri Sooni Aankhon Ki
Roshni Bhi Bante Ho,
Har Ghadi Mere Sath Rehte Ho,
To Tumhe Kaise Yaad Kar **** Main,

Bhool Jaun To Yaad Kar Lungi,
Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate,
Tum Mujhe Yaad To Nahi Aate...

Chale The Shauk Se Hum Tohfa-E-Wafa Le Kar


Chale The Shauk Se Hum Tohfa-E-Wafa Le Kar,
Gamon Ne Loot Liya Naam Aapka Le Kar,

Ye Aag Ghar Ko Lagi Hai To Kya Taajub Hai,
Gayi Thi Roshni Mujh Se Mera Pata Le Kar,

Sitarein Moond Le Aankhein To Kitna Achha Ho,
Jhuka Hai Wo Mere Chehre Par Iltija Le Kar,

Jo Haar Jate Hai Manzil Unhe Nahi Milti,
Kisike Paas Na Ja Harf-E-Iltija Le Kar,

Mere Badan Ko Sajaya Gaya Hai Zakhmon Se,
Main Kya Karunga Koi Qemat Qaba Le Kar,

Ye Shehar Pathar Hai Yahan Kimat Nahi Dil Ki,
Kahan Khade Hai Janaab Aap Aayna Le Kar.  

Milna Bichadna Bichhad Kar Kho Jana Hona Juda Aur Phir Ek Hona


Milna Bichadna Bichhad Kar Kho Jana Hona Juda Aur Phir Ek Hona,
Rasm-E-Duniya Hai Ye Naam-E-Wafa Lena Aur Phir Bewafa Ho Jana,

Kho Ke Is Alam Mein Bey-Khudi Ko
Ho Na Kisike Aur WaQt Ki Sada Ho Jana,

Takhta Dar Bhi Wo Hi Layein Naam Mehboob Hi,
Be-Ikhtiyar Hi Yun IshQ Ki Intehan Ho Jana,

Hairat Hui Is Mariz Ke Ilaj Pe Mujhe,
Dekh Kar Isko Yun Hi Sehat Thik Ho Jana,

Kiya Hai To Ye Teri Duniya,
Asal To Rahe IshQ Me Fana Ho Jana,

Chode Mehfil Duniyako More Mom Beybasi Ki Rah Se,
Sajde Me Girna Hakikat Hai Talib Dua Ho Jana...

Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahi


Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi,
Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahi,

Itne Hisso Mein Bat Gayi Hoon Main,
Mere Hisse Mein Kuch Bacha Hi Nahi,

Sach Ghate Ya Badhe To Sach Na Rahe,
Jhuth Ki Koi Intehaan Hi Nahi,

Tol Do Chandni Me Chahe Sone Mein,
Aaina Jhuth Bolta Hi Nahi...

Aisa Nahi Ke Tumse Mohabbat Nahi Hamein


Aisa Nahi Ke Tumse Mohabbat Nahi Hamein,
Gam Roz Roz Sehne Ki Aadat Nahi Hamein,

Har Baar Tumhare Samne Sar Ko Jhuka Liya,
Aur Phir Bhi Dekho Tumse Shikayat Nahi Hamein,

Tum Aitbaar Karo Ke Tumhe Chahte Hai Hum,
Tumhare Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Hamein,

Hum Jante Hai Tum Bhi Ho Tanha Hamare Bin,
Auron Se Puchhne Ki Zaroorat Nahi Hamein,

Tum Qatal Bhi Karo To Aayenge Tumhare Paas,
Auron Se Dukh Bhi Kehne Ki Fursat Nahi Hamein,

Kaise Rahenge Bin Tumhare Ab Baat Maan Le,
Tumhare Bagair Rehneki Aadat Nahi Hamein,

Bichhde Ho Tum To Dil Par Qayamat Guzar Gayi,
Ab Intezar Roz-E-Qayamat Nahi Hamein,

Hum Haar Maan Lenge Tum Mere Paas Aaye To
Ab Koi Bhi Jeet Ki Khwahish Nahi Hamein,

Gar Tum Udaas Ho To Kanwal Bhi Udaas Hai,
Ye Mat Samajh Ke Tumse Mohabbat Nahi Hamein...

Mere RafeeQon Mere Doston Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do


Mere RafeeQon Mere Doston Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do,
Main To Pyar Ke Kaabil Nahi Mujhe Dil Mein Itni Jagah Na Do,

Mujhe Zindagi Ka Shauk Na Raha Mujhe Zindagi Ne Diya Hai Kya,
Main Marun Ye Mujhko HaQ Hai, Main Jiyun Ye Mujhko Saza Na Do,

Wo Bane The Mere Jo Humsafar Wohi Chal Diye Mujhe Chhod Kar,
Main Jahan Se Aya Hoon Ghamzada, Mujhe Phir Wahin Se Sada Na Do,

Is Zindagi Ki Shaam Ka, Mujhe Dar Tha Is Anjaam Ka,
Mujhe Ek Aansu Ki Tarah Kahin Aankh Se Tum Gira Na Do,

In Tanhaiyon Ki Qabr Par Gam Ka Kafan Odhe,
Main Jo So Gayi Hoon Chain Se Mujhe Nind Se Phir Jaga Na Do...

Jo Log Jaan Bujh Kar Nadaan Ban Gaye


Jo Log Jaan Bujh Kar Nadaan Ban Gaye,
Hum Unki Meharbani Se Nakaam Ban Gaye,

Dil De Diya Kisiko Badle Mein Na Kuchh Mila,
Hum Muft Mein Hi Gair-Dil Insaan Ban Gaye,

Le Ke Kisika Dil Use Thukra Ke Kya Mila,
Sang Mere Aaj Tum Bhi To Badnaam Ban Gaye,

Ab Hai Ye Aalam Har Shaher Ki Gali Mein,
Saman-E-Hansi Aaj Sare Aam Ban Gaye,

Mehfooz Tum Raho Khalish Har Gam-O-Sitam Se
Barbaad Hum Sahi Tum Gulfaam Ban Gaye... 

Raat Ne Jalti Tanhayi Mein Andheron K Jaal Bune The


Raat Ne Jalti Tanhayi Mein
Andheron Ke Jaal Bune The,
Deewaron Par Tareeki Ki Gard Jami Thi,
Khushbu Ka Ehsaas Fiza Mein Toot Raha Tha,
Ghar Aangan Khamoshi Odhe Jaag Raha Tha,
Darwaze Baahein Failaye So Rahe The,
Door Samundar Par Hawayein Badalon Se Baatein Karti Thi,
Aise Main Ek Neend Ka Jhonka,
Lehar Bana Aur Guzar Gaya,
Phir Aankh Khuli To
Is Mausam Ki Pehli Baarish
Aur Teri Yaadein,
Dono Mil Kar,
Toot Kar Barsi...

Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne


Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne
Yeh Bhi Mujh par Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne

Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein
Aaj Mein Khush Hun Ke Deewana Kaha Hai Tumne

Jab Bhi Takarai Mere Jism Se Yeh Sh_okh Hava
Mujh ko Mehsoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne

Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh
Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch AaKe Kaha Hai Tumne

Hitchkiyan Bhi Kabhi Kambhakt Nahin Aati Hai
Jo Yeh Sochon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne

Dard Phail Jaata Hai To Ek WaQt Aata Hai


Dard Phail Jaata Hai To,
Ek WaQt Aata Hai,
Dil Dhadakta Rehta Hai,
Aarzu Gazeedon Ke Hosle Nahi Chalte,
Dasht-E-Be-Yakeeni Me Aasre Nahi Chalte,
Rehguzar Ki Aankhon Mein
Manzilein Na Jab Tak Ho, Qaafile Nahi Chalte,
Mujhe Achha Nahi Lagta,
Qaafile Nahi Chalte,
Ek Zara TawaiQ Se Dekhiye To Khulta Hai,
Log In Par Chalte Hai, Raste Nahi Chalte,
Sochne Samajne Se Saath Saath Cahlne Se,
Dooriyan Simatti Hai Fasle Nahi Chalte,
Khwab Khwab Aankhon Mein Ratjage Nahi Chalte,
Darguzar Ke HalQe Me Mas'allay Nahi Chalte,
Do Dilonki Qurbat Me Teesra Nahi Hota,
Waaste Nahi Chalte,
Bakht Saath Chalta Hai Taalay Azmaaon Ke,
WaQt Raam Karne Me Tajziyon Ke Dao Kya,
Tajurbey Nahi Chalte,
IshQ Ke Ilake Me Hukm-E-Yaar Chalta Hai,
Zaabte Nahi Chalte... 

Hazaron Log Duniya Mein Hame Milte To Hai Lekin


Hazaron Log Duniya Mein Hame Milte To Hai Lekin,
Jo Mujh Tak Khud Palat Aaye, Wo Mujhko Nahi Milta,

Jo Ab Yoon Hai Ke Kuch Bhi Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti,
Ye Raaste To Adhure Hai, Yahan Kuch Bhi Nahi Milta,

Kabhi Chup Chap Ambar Ko Yunhi Ek Baar Dekho To,
Tumhe Mehsoos Ho Khushiyan Chura Kar Kuch Nahi Milta,

Hamari Zindagi Tum Ne Zaar Zaar Kar To Di Lekin,
Kisike Hath Ki Mehandi Mita Kar Sukh Nahi Milta,

Tumhari Soch NaQis Thi Wahi Par The,
Ye Sach Hai Ke Kisiko Seep Se Moti Nahi Milta,

To Ban Jao Kuch Aise Keh Har Koi Hi Teri Talab Kare,
Main Hairan Hoon Tumhe Kyon Ek Bhi Aisa Nahi Milta...

Jee Chuke Hum Bahut FaQat Apne Liye Gar Jiye Apni Khatir


Jee Chuke Hum Bahut FaQat Apne Liye,
Gar Jiye Apni Khatir To Phir Kya Jiye,
Hum Pe Ehsaan Bhaari Zamane Ke Hai,
Na Zamane Ki Khatir Jiye, Kya Jiye...

Aaj Apna Watan Raas Aata Nahi,
Naujawan Chal Pade Aaj Pardes Ko,
Is Watan Mein Zehaalat, Garibi Sahi,
Bewatan Ki Tarah Gar Jiye Kya Jiye...

Chaahe Aapas Mein Kitni Adavat Rahe,
Khoon Ke Rishte Mitte Nahi Bair Se,
Rishte Gairon Se Bun Kar Bhi Bunate Nahi,
Gair Ke Ghar Me Jaakar Jiye, Kya Jiye...

Aadmi Ki Hawas Kya Kabhi Kam Hui,
Jab Jitni Bhari Utni Khali Rahi,
Paisa Puje Kabhi Bhi Khuda Na Mile,
Paise Ke Waste Jo Jiye Kya Jiye...

Pyar Apne Se Aur Apne Dilse Sabhi
Log Karte Hai Karte Rahe Hai Sada,
Pyar Sacha Jo Auro Ke Dilse Kare,
Hai Wahi Jo Khalish Asliyat Me Jiye...

Dard Itna Hai Ke Main Seh Sakti Nahi


Dard Itna Hai Ke Main Seh Sakti Nahi
Dil To Kehta Hai Ke Keh Du Magar Keh Sakti Nahi,

Usse Mohabbat Hai Najane Kabse,
Janna Chahti Hoon Magar Jaan Sakti Nahi,

Is Kadar Manga Hai Use Duwaon Me Magar,
Jisme Use Paana Likha Ho, Wo Lakeer Mil Sakti Nahi

Uska Milna Armaan Tha Dilka Dilme Ye Armaan Reh Gaya,
Kaash Wo Mujhse Ye Kehta Jo Main Keh Sakti Nahi

So Jaya Karti Hoon Usko Bhool Jane Ke Liye,
Khud Ko Bhul Jaungi Lekin Usko Bhula Sakti Nahi... 

Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki,


Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki,
Had Ye Ke Dhadakne Ki Jisaarat Bhi Nahi Ki,

Use Dekhneki In Aankhon Ko Hamesha Talab Rahi,
Jisne Mere Khwabon Me Shirkat Bhi Nahi Ki,

Ulfat To Badi Baat Hai Humse To Sar-E-Sheher,
Logone Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahi Ki,

Aadab-E-Safar Ab Wo Sikhate Hai Jinhone
Do Chaar Qadam Tay, Ye Musaafat Bhi Nahi Ki,

Kya Apni Safayi Mein Bayan Dete Ke Hum Ne,
Na-Kardaa Gunaahi Ki Wazaahat Bhi Nahi Ki,

Khamosh Tamashayi Ki Maanind Sar-E-Bazm,
Sau Zakham Sahe Dil Pe, Shikayat Bhi Nahi Ki,

Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhe Chhodne Aaye,
Dehleez Tak Usne Ye Zehmat Bhi Nahi Ki

Usne Bhi Ghulamon Ki Safon Mein Hamein Rakha,
Is Dil Pe Kabhi Jisne Hukumat Bhi Nahi Ki...

Udaas Aankhon Se Aansu Nahi Niklate Hai,


Udaas Aankhon Se Aansu Nahi Niklate Hai,
Ye Motiyon Ki Tarah Seepiyon Mein Palte Hai,

Ghane Dhuwein Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hai,
Tamam Raat Tamannaon Ke Ped Jalte Hai,

Main Phool Nahi Raaste Ka Patthar Hoon,
Yahan Se Sawaar Bhi Paidal Chalte Hai,

Unhein Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hoon,
Wo Log Phool Samajh Kar Mujhe Masalte Hai,

Ye Ek Ped Hai Aa Isse Milkar Ro Lein Hum,
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hai,

Kayi Sitaron Ko Main Jaanti Hoon Bachpan Se,
Kahin Bhi Jaun Mere Sath Sath Chalte Hai...

Khoya Khoya Udaas Sa Hoga Tum Se Wo Shakhs Jab Mila Hoga


Khoya Khoya Udaas Sa Hoga,
Tum Se Wo Shakhs Jab Mila Hoga,

Qurb Ka Zikr Jab Chala Hoga,
Darmiyan Koi Faasla Hoga,

Rooh Se Rooh Ho Chuki Begaani,
Jism Se Jism Kab Judaa Hoga,

Phir Bulaya Hai Usne Khat Likhkar,
Samne Koi Maslaa Hoga,

Ghar Mein Sab Log So Rahe Honge,
Phool Aangan Mein Jal Chuka Hoga,

Kal Ki Baatein Karoge Jab Logon,
Khauf Se Dil Mein Maatam Hoga...

Bana Bana Ke Tamanna Mitayi Jaati Hai


Bana Bana Ke Tamanna Mitayi Jaati Hai,
Tarah Tarah Se Wafa Aazmayi Jaati Hai,

Jab Unko Meri Mohabbat Ka Aitbaar Nahi,
To Jhuka Jhuka Ke Nazar Kyon Milayi Jaati Hai,

Hamare Dil Ka Pata Wo Hamein Nahi Dete,
Hamari Chiz Hum Hi Se Chhupayi Jaati Hai,

Aye Dil Doori-E-Manzil Se Naummid Na Ho,
Manzil Ab Aa Hi Jaati Hai Ab Aa Hi Jaati Hai..

Ye Khayal Ye Tumhara Intezaar



Ye Khayal
Ye Tumhara Intezaar,
Ye Ruki Ruki Baatein,
Ye Thodi Thodi Chahatein,
Ye Majboori,
Ye Doori,
Ye Dillagi,
Ye Dilkashi,
Ye Deewanapan,
Ye Akelapan,
Ye Sochna,
Ye Samajhna,
Ye Dekhna,
Ye Chehre Ka Sharma Jaana,
Ye Aankhon Ka Bhar Jana,
Ye Mausam Ka Chala Jana,
Ye Dhadkano Ka Ruk Jana,
Ye Baaton Ka Badal Jaana,
Ye Saanso Ke Thehar Jana,
Ye Thama Hua Sama,
Ye Saara Sansar,
Ye Tumahri Saans
Ye Mera Ehsaas,
Kaash Tum Yahan Hote,
Mere Nahi To Mere Liye Kuch To Hote,
Aur Ab.....
Ye Khamoshi.......

Mere Mehboob!!! Meri Taraf Na Dekh


Mere Mehboob!!!
Meri Taraf Na Dekh
Meri Aankhon Ko Bhi Nam Rehne De,
Tark-E-Khwahish Ka Bharam Rehne De,
Phir Pighal Jaye Na Seene Me Ye Dil,
Kitni Muddat Me Bhulaya Tha Machalna Isko,
Kitni Mushkil Se Sikhaya Tha Ke Jine Ke Liye,
Yun Mohabbat Se Dhadakne Ka Hunar
Nadani Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Ek Tamasha Hai Wo Saare Manzar
Jinke Chehre Pe Ho TaQdeeer Ke Nazar NaQsh
Ab To Tu Khudse Mukarne De Mujhe,
Mere Mehboob Nahi......Aur Nahi,
Jism Ko Rakh Na Kar Rooh Ko Shola Na Bana,
Yun Meri Taraf Na Dekh...

Tere Baad Bhi Wohi Gardishein, Wahi Mausam Tere Baad Bhi



Tere Baad Bhi
Wohi Gardishein, Wahi Mausam Tere Baad Bhi,
Wohi Hosle Mere Dam-Ba-Dam Tere Baad Bhi,
Tere Saath Bhi Meri Har Jafa Mere Saath Hai,
Tere Saare Gam Mujhe Pyaare Tere Baad Bhi,

Tere Gam Se Hai Meri Har Khushi Mein Kami Si,
Mere Haal Pe Hai Tere Karam Tere Baad Bhi,
Bade Ajeeb Mere Raaste Tere Baad Bhi,
Bada Sukoon Hai Mere Raaston Mein Tere Baad Bhi,

Tere Sath Bhi Meri Har Khushi Tere Liye,
Tere Sath Meri Chashm-E-Gam Tere Baad Bhi,
Tere Sath Thi Meri Duniya Mein Jo Roshni,
FaQat Ek Pal Kabhi Subah-E-Dam Tere Baad Bhi,

Tujhe Jaan-E-Gam Jo Kaha Kabhi To Galat Kaha,
Meri Zindagi Ka Jawan Hai Gam Tere Baad Bhi,
Tujhe Paas Paake Ahad-E-Wafa Mere Sath Kab?
Mujhe Jaan Se Badh Kar Tera Bharam Tere Baad Bhi,

Mere Baad Kitna Hi Roop Tu Na Badal Le,
Main Wohi Hoon Ab Bhi Teri Kasam Tere Baad Bhi,
Tu Kisiki Zindagi Ki Aarzu Mein To Dhal Gaya,
Main Na Ho Saki Kabhi Khud Ki Bhi Tere Baad Bhi...

Teri Aahaton Ka Bharam Tha Mera Humsafar,
Yehi Ek Gumaan Mera Hum-Kadam Tere Baad Bhi,
Tu Chala Gaya Apne Nishaan Samet Kar,
Mere Paas Hai Mera Gam-E-Zindagi Tere Baad Bhi...

Humko Tanhaiyon Mein Jeene Do


Humko Tanhaiyon Mein Jeene Do,
Chupke Chupke Ye AshQ Pine Do,

Apni Chahat Ka Mat Sahara Do,
Humko Tanha Ye Zakham Seene Do,

Dil Se Yaadein Na Mitne Payengi,
Inko Aise Hi Dil Me Jeene Do,

Darta Hoon Phir Kahin Na Beh Jaun,
Rehne Do Tum Na Ye Safine Do,

Wo Hi Dikhta Hai Meri Aankhon Mein,
Chahe Kitne Bhi Tum Aayine Do,

Hamein Wakt Se Ranj-O-Malal Kya Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,


Hamein Wakt Se Ranj-O-Malal Kya Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,
Use Yaad Karke Na Dil Dukha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Na Gila Kiya Na Khafa Hue Yunhi Raaste Me Juda Hue,
Na Tu Bewafa Na Main Bewafa Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Gazal Ki Ek Kitab Tha Wo Gulon Mein Ek Gulab Tha,
Zara Der Ko Koi Khwaab Tha Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Udaas Dhoop Samet Kar Kahin Waadiyon Mein Utar Chuka,
Use Ab Na Demere Dil Sada Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Ye Safar Bhi Kitna Taweel Hai Yahan WaQt Kitna

Qaleel Hai,
Kahan Laut Kar Koi Aayega Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Wo Wafayein Thi Ke Jafayein Thi Ye Na Soch Kiski Khatayein Thi,
Jo Tera Hai Usko Gale Laga Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Koi Gulistan Nahi, Koi Khooshbu Ab Kisiki Zindagi Mein Nahi,
Ye Ujjad Mehlon Ki Sun Sada Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,

Tujhe Aitbaar-O-YaQeen Nahi, Duniya Itni Buri Nahi,
Na Malal Kar Mere Sath Aa Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya...

Roz Badhti Hoon Jahanse Aage, Phir Wahin Laut Ke Aa Jaati Hoon


Roz Badhti Hoon Jahanse Aage,
Phir Wahin Laut Ke Aa Jaati Hoon,
Baarha Tod Chuki Hoon Jinko,
Inhi Diwaron Se Takraati Hoon,
Roz Basate Hai Kayi Shaher Naye
Roz Dharti Mein Sama Jaate Hai,
Zal-Zalon Mein Thi Zara Si Girah,
Wo Bhi Ab Roz Hi Aa Jaate Hai...

Jism Se Rooh Talak Ret Hi Ret,
Na Kahin Dhoop Na Saaya Na Saraab,
Kitne Armaan Hai Kis Sehra Mein,
Kaun Rakhta Hai Mazaaron Ka Hisaab,
Nafz Bujhti Bhi Bhadakti Bhi Hai,
Dil Ka Shauk Hai Ghabrana Bhi,
Raat Andhere Ne Andhere Se Kaha,
Ek Aadat Hai Jiye Jaana Bhi...

Ek Hi Rang Ki Hoti Hai Samajh Le,
Ek Hi Chaal Bhi Paimana Bhi,
Goshe Goshe Mein Khadi Hai Masjid,
Mushkil Kya Ho Gayi Maykhane Ki,
Koi Kehta Tha Samundar Hoon Main,
Aur Meri Jeb Mein Qatra Bhi Nahin,
Khairiyat Apni Likha Karti Hoon,
Ab To TaQdeer Mein Khatra Bhi Nahi...

Apne Haathon Ko Padha Karti Hoon,
Kabhi Quraan Ki Zubaan Ki Tarah,
Chand Rekhaon Mein Samaun Main,
Zindagi Qaid Hai Armaan Ki Tarah,
Pyar Karne Kab Wo Aayega Malum Nahi,
Kaash Nafrat Karne Hi Wo Aa Jaata...

Aye Hawa! Usse Kehna, Saansein To Muntazir Ab Bhi Hai,


Aye Hawa!
Usse Kehna,
Saansein To Muntazir Ab Bhi Hai,
Lab Use Pukarte Ab Bhi Hai,
Aansu Us Naam Pe Behte Ab Bhi Hai,

Aye Hawa!
Usse Kehna
Wo Mohabbat Jo Zamane Se Chhupayi Na Gayi,
Ye Aur Baat Ke Use Batayi Na Gayi,
Wo IshQ Ki Manzilein Kam Ab Bhi Hai,

Aye Hawa!
Usse Kehna,
IshQ Se Wafa Tak Ke Sabhi Silsile,
Jo Hum Dono Ki Chahaton Me Rahe,
Wo Silsile Mumkin Ab Bhi Nahi

Aye Hawa,
Usse Kehna,
Main Jaanti Hoon Wo Jo Guzra Kal Hai Mera,
Main Manti Hoon Wo Ane Wala Kal Nahi Mera,
Magar...
Aye Hawa!
Usse Kehna Main Aur Mera Dil,
Us Ki Talab Mein Ab Bhi Hai...

Bahut Chup Chup Se Rehte Ho


Bahut Chup Chup Se Rehte Ho,
Na Aayne Me Apna Chehra Dekhte Ho,
Na Koi Baat Karte Ho,
Bhari Mehfil Mein Bhi Aksar,
Hamesha Khoye Rehte Ho,
Nami Si Aankh Mein Le Kar,
Har Ek Chehre Ko Takte Ho,
Koi Jab Yaad Aata Hai,
To Thandi Aahein Bharte Ho,
Tum Khulkar Kyon Nahi Kehte,
Ke Humse Pyar Karte Ho?
Ke Apne Dil Ki Dhadkan Hamare Me Chhod Gaye Ho?
Ke Dhundte Ho Apni Rooh Ko Mere Jism Mein?
Kyon Tadapte Ho Aur Tadpaate Ho?
Kyon Nahi Kehte Ke Khudse Zyada Humse Pyar Karte Ho?

Mujhko Ek Hamdal Mila Tha, Ek Safar Ki Raat Mein


Mujhko Ek Hamdal Mila Tha, Ek Safar Ki Raat Mein,
Main Bahut Be-Khud Hui Thi, Ek Safar Ki Raat Mein,

Jane Kiski Yaad Thi Ke Ek Manzar Dekh Kar,
Toot Kar Main Ro Padi Thi Ek Safar Ki Raat Mein,

Wo Ke Jisse Umar Bhar Ki Duriyan Mansoob Hai,
Mere Seene Se Laga Tha Ek Safar Ki Raat Mein,

Har Taraf Faile Hue The Yaad-E-Gham Ke Silsile,
Kitna Mushkil Raasta Tha Ek Safar Ki Raat Mein,

Ghar Se Bahar Paanv Rakhte Hi Laraz Uthta Hai Dil,
Hadsa Aisa Hua Tha Ek Safar Ki Raat Mein,

Aaj Bhi Gungunata Hoon Use Tanhayi Mein,
Geet Jo Humne Suna Tha Ek Safar Ki Raat Mein...

Ye Raaz-E-Mohabbat Chhupa Raha Hai Koi



Ye Raaz-E-Mohabbat Chhupa Raha Hai Koi,
Hai AshQ Aankho Mein Aur Muskura Raha Hai Koi,

Nazar Nazar Mein Kisika AQs Dikha Raha Hai Koi,
Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi,

Dhoke Hi Dhoke Hai Saare Waade Aur Kasmein Uski,
Na Aa Raha Hai Koi Aur Na Jaa Raha Hai Koi,

Ye Husn-O-IshQ Ki Tasveer Ke Hai Do Manzar,
Ki Ro Raha Hai Koi Muskura Raha Hai Koi,

Hashr Mein Pahuche To Hum Ne Kya Dekha,
Kisike Hath Se Daaman Chhuda Raha Hai Koi...

Zindagi Mein Hai Dhoka Iske Siwa Kuch Nahi



Zindagi Mein Hai Dhoka Iske Siwa Kuch Nahi,
Tamashayi Hai Ye Duniya Iske Siwa Kuch Nahi,

Meri Zindagi Se Puchhiye Zindagi Kya Hai,
Zindagi Hai Ke Khwaab Iske Siwa Kuch Nahi,

Khushiyan Hai Laakhon Is Duniya Mein Magar,
Udaasi Hai Mere Dil Me Iske Siwa Kuch Nahi,

Mujhse Jo Log Bhi Mile Hai Khush Hokar,
Inke Dilon Mein Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi,

Waade Karte Hai Log Magar Jaante Nahi Wafa Karna,
Bewafayi Hai Is Duniya Mein Iske Siwa Kuch Nahi,

Pal Mein Jise Chaha Use Pal Mein Bhula Diya,
Yeh Khel Hai Duniya Ka Iske Siwa Kuch Nahi,

Tum Ko Chaha Hai Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke,
Duniya To Hai Ek Dhokha Iske Siwa Kuch Nahi...

Bhool Gayi Hai Yaadein Bhi Meri


Bhool Gayi Hai Yaadein Bhi Meri,
Ke In Aankhon Ko Intezar Kiska Tha,

Daba Daba Sa Sehma Sa Dil Me,
Wo Phoolon Sa Khilta Pyar Kiska Tha,

Majbooriyon Ka Apni Ab Bahana Na Kar,
Tujhe Bhi Yaad Hoga IshQ Ka Izhaar Kiska Tha,

Jise Dekhte Hi Madhosh Ho Gayi Nigahein,
Khuda Ya Ye Roohani Deedar Kiska Tha,

Sooraj Ki Chamak Bhi Feeki Thi Jiske Aage,
Wo Baharon Sa Gulposh Chehra Kiska Tha,

Mujh Dushman Ka Hi Ghar Jalana Tha Usko,
Wo Bhi Bhool Gaya Ke Wo Dildaar Kiska Tha...

Na Koi Khwaab Na Saheli Thi


Na Koi Khwaab Na Saheli Thi,
Is Mohabbat Mein Main Akeli Thi,

Ishq Mein Tum Kahan Ke Sache The,
Jo Tanhaiya Thi Humne Jheli Thi,

Yaad Ab Kuch Nahi Raha Lekin,
Ek Dariya Tha Ya Haweli Thi,

Jisne Uljha Ke Rakh Diya Dilko,
Wo Mohabbat Thi Ya Paheli Thi,

Main Zara Si Bhi Kam Wafa Karti
Tum Ne To Meri Jaan Le Li Thi,

Waqt Ke Saanp Kha Gaye Usko,
Mere Aangan Mein Ek Pyaari Si Chameli Thi,

Is Shab-E-Gham Me Kisko Batlaun,
Kitni Roshan Meri Hatheli Thi...

main tum ko pa k bhi kion panay say majbor raha


main tum ko pa k bhi kion panay say majbor raha
to mairi roh main bas kar bhi mujh say door raha
to badal gai to ye ahsas howa mujh ko
kion tairi wafa pay mujhay itna guror raha
tujhay jo paya to khoya zamanay bhar ko sanam
k to bhi insan tha kehna itna mujhay shaur tha
zamana burai karray us ki nahi bardasht mujhay
aaj dushman hi sahi wo dost bhi zaror tha

Mein Shajar Hoon Mera Haraa Hona Zindagi ke liye Zarori Hey


Mein Shajar Hoon Mera Haraa Hona
Zindagi ke liye Zarori Hey
Mein Musafir ke liye Saya Hon
Mera Rehna Bohat Zarori Hey
Mein Tapish Jheel k Bhe Saya Doon
Meri Hurmat pe ye Zarori Hey

Janey Kiya Dukh Hey Mujh Sey Soraj ko
Qeid Rakhta Hey Tamazat Mein Mujhey
Zaya Karney ke liye Raaigan Karney ke Liye

Jaanta he Nahi Mera Maqsad ,,,,
Wo Meri Zaat Bhula Deta Hey .......
Rooz Khilta Hon Musafir ke liye
Rooz Soraj Meri Shakhon ko Jala Deta Hey ……!!!

teri chah main had say guzar jaon gi ik din


teri chah main had say guzar jaon gi ik din
piyar hota hai kia yeh dikhaon gi ik din


teri sang dili ko sehtay sehtay
main jaan say apni guzar jaon gi ik din


apni sari chahtain tujh pay war kay
piyar karna tujhay bhee sikhaon gi ik din


jee na pay ga tu bhee ho kay juda mujh say
aisa piyar tujh say kar jaon gi ik din


andhairon main hi dhoondhta reh jay ga mujh ko
aisi bay rukhi dikhlaon gi ik din


kho kay mujh ko pachtao gay bohat sanam tum
wafa aisi tum say kar jaon gi ik din


aisi deewangi say chahon gi tujhay
bhool jao gay tum bhee sara jahan ik din


jaan teri bhee labon pay aa jay gi
ban kay khak jab matti main mil jaon gi ik din

Aur kuch nahi IBTEDA chahta hoon


Aur kuch nahi IBTEDA chahta hoon
Teray ISHQ ke Inteha chahta hoon

Nahi koi AARMAN ab Zindagi may baqi
Ke May App ka SAMNA chahta hoon

Koi to BAAT ho phir hamaray DARMIYAAN
Bas Tum kaho may to Sunna chahta hoon

Bhare BAZAR may baat DIL ki keh de Mainey
Bare Be-Adab hoon may SAZA chahta hoon

Basnay ko tu ye DUNIYA bhi kam lagey ge
May tu teray DIL may rehna chahta hoon

Chupkey chupkey chaha hai humne TUM ko


Chupkey chupkey chaha hai humne TUM ko
Yehi Baat bataaye kaisay TUM ko??

Hazaar bar chaha Ke Bhool jaaye,
Magar ye DIL na bhoolna chahay TUM ko

TUM to ho Be-khabar is baat say,
KAASH,ye baat hum bata patay TUM ko

Jis-taraf nazar jaaye TUM he TUM ho
Par hum he nahi nazar aatay TUM ko

Ab to sirf Ye he "KHUWAHISH" hai Dil may
Ke "UMER" bhar ke liye HUM paa lay TUM ko

may khud say door door taray khayaloon kay ass pass


may khud say door door taray khayaloon kay ass pass
raat_e_faraaq may cutay din taray intizar may
qalam jo uthaon may lab per tara hi naam ho
qalam ki roh tuj hi ko pokaray
yeh zaat dekay na is may maat ho
yeh mohhbat hai !
yeh mohbbat hi ka ehsasa hai
is may jeet achi lagay
maat may bhi khusboo mehsoos ho
yeh jo taray mohhbat ka ehsas hai
yeh hi humara iqrar hai

Gar chaho ke ada karsako tum qeemat-e-dil


Gar chaho ke ada karsako tum qeemat-e-dil
To tasawwar ke giran qadar aayinon main bhi
Ik khamosh si ibarat parh lo
Jis ka mafhoom agar samajho to be had sada hai
Har takhiyyal ki bulandi per hai mehw-e-parwaz
Dil ki qeemat na kabhi saim-o-jawahar main mili
Na hi yeh bandish-e-halat-e-zamana main mili
Kis ne dekha hai kisi phool main khushboo ko kabhi
Kiya kisis aankh se le saktey ho tum aansoo ko kabhi
Kiya chura saktey ho taaron taron se us ki kirnon ko
Phir bhi chaho ke ada karsako tum qeemat-e-dil
Piyar ki aanch main jal gaye jo lamhey laa do
Tumahri yaad main chalaktey hain jo aansoo laa do!!

Popular Posts