Friday, July 16, 2010

Sukhe Honth, Sulagti Aankhein, Sarso Jaisa Rang


Sukhe Honth, Sulagti Aankhein, Sarso Jaisa Rang,
Barso Baad Wo Dekh Ke Mujhko Reh Jayega Dang,

Maazi Ka Wo Lamha Aaj Bhi Mujh Ko Khoon Ke Aansu Rulaye,
Ukhdi Ukhdi Baatein Uski Gairon Jaise Dhang,

Dilko Pehle Hi Dard Ki Deemak Chaat Gayi Thi,
Rooh Ko Bhi Ab Chadta Jaye Tanhayi Ka Rang,

Inhi Ke Sadke Ya Rab Meri Mushkil Aasan Kar De,
Mere Jaise Aru Bhi Hai Jo Dilke Haathon Tang,

Sab Kuch De Kar Hans Di Aur Phir Kehne Lagi TaQdder,
Kabhi Na Poori Hogi Tere Dilki Umang,

Kyon Na Apni Chudiyon Ko Kirchi Kirchi Kar Dalun,
Dekhi Hai Aaj Ek Sundar Dulhan Doli Ke Sang,

Shabnam Koi Jo Tujse Haare, Jeet Pe Maan Na Karna,
Jeet Wo Hogi Jab Jitogi Apne Aap Se Jang, 

No comments:

Popular Posts