Thursday, July 8, 2010

umar bhar likhte rahe

aisi tooti hoon k

jahan phoolon ko khilna tha

nigha-e- yaar k

mili thein ishq mein

hasrat-e-deedar ko tarsaa

suna hai kho k humein

jab bhi koi khuwab

dekhnaa hai vo mujh par meharabaan kitanaa hai


dekhnaa hai vo mujh par meharabaan kitanaa hai
asaliyat kahaa.N tak hai aur gumaan kitanaa hai

kyaa panaah detii hai aur ye zamii.n mujh ko
aur abhii mere sar par aasamaan kitanaa hai

kuchh Khabar nahii.n aatii kis ravish pe hai tuufaa.N
aur kaTaa phaTaa baaqii baadabaan kitanaa hai

to.D pho.D karatii hai.n roz Khvaahishe.n dil me.n
tang in makaano.n se ye makaan kitanaa hai

kyaa uThaaye phirataa hai baar-e-aashiqii sar par
aur dekhane me.n vo dhaan-paan kitanaa hai

harf-e-aarazuu sun kar jaa.nchane lagaa yaanii
is me.n baat kitanii hai aur byaan kitanaa hai

phir udaas kar degii sarsarii jhalak us kii
bhuul kar ye dil us ko shaadamaan kitanaa hai

Muhabbaton kay nisaab jaisa



Muhabbaton kay nisaab jaisa
Woh ik chehra kitaab jaisa

Mehakta hai mere qalb-o-jaan mein
Woh shukhss khilte gulaab jaisa

Yaqeen bhi hai mere dil ka
Gumaan bhi hai saraab jaisa

Main sochoon isko tu toot jaye
Khayal nazuk habab jaisa

Woh bansuri hai jo hoonth rakhoon
Jo dekhoon Choo kay , Rubab jaisa

Dhanak kay rangoon mein chupa hai
Nigaah baraan main khwaab jaisa

Main iske agay na dekh paaon
Woh ik sarapaa naqaab jaisa

'Qamar' gehna hai yahan muhabbat
Mujhe gehna yeh sawaab jaisa

Woh hain pass aur yaad anay lagey hain


Woh hain pass aur yaad anay lagey hain
Muhabbat kay hosh ab thikanay lagey hain

Suna hai humein woh bhoolaney lagay hain
Tu kya unhein hum yaad anay lagay hain

Hataye thy jo raah se dostoon ki
Woh pathar mere ghar main anay lagay hain

Woh phir mujhe yaad anay lagay hain
Jinhein bhoolne main zamany lagay hain

Yeh kehna tha insey muhabbat hai mujh ko
Keh kehne mein mujhko zamaney lagay hain

Qayamat yaqeenan qareeb agayi hai
humaar ab tu masjid main janay lagay hain..

Ay maut tumhe bhulaye zamaney guzar gaye


Ay maut tumhe bhulaye zamaney guzar gaye
Aa ja kay zehar khaye zamane guzar gaye

Oh janay walay aa kay tere intezaar main
Raste ko ghar banaye zamane guzar gaye

Gham hai, na ab khushi hai, Na umeed hai na yaas
Sab se nijaat paye zamane guzar gaye

Kya laiq-e-sitam bhi nahi ab main dosto..?
Pathar bhi ghar main aye zamaney guzar gaye

Jaan-e-bahaar phool nahi, admi hoon main
Aa jaa kay muskuraye zamaney guzar gaye

Kya kya tawaqoaat thiin Aahon se ay humar
Yeh teri bhi chalaye zamane guzar gaye

Waaqif nahi ho tum apni nigaahon kay asar se


Waaqif nahi ho tum apni nigaahon kay asar se
Iss raaz se poochon kissi barbaad nazar se

Ik ashq nikal aya hai yun deeda'tar se
Jiss tarah janaza koi nikley bhare ghar se

Rug rug main oz-e- khoon kay meh dor rahi hai
Woh dekh rahe hain mujhe makhmoor nazar se

Iss tarah basar hotey hain din raat humare
Ik taza bala ayii jo ik tal gayi sar se

Sehra ko bohut naaz hai verani pe apni
Waaqif nahi shayed mere ujre huwe ghar se

Mil jaye abd sey mere ALLAH yeh lamha
Woh dekh rahe hain mujhe manoos nazar se

Jayen tu kahan jayen, soch rahe hain
Uthne ko humar uth tu gaye hum kissi dar se

Tamannaoun ko zinda aarzoun ko jawan kar loon


Tamannaoun ko zinda aarzoun ko jawan kar loon
ye sharmeli nazar keh de tu kuch ghustakhiyan kar loon

bahaar aae hai bulbul dard-e-dil kehti hai pholon se
kaho tu main bhe apna dard-e-dil tum se bayan kar loon

hazaroun shookh arman le rahay hain chutkiyan dil main
haya unki ejazat de tu kuch be-bakiyan kar loon

koe sorat tu ho duniya-e-fani main behalnay ki
thehar ja aay jawani matam-e-umer-e-rawan kar loon

kisay maloom kub kis wqt kis par gir paray bijli
abhi se main chaman main chal kar abaad aashiyan kar loon

bar aaen hasratain kia kia agar mout itni fursat de
k ek baar aur zinda shewa ishq-e-jawan kar loon

mujhay dono jahan main eak wo mil jaaen gar Akhtar
tu apni hasratoun ko be-niyaz-e-do jahan kar loon

Dil Say Hamari Yaad Mitta Dijiye Ga Aap



Dil Say Hamari Yaad Mitta Dijiye Ga Aap
Main Gair Ho chala hoo'n Bata Dijiye Ga Aap

Jitna Diya Tha Saath Woh Ehsaa'n Tha Aap Ka
Sab Jaan-ney Waalon Ko Jata Dijiye Ga Aap

Rasta Tha Aik, Tab Hi Mulaqaat Ho Gayi
Hotey Hain Itefaaq, Bhula Dijiye Ga Aap

Ikk Khat Bhi Mairey Paas Gawara Na Tha Ussey
Jaatey Huwey Kaha Ke Jala Dijiye Ga Aap

Mushkil Bohat Hai Aap Ko Main Yaad Na Karoo'n
Main Bhool Jaoon Khud Ko , Dua Dijiye Ga Aap

Jo Faisla Hai Aap Ka Mujh Ko Qabool Hai
Main Jaa Raha Hoon Abb Na Sada Dijiye Ga Aap

Shaam-E-Furqat Dhale Hum Nahin Chaahte


Shaam-E-Furqat Dhale Hum Nahin Chaahte
Gham Se Fursat Milley, Hum Nahin Chaahte

Phir Naya Vaar Sehne Ko Tayaar Hai
Tu Pareshan Rahe, Hum Nahin Chaahte

Aaj Aansoo Bahaane Se Matt Rokiye
Aaj Baarish Thamme, Hum Nahin Chaahte

Hum Tere Baad Ujdhe Hue Teekh Hai
Ab Kahin Dil Lage, Hum Nahin Chaahte

Tere Paikar Ko Hum Dekhte Hi Rahe
Tu Nazar Se Hattey, Hum Nahin Chaahte

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mowjo Ka Shor
Gham Ka Dariya Rukke, Hum Nahin Chaahte

Iss Qadar Pyaar Se Tu Pukaara Na Kar
Aag Dil Ko Lage, Hum Nahin Chaahte

Aankhon aankhon mai un se ye raabta acha laga


Aankhon aankhon mai un se ye raabta acha laga
Iss tarah say guftagu ka silsila achha laga

aankh mai aansu, labon par siskiyan aur dil mai gham
mujh ko phir ay dost, tera roothna acha laga

yeh bhi acha hai nibhai ghair se us ne wafa
be wafai mai bhi mujh ko bewafa acha laga

door tak mujh ko ada uski nasha daiti rahi
waqt e rukhsat uska murr kar dekhna acha laga

apne aanchal par sajate wo rahe hain raat bhar
mere ashkon ka rawan ye silsila acha laga

wo kisi ki yaad mai soye nahi hain raat bhar
neend si bojhal si aankhon mai nasha acha laga

mujhko har tukre mai Nasir wo nazar anay lage
tut kar mujh ko jabhi to aaina acha laga

Wafa k qaid kahno main sazaaen kub badalti hain


Wafa k qaid kahno main sazaaen kub badalti hain
badalta dil ka mousam hai hawaaen kub badalti hain

libada ouurh kar ghum ka nikal jatay hain sehra main
jawaab aaey k na aaey sadaaen kub badalti hain

meri sari duaaen tum se mansoob hain jaana
muhabbat ho agar sachii duaaen kub badalti hain

koe paakar nibhata hai koe kho kar nibhata hai
naey andaaz hotay hain wafaaen kub badalti hain

gunahoun ko hamara eak malik he bakhsta hai
ata es ki porani hai khaataen kub badalti hain

Khamosh hoon to bhi izhaar karti hain ankhain


Khamosh hoon to bhi izhaar karti hain ankhain
berang zinadagi main rang hazar bharti hain ankhain

kisi ko dewana waar sochtin hain ankhain
apnay mehboob ko harlamha dhoondti hain ankhain

hi iss qatil nigahaon ka daikhna
tirchi nigah sai waar karti hain aankhain

kisi k liye singhaar karti hain ankhain
labo par naaa ki takrar likin ikraar karti hain ankhain

har ghari har lamha har saa'aat tere anay ki aas
ab to tera hee in tezaar karti hain aankhain

samandar ka samandar bah jata hai
judai main aksarjab ashkbaar karti hain ankhain

rooth kar kahin bhi chalay jao ahsaas hai k
sohail ko har lamha piyar karti hain ankhain

aankhon ankhon sai takraar karti hain ankhain
narazgi ka sohail sai izhaar karti hain aankhain

Koi cheharaa huaa roshan na ujaagar Aankhein


Koi cheharaa huaa roshan na ujaagar Aankhein
aa_iinaa dekh rahii thi meri patthar Aankhein

Le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
Aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar Aankhein

PhuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
Ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar Aankhein

Us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
Apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar Aankhein

Tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
Terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar Aankhein

Log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
Dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar Aankhein

Chhoti si ghalat fehmi kar de gee Juda hum ko


Chhoti si ghalat fehmi kar de gee Juda hum ko
Halaat na badlein gey Maaloom na tha hum ko

Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley
Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey

Anso ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko
Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko

Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati
Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati

Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko
Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko

koi phool dhoop ki patiyoon mein harey ribbon se bandha hua



koi phool dhoop ki patiyoon mein harey ribbon se bandha hua
wo ghazal ka lehja naya naya na kaha hua na suna hua

jise lay gai abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka
kaheen aansoon se mita hua kaheen aansoon se likha hua

kai meel rait ko kat ker koi mauj phool khila gai
koi pearr piyas se mer raha he nadi kay pas khara hua

wohi khat k jis pe jagah jagah do mehakte hontoon k chand thay
kisi bhooley basrey se taaq per tah-e-gard ho ga daba hua

mujhe hadsoon ne saja saja k buhat haseen bana dia
mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehndiyon se racha hua

wohi shehar he wohi raastey wohi ghar he aur wohi lawn bhi
magr is dareechay se poochna woh darakht anar ka kia hua?

meray sath jugno he humsafar magr is sharar ki bisat kia
yeh charagh koi charagh he na jala hua na bujha hua...!!!!

Koi poochey ga tu bata doon ga



Koi poochey ga tu bata doon ga
Haal kaisa hai, sab suna doonga

Muddatoon mein likha huwa jeevan
Aik hi saans mein mita doon ga

Itna kum'fehem tu nahi phir bhi
Ap ko devta bana doon ga

Log poochein gey majraa kya hai?
Iss qadar khud ko main gira doon ga

Ab kay so chahe woh aye
Samne ho bhi tu bhula doon ga

Zulf Raato'n si hi, Rangat Ujaalo'n jaisi


Zulf Raato'n si hi, Rangat Ujaalo'n jaisi..
Per Tabiat hi wohi Bhoolney walo'n jaisi..

Ek zamaney ki Rafaqat pe bhe Dam-khurda wo hi..
Oss kam-amez ki kho-boo hi Ghazalo'n jaisi...

Dhoondta pirta hon Logo'n me shabahat oss ki...
keh wo khwabo'n me be lagti hi kheyalo'n jaisi...

Kis Dil azaar masafat se main Laota hon, keh hi...
Aansoo'n me be Tapak, Paao'n ke chaalo'n jaisi...

Oss ki bate'n be Dil Aavez hen Soorat ki trah...
Meri soche'n be presha'n, meray Balo'n jaisi...

Oss ki Aankho'n ko kabi ghaor se dekha hi FARAZ..
Roney walo'n ki trah, Jagney walo'n jaisi.

Roona Bhi Jo Chahain To Wooh Roonay Nahin Deeta


Roona Bhi Jo Chahain To Wooh Roonay Nahin Deeta
Wooh Shaks To Palkain Bhi Bhigoonay Nahin Deeta

Wooh Rooz Rulaata Hay Hamaain Khuaab Main Aaker
Soona Bhi Chahain To Soonay Nahin Deeta

Yeeh Kis K Isharay Pay Umaad Aaye Hain Badal
Hay Kon Jo Barish Kabhi Hoonay Nahin Deeta

Aata Hay Khayaloon Main Maaray Kon Yeeh Akser
Jo Mujh Ko Kisii Or Ka Hoonay Nahin Deeta

Is Der Say K Toor Kay Aansoo Na Baahain
Bachoon Ko Mitti Kay Khiloonay Nahin Deeta

Aik Shaks Hay Hay Aaisa Meeri Basti Main Abhi Tak
Jo Boojh Akalay Mujhay Dhoonay Nahin Deeta

Main Hoon K Baahata Hoon Teeri Yaad Main Aansoo
Too Hay K Ashkoon Ko Piroonay Nahin Deeta

Wooh Chehra Ajab Hay Jissay Paaker Main Abhi Tak
Khoona Bhi Chahoon To Wooh Khoonay Nahin Deeta

Thaamay Huay Lehroo Ki Husn-e-baag Koi Too
Saahil Ko Samader Main Daboonay Nahin Deeta

mere pahloo meN jo bah nikale tumhaare aaNsoo


mere pahloo meN jo bah nikale tumhaare aaNsoo
ban gaye shaam-e-muhabbat ke sitaare aaNsoo

dekh saktaa hai bhalaa kaun ye pyaare aaNsoo
merii aaNkhoN meN na aajeiN tumhaare aaNsoo

apnaa muNh mere girebaaN meN chhupaati kyoN ho
dil ki dhaRhkan kahiiN sunleN na tumhaare aaNsoo

meNh ki booNdoN ki tarah ho gaye saste kyoN aaj ?
motiyoN se kahiiN mahNge the tumhaare aaNsoo

saaf iqraar-e-muhabbat ho zabaaN se kyoNkar
aaNkh meN aa gaye yooN sharm ke maare aaNsoo

hijr abhii door hai, maiN paas hooN, ai jaan-e-vafaa
kyoN hue jaate haiN bechain tumhaare aaNsoo

subah-dam dekh na le koii ye bhiiga aaNchal
merii chuglii kahiiN khaa deiN na tumhaare aaNsoo

dam-e-ruKhsat hai qariib, ai gham-e-furqat khush ho
karne vaale haiN judaaii ke ishaare aaNsoo

sadaqe uss jaan-e-muhabbat ke maiN ''aKhtar'' jiske
raat-bhar bahte rahe shauq ke maare aaNsoo

Haaye wo waqt-e-judaai key hamaarey aansoo


Haaye wo waqt-e-judaai key hamaarey aansoo
Gir ke daman pe baney thay jo tumhare aansoo

La'al-o-gohar ke kahazane hain jo sarey aansoo
Koi aankhon sey chura ley na tumharey aansoo

Unki aankhon mai jo aayen to sitaarey aansoo
Meri aankhoN mai agar hon to bichaarey ansoo

Daman-e-sabr bhi haathoN se mere chhoot gaya
Ab to aa pahunchey hain palkoN ke kinarey aansoo

Mere thehre huye ashkoN ki haqeeqat samjho
Ker rahe hain kisi toofaaN key isharey aansoo

Aaj ashkoN pe merey tum ko hansi aatee hai
Tum to kehte thay kabhi inko sitarey aansoo

Aap lillah meree fikr na keeje hargiz
Aa gaye hain yun hi bas shauq ke marey aansoo

Adawaton Ka Jawab Likho, Na Chahton Ka Hisaab Likho


Adawaton Ka Jawab Likho, Na Chahton Ka Hisaab Likho
Jo Dukh Hain Un Ko Gulaab Likho, Jo Sukh Hain Un Ko Sirab Likho

Jo Aaj Dushman Hain Kal They Sathi, Jo Aj Sathi Woh Kal They Dushman
Zamana Badla Hey Tum Bhi Badlo Munafiqat Ki Kitaab Likho

Merey Khiyalon K Sarey Paikar, Woh Chand Chehrey, Woh Phool Lamhey
Keh Chaman Ki Tabeereain Kho Gai Hain, Ab Un Hawalon Ko Khuwab Likho

Woh Guzrey Lamhey, Woh Behtey Aansoo, Woh Jaltey Pehloo
Lahu Sey Zakhm Jiger K, Meri Wafa Ka Khooneen Woh Baab Likho

Rafaqaton Main Na Sakoon Miley Ga, Judaiyon Main Bhi Dukh Miley Ga
Na Paas Aao, Na Door Jao, Na Roz-O-Shab Ka Nisaab Likho

Wafa, Mohabbat, Ana-Pasandi-Wa-Beyniyazi Ka Zu'am Sarwat
Jo Merey Dil Pey Guzer Rahey Hain, Qiyamaton Ka Azaab Likho

Chehrey pe gard peiroN meiN safar hey ke nahi hey


Chehrey pe gard peiroN meiN safar hey ke nahi hey
tu deikh ke meri manzil pe nazar hey ke nahi hey!

jaa apney leeye dhoondh ley kisi ahl-e-mehal ko
naa jaaney meri qismat mein ghar hey ke nahi hey

terey paas heiN abhi aur dard to wo bhi mujhey dey
naa pooch ke mujh meiN aur sabar hey ke nahi hey

meri neendeiN to mar chuki heiN rat'jagoN ke haath
terey khaaboN ko bhi koi aesa dar hey ke nahi hey!

ye soch ke ley aya hooN meiN jungle sey kuch jugnu
naa jaaney ab qismat meiN sehar hey ke nahi hey

tu deikh mera shaoq, meri shikastoN ko na deikh
peroN taley terey ghar ki dagar hey ke nahi hey!

maaNga hey tujhey Rab sey ke ik zid si hey kab sey
dekhooN to meri duaoN mein asar hey ke nahi hey!

jab shaam aangan main utar aaye mujhay yaad karlena



jab shaam aangan main utar aaye mujhay yaad karlena
jab chandni har so bikhar jaaye mujhay yaad karlena

shab bhi gehri ho aankhain bhi be khuwaab hon
aur kisi ki yaad tumhain sataaye tow mujhay yaad karlena

kabhi aisa ho aansoo chun'ne wala koi na ho
aur ronay ko bhi ji chaahay mujhay yaad karlena

jab koi bhi na aaye maseehaayee ko
dard jab hadd se barh jaaye mujhay yaad karlena

tum aisa karna gum rehna tamam saal khud main
magar jab khizaan ka mousam aaye mujhay yaad karlena

Sach tu ye hai jo mujhe jhoot ki adat hoti


Sach tu ye hai jo mujhe jhoot ki adat hoti
Mujh ko tum se na tumhein mujh se shikayat hoti

Apnay mazi k fasane jo sunati tumko
Kaise zinda hun ab tak? tumhein hairat hoti

Kuch nahi kehti tu kehte hain k maghrur hun mai
or kuch kehti tu kuch or shikayat hoti

Khud parasti jo na insaan ki fitrat hoti
Sari dunya mai Muhabbat hi Muhabbat hoti

Tum ne acha kia mujh ko naa dia wafa ka badla
Tum b jo mujh se wafa karte tijarat hoti

Tujh Ko Darya Ne Jo Dekha Hai Idhar Atay Huay


Tujh Ko Darya Ne Jo Dekha Hai Idhar Atay Huay
Kuch Bhanwar Doob Gaye Aab Main Chakratay Huay

Hum Ne To Raat Ko Daanto'n Se Pakar Rakha Hai
Chheena Jhapti Main Ufaq Khulta Gaya Jatay Huay

Jhhap Se Utar Jaati Hai Paani Main Gulnaar Shafaq
Surkh Ho Jatay Hain Rukhsaar Bhi Sharmatay Huay

Main Na Hoon Ga To Khizaan Kese Katay Gi Teri
Shokh Pattay Ne Kaha Shaakh Se Murjhatay Huay

Hasratain Apni Bilaktee'n Na Yateemo'n Ki Tarah
Hum Ko Awaz He De Letay Zara Jatay Huay

See Leay Hont Wo Pakeeza Nigahain Sun Ker
Meli Ho Jati Hai Awaz Bhi Dohratay Huay

rooye sukhan nahi to sukhan ka jawaz kia


rooye sukhan nahi to sukhan ka jawaz kia
bin tere zindagi k nashaeb o faraz kia

kitni udaas shaam he shaam firaaq_e_yar
janay ka koi anjum_e_sitam haye raaz kia

behtar he aainay k mukaabil na aayen hum
tu jo nahi to khud se bhi raaz_o_niyaaz kia

tu to humaray sher k zahir pe mar gaya
huzn_o_malaal kia tujy sooz_o_gudaaz kia

ye sheher sang he yahan tooty hen aainay
ab sochtay hen beth k aaina_e_saaz kia..

Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin


Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,

Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin

Ho Gaya Jab Ya Yaqeen Ab Wo Nahi Aye Ga
Aanson Aur Gham Nay Diya Dil Ko Sahara Mohsin

Woh Tha Jab Pass To Jeenay Ko Bhi Dil Karta Tha
Ab Tu Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin

Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!

Raat Ki Zulfain Bar'hum Bar'hum


Raat Ki Zulfain Bar'hum Bar'hum
Dard Ki Loo Hai Mad'ham Mad'ham

Mere Kis'say Gal'yon Gal'yon
Tera Char'cha Aallam Aallam

YaQoti Hunt Par ChamkeN
Us Ki Palkain Neelam Neelam

Chehra Lal Gulab Ka Mosam
Bheegi Palkain Shabnam Shabnam

Aik Jazeera Hai Janat Janat
Aik Khataa Hai Adam Adam

Ak Azaab Hai Basti Basti
Ak Sada Hai Ma'tam Ma'tam

Hijar K Lamhay Zakhmi Zakhmi
Us Ki Yaad Hai Mar'ham Mar'ham

Daad talab Ijz-e - 'Azmat
Esa Esa Maryam Maryam

Mohsin Hum Akh'bar main gum hain
Saf'ha Saf'ha Ka'lam Ka'lam....!

Guzray dinon ki yaad barsati ghata lagay


Guzray dinon ki yaad barsati ghata lagay
Guzron jo us gali say to thandi hawa lagay

Mehman ban k aaye kisi roz agar wo shakhs
Us roz bin sajaye mera ghar saja lagay

Main is liyen manata nahin wasl ki khushi
Meray raqeeb ki na mujhe bad dua lagay

Wo qahat dosti ka para hay k in dinon
Jo muskura k baat karay aashna lagay

Tark-e-wafa k baad ye us ki ada Qateel
Mujhe ko sataye koye to us ko bura lagay

Terey ahsas ko zanjeer bhi kar sakte thay


Terey ahsas ko zanjeer bhi kar sakte thay
soch le ham tujhe tas-kheer bhi kar sakte thay

ye alg baat k bas dil mai chhupaye rakkha
qiss e dard ki tash-heer bhi kar sakte thay

itne manoos thai ikk darr se k socha na gaya
ikk naye ghar ko ham taa-meer bhi kar sakte thay

kiss liye tuney bhare shehr ko barbaad kiya
kaam ye terey anaa-geer bhi kar sakte thay

tum se mumkin na huwa mujhse mohabat karna
mausam e wasl ko taqdeer bhi kar sakte thay

dil hamesha hee raha tark o talab ki had tak
warna harr khab ko ta-beer bhi kar sakte thay

Aay meray fan k paristaar tujhay kia maloom


Aay meray fan k paristaar tujhay kia maloom
kitnay dukh sehta hai fankaar tujhay kia maloom

kitni ratoun ka laho pe k nikharti hai ghazal
kisay hum likhtay hain ashaar tujhay kia maloom

raat jub jashn-e-charaghan main magan thi duniya
kaun roya pas-e-dewaar tujhay kia maloom

es chaman main jisay hum apni fiza kehtay hain
saans lena bhe hai dushwaar tujhay kia maloom

qadr-o-qemat meray dil shokta armano ki
meri khushioun k kharedaar tujhay kia maloom

tu tamashi nahi khaail main shamil hai magar
tera hai kaun sa kirdaar tujhay kia maloom

Lamhaa lamhaa yaad ataa hai pechlee rut ka sath tumhara


Lamhaa lamhaa yaad ataa hai pechlee rut ka sath tumhara
Har mausam main tarpata hai pechle rut ka sath tumhara

Jab bhe tare yaad say agay barhna chahoon toh dil mara
Pher say aankh main lay ataa hai pechle rut ka sath tumhara

Tera rastaa taktay taktay aankho ka manzar sard hoa yon
Har manzar main dar ataa hai pechle rut ka sath tera

Aas umeed kay deepak saray dheeray dheeray bhuj jata hain
Enko pher sulgataa hai pechlee rut ka sath tumhara

Zaat kay es zanddaan main jee bekhray weraane kay dar say
Har pal cheekhta chellataa hai pechle rut ka sath tumhara

Koi milta hi nahi ham se hamaara ban kar


Koi milta hi nahi ham se hamaara ban kar
Tum mile bhi to bohat door kinaara ban kar

Har aik umeed nigaahoN se chalak jaati hai
Un ke har lafz pe aankhoN se sharaara ban kar

Aor sab toot gaeiN cheezeiN khilonoN ki tarah
Aik yaqeeN saath ma rahta hai sahaara ban kar

Tum raho ge isi chooti si zameeN tak mehdood
Ham to chamkeiN ge hi ik roz sitaara ban kar

Merti hui zameen ko bachana parra mujhay,


Merti hui zameen ko bachana parra mujhay,
badal ki tarah dasht mein jana parra mujhay!


Woh kar nahi raha tha meri baat ka yaqeen,
phir youn hua k mar k dikhana parra mujhay!


Bhulay se meri simt koi daikhta na tha,
chehray pe aik zakhm lagana parra mujhay!


Yadein thein esi dafn, k baad-az-farokht bhi,
us ghar ki daikh-bhaal ko jana parra mujhay!


Us bewafa ki yaad dilata tha baar baar,
kal ai'nay pe haath uthana parra mujhay!


Mujh se bicharr kar esay to mar jata woh Mohsin,
us ki nazar mein khud ko girana parra mujhay

band dareechay, sooni galiyaan an-dekhey anjaney log


band dareechay, sooni galiyaan an-dekhey anjaney log
kis nagri mein aa nikley hain Sajid ham deewaney log

aik hamhi nawaqif thehrey roop nagar ki galiyon say
bhes badal kar milney waley sab janey pehchaney log

din ko raat kahein so barhaq,subha ko sham kahein so khoob
aap ki baat ka kehna hi kya, aap huye farzaney log

shikwa kya aur kaisi shikayat,aakhir kuch bunyad tou ho
tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log

shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log

suna hai usske ehd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
un galyon mein har har saans pe bhartey hein jurmaney log

Hame Aaker Mana Lena kisi Bhi Kaam Se Pehlay


Hame Aaker Mana Lena kisi Bhi Kaam Se Pehlay
Udasi Theher Jati Hai Tumhare Naam Se Pehlay

Kahan Bichra Huwa koi Safar Ke Baad Milta Hai
Hame Mil Kar Hi Jana Tum Safar Ki Shaam Se Pehlay

Meri Aankhon Ko Teri Ungliyon Ki Araam Aadat Hai
Ye Aankhen So Hi Jati Thin Barey Aaram Se Pehlay

Teri Aankhon Ko Dekha To Faqt itna Khayal Aaya
Guzara Kis Tarah Jeewan Salone Jaam Se Pehlay

Dilon Mein Phool Khilte Hein Tumhare Naam Se Pehlay
Lahoo Mein Deep Jaltey Hein Tumharey Naam Se Pehlay

Dilon Ki Jagmagati Bastiyan Aitraz karti Hein
Wuhi Jo Log Lagte Hein Nihayat Aam Se Pehlay

Huwa Hai Wo Agar Munsif, To " janaa " ehtiyatan Hum
Saza Tajweez Kartey Hein Kisi Anjam Se Pehlay

Hame Aaker Mana Lena kisi Bhi Kaam Se Pehlay
Udasi Theher Jati Hai Tumhare Naam Se Pehlay

ik pal main ik sadi ka maza hum se pochiye.


ik pal main ik sadi ka maza hum se pochiye.
do din ki zindagi ka maza hum se pochyie.

Bhoole hian rafta rafta unhey Mudaton main hum
qiston main khud kushi ka maza hum se pochyie.

aghze asahqi ka maza app janyie
anjam-e-ashqi ka maza hum se pochiye

jalty diyon mian jalty gharon jaisi zoo kahan
Sarkar roshni ka maza hum se pochie

woh jaan hi gaye hain ke hamien un se pyar hai
Ankhon ki mukhbari ka maza hum se pochiye

hansney ka shouq hum ko bhi tha app ki tara
hansayie magar hansi ka maza hum se pochiye

Hairaton K silsilay Soz-e-Nihaan tak aa gaye


Hairaton K silsilay Soz-e-Nihaan tak aa gaye
hum nazar tak chahte thay tum to jaan tak aa gaye

Un ki palkon pe sitaray Apne honton par hansi
Qissa-e-Gham Kehte Kehte hum kahan tak aa gaye

Apni Apni Justuju hai apna apna shauq hai
Tum hansi tak bhi na puhnche ham fughan tak aa gaye

Zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na thaa
aap kis ki aarzoo mein gulistaan tak aa gaye

Rafta Rafta rang laya jazbaa-e-Khaamoshi-e-ishq
woh taghaaful karte karte imtehaan tak aa gae

Khud tumhein chaak-e-girebaan ka shaoor aa jae ga
tum wahan tak aa to jaao hum jahan tak aa gaye

Kabhi kabhi khaab mein aksar Mere tumhare gumshuda ye akshar



Kabhi kabhi khaab mein aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Aise hi khayal mein, taabir samjhte us khaab ke
Kabhi shabnami, kabhi madham si chandani
Bhikarte falak ke rukh pe jaise ho damini
Dheema-Dheema khala se jo ruthe aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Muthi mein band kuch saal se, chand lafz ek darkhast ke
Kabhi banti zaroorat, kabhi ek shrarat
Baadlo mein chipta suraj jaise kare bagawat
Tanha-Tanha in haatho mein ban jaaye yeh dua aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Dhalti ek shaam se, shama ke anjaam pe
Kabhi khote ham, kabhi kuch paate tum
Darwaaze pe deep ka lau jaise nisha ke shor mein hota gum
Rafta-Rafta timtimate us lau mein gum hota aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Mausam ke chilman se, phisalte kuch nam saase hai
Rukhsar se sarkate aakhon se tik kar
Roshni kare guzarish jaise andhere se simat kar
Pal -Pal karte ye gunah aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Ek akshar tere naam ka, Ek akshar mere naam ka
Sehra mein chunte marasim ki nishaniya
Kabhi rukti kabhi chalti kahaniya
Akela-Akela sa lage par saath rahe aksar
Mere tumhare gumshuda ye akshar

Terey qareeb aa ke bari uljhanon mein hoon


Terey qareeb aa ke bari uljhanon mein hoon
Main dushmanon mein hoon ke terey doston mein hoon

Mujh se gurez paa hai to har raasta badal
Main sang e raah hoon, to sabhi raaston mein hoon

Tu aa chuka hai sateh pe kab se khabar nahin
Be dard main abhi unhi gehraiyon mein hoon

Ae yaar e khush dyaar tujhe kya khabar ke main
Kab se udaasiyon ke ghaney junglon mein hoon

Tu loot kar bhi ahl e tamanna ko khush nahin
Main lut ke bhi wafa ke unhi qafilon mein hoon

Badla na merey baad bhi mozoo e guftugu
Main ja chuka hoon phir bhi teri mehfilon mein hoon

Mujh se bichar ke tu bhi roye ga umr bhar
Ye soch le ke main bhi teri khwahishon mein hoon

Tu hans raha hai mujh per mera haal dekh kar
Aur phir bhi main shareek terey qehqahon mein hoon

Khud bhi misaal e lala e sehraa lahoo lahoo
Aur khud FARAZ apney tamaashaiyon mein hoon....

Rä§tä b kätin dhøp mäi §hidät b bøhät thi



Rä§tä b kätin dhøp mäi §hidät b bøhät thi.
§Ã¤hil §Ã¨ mägar ù§ kø mùhäbät b bøhät thi.

Khäymè nä køi mèrè mù§Ã¤fir k jälaè.
zäkhmi thä bøhät päøn mù§häqät b bøhät thi.

jäb dø§t mèrè mùntäzir pärdåè §häbd thè.
diñ mÃ¥i §Ã¥fàr kÃ¥rnè mäi diqÃ¥t b bøhät thi.

bäri§h ki búndøn mÃ¥i nÃ¥mi äj b bøhät thi.
jåzbé ki kåbhi itñi räfäqät b bøhåt thi.

kùch tø tèrè mø§Ã¹m mùjhe räaz käm ae.
ør kùch mèri miti mäi bägäwåt b bøhåt thi.

phøløn kä bikhärnä múqädär b thä lèkin,
kúch i§ mäi häwäø ki §iýä§Ã¤t b bøhät thi.

i§ tärqè räfäqät §Ã¨ pärè§häñ tø høn lèkin.
äb täk k tèrè §Ã¤th §Ã¨ hèrät b bøhät thi.....

Bhari mehfil mein tanha rehna acha lagta hai


Bhari mehfil mein tanha rehna acha lagta hai
Tere barey mein sochte rehna acha lagta hai


Kabhi pholon mein, kabhi kaliyon mein
Tujh ko hi dhoondhte rehna acha lagta hai


Meri zindgi ki khushiyan tumhi se hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai


Tumharey baghair zindgi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarah tumhari tamanna karna acha lagta hai

Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai....

kisi ki aankh pur-nam hai, mohabat hogai hogi


kisi ki aankh pur-nam hai, mohabat hogai hogi
zuban pe qisa-e-gham hai, mohabat hogai hogi

kabhi hansna kabhi rona kabhi hans hans k ro dena
ajab dil ka yeh aalam hai, mohabat hogai hogi

jahan vehshat ki vehshat thi wahan phoolon ka mosam hai
yehi aijaaz kuch kam hai, mohabat hogai hogi

kabhi aankhon hi aankhon mein woh baaton ka bta dena
kabhi takrar baham hai, mohabat hogai hogi

kisi ko saamne paa kar kisi k surkh honton par
anokha sa tabasum hai, mohabat hogai hogi

har ik silvat pe bistar ki kisi ka naam likha hai
diye ki lo bhi madham hai, mohabat hogai hogi

khushi ka hadd se barh jana bhi ab beqarari hai
na gham hona bhi ik gham hai, mohabat hogai hogi...

Baatain Tere ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz


Baatain Tere ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz
Rug Rug Main Utarti Hoyi Khushbo Teri Awaaz

Behtay Chalay Jatay Hain Tah-e-Aab Sitaray
Jaisay Kahain Utri Ho Lab-e-Joo Teri Awaaz

Main Shaam-e-Gharibaan Ke udaasi Ka Musafir
SehraaoN Main Jaisay Koi Jugnoo Teri Awaaz

Lafzoon Main Chupaaye Howay Bay-Rabt Dilaasay
Chunti Rahy Shab Bhar Meray Ansoo Teri Awaaz

Ye Hijr Ke Shab Bheeg Chali Hai K Meray Baad
Rooti Hai Kahain Khool K Gesoo Teri Awaaz

MOHSIN K Khayaloon Main Utarti Hai Sar-e-Shaam
Rim Jhim Ke Tarah Bandh K Ghunghroo Teri Awaaz...

Muddat mein wo phir taaza mulaqaat ka aalam


Muddat mein wo phir taaza mulaqaat ka aalam
khamosh adaaien wo jazbaat ka aalam

aaariz say dhalaktay howaye shubnam kay wo qatray
aankhoun say chalaktee howee barsaat ka aalam

nazroun he nazroun mein wo sawalaat ki duniya
aankhoun he aankhoun mein jawabaat ka aalam

Allah ray wo shiddat-e-jazbaat ka aalam
aankhoun say kehtee howee har baat ka aalam

muddat mein wo phir taaza mulaqaat ka aalam
khamosh adaaien wo jazbaat ka aalam....

Akelay Ho Na Payen Kabhi Tanhayee May Hum.


Akelay Ho Na Payen Kabhi Tanhayee May Hum.
Hamaray Sath Aapni Yadoon Ka Aisa Qafila Rakhna.

Hamain Bus Aap Se Jana Faqat Itni Guzarish Hai.
Guftagu May Kamal Rakhna Aankhon May Haya Rakhna.

Tumharay Dost Tu Hein Or Be Laikin Gila Nahi.
Milo Un Se Magar Khud May Zara Sa Fasla Rakhna.

Hazaron Mor Ayein Gay Hamari Rah-e- Ulfat May.
Kabhi Judaa Na Hona Hamesha Hosla Rakhna.

Tumhari Zaat Se Hi Wabasta Hein Umeedien Sab.
Inhain Bujhanay Na Daina Tum Inhain Roshan Sada Rakhna.

Tumharay Hi Liay Tu Hein Meri Sari Wafaien.
Hamaray Dil Ki Dunyia Sab Logon Se Judaa Rahna...

fiker hai tumhri sanso ko meri


fiker hai tumhri sanso ko meri
fiker hai tumhri her dherkan ko meri
kitni fiker hai kaise ham bataein
ke bina tere nabz nahi chlti ye meri

kaha honge tum kis hal main tum honge?
tumhe honga ger koi gham tu kis se kahoge?
meri rooh ye poche ke tum kaise rahonge?
fiker hai tumhari her hasrat ko meri

hawa ka koi jhonka tumhe na sataye
maosam ka her sitam meri ouer aaye
rato ko meri tnhayi se milke
fiker hai tumhri her bato ko meri

kahi waqt ka koi lamha hame na bhola de
ye fasle sanam hamare jazbo ko na sola de
darta hai ye dil kahi tu na rothe
tera saath o dilber kabhi na chote
fiker hai tumhri her aarzo ko meri

fiker hai tumhri sanso ko meri
fiker hai tumhri her dherkan ko meri
kitni fiker hai kaise ham batai
ke bina tere nabz nahi chalti ye meri..

Aye mohbbat bata kiya cheez hai tu



kitni maasoom hai kitni qatil hai tu
aye mohabbat bata kiya cheez hai tu

sasoo ki sasoo se tu guftago hai
armaa bhre dil ki tu aarzo hai
tu jo nnahi tu zindagi nahi hai
zindagi se bhi hasee tu hi tu hai
kitni zarori kitni adhori hai tu
aye mohbbat bata kiya cheez hai tu

jiski khatir hum likhte thy apni palko se gazal
jiske waste hum jaagte thy shaam o saher
dil se dil ki tu hi awaaz hai
her aashiqo ke dil ka tu hi saaz hai
kitni shffaaf tu kitni humraaz hai tu

lafzo main kiya tera naam do main
anmool hai tu kiya enaam do main
kitni chunchal kitni khamosh hai tu
kabhi shola tu kabhi shabnam tu kabhi aag hai tu
aye mohabbat bata kiya cheez hai tu?

Mujhe haq de k main tujh ko sanwaron apni chahat se


Mujhe haq de k main tujh ko sanwaron apni chahat se
meri ankhon main tujhe rakh do chopa k zamane k dar se

na dekhe koi tujh kabhi us nazere karam se
jo dekhe tujh ko meri aankhein jis mohbbat se

koi dard dil ka chopa lo aa koi khaab tera saja do aa
mera dl ye daa mage aaj fr bad hasrat se

mile wo gham hame na ab jise furqat k sitam ne lota
main lo jab bhi tera naam aye sanam lo badi ezzat se

tera hi aasra hai dil koi warna zindaghi bhi kaya
mile ham jab kabhi tujhse mile bas yaar mohbat se

yehi apna andaaz hai kanwal k muskora ke bhi roty hai
wafa kerti hai farze ulfat bhi apni adat se....

Aaj dil ki zuban banke aayegi mohbbat


Aaj dil ki zuban banke aayegi mohbbat
jo na khaina tha wo kah jai gi mohbbat

meri aarzo hai teri ye aankhein
khaab es main mujh ko saare dikhlaigi mohbbat

mere dil se koi poche kitna shamil hai tu mujh main
jan meri jaan de ke bhi chain na paigi mohbbat

kab se main ne manga tha jisko duwaon main wahi tu hai
her dua ab meri rang laigi mohbbat

Pyaar ka ye hai safer ham hai aur tum ho bas
koi eski diwaar na dekh paigi mohbbat

Aye meri jane ghzal thaam le dil apna tu
raaz saare jo chope hai wo batayegi mohbbat

Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange


Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange,
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange.

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee.
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange.

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho.
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange.

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye.
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange.

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab.
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

Popular Posts