Thursday, July 8, 2010

kisi ki aankh pur-nam hai, mohabat hogai hogi


kisi ki aankh pur-nam hai, mohabat hogai hogi
zuban pe qisa-e-gham hai, mohabat hogai hogi

kabhi hansna kabhi rona kabhi hans hans k ro dena
ajab dil ka yeh aalam hai, mohabat hogai hogi

jahan vehshat ki vehshat thi wahan phoolon ka mosam hai
yehi aijaaz kuch kam hai, mohabat hogai hogi

kabhi aankhon hi aankhon mein woh baaton ka bta dena
kabhi takrar baham hai, mohabat hogai hogi

kisi ko saamne paa kar kisi k surkh honton par
anokha sa tabasum hai, mohabat hogai hogi

har ik silvat pe bistar ki kisi ka naam likha hai
diye ki lo bhi madham hai, mohabat hogai hogi

khushi ka hadd se barh jana bhi ab beqarari hai
na gham hona bhi ik gham hai, mohabat hogai hogi...

No comments:

Popular Posts