Merti hui zameen ko bachana parra mujhay,
badal ki tarah dasht mein jana parra mujhay!
Woh kar nahi raha tha meri baat ka yaqeen,
phir youn hua k mar k dikhana parra mujhay!
Bhulay se meri simt koi daikhta na tha,
chehray pe aik zakhm lagana parra mujhay!
Yadein thein esi dafn, k baad-az-farokht bhi,
us ghar ki daikh-bhaal ko jana parra mujhay!
Us bewafa ki yaad dilata tha baar baar,
kal ai'nay pe haath uthana parra mujhay!
Mujh se bicharr kar esay to mar jata woh Mohsin,
us ki nazar mein khud ko girana parra mujhay
No comments:
Post a Comment