Terey qareeb aa ke bari uljhanon mein hoon
Main dushmanon mein hoon ke terey doston mein hoon
Mujh se gurez paa hai to har raasta badal
Main sang e raah hoon, to sabhi raaston mein hoon
Tu aa chuka hai sateh pe kab se khabar nahin
Be dard main abhi unhi gehraiyon mein hoon
Ae yaar e khush dyaar tujhe kya khabar ke main
Kab se udaasiyon ke ghaney junglon mein hoon
Tu loot kar bhi ahl e tamanna ko khush nahin
Main lut ke bhi wafa ke unhi qafilon mein hoon
Badla na merey baad bhi mozoo e guftugu
Main ja chuka hoon phir bhi teri mehfilon mein hoon
Mujh se bichar ke tu bhi roye ga umr bhar
Ye soch le ke main bhi teri khwahishon mein hoon
Tu hans raha hai mujh per mera haal dekh kar
Aur phir bhi main shareek terey qehqahon mein hoon
Khud bhi misaal e lala e sehraa lahoo lahoo
Aur khud FARAZ apney tamaashaiyon mein hoon....
No comments:
Post a Comment