mere pahloo meN jo bah nikale tumhaare aaNsoo
ban gaye shaam-e-muhabbat ke sitaare aaNsoo
dekh saktaa hai bhalaa kaun ye pyaare aaNsoo
merii aaNkhoN meN na aajeiN tumhaare aaNsoo
apnaa muNh mere girebaaN meN chhupaati kyoN ho
dil ki dhaRhkan kahiiN sunleN na tumhaare aaNsoo
meNh ki booNdoN ki tarah ho gaye saste kyoN aaj ?
motiyoN se kahiiN mahNge the tumhaare aaNsoo
saaf iqraar-e-muhabbat ho zabaaN se kyoNkar
aaNkh meN aa gaye yooN sharm ke maare aaNsoo
hijr abhii door hai, maiN paas hooN, ai jaan-e-vafaa
kyoN hue jaate haiN bechain tumhaare aaNsoo
subah-dam dekh na le koii ye bhiiga aaNchal
merii chuglii kahiiN khaa deiN na tumhaare aaNsoo
dam-e-ruKhsat hai qariib, ai gham-e-furqat khush ho
karne vaale haiN judaaii ke ishaare aaNsoo
sadaqe uss jaan-e-muhabbat ke maiN ''aKhtar'' jiske
raat-bhar bahte rahe shauq ke maare aaNsoo
No comments:
Post a Comment