Tuesday, July 20, 2010

Mere Humnawa Teri Berukhi Dil-E-Mubtala Ki Shikast Hai


Mere Humnawa Teri Berukhi Dil-E-Mubtala Ki Shikast Hai
Isse Kis Tarah Main Kahoon Fatah Yeh Mere Aanaa Ki Shikast Hai

Tu Chala Gaya Mujhe **** Kar Maine Phir Bhi Tujh Ko Sadayein Di,
Mere Humsafer Tu Ruka Nahi Yeh Mere Sada Ki Shikast Hai

Tujhe La Ke Dil Main Bitha Diya, Tujhe Raaz Har Ek Bata Diya
Tu Ne Phir Bhi Koi Wafa Na Ki Yeh Mere Wafa Ki Shikast Hai

Main Chiraag-E-Kuhna Mijaaz Tha, Tujhe Bijliyon Ki Talab Rahi
Mujhe Andhiyone Bujha Diya Yeh Mere Ziyaa Ki Shikast Hai

Mujhe Is Tarah Na Sataoo Ge, Mujhe Zuaam Tha Ke Na Jaoge
Mera Galt Wahm-O-Gumaan Hi Meri Intehaa Ki Shikast Hai

Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi, Tu Milla Tha Kab Ke Bichhad Gaya
Mere Jurm Ki Hai Yeh Hi Saza Yeh Mere Wafa Ki Shikast Hai

Wo Aleem Hai, Wo Baseer Hai, Wo Mujeeb-U-Daawaat Hai Magar
Meri Ek Bhi Na Suni Gayi Yeh Meri Dua Ki Shikast Hai

Meri Jaan Tassaduq Khamosh Reh, Bhala Zor Kis Ka Hawaon Par
Ke Jahan Bhi Rukh Yeh Badal Gayi Wahin Nakhuda Ki Shikast Hai

Ab Bhi Shayar Rahoon Kiski Khatir Rahoon


Ab Bhi Shayar Rahoon, Kiski Khatir Rahoon,
Kaun Hai Jo Mere Lafz-O-Manai Ki Aankhonse Behte Hue,
Aansu Mein Chhipe Dard Chunta Phire,
Khwab Bunta Phire, Kauun Hai Jo Mere Khoon Hote Dil Hue Dilki Awaz

Par,
Apni Awaz Ke Honth Rakhta Phire,
Kaun Aankhein Meri Dak Kar Ye Kahe,
Kya Hua Jaane Jaan Kabse Soye Nahi,
Isse Pehle Itna Roye Nahi
Ab Bhala Kiske Liye Khoobsurat Si Aankhein Pareshan Hai,
Apni Halat Pe Khud Itna Hairan Hai,
Kaun Bechain Ho Kaun Betaab Ho,
Mausam Hijr Ki Shaam-E-Tanhayi Mein Abla Pai Mein,
Kaun Ho Humsafar
Gird Hai Reh Guzar
Koi Rasta Nahi,
Koi Raah Nahi,
Dar Pe Dastak Ki Koi Gawahi Nahi,
Dilke Weeran-O-Barbaad Safahaat Par,
Jis Kadar Lafz Likhe The Bekaar Hai,
Ek Lambi Judai Ka Asar Hai,
Sochti Hoon Ke Ab
In Khayalon Se Khwab Se Bahar Rahoon,
Kyon Main Shayar Rahoon,
Kiski Khatir Rahoon???

Chirag Mangte Rehne Ka Kuch Sabab Bhi Nahin


Chirag Mangte Rehne Ka Kuch Sabab Bhi Nahin,
Andhera Kaise Bitayen Ke Ab To Shab Bhi Nahin,

Main Apne Zaum Mein Ek Bazyaft Par Khush Hoon,
Ye Waqeya Hai Ke Mujh Ko Mila Wo Ab Bhi Nahin,

Jo Mere Shair Mein Mujh Se Ziyada Bolta Hai
Mein Us Ki Bazm Mein Ek Harf Zair Lab Bhi Nahin,

Aur Ab To Zindagi Karne Ke Sau Tareeqe Hain
Hum Us Ke Hijr Mein Tanha Rahe The Jab Bhi Nahin,

Kamal Shakhs Tha Jis Ne Mujhe Tabaah Kiya,
Khilaf Us Ke Ye Dil Ho Saka Hai Ab Bhi Nahin,

Ye Dastakein Ye Meri Zindagi Ki Adhi Raat,
Hawa Ka Shor Samajh Lon To Kuch Ajab Bhi Nahin,

Ye Dukh Nahen Ke Andheron Se Sulah Ki Hum Ne,
Malal Ye Hai Ke Ab Subha Ki Talab Bhi Nahin,

Hisab Dar Badari Tujh Se Mang Sakta Hai
Gareeb Shahar Magar Itna Itna Be Adab Bhi Nahin,

Hamein Bohat Hai Ye Sadat-E-Ishq Ki Nisbat
Ke Ye Qabeela Koii Aisa Kam Nasab Bhi Nahin...

Teri Khushbu Meri Jaan Meri Saanson Mein Samayi Hai



Teri Khushbu Meri Jaan Meri Saanson Mein Samayi Hai,
Ab Bhi Dilko Sanam Teri Yaad Aayi Hai,

Taras Rahi Hai Meri Aankhein Teri Deed Ko,
In Aankhon Mein Tere Liye Sagar Si Gehrayi Hai,

Bechain Kar Diya Hai Us Hawa Ne Mujhe,
Tere Chehre Ko Jo Shayad Chhu Kar Aayi Hai,

Tujhe Chahte Hai Kitna Batana Hai Mushkil,
Tumhe Khud Mein Mehsoos Karna Aadat Si Ban Gayi Hai,

Tera Pyar Meri Chahat Hai Aarzu Hai,
Tere Baad Is Jeevan Mein Udaasi Hai Tanhayi Hai,

Mere Ehsaasaat Ko Zaroorat Hai Tere Lafzon Ki,
Mere Khayalon Mein Bhi Teri Aahat Chhayi Hai,

Tere Saath To Bahar Hai Mere Dilki Khizaan Par,
Ab Ke Ye Bahar Dard-E-Judayi Saath Laayi Hai,

Pyaar Ke Is Mausam Mein Bichhadna Theher Hi Gaya To,
Kuch Tere Firaaq Ka Hai Dard Kuch Meri Kismat Harjayi Hai,

Kismat Se Paya Tha Tera Pyar Sathiya,
Bich Mein Ab Hayaal Zaine Badi Lambi Judayi Hai...

Khamoshiyon Ko Jane Kya Samajh Gaya Hai


Khamoshiyon Ko Jane Kya Samajh Gaya Hai,
Wo Shakhs Jo Mujh Ko Patthar Samajh Gaya Hai,

In Uthti Nigahon Mein Kuch Sawal Bhi To The,
Kuch Kehkashayein Jo Mere Supard Kar Gaya Hai,

Main Ulfat Ke Parwanon Se Jo Mili Thi,
Dil Mein Ek Baar Phir Ro Gaya Hai,

Main Jo Samajhti Thi Rona Hai Naseeb Apna,
Wo Samjha Kar Mujhko Khud Rooth Gaya Hai,

Is Jaan Par Raakh Sitam Aur Bhi Ujdenge,
Is Zindagi Se To Ab Dil Bhi Uth Gaya Hai...

Tere Mere Beech Wafa Ka Rishta Hai


Tere Mere Beech Wafa Ka Rishta Hai,
Jaise Khushboo Aur Hawa Ka Ristha Hai,

Ke Dooje Ko Toot Ke Chaha Karte Hai,
Lekin Kuch Kuch Sath Aana Ka Rishta Hai,

Ek Dooje Ki Majboori Hai Hum Dono,
Jaise Rangat Aur Heena Ka Rishta Hai,

Gam Se Bhar Kar Dost Nahi Hai Koi Bhi,
Jiska Mere Sath Sada Ka Rishta Hai,

Jo Kuch Mangun Mil Jata Hai Lamhon Mein,
Kaisa Mera Aur Khuda Ka Rishta Hai...

Aakhri Baar Milo Aise Ke Jalte Hue Dil Raakh Ho Jayein


Aakhri Baar Milo Aise Ke Jalte Hue Dil
Raakh Ho Jayein, Koi Aur Taqaza Na Karein,
Chaak-E-Waada Na Sile, Zakhm-E-Tamanna Na Khile,
Saans Hamvaar Rahe, Shamma Ki Lau Tak Na Hile,

Baatein Bas Itni Ke Lamhe Unhe Aa Kar Gin Jayein,
Aankh Uthaye Koi Ummid To Aankhein Chhin Jayein,
Us Mulaqat Ka Is Baar Koi Wehem Nahi,
Jisse Ek Aur Mulakat Ki Soorat Nikle,

Ab Na Hai Jaan-O-Junoon Ka Na Hikaayat Ka Waqt,
Ab Na Tajdeed-E-Wafa Ka Na Shikayat Ka Waqt,
Lutt Gayi Sheher-E-Hawadis Mein Mata-E-Alfaaz,
Ab Jo Kehna Hai To Kaise Koi Noha Kahiye,

Aaj Tak Tumse Rag-E-Jaan Ke Kayi Rishte The,
Kalse Jo Hoga Use Kaun Sa Rishta Kahiye,
Phir Na Dekhenge Kabhi Aariz-O-Rukhsar, Milo,
Maatami Hai Dam-E-Rukhsat Dar-O-Deewar, Milo,
Phir Na Hum Honge, Na Iqraar, Na Inkaar, Milo...

Wo Ek Khwab Jiski Sheh Par Meri Zindagi Ki Hazar Raatein


Wo Ek Khwab Jiski Sheh Par,
Meri Zindagi Ki Hazar Raatein,
Kabhi Na Bhoolein Wo Saari Baatein,
Mere Wajood Mein Bikher Rahi Hai,
Hazaron Khushiyan Wo Teri Yaadein,
Wo Ek Khwab Ke Jiski Shay Par,
Har Ek Shay Ko Sajaya Maine,
Wafa Ka Deepak Jalaya Maine,
Teri Mohabbat Ke Zakhm Lekar,
Khud Apni Hasti Ko Mitaya Maine,
Wo Tere Wade Wo Saare Bandhan,
Kabhi Na Khatam Ho Wo Saare Jazbe,
Unhe Main Tere Naam Likhun,
Wo Ek Khwab Ke Jiski Sheh Par,
Andheri Raahon Mein Kho Gaya Hoon,
Jaagti Aankhon Se So Gaya Hoon,
Main Apni Saanso Ka Ek Ek Moti,
Dhukon Ki Ladkyon Mein Piro Gaya Hoon,
Khule Samundar Mein Leke Kashti,
Khud Apne Haathon Dabo Gaya Hoon,
Wo Ek Khwaab Ke Jiski Sheh Par,
Naye Sawere Ki Ummid Le Kar,
Chala Hoon Ek Naye Safar Par,
Gamon Ke Pul-E-Saraat Se Guzar Kar,
Wo Ek Khwaab Ke Jiski Sheh Par...

Jab Sawan Mein Tanha Bheego Jab Angan Khali Pao


Jab Sawan Mein Tanha Bheego,
Jab Angan Khali Paoge,

Jab Sahil Se Takrati Lehron Mein,
Apni Tanhayi Mein Kho Jaoge,

Jab Raat Ke Tanha Daman Mein,
Tum Chaand Ko Adha Paoge,

Jab Khud Se Baatein Karte Karte,
Tum Door Kahin Kho Jaoge,

Jab Dilki Baat Chupane Ko,
Humse Nazar Tum Churaoge,

Main Tumse Mohabbat Karta Hoon,
Har Baar Yeh Sunna Chahoge,

In Sab Lamhon Mein Jaan Lena Ke,
Tum Tum Nahi "HUM" Ban Jaoge,

Tab Shayad Lamhe Na Simat Payein,
Tab Shayad Na Mausam Ruk Paayein,

Tum Yehi Sochte Reh Jaoge,
Tum Tum Nahi "HUM" Ban Jaoge...

Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jaana Tera


Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jaana Tera,
Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Tera,

Apne Dilko Bhi Bataun Na Thikana Tera,
Sab Ne Jaana Jo Pata Ek Na Jaana Tera,

Tu Jo Aye Zulf Pareshan Raha Karti Hai,
Kiske Ujde Hue Dil Mein Hai Thikana Tera,

Ye Samajh Kar Tujhe Aye Maut Laga Rakha Hai
Kaam Aata Hai Bure Waqt Mein Aana Tera,

Apni Aankhon Mein Bhi Kaundh Gayi Bijli Si,
Hum Na Samjhe Ke Ye Aana Hai Ke Jaana Tera,

Mujhko Yun Wo Mitate Hai Ye Farmaate Hai,
Tu Badal Daal Hua Naam Purana Tera...

Kyon Shab Bhar Jaagti Rehti Ho


Kyon Shab Bhar Jaagti Rehti Ho,
Kyon Chhup Chhup Phirti Rehti Ho,

Kyon Sapne Bunti Rehti Ho,
Kyon Dil Mein Hasti Rehti Ho,

Kyon Bechain Bechain Phirti Ho,
Kyon Ulajh Rahi Ho Yaadon Se,

Kyon Behel Rahi Ho Baaton Se,
Jo Baat Hai Dil Mein Wo Keh Do,

Kyon Tum Iqraar Nahi Karti,
Kya Tum Mujhse Pyaar Nahi Karte...

Jheel Mein Chand Nazar Aaye Thi Hasrat Uski


Jheel Mein Chand Nazar Aaye Thi Hasrat Uski,
Kab Se Aankhon Mein Liye Baitha Hoon Soorat Uski,

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi,
Thehre Paani Si Khamosh Mohabbat Uski,

Bandh Mutthi Ki Tarah Wo Kabhi Khulta Hi Nahi,
Faasle Uar Bada Deti Hai Qurbat Uski,

Kisne Jaana Hai Badalte Hue Mausamon Ka Mizaj,
Usko Chaho To Samajh Paoge Fitrat Uski...

Usne Mujhse Kaha Mere Saathi


Usne Mujhse Kaha
Mere Saathi!
Tumko Mujhse Jo Hai Gila, Kya Hai?
Kabhi Fursat Mile To Socho,
Manzilein Kyon Hai? Fasla Kya Hai?
Apne Apne Safar Pe Nikle Log,
Mushtarka Raaston Pe Chalte Hai,
Humraahi Ke Hisar Mein Jitne,
Din Nikalte, Chirag Jalte Hai,
Apni Apni Ummid Ke Dar-O-Baam
Zindagi Ke Safar Mein Milte Hai,
Mutaqil Dard, Aarzi Aram

Tum Mere Humsafar To Ho Lekin,
Hum Kahin Se Bichhad Bhi Saket Hai,
Der Tak Ek Taweel Raaste Par
Saath To Ajnabhi Bhi Chalte Hai...

Kuch Door Hamare Sath Chalo Hum Dilki Kahani Keh Denge



Kuch Door Hamare Sath Chalo Hum Dilki Kahani Keh Denge,
Samjhe Na Jise Tum Aankhon se Wo Baat Zubani Keh Denge,

Phoolon Ki Tarah Jab Hothon Pe Ek Shokh Tabassum Bikhrega,
Dheere Se Tumhare Kaano Mein Ek Baat Purani Keh Denge,

Izhaar-E-Wafa Tum Kya Jaano Iqraar-E-Wafa Tum Kya Jano,
Hum Zikr Karenge Gairon Ka Aur Apni Kahani Keh Denge,

Mausam To Bada Hi Zaalim Hai Toofan Uthata Rehta Hai,
Kuch Log Magar Is Halchal Ko Badmast Jawani Keh Denge...

Ishq Mein Nahi Hisab Jeene Aur Marne Ka


Ishq Mein Nahi Hisab Jeene Aur Marne Ka,
Ke Usiko Dekh Kar Jeete Hai Jis Kafir Pe Dum Nikle,

Kahan Mehkhane Ka Darwaza Aur Kahan Wayez,
Bas Hum Itna Jaante Hai Ke Kal Wo Ata Tha Ke Hum Nikle,

Nikalna Khuld se Aadam Ka Sunte Aaye Hai Lekin,
Bahut Beabroo Hokar Tere Kooche Se Hum Nikle,

Hazaron Khwahishein Aisi Ke Har Khwahish Pe Dam Nikle,
Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikle...

Kya Kahoon Usse Ke Jo Baat Samajhta Hi Nahi


Kya Kahoon Usse Ke Jo Baat Samajhta Hi Nahi,
Wo Milne Ko Mulaqat Samajhta Hi Nahi,

Humne Dekha Hai Faqat Khwab Khuli Aankhon Se,
Khwaab The Wasl Ko Wo Raat Samajhta Hi Nahi,

Maine Pahuchaya Use Jeet Ke Haar Khane Tak,
Meri Baazi Thi Meri Maat Samajhta Hi Nahi,

Dukh To Mujhko Bhi Judayi Ki Ghadi Ka Hai Magar,
Aaj Kyon Sochein Har Ek Baat Samajhta Hi Nahi...

Wo Jo Mera Waqf-E-Haal Tha


Wo Jo Mera Waqf-E-Haal Tha,
Wo Jo Us Ke Subh-E-Urooj Thi,
Wo Jo Mera Waqt-E-Zawaal Tha,

Mera Dard Kaise Wo Janta,
Mere Baat Kaise Wo Manta,
Wo Tu Khud Fanaa Ke Safar Pe Tha,
Use Rokna Muhaal Tha,

Kahan Jaoge Mujhe Chhodke,
Main Ye Puchh Puchh Ke Thak Gayi,
Wo Jawab Mujhko Na De Saka,
Wo To Khud Ek Sawal Tha,

Wo Mila To Sadiyon Baad Bhi,
Mere Lab Pe Koi Gila Na Tha,
Use Mere Chupine Rula Diya,
Jise Guftugu Mein Kamaal Tha,

Dam-E-Wapsi Use Kya Hua,
Na Wo Roshni Na Wo Taazgi,
Wo Sitara Kaise Bikhar Gaya,
Wo To Aap Apni Misaal Tha,

Mere Sath Lagke Wo Ro Diya,
Mujhe Faqt Itna Wo Keh Saka,
Jise Janta Tha Main Zindagi,
Wo To Sirf Wahem-O-Khayal Tha...

Kitni Aasani Se Log Keh Jaate Hein Ke Pyaar Nahi Wo To Ek Dhoka Tha


Kitni Aasani Se Log Keh Jaate Hein
Ke Pyaar Nahi Wo To Ek Dhoka Tha
Wo Sab Eik Fareb Tha Eik Tamasha Tha
Hawa Ka Ik Dilkash Jhonka Tha

Ab Humne To Akela Rehna Seekh Liya
Kya Yehi Sun-na Ab Reh Gaya Baaqi Tha
Usne Haal Poocha To Kisi Rishte Se Nahi
Saath Ye Bhi Kaha, Farz Ye Ikhlaaqi Tha

Bolo Bacha Hi Kya Hai Ab Kehne Ko
Us Dil Mein Jagah Hi Nahi Ab Rehne Ko
Koi Darr Hi Nahi Tha, Uske Saath Hone Se
Ab Himmat Hi Nahi, Koi Dukh Sehne Ko

Uski Tasveer Ko Yoon Haaton Mein Le Ke
Uske Aage Yoon Apna Dil Khol Diya
Usne Bhi Socha Ke Ye Kya Hai Harqat
Tang Aakar Usne Bhi Ye Bol Diya

Wo Jo Guzre Thay Sang Din Bhool Jao
Wo Din Nahi Hein Ab Aane Waale
Banhein Phelaye Khare Kyun Ho
In Mein Ab Nahi Hum,Samaane Waale

Pyaar Ke Samundar Mein Har Utarne Wale Ko Kashtiyan Nahi Milti



Pyaar Ke Samundar Mein
Har Utarne Wale Ko
Kashtiyan Nahi Milti
Door Door Tak Jaanan
Dhoop Ki Musafit Hai
Aur Kahin Bhi Pal Bhar Ko
Dhoop Ke Musafir Par
Saibaan Nahi Khulte,
Is Ajab Samundar Mein
Umr Bhar Ki Riyazat Ke Baad
Humne Ye Jaana Hai
Jis Tarah Fizaon Mein
Udne Wale Panchhi Par
Bars Ha Bars Mein Bhi
Aasman Nahi Khulta
Hijr-E-Bekaran Mein Bhi
Bhed Bhed Hi Rehta Hia
Raazdan Nahi Milte
Baam-O-Dar Nahi Khulte
Har Utarnewale Ko
Kashtiyan Nahi Milti
Aur Mil Bhi Jaye To
Baadbaan Nahi Khulte
Pyar Ke Samundar Mein
Bhed Bhed Hi Rehta Hia...

Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon


Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,
Dil Bhi Karta Hai Yaad Chhup Ke Tujhe,
Naam Leti Hai Zubaan Tera,
Ye Bhi Nahi Mujhe Malum,
Kis Mohalle Mein Hai Makaan Tera,
Kaun Si Shaakh-E-Gul Pe Raqsaan Hai,
Rashq-E-Firdaus Aashiyan Tera,
Jaane Kin Waadiyon Mein Thehra Hai,
Girat-E-Husn Kaarvaan Tera,
Kisse Puchhunga Main Khabar Teri,
Kaun Batlayega Nishaan Tera,
Teri Ruswaiyon Se Darta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,
Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka Garche,
Tu Rahi Muddaton Qareeb Mere,
Kuchh Teri Azmaton Ka Dar Bhi Tha,
Kuchh Khayalat The Ajeeb Mere,
Aakhir Kaar Wo Ghadi Aayi,
Baar-E-Dar Ho Gaye Raqeeb Mere,
Tu Mujhe Chhod Ke Chali Bhi Gayi,
Khair Qismat Meri Naseeb Mere,

Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,

Wo Zamana Teri Mohabbat Ka,
Ek Bhooli Hui Kahani Ka,
Tere Kooche Mein Umar Bhar Na Gaye,
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hai,
Lazzat-E-Qarb Ho Ke Zakhm-E-Firaaq
Jo Bhi Hai Teri Meherbaani Hai,
Kis Tamanna Se Tujhko Chaha Tha,
Kis Mohabbat Se Haar Maani Hai,

Apni Kismat Pe Naaz Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon...

Ummid-O-Naummidi Ki Kashmakash Mein Ghirta Jaa Raha Hoon Main


Ummid-O-Naummidi Ki Kashmakash Mein Ghirta Jaa Raha Hoon Main,
Zindagi Ke Raaston Par Girta Aur Sambhalta Jaa Raha Hoon Main,

Main Kabhi Nafrat Hoon To Kabhi Chahat Ka Izhaar,
Na Jane Kab Kahan Aise Rang Badalta Jaa Raha Hoon Main,

Dosti Nibhane Ki Koshish Mein,
Dostonse Fareb Khata Jaa Raha Hoon Main,

Doston Se Dosti Mein Kha Ke Yun Fareb,
Dosti Ke Liye Ek Misaal Banta Jaa Raha Hoon Main,

Kadi Dhoop Mein Jeewan Ki Paidal Hoon Aur,
Ek Be-Aab Sehra Ki Maanind Sulagta Jaa Raha Hoon Main,

Safar-E-Zeest Mein Mile Hai Mujhe Gam Bhi Khushi Bhi,
Apne Har Aml Ka Goya Sila Pata Jaa Raha Hoon Main,

Na Jane Kaunsa Pal Maut Ki Amanat Ho,
Zindagi Ka Saath Nibhata Jaa Raha Hoon Main...

Ye Kab Kaha Tha Ke Nazron Se Khauf Aata Hai


Ye Kab Kaha Tha Ke Nazron Se Khauf Aata Hai,
Mujhe To Chand Sitaron Se Khauf Aata Hai,

Main Dushmano Ke Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,

Khiza Ka Jabar To Seene Pe Rok Lete Hai,
Hamein Udaas Baharon Se Khauf Aata Hai,

Mile Hia Dost Besakhiyon Se Dard Itne,
Mere Badan Ko Saharon Se Khauf Aata Hai....

Mohabbat Os Ki Surat,


Mohabbat Os Ki Surat,
Pyaasi Pankhudi Ke Honth Ko Sairab Karti Hai,
Gulon Ki Aastino Mein Anokhe Rang Bharti Hai,
Seher Ke Jhatpute Mein Gungunati Muskurati Jagmagati Hai,
Mohababt Ke Dino Mein Dasht Bhi Mehsoos Hota Hai,
Kisi Firdaus Ki Surat,
Mohabbat Os Ki Surat,
Mohabbat Abr Ki Surat,
Dilon Ki Sarzameen Mein Ye Ghir Ke Aati Hai Aur Barasti Hai,
Chaman Ka Zarra Zarra Jhumta Hai Muskurata Hai,
Azal Ki Benamu Matti Mein Sabzah Sar Uthata Hai,
Mohabbat Unko Bhi Aabad Aur Shadab Karti Hai,
Jo Dil Hai Qabr Ki Surat,
Mohabbat Abr Ki Soorat,
Mohabbat Aag Ki Soorat,
Bujhe Seeno Mein Jalti Hai To Dil Bedaar Hote Hai,
Mohabbat Ki Tapish Mein Kuch Ajab Asraar Hote Hai,
Ke Jitna Ye Bhadakti Hai Uroos=E-Jaan Mehekti Hai,
Dilon Ke Sahilon Pe Jama Hoti Aur Bikharti Hai,
Mohabbat Jhaag Ki Surat,
Mohabbat Aag Ki Surat,
Mohabbat Khwaab Ki Surat..

Tum Laut Ke Aaoge Humse Milne


Tum Laut Ke Aaoge Humse Milne,
Roz Dilko Behlane Ki Aadat Ho Gayi,

Tere Waade Pe Kya Bharosa Kiya Humne,
Ke Shab Bhar Tera Intezar Karne Ki Aadat Ho Gayi,

Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskurate Ke
Teri Judai Mein Rone Ki Aadat Ho Gayi,

Kaafile Nikal Gaye Hamein Chhod Ke,
Ke Ab To Tanha Safar Ki Aadat Ho Gayi,

Har Mod Par Mili Gam Ki Parchhaiyan,
Zindagi Se Samjhauta Karne Ki Aadat Ho Gayi,

Jante The Ke Nahi Ho Sakte Kabhi Tum Hamare,
Phir Bhi Khuda Se Tujhe Maangne Ki Aadat Ho Gayi,

Paimaan-E-Wafa Kya Hai Hume Kya Malum,
Ke Bewafaon Se Dil Lagane Ki Aadat Ho Gayi...

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi


Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski Sehmi Hui Nigahon Mein,
Kitni Khamosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majbooriyon Ke Saaye The,
Mere Haathon Se Khat Pakadte Hi,
Jaane Kya Soch Kar Achanak Wo
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi
Uske Yaaqut Rang Hothon Ke
Kapkapate Hue Kinaron Par,
Saikdon Ankahe Fasane The,
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek Lamha Heenayi Hathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulaata Hai,
Hamnashin Ruth Kar Na Jaa Mujhse,
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi...

Jo Bhoolna Hota Itna Aasaan To Kabke Hum Tujhe Bhool Jaate


Jo Bhoolna Hota Itna Aasaan To Kabke Hum Tujhe Bhool Jaate,
Na Karte Tujhe Fariyaad Milneki Na Tujhe Kabhi Yaad Aate,

Mita Diya Humne Apna Saara Wajood Tak Tujhe Paane Mein,
Kash Ke Tum Bhi Mere Pyaar Ki Gehrayi Ko Kabhi Samajh Paate,

Kiya Tha Tumne Wada Humse Dosti Ka Aye Dost,
To Us Dostika Kuch Rasm-O-Riwaaj To Tum Nibhate,

Mitane Chala Hoon Aaj Apni Hasti Badnaami Ke Dar Se,
Kaash Ke Zindagi Ke Is Khelme Kahin To Apna Ek Mukaam Banate...

Kabhi Khwaabon Ke Jungle Mein Akelepan Ke Daldal Mein


Kabhi Khwaabon Ke Jungle Mein,
Akelepan Ke Daldal Mein,
Kisi Sandal Ke Saaye Mein,
Kabhi Baadal Ki Chhatri Par,
Kisi Din Tez Barish Mein,
Kabhi Dariya Ke Dhaare Par,
Kabhi Dukh Ke Kinare Par,
Kabhi Sahil Pe Likhti Hai,
Kabhi Likh Kar Mitati Hai,
Kabhi Likhne Se Pehle Hi,
Mita Kar Hasne Lagti Hai,
Kisi Din Shaam Se Pehle
Mitana Bhul Jati Hai,
To Saari Raat Roti Hai...

Aaj Phir Jhatpate Ke Aalam Mein Phir Wohi Mah-O-Saal Yaad Aaye


Aaj Phir Jhatpate Ke Aalam Mein,
Phir Wohi Mah-O-Saal Yaad Aaye,

Khil Uthe Phir Tere Khayal Ke Phool,
Zehen Mein Phir Wohi Sawal Aaye,

Khushboo Mausam Ko Dhundti Hi Rahi,
Rang Badal Ko Haar Daal Aaye,

Usmein Kuch Khaas Hi Hunar Hoga,
Warna Kitne Hi Bakamaal Aaye,

Merhala Ye Bhi Dil Pe Guzra Hai,
Apni Hi Baat Khud Hi Taal Aaye,

Waqt-E-Rukhsat Na Kuch Bhi Yaad Aaya,
Zehen Mein Phir Kayi Sawal Aaye,

Usne Rukh Pher Ke Qayamat Ki,
Maut Se Bach Ke Baal Baal Aaye,

Jo Ujala Kare Andhere Mein,
Ranj Aisa To Khaal Khaal Aaye...

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo



Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo
Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo


Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo



Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo



Nahin koi muhabbat bhi, jijr rut bhi, raqabat bhi
To yeh dharka sa kya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo



Sukhanwer hum say kehta hai saja lo ankh main kuch khwab
Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo



Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo



Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmandgi kuch bhi
Zamana daikh tham jaye, kuch is andaas say niklo

Aaj Humne Chaand Pighalte Hue Dekha


Aaj Humne Chaand Pighalte Hue Dekha,
Girte Hue Pallu Ko Sambhalte Hue Dekha,

Ajeeb Rang Ki Phool Khile Hai Ab Ke Bahar Mein,
Har Phool Tere Samne Dhalte Hue Dekha,

Ashq Kahan Kho Jaate Hai Kya Malum,
Humne To Dardmandon Ko Behelte Hue Dekha,

Samundar Ke Kinare Ek Chhota Sa Ghar Ho,
Aangan Mein Mujhe Uske Tehelte Hue Dekha,

Har Wo Din Phir Eid Kar Li Maine,
Jab Jab Tujhe Raat Nikalte Hue Dekha...

Miltay hain hum jab bhi kisi say koi fasana banta hay



Miltay hain hum jab bhi kisi say
koi fasana banta hay…….
Naye fasay banty hain guzro ko bhulana parta hay
Choro choro kissa purana
Yaad dela kar karna kya….

Taire ankh kay Ansoo mairy……..
Kisi nay yeh lakh baar kaha tha
Jab bhi chalkay mairy ansoo
Main nay Amanat samjh kay oski kabhi na poncha,
Ankho nay tha rasta dhaika
Jab jab bhi main ruye thi…
Thak gaye anhay rasta dhaiky
Anso mairy Khushak hoyen
Par koi ponchnay kabhi na aya
Shukar hay ab to ankho nay
runa dhona choor diya
In bato ko duhrana kya
Choro choro kissa purana………
Yaad dela kar karna kya…………

Dunya ki is bheer mian aksar
Jab bhi geri hoon
Chotto ki shidat say dil hi dil main bilak pare hoon
Ab kay day ga koi sahara
Ek ahatt sunnay ki khatir
Har ek baar main chup hi rahi hoon
Yeh na ho hum phir ger jayen
Ab to chalna choor diya
Jab hum nay sambhalna seekh liya
Un dardo ko duhrana kya
Choro choro kissa purana….
Yaad dela kar karna kya………

Tanhaye kay sannatto main
Tairy yeh alfaz hain gonjay
Sath rahy hum ya na rahy hum
Donga tumhara sath hamishaaaa
Yaad na hoga osy magar
Haan… yahi kaha tha……..
Oska yeh wadda main nay
Man hi man main kitna duhraya
Dhonda osko our kahi na paya
Tanhaye ki banho nay phir mujhy samaita
Our samjhayaa..

Choro choro kissa purana……
Yaad dela kar karna kya……..

Jahan say hum tum sath thy guzary
Tanha wahan say guzar rahi hoon
Sooch rahi hoon
Dunya waqi bheer hi hay
Jis main loge hath mila kar kho jaty hain
Lakin main to wahi khari hoon
Chalo chalo hum bhi chal niklay
Kho jayen is bheer main hum bhi
Yeh to hay dastoor jahan ka
Jalna kya jal jana kya
Choro choro kissa purana…
Yaad dela kar karna kya……

Har Lamha Tere Yaad Ki Khushbo Hay Meray Pass


Har Lamha Tere Yaad Ki Khushbo Hay Meray Pass
Is Shehar Main Tanha Hon Magar Tu Hay Meray Pass

Jis Shakal Ko Chahon Tere Soorat Main Badal Doon
Yeh Husan_e_Tasawar Hay K Jado Hay Meray Pass

Rakhta Hay Sada Jo Mere Raton Ko Mua’atar
Who Teray Badan Ka Gul_e_Khushbo Hay Meray Pass

Kia Mujh Ko Pasand Aaian Gay Is Shehar K Naghmay
Tu Hay Mere Koyal Tere Koko Hay Meray Pass

Kyon Thamon Ga Main Janan Kisi Aur Ki Banhein
Paihnay Huay Kangan Tera Bazo Hay Meray Pass

Jab Chahon Qateel Us K Nagar Tak Mujhay Lay Jayei
Sochon Ka Chamakta Hua Jugno Hay Meray Pass…!

yeh muhabbat bhi kiya cheez hai


yeh muhabbat bhi kiya cheez hai ,
khabar bhi nahin hoti aur hum chupke se
kisi ko apne dil mein basa lete hain
yeh to sirf hamein maloom hota hai
ke hum ais se kitni muhabbat karte hain
ais se kitna chahate hain hum to apni aankhon mein
bahut khvaab saja lete hain laken voh jis se hum muhaabat karte hain
ais baat ki khabar nahin hoti ke koi aise bahut chahta hai
ais se bahut muhabbat karta hai hum to bas yaktarfa muhabbat kiye jate hain
yeh jane baghair ke voh hum ko koi ahmeeyat nahin deta
hum se muhabbat nahin karta kaha jata hai
ke yaktarfa muhabbat kabhi kisi se nahin karo
laken dil par to kisi ka zor nahin chalta
yaktarfa muhabbat to kabhi bhi kisi ko ho sakta hai
yaktarfa muhabbat ho yaa do tarfa , muhabaat to bas muhabbat hoti hai

Hum bohut khush huwe, AE dost tujhko paaker


Hum bohut khush huwe, AE dost tujhko paaker
Too ne saja liya hai, Veerana dil ka aaker

Her ghuncha khill utha hai aur her kalii shagufta
Kucch iss ada se too ne dekha hai muskara ker

Tere baghair mera jeena hai koii jeena
Ek zindagi mili hai, Apna tujhe bana ker

Naa khush kabhi na honge, Mujhhko dagha na doge
Rakhhoge abb hamesha dil main mujhe basa ker

Her dumm mere labon per, Tere liye dua hai
Perverdigaar-e-aalam umr-e-khizr ataa ker

Too dost wafa per unki kabhi na ker rashk
Dil main basa liya hai to jaan bhi fida ker

Yaadon ki mehfil mai meri yaad ka dya jalaye rakhna


->Yaadon ki mehfil mai meri yaad ka dya jalaye rakhna
->Apni hathaile ko merai pyar ki mehndi se sajaye rakhna

->May terai badan ki mehak ban ker rahon ga humaisha
->Apni ankhon pe phela kajal logon se chhupa ke rakhna

->Ek khuaab ke terhan aon ga her raat terai pass
->Apni ankhon se behtay ansoOn ko chhupaye rakhna

->Aziat ke sehra mai nangay paon agar kabhi niklo
->Khusi ke ek lehr se bhi yaadon ke payal ko bachaye rakhna

->Apni her khushi mai shamil rakhna tum bhi mujhai
->Per apnay bikhray baloon ko sunwaray rakhna

->Apni ankhon se behtay pani ko chhupa na sako agar kabhi
->Khushion ke chader se apnay dukhon ko chhupa ke rakhna

->Ghum ke pathharon se thoaker kha ke agar gir parro kahin
->Meri yaad ke ek shaakh ko he thaamay rakhna

->Apnay khuabon ko ab phir se tootnay na dena kabhi
->Magar suno!jis dil mai rehta hai"ham dost"us dil ka khayal rakhna

Pochay jo koi tum say kabhi haal hamara


Pochay jo koi tum say kabhi haal hamara
Ik choti see takleef ye kar layna gawara

Anjaan say ho jana sunatay huye ahwaal
Palkon pay chamak jaye na ashkon ka sitara

Aisa na ho tum kuch kaho andaaz kahay kuch
Mathay pay paseena kahin aye na khuda raa

Kanpen na kahin lub na ho awaz main larzish
Dekho na samejh jaye koi raaz hamara

Aisa na mazkoor ho jub meri tabaahi
Gardish main meri haath nazar aye tumhara

Ahwaal batana mera asaan bohat hai
Sookhay huye patton ki taraf kar k ishara

Kehna mujhay maloom nahi thik say lekin
Suntay hain k dukh dard nay usko hai mara

mujhey teyri mohabbat ka sahara mil geya hota


mujhey teyri mohabbat ka sahara mil geya hota
ager toofaan nahi ata kinara mil geya hota

na tha manzoor kismet ko, na thi marzi baharoon ki
nahi to is gulistaan mein, kami thi kya nazaaroon ki

mayri nazroon ko bhi koe nazara mil geya hota
ager toofaan nahi ata kinara mil geya hota

khushi say apni aankhoon ko, main ashkoon say bhigo layta
mayrey badlay tu hans layti, teyrey badlay main ro layta

mujhey ay kaash teyra dard sara mil geya hota
ager toofaan nahi ata kinara mil geya hota

mujhey teyri mohabbat ka sahara mil geya hota
ager toofaan nahi ata kinara mil geya hota

Rukhsat howa to baat meri maan kar gaya


Rukhsat howa to baat meri maan kar gaya
Jo is ke paas tha wo mujhe daan kar gaya

Bichra kuch is ada se ke rut hi badal gyi
Ik shakhs sare shehar ko wairan kar gaya

Dilchasp wakiya hai ke kal ik azeez dost
Apne mafaad per mujhe kurbaan kar gaya

Kitni sudhar gyi hai judai main zindagi
Haan wo jfa jo mujh pe to ehsaan kar gaya

Khalid main baat baat pe kehta tha kis ko jaan
Woh shakhs aakharsh mujhe be jaan kar gaya

Jab Kabhi Choudhwin Ka Chand Dekhon


Jab Kabhi Choudhwin Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aati Ho.....
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Soraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumhare Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Dye
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumhare Labb Yaad aaye
Jab Kabhi Barste Badal dekhon
To Tumhari Yaad Main Doobi...Woh Shaam Yaad aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumhare Khushboo Main Basse Khat Yaad aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko dekhon
To Tumhari piyasi Ankhein Yaad Ayi
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamkte Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinare Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh...Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand ko
Phool Ko
Baraste Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
Buss...Jab Jab Main Saans Loon

To Tum Yaad Aati Ho
Tum Yaad Aati Ho

Agar tum husn chahti ho?



Agar tum husn chahti ho?
mere chahre pe mat jauo
ke chahre bujh bhi jate hai.

"meri qamut ko mat dekho!!
ke qamut toot jati hai..

"talab hai husn ki to phir
meri gehraie mien jhanko.

"mere under jo insaan hai
woh sab se khubsoorat hai

Aaj us ki yaad ne humain tarpaya bohat



Aaj us ki yaad ne humain tarpaya bohat
Aaj na chahte hue bhi woh yaad aaya bohat

Us kay baad to jaisay wehshatoon se dosti ho gaye
Phir kyon aaj tanhayon ne darraya bohat

Woh mera tha, mera hai, mera rahe ga
Hum ne is khayal se khud ko behlaya bohat

Shamma ke jalne per hum afsoos kerain kiyon
Hum ne bhi manind shamma khud ko jalaya bohat

Hum ne jis kissi ko bhi humdard samjha
Woh humare dukh pe na jane kyon muskuraya bohat

kabhi jo tumhain meri yaad aye to kuch ashaar meri yaad main likh daina


kabhi jo tumhain meri yaad aye
to kuch ashaar meri yaad main likh daina

par kabhi na kisi se kuch kehna
agar kabhi koi tum se mera poochay

to huns kar usko taal daina
agar ho sake to mere khat jala daina

mere un phoolon ko jheelon main baha daina
kabhi jo tumhain meri yaad aye

to takiya main chup kar ansoo baha laina
phir mughe yaad kar kay muskura daina

meri khoobsurat tasveeron ko
dil ke nakshoon se mita daina

aur unhain phar kar kaheen jala daina
per kabhi na kisi se mera zikaar karna

kabhi jo tumhain meri yaad aye
TO aik khawab samjh kar bhula daina

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin


Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin

meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin

ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin

tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin

kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin

kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin

wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

Apne hathon ki lakiron main basa le mujh ko


Apne hathon ki lakiron main basa le mujh ko
Main hoon tera naseeb apna bana ley mujh ko

Mujh sey tu poochne aya hai wafa k ma’ani
Yeh teri sada dili mar na dale mujh ko

Main samunder bhi hoon moti bhi hoon ghota zun bhi hoon
Koi bhi nam mera le k bula le mujh ko

Tu ne dekha nahin aine sey agye kuch bhi
Khud parasti main kahin tu na ganwa ley mujh ko

Kal ki bat or hai main ab sa rehon ya na rehon
Kitna ji chahe tera aj sata ley mujh ko

Khud ko main bant na daloon kahin daman daman
Ker diya tu ne ager mere hiwale mujh ko

Main khuley der k kissi ghar ka hoon saman piyare
Tu dabe paon khabhi a ke chura ley mujh ko

Tark-e-ulfat ki qasam bhii koyi hotii hai qasam
to kabhii yaad to kar bhulane wale mujh ko

Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat Mere Paas Laut Aana


Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
Mere Paas Laut Aana

Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazer Na Aye
To Derna Mat Mere Paas Laut Aana

Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paye
To Udaas Mat Hona Mere Paas Laut Aana

Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chote
To Aanso Mat Bahana
Mere Paas Laut Aana

Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Sherminda Mat Hona
Mere Paas Laut Aana

Bas Itna Kehna Chahta Hon
Ke Hamesha Intizar Keronga

Is zindgi Se Zyada Pyar Keronga
Magar Jab Tumhen Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
Mere Paas Laut Aana

kabhi kabhi yaad main ubhartay hain naqsh-e-maazi mitay mitay say



kabhi kabhi yaad main ubhartay hain naqsh-e-maazi mitay mitay say
wo aazmaish dil-o-nazar ki, wo qurbatain si, wo faaslay say

kabhi kabhi aarzo kay sehra main, aa kay ruktay hain qaaflay say
wo sari baatain lagao ki si, wo saray unwaan wasaal kay say

nigah-o-dil ko qarar kaisa, nishaat-o-ghum main kami kahan ki
wo jab milay hain to un say har baar ki hai ulfat naiy siray say

bohut garaan hain yeh aaish-e-tanha, kaheen subak-tar, kaheen gawara
wo dard-e-pinhaan ki sari duniya rafeeq thee jis kay wastay say

tumhi kaho rind-o-mohtasib main hai aaj shub kaun farq aisa
yeh aa kay baithay hain mai-kaday main, wo uth kay aaiy hain mai-kaday say

Wo jo hum main tum main qarar tha tumhain yaad ho kay na yaad ho



Wo jo hum mein tum main qarar tha tumhain yaad ho ke na yaad ho
Wohi wada yani nibah ka tumhain yaad ho ke na yaad ho

Wo jo lutf mujh pay thay paish-tar wo karam ke tha mairay haal par
Mujhay sab hai yaad zara zara tumhain yaad ho ke na yaad ho

Kabhi baithay sab main jo ru-baru to isharoon hi say guftagoo
Wo bayan shauq ka barmala tumhain yaad ho ke na yaad ho

Wo naiy gilay wo shikayatain wo mazay mazay ki hikayatain
Wo har ik baat pay roothna tumhain yaad ho ke na yaad ho

Kabhi hum main tum main bhi chah thi kabhi hum se tum ko bhi raah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashna tumhain yaad ho ke na yaad ho

Wo bigarna wasal ki raat ka wo na man’na kisi bhi baat ka
Wo nahi nahi ki har aan ada tumhain yaad ho ke na yaad ho

So zikar hai kai saal ka kia ik aap nay wada tha
So nibhanay ka to zikar kia tumhain yaad ho ke na yaad ho

Jisay aap gintay thay aashna jisay aap kehtay thay bawafa
Main wohi hoon Momin mubtala tumhain yaad ho ke na yaad ho!!

Ghar wapis jab aao gai tum kon tumhain pehchanay ga



Ghar wapis jab aao gai tum
kon tumhain pehchanay ga
kon kahay ga, tum bin sajan yeh nagri sunsaan
bin dastak darwaza gumsum
bin ahat dehleez
soonay chand ko taktay taktay
rahain par gain maand
kon kahay ga
kon kahay ga
kon kahay ga, tum bin sajan yeh nagri sunsaan
kon kahay ga, tum bin sajan kaisay katay din raat
sawan kay so rung ghulay aur
doob gai barsaat
kon kahay ga
kon kahay ga
kon kahay ga, tum bin sajan yeh nagri sunsaan
pal jaisay pathar bun jain
ghariaan jaisay naag
din niklay to shaam na aaiy
aaiy to bohraan
kon kahay ga
kon kahay ga
kon kahay ga, tum bin sajan yeh nagri sunsaan
ghar wapas jab aao gai tum
kia daikhoo kia paoo gai
yaar nigar wo sangi saathi
madhbhariaan theen akhiaan jin ki,
batain phuljhariaan
bujh gai saray loog wo piyaray
reh gain kuch lariaan
tum bin sajan,
tum bin sajan
tum bin sajan, tum bin sajan
yeh nagri sunsaaannn!!
dhool babool bagoolay daikhoo
aik guraizan mauj ki khatir
sehra sehra phirtay hain
tum bhi phiro darwaish sifat ab
raqsaan raqsaan, hairaan hairaan
laut kay ab kia aao gai,
aur kia pao gai
kia pao gai, kia pao gai!!
kon kahay ga,
kon kahay ga,
kon kahay ga, tum bin sajan yeh nagri sunsaan,
yeh nagri sunsaan,
yeh nagri sunsaaaaan!!

Ik pat'ta, ik jogi pat'ta kaanpa daal say toota


Ik pat'ta, ik jogi
pat'ta kaanpa
daal say toota
jogi ki jholi main gira
aiy jogi tu koun?
kis jungle say aaya hai tu?
kis basti ka jaya hai tu?
pat'tay main kia daikha tu nay?
pat'tay ko kiun chooma tu nay?
kiun isko seenay say lagaya?
kiun yeh tairi goud main aaya?
nagri nagri ghoomnay walay
aiy jogi------ tu koun??

aiy pat'tay, aiy kanptay pat'tay
kiun yeh jogi, ramta jogi
jis ki apni duniya hogi
sapnoon main khoya, matwala
bar main kafni, kaan main baala
bastioon say bachta, katrata
veeranoon main alkh jagata
is ujri bagiya main aaya
jis bagiya main dhoop na saaya
koi purani peet nibahay?
kiun yeh ik tujhi ko chahay?
aiy pat'tay----- tu koun?

na apnay ko pat'ta janay
na khud ko jogi pehchanay
donoon pyasay, donoon hanpain
ik doojay ki goud main kanpain
donoon ik doojay main samaiy
kis say poochain, koun bataiy?
aiy pat'tay tu koun?
aiy jogi tu koun?

Kal hum nay sapna daikha hai


Kal hum nay sapna daikha hai
kal hum nay sapna daikha hai
jo apna ho nahi sakta
us shakhs ko apna daikha hai

wo shakhs kay jiski khatir
is dais phirain, us dais phirain
jogi ka bana kay bhais phirain
chahat kay niralay geet likhain
ji mohnay walay geet likhain
dharti kay mehaktay baghoon say
kaliyoon ki jholi bhar lain
umber kay sajeelay mundal say
taroon ki dooli bhar lain

haan kis kay liyay, sab us kay liyay
wo jis kay lab par teso hain
wo jis kay naina aaho hain
wo khaak bhi hai aur khushboo bhi
wo dard bhi hai aur daaro bhi
wo alhar si, wo chanchal si
wo shair si, wo pagal si
loog aap hi aap samajh jain
hum naam na uska batlain

aiy daikhnay walay tum nay bhi
us naar ki peet ki aanchoon main
us dil ka tapna daikha hai?
kal hum nay sapna daikha hai!

kab tak dil ki khair manayen, kab tak rah dikhao gye



kab tak dil ki khair manayen, kab tak rah dikhao gye
kab tak chain k mohlat do gye, kab tak yaad na ao gye

bita deed umeed ka mausam, khak urti hai ankhon main
kab bhejo gye dard ka badal, kab barkha barasao gye


ahad-e-wafa aur tark-e-muhabbat jo chaho so ap karo
apne bas k baat hi kya hai, hamse kya manwao gye


kisne wasl ka suraj dekha, kis par hijr k rat dhali
gesuon wale kaun the, kya the, un ko kya jatlao gye


'Faiz' dilon k bhag main hai ghar basana bhi lut jana bhi
tum us husn k lutf-o-karam par kitne din itrao gye

Taaron Bhari Ye Raat Hai Aur Main Udaas Hoon


Taaron Bhari Ye Raat Hai Aur Main Udaas Hoon,
Chandni Se Mulaqat Hai Aur Main Udaas Hoon,

Har Taraf Lagi Hai Phoolon Ki Ronakein,
Chaaron Taraf Pyaar Hai Aur Main Udaas Hoon,

Tere Tasavvur Se Hua Hai Mere Mann Mein Ujala,
Utra Hai Chaand Samundar Mein Aur Main Udaas Hoon,

Yaad Aaye Wo Lamhaat Wo Pyaari Mulakat,
Milte Hai Do Dil Pyaar Se Aur Main Udaas Hoon,

Jab Chha Gayi Kaali Ghata Aru Aa Gaya Barsat Ka Mausam,
Rimjhim Rimjhim Barsaat Hai Aur Main Udaas Hoon...

Popular Posts