Aakhri Baar Milo Aise Ke Jalte Hue Dil
Raakh Ho Jayein, Koi Aur Taqaza Na Karein,
Chaak-E-Waada Na Sile, Zakhm-E-Tamanna Na Khile,
Saans Hamvaar Rahe, Shamma Ki Lau Tak Na Hile,
Baatein Bas Itni Ke Lamhe Unhe Aa Kar Gin Jayein,
Aankh Uthaye Koi Ummid To Aankhein Chhin Jayein,
Us Mulaqat Ka Is Baar Koi Wehem Nahi,
Jisse Ek Aur Mulakat Ki Soorat Nikle,
Ab Na Hai Jaan-O-Junoon Ka Na Hikaayat Ka Waqt,
Ab Na Tajdeed-E-Wafa Ka Na Shikayat Ka Waqt,
Lutt Gayi Sheher-E-Hawadis Mein Mata-E-Alfaaz,
Ab Jo Kehna Hai To Kaise Koi Noha Kahiye,
Aaj Tak Tumse Rag-E-Jaan Ke Kayi Rishte The,
Kalse Jo Hoga Use Kaun Sa Rishta Kahiye,
Phir Na Dekhenge Kabhi Aariz-O-Rukhsar, Milo,
Maatami Hai Dam-E-Rukhsat Dar-O-Deewar, Milo,
Phir Na Hum Honge, Na Iqraar, Na Inkaar, Milo...
No comments:
Post a Comment