Tuesday, July 20, 2010

Ummid-O-Naummidi Ki Kashmakash Mein Ghirta Jaa Raha Hoon Main


Ummid-O-Naummidi Ki Kashmakash Mein Ghirta Jaa Raha Hoon Main,
Zindagi Ke Raaston Par Girta Aur Sambhalta Jaa Raha Hoon Main,

Main Kabhi Nafrat Hoon To Kabhi Chahat Ka Izhaar,
Na Jane Kab Kahan Aise Rang Badalta Jaa Raha Hoon Main,

Dosti Nibhane Ki Koshish Mein,
Dostonse Fareb Khata Jaa Raha Hoon Main,

Doston Se Dosti Mein Kha Ke Yun Fareb,
Dosti Ke Liye Ek Misaal Banta Jaa Raha Hoon Main,

Kadi Dhoop Mein Jeewan Ki Paidal Hoon Aur,
Ek Be-Aab Sehra Ki Maanind Sulagta Jaa Raha Hoon Main,

Safar-E-Zeest Mein Mile Hai Mujhe Gam Bhi Khushi Bhi,
Apne Har Aml Ka Goya Sila Pata Jaa Raha Hoon Main,

Na Jane Kaunsa Pal Maut Ki Amanat Ho,
Zindagi Ka Saath Nibhata Jaa Raha Hoon Main...

No comments:

Popular Posts