Tuesday, July 20, 2010

Kal hum nay sapna daikha hai


Kal hum nay sapna daikha hai
kal hum nay sapna daikha hai
jo apna ho nahi sakta
us shakhs ko apna daikha hai

wo shakhs kay jiski khatir
is dais phirain, us dais phirain
jogi ka bana kay bhais phirain
chahat kay niralay geet likhain
ji mohnay walay geet likhain
dharti kay mehaktay baghoon say
kaliyoon ki jholi bhar lain
umber kay sajeelay mundal say
taroon ki dooli bhar lain

haan kis kay liyay, sab us kay liyay
wo jis kay lab par teso hain
wo jis kay naina aaho hain
wo khaak bhi hai aur khushboo bhi
wo dard bhi hai aur daaro bhi
wo alhar si, wo chanchal si
wo shair si, wo pagal si
loog aap hi aap samajh jain
hum naam na uska batlain

aiy daikhnay walay tum nay bhi
us naar ki peet ki aanchoon main
us dil ka tapna daikha hai?
kal hum nay sapna daikha hai!

No comments:

Popular Posts