Tuesday, April 27, 2010

Neeyat-e-Shoq Bhar Na Jaaye Kahin

Neeyat-e-Shoq Bhar Na Jaaye Kahin
Tu Bhi Dil Se Utar Na Jaaye Kahin

Ajj Dekha Hai Tujhey Dair K Baad
Ajj Ka Din Guzar Na Jaaye Kahin

Na Mila Kar Udas Logon Se
Husn Tera Bikhar Na Jaaye Kahin

Arzoo Hai K Tu Yahan Aaye
Or Phir Umer Bhar Na Jaaye Kahin

Ji Jalata Hu Or Ye Sochta Hu
Raayegaan Ye Hunar Na Jaaye Kahin

Aao Kuch Dair Ro Hi Lein "
Phir Ye Dariya Utar Na Jaaye Kahin

Mere Liye to Harf-e-dua Ho gaya woh shaks

Mere Liye to Harf-e-dua Ho gaya woh shaks
Saare Dukhon Ki Dawa ho Gayaa woh shaks

Main Aasmaan pe tha to Zameen ki Kashish Tha woh
Utraa Zameen par to Hawa ho Gayaa woh shaks

Sab Ashq Pi Gaya Mere Andar ka Aadmi
Main Khushq ho Gaya hoon Hara Ho Gaya woh shaks

Sochun bhi Use to Takhayyul ke par Jalein
Mujh se Juda hua to khuda Ho gaya woh shaks

Yoon Bhi nahin ki Mere paas hai Mere woh Humnafas
Yeh bhi Ghalat ki Mujhse Juda ho Gayaa woh shaks

Ager kabi tum janna chaho

Ager kabi tum janna chaho
k tum mere liye kia ho
to sun lo
merii har sans main tum ho
meri har dharkan mein tum ho
meri har ahat mein tum ho
meri har chahat main tum ho
mere har lafz main tum ho
har nam tumhara nam hai
har bat tumhari bat hai
har lafz jo mere lab par hai
wo tumhara kaha hua hai
har lamhe mere zehen main tum ho
har khawab main tum ho
har nazar main tum ho
har lamhe mere khiyalon main tum ho
har yaad tumhari yaad hai
har yaadon main tumhari yaadein hain
har chehre main tumhara chehra hai
har sitare main lagta hai
tumhara kangan chamakraha hai
har khushbo tumhare
badan ki khushbo lagti hai
chand main tumhara chehra dikhta hai
meri har adat tumhari adat hai
mera ye jewan tumhara nam hai
meri zindagi tumhare nam hai
meri zindagi tumse hai
meri pehli aur akhri mohabbat tum ho

dil Ki Baatain Bata Deti Hain Aankhain

dil Ki Baatain Bata Deti Hain Aankhain
Dharkano Ko Jaga Deti Hain Aankhain

dil Pe Chalta Nahin Jadu Chehron Ka Kabhi
dil Ko To Deewana Bana Deti Hain Aankhain

woh Hum Se Baat Nahin Karti To Na Karey...........
haal Saara Un Ke Dil Ka Suna Deti Hain Aankhain

gham Sada Rehta Nahin Aadmi Ke Saath....
ashk Bana Ker Chalka Deti Hain Aankhain

aata Hai Jab Dor-e-jawani Tu Aye Yaaro.....................
sundar Sapney Zehan Main Basa Deti Hain Aankhain

mana Ke Neend Aati Hai Aankhon Hi Ke Rastey.......
magar Kabhi Kabar Neend Ura Deti Hain Aankhain

shukar Hai Khuda Ne Aata Ki Aankhon Ki Neyamat Humain
dard-o-gham Sarey Dil Ke Chupa Deti Hain Aankhain

Tum Poocho Aur Main Na Bataoon Aisay Tu Halaat Nahi

Tum Poocho Aur Main Na Bataoon Aisay Tu Halaat Nahi
Aik Zara Sa Dil Toota Hay Aur Tu Koi Baat Nahi

Kiss Ko Khaber Thee Sanwlay Badal Bin Bersay Urr Jatay Hain
Sawan Aya Lakin Apni Qismat Main Bersaat Nahi

Toot Giya Jab Dil Tu Phir Ye Saans Ka Naghma Kia Maani
Goonj Rahee Hay Kion Shehnayee Jab Koi Baraat Nahi

Ghum Ke Andheray Main Tujh Ko Apna Saathi Kion Samjhoon
Too Phir Too Hay Mera Tu Saya Bhi Mere Saath Nahi

Mana Jeewan Main Aurat Aik Baar Muhabbat Kerti Hay
Lakin Mujh Ko Ye Bata De Kia Too Aurat Zaat Nahi

Khatam Hua Mera Afsana Ab Ye Ansoo Poonch Bhi Lo
Jiss Main Koi Tara Chamkay Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi

Mere Ghumgeen Honay Per Ehbaab Hain Youn Heraan
Jesay Main Pather Hoon Meray Seenay Jazbaat Nahi

Jo kabhi teri nazar sey guzar jaya kertey hain

Jo kabhi teri nazar sey guzar jaya kertey hain
Woh sitarey aksar toot key bikhar jaya kertey hain 

Hum kisi sey muhabbatoon ka dawa to nahee kertey
Haan magar wafaoon pey hum mar jaya kertey hain 

Yah mausam e hijir bhi guzarey ga kabhi
Mausam kaey ese aas main guzar jaya kertey hain 

Muhabbatoon ki ehmiyet sey waqif nahee hai woh
kuch log bas inhi sey sanwar jaya kertey hain 

Mashroot to nahee barishoon sey selaab hi sada
Phir teri wafa sey kun hum dar jaya kertey hain 

Kuch log apney dukhoon ki numaish nahee kertey
Bas khamoshi sey ander hi bikhar jaya kerety hain 

Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahee bantey
Woh chup chap sey dil main utar jaya kartay hain

WO JISSEY CHAND KEHTAY HAIN

WO JISSEY CHAND KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON CHAHRA UNKA
WO JISSAY CHANDNI KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON SARAPA UNKA
WO JISSEY NAMOOD-E-SAHER KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON MUSKRANA UNKA
WO JISSEY SHAFAQ KI SURKHI KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON RUKHSAARON KI LALI UNKI
WO JISSEY RAAT KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON ZULFAIN UNKI‎
WO JISSEY SHAAM KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON KHUMAAR UNKA
WO JISSEY PHOOL KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON HONT UN KAY
WO JISSAY SUBHA KA DHUNDLAKA KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON NAZROON SE OJHAL HONA UNKA
WO JISSEY PEHLI KIRN KEHTAY HAIN
MAIN TO KEHTA HOON JALWA UNKA

Is Raat Ki Tanhayeeon Ke

Is Raat Ki Tanhayeeon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisey Hi
Andherey Badal Gaye Hain

Jin Ke Bharose Thi Khushiyan
Woh Baadal Thaher Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh Hi Hain
Kuch Rastey Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Ney
Woh Dost Bicher Gaye Hain
Dekhey They Jo MeMoN Ney
Woh Khuwaab Badal Gay Hain

Jo Baney The Kabhi Humsafer
Aaj Woh Hi Mukar Gaye Hain
Iss Tutey Huey Dil K Sarey
Jazbaat Badal Gaye Hain

Na Badley Kabhi Hum
Na Badley Humarey Khayalat
Bas Rona Hai Yehi AnMoL
Kuch Log Badal Gaye Hain

kisi ko raas aayain ulftin kiya

kisi ko raas aayain ulftin kiya
so hm kia aur hmari khuahish kia

hoy jatey hain bosida gham terey
nya koi sahara dhond lain kia?

hm iss mhfil main hain bhi aur nhn bhi
chaley jain tu kia? baithy rahey tu kia

na rahain tai na manzilain moian
yonn hi bay simt chal parain kia

tmhain kia sunain hm sheer apny
tmhari batain hain tm say kahain kia

nhn they kia kissi ginti main hm
hain ab bhi waisi hi mehflain kia?

Us Ko Jo Kehna Tha Wo Tu Pal Main Keh Gaya

"~*~Us Ko Jo Kehna Tha Wo Tu Pal Main Keh Gaya~*~
~*~Jo Mujhay Kehna Tha Wo Dil Main Reh Gaya~*~

~*~Phool Ka Damaan Jabhi Tu Chaak Hai~*~
~*~Ye Kisi Ka Muntaziir Hi Reh Gaya~*~

~*~Jo Lahoo Kal Tak Ragoo Main Tha Ravaan~*~
~*~Ajj Ankhoon Se Wo Sara Beh Gaya~*~

~*~Dil Kalii Se Bhi Ziada Tha Nazook ""~*~
~*~Kis Tarhaan Hijar Musalsal Seh Gaya~*~

lakh dukh uthao tum koshish kartay rayhna

lakh dukh uthao tum koshish kartay rayhna
isi tara tot k usay chahtay rayhna

wo yad na kary tumko ye uska amal hai
tum khud say zada usay yad kartay rayhna

ye jan lo k rona usko ata nahi tum pay
khayr tum aysay hi ahed nibahaty rayhna

ansoo ki tumhary ko qemat nahi hai
uski yad mayn yonhi tum ashq bahaty rayhna

kabi tarpay gi wo kabi to bayqar hogi
dastan tum usko apni yonhi sunaty rahyna

din bohot kam hayn tumari zindagi k ay dost
ager nafrat bi karay tum usko mohobat hi kartay rayhna

zindagi ik kisi mor pay pachtay gi wo bi
tum bi khuli ankhon say usay daykhtay rayhna

q dil lagaya hai moula us be parwa k sath
mar jaon ga nahi hota mujhsay jetay rayhna 

jany kia bat hai us mayn mayn kia kahon ay dost
qismat mayn hai tumharay us k liay taraptay rayhna

Teri Yaad Ney Meray Dil Ko Saja Rakha Hai

Teri Yaad Ney Meray Dil Ko Saja Rakha Hai
Teray Piyaar Main Sab Ko Bhula Rakha Hai

Kuch Acha Nahin Lagta Teri Judai Key Baad
Ek Teri Yaad Ko Sinay Sey Laga Rakha Hai

Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai

Sab Kuch Lut Gaya Hamara Terey Piyaar Main
Teri Yaad Ko Palkoon Main Chupa Rakha Hai

Muqadar Sey Miltay Hain Bichar Key Warna
Ajj Bhi Tera Naam Dil Main Saja Rakha Hai

Najanay Koi Nahin Basta Teray Siva Ankh Main
Aik Tere Tasveer Ko Dil Main Chupa Rakha Hai

BOHAT CAHA K TUJHY NA CAHOO NA SOCHOO

"BOHAT CAHA K TUJHY NA CAHOO NA SOCHOO,, MAGER,,
YE DIL MANTA HI NAHI KISI TOR SE
TU MERI ZINDAGI K HAR PEHLO MAY HAY
HAR LAHY MAI HAY HAR SANS MAY HAY
WO ALAG BAT HAY K TUM SAMJHTY HI NAHI K,
MERI ZINDAGI KA HASIL HAY FAQAT IK MUSKURAHAT TERI
JISY PATY HI MAI APNY SARY DUKH BHOOL JATI HO OR SOCHTI HO K
KAASH!
MAI TEI AANKHO KA WOKHAWB HOTI JISY DEKHTY HI
IN AANKHO MAI ROSHNI SI HOJATI HAY
KUCH NA SAHI IK MUSKURAHAT HOTI
JO LABON PE BAN K TERY KUCH DER TO REHTI
OR PHIR,,
BIKHAR JATI JAISY MAI BIKHRI HOO ,,
,,,,,TERI CAHAT MAY,,,

Hawa chali bhi nahi aur bikhar gae hum tum

Hawa chali bhi nahi aur bikhar gae hum tum
Khabar mili na kisi ko kidher gae hum tum

Wooh raat yaad hai jab jism ki fasilon se
Pukarte rahe sae guzar gae hum tum

Hamare charon taraf chor tha sadaoon ka
Magar bicharte hoi baat ker gae hum tum

Hamari tishna labi ka safar sarab mein tha
Dabo ke kashti jaan par utar gae hum tum

Hawa udas thi mausam ki pehli barish thi
Ajeeb shaam thi jab apne gher gae hum tum

Abb iss se aage andhera tha subah hone tak
Chirag jalne gae the teher gae hum tum

DIL CHURAYA HAI TU NE PAR TU HI HARJAI BHI HAI

DIL CHURAYA HAI TU NE PAR TU HI HARJAI BHI HAI
MAIN TANHA NAHI DOSTON SATH MERAY TANHAI BHI HAI
SATH HAR PAL HAI MERAY KHAYALON MAIN WO
AUR DONON K BEECH FAASLON KI JUDAI BHI HAI
RAAH TO AIK HI CHLANA THA HUM KO
MANZIL TU NE APNI ALAG BANAI BHI HAI
BADI MUSHKIL SE KHUD KO SAMBHALA THA
MANZIL PE AA K KI TU NE BEWAFAI BHI HAI
ROZ KYA KARTAY THAY HUM DHERON BAATAIN
SHAYAD HI UN BAATON MAIN KOI SUCHAI BHI HAI
PHOOLON KI WAADIYON MAIN SATH BASNA THA HUM KO
RAAH MAIN MERI KAANTON KI BAARH BICHAI BHI HAI
SUNA THA PYAR KARNAY WALAY KABHI ALAG NAHI HOTAY
JUDA HO K TU NE MOHABBAT NIBHAI BHI HAI
JO PAL ROSHAN THAY KABHI CHAND KHUSHIYON K SATH
MERI ANDHERON MAIN REHNAY KI AADAT BANAI BHI HAI
FAASLAY KAM NA HUWAY PAAS ITNAY AA KAR BHI
WAFA KAR K TU NE KI BEWAFAI NIBHAI BHI HAI
ROZ-E-AWWAL SE NA THA TUJHAY MERI CHAAHAT PE YAQEEN
KUNE KHUSHYAN MUJHAY DE KAR YE CHAAHAT BARHAI BHI HAI
KESAY MUJHAY KAREGI APNI DUNIYA SE TU DUR
DUR REH KAR JO MERI NAS NAS MAIN SAMAI BHI HAI
MERAY JAZBAAT KA YAQEEN TUJHAY AAYE NA AAYE MAGAR
ZINDA REH KAR ROZ HUM NE MOUT APNI CHUPAI BHI HAI
JATAY JATAY IS TARHA SATH CHOR GAI MERA
DILON MAIN BASNAY WALI SE BAS SHANASAI SI HAI
CHUP CHAAP SEH LETAY TERA HUM HAR SITAM
JALTAY MERAY DIL MAIN AAG TU NE LAGAI BHI HAI
jUDA HO K TUJH SAY KESAY MAIN JEE PAAOONGA
SAATH MARNAY JEENAY KI QASAMA KHAI BHI HAI
PAAS ITNAY AA KAR MUJHAY CHOD K CHAL DIYE
PYAS BUJHA K PYAS MERI BARHAI BHI HAI
HOTA THA HAR MAUSAM BAHARON KA SATH JAB HUM HOTAY THAY
USI GULSHAN MAIN AAG TU NE LAGAI BHI HAI
RO BHI NAHI SAKTAY K ZAMANA KYA KAHEGA HAMAIN
HANSTAY HANSTAY AANKHON KI NAMI CHUPAI BHI HAI
KARAY NAHI ZIKR TERI ULFAT KA DUNIYA SE
UNGLI JO UTHI TUJH PE HONI MERI RUSWAI BHI HAI
CHOT LAGTI HAI TUJHAY DARD IS DIL MAIN UTHTA HAI
NA KAR K GUNAH HUM NE TO SAZA PAI BHI HAI
IK BAAR TO MARNAY KO KAHA HOTA HUM SE
HAR IK SAANS TO TUJH PE LUTAAI HI HAI
KAASH MAIN TERI IS DUNIYA SE DUR JA SAKOON
SATH MARNAY KI QASAM TU NE TO BHULAI BHI HAI
ROZ JEETAY HAIN SOU BAAR MAR MAR K HUM
NA AAOGAY TUM PHIR BHI AANAY K TERI AAS LAGAI BHI HAI
KITNAY DIYE THAY SAPNAY MERI IN VIRAAN AANKHON KO
KHUSHIYON KA AASRA DE KAR ZINDAGI MERI TARSAI BHI HAI
JIYA JAEGA NA BIN TUMHARAY IK PAL BHI HUM SE
ZINDAGI BHAR KHUSH RENAY KI QASAM HUM SE UTHWAI BHI HAI
BICHAI RAKHI HAIN PALKAIN HAR AANAY WALAY RASTAY PE
DIL MAIN KANTAY HAIN TO KYA RAAH TO PHOOLON SE SAJAI BHI HAI
JIDHAR DEKHTAY HAIN TUM HI DIKHTAY HO HAR IK CHEHRAY MAIN
JHOOTAY AAINAY DEKHNAY KI AADAT HUM NE APNI BANAI BHI HAI
PUKARAY TUMHAIN DIL TO TERAY DIL KO KHABAR HOJAYE
YE KHABAR FARAIB HAI PAR AAS DIL NE LAGAI BHI HAI
NA THA KUCH DONON KO CHAAHAT SE BARH KAR KABHI
CHEEN LEGAI MERA CHAIN PYAR MAIN TU SODAI BHI HAI
JEENA HOGA MUJHAY IN HAQEEQATON K BAWAJOOD
NARA NAHI AASAN K SUB KUCH KHUDAI BHI HAI
HOSLA DE K JEENAY KA MUJHAY CHALAY CHOR K KUNE
SANG TERAY ZINDAGI KI AADAT BANAI BHI HAI
UJALA MERAY GIRD KAR K SITARON SA ROSHAN
CHEENI TU NE MERI YE BEENAI BHI HAI
NA KEH SAKOON SHAYAD IS NAZM K BAAD AB KOI AUR BAAT
AASAN HAI IZHAR-E-DARD AISAY PER HONAY KO KHATAM ROSHNAI BHI HAI
KYA SITAM DHAYA HAI DUNIYA WALON NE MERAY HAALAT PAR
BAN GAYE TAMSHA JIS KI KHATIR WOHI SHAAMIL-E-TAMASHI BHI HAI
YAAD AAYE KABHI JO MERI TO ROSHNIYAN JALA LENA
TANHA ANDHERON KI AADAT TO HUM NE APNI BANAI HI HAI
JO SOCH SAKO KABHI APNI KHUSHYON K LIYE TO
JAAN LENA KISI NE TERI KHATIR KHUDA SE LO LAGAI BHI HAI
KAASH MUMKIN HOTA TUJHAY BHOOL JANA HUM SE
KYA KARAIN SAATH TERA NIBHANAY KI QASAM KHAI BHI HAI
DIL SE TERI YAADON KO JAB BHI KHURCHA HAI HUM NE
JAAN LIYA HAI BHOOLENGAY TO HONI YAADON MAIN UTNI HI GEHRAAI BHI HAI
SULJHATAY THAY KABHI TUM MERAY BAALON KO APNAY HAATHON SE
KYA TAREEF KARAIN TUM NE MERI ZINDAGI-O-MOUT ULJHAI BHI HAI
YAAD AAYE KABHI JO MERI TANHAIYON MAIN TO MEHFIL MAIN CHALI JANA
YAHI HI KAFI HAI K MERI MEHFILON MAIN TANHAI BHI HAI
AYE KHUDA KUNE YE ROG DETA HAI INSAANON KO
SAKHT JISMON MAIN HASSAS EHSAS-E-DIL BANAI BHI HAI
CHOT KHA KAR HI TASKEEN MILTI HAI AB HUM KO TO
SHAFFAF SAANSON SE KYA JHANKI KABHI PARCHAEEN BHI HAI
RAGON MAIN DORTA HAI LAHU BAN K PYAR TERA
BHAR K ZEHR US MAIN MOUT AASAAN MERI BANAI BHI HAI
KARTAY NAHI GILA NA HI TUJH SE SHIKAYAT HAI
APNI APNI QISMAT APNAY APNAY HISSAY MAIN AAI BHI HAI
ROOTH JATAY THAY TUM AUR HUM MANAYA KARTAY THAY
YAADON MAIN AB TAK US YAAD KI PARCHAI BHI HAI
DAFNA K CHAL DIYE MERI LAASH KO SEHRA MAIN TO KYA
MITTI WAHAN KI TERI SAANSON KI KHUSHBOO NE MEHKAI BHI HAI
CHUPAYE RAKHTAY HAIN APNAY GHAMON KO APNI HANSI MAIN
DARD-E-DIL MAIN HANSTAY HAIN YE BARI SUCHAI BHI HAI
REHTAY THAY KABHI SATH CHAND LAMHON KO JO HUM
UNHI BAATON NE WEHSHAT MERI AUR BARHAI BHI HAI
MILTA THA CHEN HUM DONON KO IK DOOJAY KI BAANHON MAIN
SAANSON MAIN BASNAY WALAY NE SAANS MERI CHURAI BHI HAI
HAAR GAI APNI MOHABBAT PER KOI GHUM NAHI HAI MUJH KO
MERI HAAR PE FATAH TU NE JO MANAI BHI HAI
AAYEGI KYA YAAD KABHI GUZRAY LAMHON KI TUJHAY
MERI YAADON MAIN BUS TERI HI ZAAT LEHRAI BHI HAI
NA THA YAQEEN MUJH PE TO TANHA PEHLAY HI KUNE NA KAR GAYE
MOUT MUJHAY TO AB BINA MARAY AAI BHI HAI
NAHI DARTAY NA MILNAY SE AASHIQ KABHI
MAAT DUNIYA SE YE HAR AASHIQ NE PER KHAI BHI HAI
JAM GAI HAI ZINDAGI KI LO BARF KI MAANIND
TAPISH DENAY KO ISAY AAG TU NE JALAI BHI HAI
MAIN TANHA NAHI DOSTON SATH MERAY TANHAI BHI HAI

dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka

dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka
dosti raaz hai sada muskurane ka
ye koi pal bhar ki pechan nahi
dosti naam hai umar bhar sath nibhane ka

dost kabhi dosto se khafa nahi hote
mil jaye dil ko kabhi juda nahi hote
bhula dena meri kamiyon ko
kyu ke insan kabhi Khuda nahi hote

Aasman hum se naaraz hai
taarain humse dushwar hain
woh sab humse jalte hain
kyun ke chaand se bhetar dost hamare paas hain

aapse kabhi mil na paaye hum

aapse kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka darr kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hain ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabraana kaisa

ayy dil un aknhon par na ja

ayy dil
un aknhon par na ja
jin mayn wafor e ranj say
kuch der ko tere liye
aansoo agar lehra gaye
yeh chund lamhon ki chamak
jo tujh ko pagal ker gai
un jugnoon ke noor se
chamki hai kab woh zindagi
jis ke muqaddar mein rahi
subh-e-talab se teergi
kis soch mein gum sum hai
ae bekhabar nadan na ban
teri afsurdah rooh ko 
chahat ke kanton ki talab
aur us ke daman mein faqat
hum derdion ke phool hain

dost ban ban ke milay mujko mitaanay walay

dost ban ban ke milay mujko mitaanay walay
mayn nay daykha k hayn kai rang badalnay walay 

tumnay chup rehkar sitam aur bi dhaya mujhpar
tumsay achay hayn mayray hal par hasnay walay 

mayn to ikhlaq k hathon hi bika karta hon
aur hongay tayray bazar mayn biknay walay

aakhri dar pay salam e dil e muztar laylo
aphir na lotayn gay shub e hijr par ronay walay

Kon se din lagtey hain

Kon se din lagtey hain
Us se milney main usey dil main basa leney main
Us key honey main usey apna bana leney main
Bas yehi pal
Jo guzarta hai guzar jata hai
Aur yeh dil key musarrat main sanwer jata hai
Kon sey din lagtey hain
Us key janey main merey dil se chaley janey main
Kuch na kuch kehney main koi baat na batlaney main
Bas yehi pal
Jo guzarta hai guzar jata hai
Aur yeh dil hai k wehshat sey bikhar jata hai

Dosti kay aliwa bhi Kuch rishtay hain

Dosti kay aliwa bhi Kuch rishtay hain
Kuch rishtay jo hum samjhtay nahi
Kuch rishtay jo hum samjhna nahi chatay
Jin ka koi naam nahi hota
Sirf ahsas hota hai
Jin ki koi wall nahi hoti
Jin ki koi sarhad nahi hoti
Aisay rishtay jo dil kay rishtay hotay hain
Pyar kay rishtay hotay hain
Mohabbat kay rishtay hotay hain

Yaad aati hain mughay aaj bhi us ki aankhain

Yaad aati hain mughay aaj bhi us ki aankhain
kitni udaas or wiraan thin us ki aankhain

wo waqt or woh pal wahin rok loon.........
mugh say yeh keh rahi thin us ki aankhain

kis qadar tarrap thi un main or ............
mughay bhi tarrpa rahi thin us ki aankhain

sholay jaisi tarrap thi jin main ...............
ab raakh ban rahi thin us ki aankhain....

kis qadar maharat se utaar rahi thin.......
dil main ashkon ka samander us ki aankhain

bohat zabt ker rahi thin mager.............
phir bhi kitni nam thin us ki aankhain.....

rukhsat ke samay paygham - e - muhabbat
meri aankhon ko day rahi thin us ki aankhain

nahin bhool paati main woh rukhsat ke lamhay
aayna dekhon to yaad aati hain us ki aankhain

aisay hi khamoshi say chala jata woh........
na mujhay bay- chan kartin us ki aankhain

na chahtay huay bhi khuda - hafiz keh gaya
reh gain meri aankhon ain us ki aankhain

subha subha ek khuwab ki dastak par

subha subha ek khuwab ki dastak par
darwaza khola daykha
sarhad k us par say
kuch mayhman aay hayn
chehray saray sunay sunye
paoon dhoay hath dhulay
angan mayn aasan lagway
or tandor pay makye k kuch
Motay motay roth pakay
Potly masin mayhman mayray
Pichli salon ki faslon ka
gur laye thay
aankh khuli too daykha
ghar mayn koi nahin tha
hath laga kar daykha too
tandor abhi tak bujha nahi tha
or honton par mithay gur ka
zaiqa ab tak chipak raha tha
khuwab tha shayad
khuwab hi ho ga
sarhad par kal raat suna hai
chali thi goli
sarhad par kal rat suna hai
kuch khuwabon ka khon huwa hai

humesha jeet qismat mein nahi

humesha jeet qismat mein nahi.......
harna humary fitraat mein nahi.......

humesha khushy milty nahi.......
rona humary adat nahi......

mote ki bhi justojo ki, lekin milty nahi.....
jeeny ki aab tamana nahi........

mosam bhi badalta nahi.........
dard_e_wafa bhi kam hota nahi........

wo aab yaad aata bhi nahi.........
bholney ko dil chata bhi nahi........

phool aab khilty nahi........
kantoon se hum uljanty nahi.....

tanhyei humein bathy nahi......
fatraat mein apni murawat nahi........

dard_e_wafa koi khill nahi.........
har koi wafa ko samjhta nahi........

sawan ki raat aaty nahi.........
parwaney shama pe aaty nahi...

Kanptay hoontoon pe tiara naam ashk aankhoon mai liay huay


Kanptay hoontoon pe tiara naam ashk aankhoon mai liay huay
Yadoon ko dayta hoon jevan lafz khoon mai daboway huay

Fasiloon mai tairay nazer aata hai mujhay khataoon ka zeher
Zinda mai ab b hoon mager umeed-e-wafa liay huay

Pehra hai mairay wehm-o-guman pe ser-e-sham tairi aankhoon ka
Tamana ab or kia ho palkoon pe tairay khawb liay huay

Dhoop chaoon si iik khalish ik kasak dil mai liay
Tujhay dhondta hai sayal tiara ,daman-e-daghdar liay huay

Tairay tasawer mai her hudd se ghuzerta hai dil-e-barbad maira
Khoo na jaoon kuher mai kaheen tiara janoow liay huay

Tairi samat nawaqif hai shayed is samaat ki ghoonj se
Tairay der pe aata hai koi rooz mager faryad-e-mohabbat liay huay

Dard ko dil me liiye yun hi

Dard ko dil me liiye yun hi
Zindagi ko guzaarta hoga
Meri har har baat ko Lekey yun hi
Apni har har baat taraashta hoga
Thaamney ko jab bhi chahta hoga dil uska
Nahi hatho-n ko merey leken, Diwaar ko kisi Thaamta hoga
Dard jab had se guzerta hoga
Dil ko phir apney samjhata hoga
Har baar samjha kay yun hi
Khud bhi wo roperta hoga
Meray saleeqey,Meray tareeqey se Chah thi usko
Meray saleeqey,Meray tareeqey har kisi me talaashta hoga
Wo jaanta hai kay me ab nahi ayongi l0t ker kabhi
Juri hui hain Raahein ab bhi jo,Apni aur meri dekhta hoga

Mernay Ki Duaein Kiun Mangoon

Mernay Ki Duaein Kiun Mangoon
jeenay Ki Tamana Kon Karey....

Yeh Duniya Ho, Ya Wo Duniya
Ab Khuwahish Duniya Kon Karey...
.
jo Agg Lagaee Thi Tum Ne
Us ko toh Bhujaya Ashko'n Ne...

jo Ashko'n Ne Bherkaee Hay
Us Agg Ko Thanda Kon Karey....

jab Kashti Sabit-o-Salim Thi
Sahil Ki Tamana Kis Ko Thi.....

Ab Aeise Shikista Kashti Per
Sahil Ki Tamana Kon Karey...

Duniya Ne Humein Chora
Hum Chor Na Dein Kiun Duniya Ko...

Duniya Ko Samajh Ker Bethay Hein
Ab Duniya Duniya Kon Karey....

Ham ne is umer ka afsana bana rakha he

Ham koi dunya se neralye to nahi hein
Ham bi is waqt mein jete hein jahaan
Tetleyaan,khuwab hein aur phool
Shehar ham ko bi muqadar mein mila he jis mein
Darkanee gum hein aur shoor se hu ka alam
Ham bi is gar ke makeen hein k jahaan
Waqt katte buj jati he is umar ki lo
Aik bemusrif-o-gumnaan erade ki tarha
Ham bi logoon ki tarha hein k hamein
Dukh chupana bi he,hasna sare bazaar bi he
Ham pe bi ehde jawani ka azaab utra he
Ham ne bi door kesi sehar mein baste hue hanste hue
Aik shaks ko chaha he buhat
In hawaoon ko sada jana he
Jese us sehar se pegam-e-wafa lai hein
Darkanee ankh ka ansu to nahi hein lekin
Ham ne gin gin ke ganwaein hein kesi sahks ke naam
Ham nerale hi to hein
Ham ne is gam ko gam-e-jahaan bana rakha he
Umer jis mein na koi aas,na ansu,na hasi
Ham ne is umer ka afsana bana rakha he

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo

Ik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi

Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen

In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Mein ne kab chaha tha ek jugnu galana rooh mein

Mein ne kab chaha tha ek jugnu galana rooh mein
Mein ne kab chaha tha ek khuwaab sajana rooh mein

Mein to bach bach ke guzarti thi,khaar rahoon se
Mein ne kab chaha tha kante chubana rooh mein

Mein to pariyoon ke mosamoon ki hi dewani thi
Mein na kab chaha tha andhera basana rooh mein

Mein to titli ke peche bagne mein ghayal thi
Mein ne kab chaha tha rangoon ko samana rooh mein

Mein to jaarno mein wadioon mein hi ethlati thi
Mein ne kab chaha tha sehra ko jagana rooh mein

Mein to zahmoon ki taab lane se hi qasir thi
Mein ne kab chaha tha ek keel lagana rooh mein

Mein to aeisi na thi jesy k abi hoon dosto
Mein ne kab chaha tha ye hal banana rooh mein

Meri Ghazal Kisi Parda nasheen ka qissa hay

"Meri Ghazal Kisi Parda nasheen ka qissa hay
Ager Sunao to bay pardage so hoty hay

Maray Dard ki Haqeeat Maray Ansuao say Poochao
Maray Qehqahoon ki Dunya meri tarjuman nahi hay

Tary Jaty hi Chiraghoon ko Bujha dayta hoon
Mara Dil kafi hay teri Yad main Jalny kay liya

Zakhmi howay hont to ahsas ya howa
Chuma tha main nay Phool ko Dewange kay sath

Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar

Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Jab Se Mile Ho Mujhe Oh Jaane Jana
Tab Se Hai Jaana Kya Hai Dil Ka Lagana
Jab Se Mile Ho Mujhe Oh Jaane Jana
Tab Se Hai Jaana Kya Hai Dil Ka Lagana
Yeh Adayen Teri Kar Gayi Mujhe Deewana
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Jab Se Mile Ho Mujhe Oh Jaane Jana
Tab Se Hai Jaana Kya Hai Dil Ka Lagana
Yeh Adayen Teri Kar Gayi Mujhe Deewana
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Jab Se Mile Ho Mujhe Oh Jaane Jana
Tab Se Hai Jaana Kya Hai Dil Ka Lagana
Yeh Adayen Teri Kar Gayi Mujhe Deewana
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar

Mauka Dil Ne Diya Hi Nahin Pyaar Hua Kab Pata Nahin
Ban Ke Mukadar Tum Aaye Kahin Nazar Na Lag Jaaye
Jab Se Mile Ho Mujhe Oh Jaane Jana
Tab Se Hai Jaana Kya Hai Dil Ka Lagana
Yeh Adayen Teri Kar Gayi Mujhe Deewana
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Le Ja Dil Pardesi Le Ja Dil Pardesi

Chain Ho Tum Aaraam Ho Tum Is Dil Ka Armaan Ho Tum
Meri Subah Shaam Ho Tum Jaan Meri Pehchaan Ho Tum
Jab Se Mile Ho Mujhe Oh Jaane Jana
Tab Se Hai Jaana Kya Hai Dil Ka Lagana
Yeh Adayen Teri Kar Gayi Mujhe Deewana
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Jab Se Mile Ho Mujhe Oh Jaane Jana
Tab Se Hai Jaana Kya Hai Dil Ka Lagana
Yeh Nigahen Teri Kar Gayi Mujhe Deewana
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar
Dil Ne Kar Liya Aitbaar Hum Ko Ho Gaya Tum Se Pyaar

Aisi aankhen nahin dekhi, aisa kaajal nahin dekha

Aisi aankhen nahin dekhi, aisa kaajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha, aisa chehra nahin dekha



Aisi duniya nahin dekhi, aisa manzar nahin dekha
Aisa aalam nahin dekha, aisa dilbar nahin dekha 

Uske kangan ka khalakna jaise bulbul ka chahekna
Uski paazeb ki chham chham jaise barsaat ka mausam


Aisa saawan nahin dekha, aisi baarish nahin dekhi
Aisi rimjhim nahin dekhi, aisi khwaahish nahin dekhi

Jab yeh daaman ki hawa de, aag jungle mein laga de
Jab yeh saheraaon mein jaaye, ret mein phool khilaaye

Uski bebaaq si baatein jaise sardi ki ho raatein
Uff yeh tanhaai-e-masti jaise toofaan mein kashti

Meethi koyal si hai boli jaise geeton ki rangoli
Surkh gaalon pe paseena jaise phaagun ka maheena

Mein Ney Tanhai Sey Poocha K Milo Gi Kab Tak

Mein Ney Tanhai Sey Poocha K Milo Gi Kab Tak
Us Ney Becheni Sey Foran Hi Kaha Shaam K Baad



Tu Ney Dekha Hai Kabhi Ik Nazar Shaam K Baad
Kitney Chup Chap Sey Lagtey Hain Shajar Shaam K Baad



Itney Chup Chap K Rastey Bhi Rahen Gey La Ilam
Chor Jayen Gey Kissi Roz Nagar Shaam K Baad



Mein Ney Aisey Hi Gunah Teri Judai Mein Kiye
Jaisey Toofan Mein Koi Chor Dey Ghar Shaam K Baad



Shaam Sey Pehley Woh Mast Apni Urano Mein Rahey
Jinkey Hathon Mein They Tootey Huye Par Shaam K Baad



Raat Beti To Giney Abley Aur Phir Soocha!
Kon Tha Ba isey Agaz e Safar Shaam K Baad



Tu Hai Suraj Tujhey Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kissi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam K Baad

aap se gilaa aap kii qasam

aap se gilaa aap kii qasam
sochate rahe.n kar na sake ham


us kii kyaa Khataa ladavaa hai Gam
kyuu.N gilaa kare.n chaaraagar se ham


ye navaazishe.n aur ye karam
fart-w-shauq se mar na jaaye ham


khe.Nchate rahe umr bhar mujhe
el taraf Khudaa ek taraf sanam


ye agar nahii.n yaar kii galii
chalate chalate kyuu ruk gaye qadam

mujhay piyar karty ho karty raho par kabhi bhi jatany ki koshish na karna

mujhay piyar karty ho karty raho par kabhi bhi jatany ki koshish na karna
ka kushboo hoon main mujh ko mahsoos karna kabhi mujh ko pany ki koshish na karna 

ya mana bohat door ha meri manzil magar mujh ko tanha ponchana wahan hay
ghari do ghari sath chall pao chall lojanam bhar nebhany ki koshish na karna 

ya ankhain bohat door tak dakhati hain haqeqat say waqif hain bohat achi tarhan say
mujhay la kar sapnay jo buntay ho bun lomagar such bananay ki koshish na karna  

jo hans lo to kiya ha jo ro lo to kiya hayya hansna bhi fani wo rona bhi fani
ka kuch bhi nahi multa mery dil ko ya pathar galanay ki koshish na karna 

mujhi sa chura kar ka meri adaian mujhay hi satatay ho meri tarhan say
satana ha mujh ko to jee bhar sata lo magar azamanay ki koshssh na karna 

suna tha kabhi piyar kabhi marta nahi ha jo marta nahi ha to jata kahn hay
yahan hay wahan haywo such much kahan haymujahy ya batanay ki koshish na karna

appnay ahsas say chu kar mujay sandal kar do

appnay ahsas say chu kar mujay sandal kar do
main ka sadion say adhora hon mukamal kar do

na tumhain hosh rahy or na mujay hosh rahy
is kadar tot kar chaho mujay pagal ka doo

tum hatali ko mery piyar ki mehnadi say rangoo
apni ankoon main meraynaam ka kajal kar do

masla hon to negahain na churao mujh say
apni cahat say tawajo say mujay hal kar do

mujh pa cha jao kasi aag ka suat jaana
or meri zaat ko sukha hoa jangal kar doo

dhoop hi dhopp honmain tot kar barsoo mujh par
is kadar barsoo meri rooh main jal thal kar doo

tum door ho kay be meray pass rehtay hoo

tum door ho kay be meray pass rehtay hoo
meray dil mey bastay ho meray saath rehtay hoo

shab-e-tanhi ke ik ik gharee phool bantee hey
khushbu ban kay tum mera angaan mehkatay hoo

tumare yaad ke hidatt say jab jalta hey dil mera
tab tum payar ka sawan ban ky baras jatay hoo

jab be kabi woh surmaee ankhyn uthtee haan
mera dil machalta hey aur tum sansay ban jatay hoo

shab-e-hijraan may chamaktay meh-o-anjum
sab mandd pertay haan janaa jab tum samnay atay hoo

tumaray sard rawaye pey haan jalta hey jee mera
kiun khud be tarapty ho aur mujko be tarpatay hoo

khushboo ha ka jhonka ha ka saya ha ka tum ho

khushboo ha ka jhonka ha ka saya ha ka tum ho
palkoon pay koi khawab sajaya ha ka tum ho

tanhai ka tapty hoy sahraa ko kasi na
chupkay say kasi na samandur main utara ha ka tum ho

aik dard ka barta hoa daria ha ka main hoon
thari hoi aik chasham tamasha ha ka tum ho

is shor qitamat main kahan tumhain pukarain
main hon ka koi tujh sa hay,tum sa hay ya tum ho

darya ha ka qatra ha ka tinka ha ka main hoon
hallat ka bahta hoa dhara ha ka tum ho

girti hoi diyar ka siya ha ka main hoon
taqdeer kibanhoo ka saya ha ka tum ho

aajao ka jagi hoi ankhain bhi ya sochain
hum na tumhain khawboon main bulaya ha ka tum ho

bhool nahi pata wo khaab mohabbat ka

bhool nahi pata
wo khaab mohabbat ka
dil bhool nahi pata
kya baidh anookha hai
jab soochnay baidho tu
kooch yaad nahi aata
ik pal k liyee phir bhi
wo khaab mohabbat ka
dil bhool nahi pata
bechain jo guzri hain
raatain tu bahut se thi
karney k liyee uss se
baatain tu bahut see thi
woo saamnay aaya tu
sab bhool gayee mujh se
soocha hai bahut
laikin yaad nahi aata
dil bhool nahi pata.

Un ko bhi hum say waisi hi mohabbat ho zaroori to naheen

Un ko bhi hum say waisi hi mohabbat ho zaroori to naheen
Aik si donoon ki halat ho zaroori to naheen

Dil ki chahat to kai khawab jaga daiti hay
Haan magar sath main qismat bhi ho zaroori to naheen

Meri tanhayan karti hain jinhain yaad sada
Un ko bhi meri zaroorat ho zaroori to naheen

Muskaranay say bhi hota hay bayan qham-e-dil
Mujh to ronay ki bhi aadat ho zaroori to naheen.

Najaney Kyun Dil Laga Letey Hain Laug

Najaney Kyun Dil Laga Letey Hain Laug
Khud ko yuun hi saza detey hain laug ..

Jab koi pass ho to kadar nahin kartey
Door koi chala jaey to sada detey hain laug..

Jabb mill jaey safar main naya hum-safar koi
Per kiun purani rafaqat ko bhula detey hain laug

Gham bhi detey hain or kehtey hain bhool jao
Humari chahat ka yeh sila detey hain log ..

Kiyoo unko apne husn pe itna naaz hai aaj

Kiyoo unko apne husn pe itna naaz hai aaj
yeh husn to waise bhi hai waqt ka muhtaaj
yeh kal tha jis k paas
us k paas nahi hai aaj
yeh husn hi to hai jo karta hai barbaad
jab sab chala jata hai to un ko aati hai yaad
k kar lete kuch agar hum kal
to sanwar jaata hamara aaj
lekin phir bhi yeh karte hain ghuroor is qadar
ghalti se dekh le agar koi to akar ker hata lete hain nazar

---------------

ik ajeeb sii khwahish thi

ik ajeeb sii khwahish thi

uss masum si larkki kii
sare naaz uthane kii
bheegi bheegi ankhoonn kii
sari nammi churanne kii

ik ajeeb sii ik khwashish thii

uss kee nazuuk hoontoon pee
appne mazboot hathoon see
mehanddi ke peele rangoon see
muhabaat ka name likhnne kii

ik ajeeb sii khawahish thii

uss ki chooti chooti baat pe
mastanni si chaal pe
laal gulabbi gaall pee
appna app lutanne kii

ik ajeeb sii khawahish thi

uss ki mout ki khabaar pee
uss ki mehkaktti qabaar pee
qudraat ke iss qehaar pee
khuda see larr kee anne ki

ik ajeeb sii khawahish thi

uss ki dewanni halaat pee
uss ke piyaar ki taqaat pee
ahmer ki zaara kehlane pee
uss ki pujja karnne kii

ikk ajeeb sii khwahish thi

uss nazuk sii larkki ki ikk hi khwahish thi

Apni Hasti K Tuhjay Yaad Kartay Rahay

Apni Hasti K Tuhjay Yaad Kartay Rahay
Har Roz Jitay Har Roz Martay Rahay

Is Tarah Jalay K Aag Be Na Jala Pai
Zindha Be Rahay Or Saab Roz Jaltay Rahay

Bat Zuban Hain Kuch Keh Be Nahi Sahktay
Apany Kiyay Pay Hain Nadam Hath He Maltay Rahay

Dil Ke Aag Tun Badun Jal Gai
Zakham Taza Hotay Rahay Or Pehltay Rahay

Chot Aisee Khai K Koi Tasvar Be Na Kar Paay
Khamosh Mar Jainay Gay Magr Kuch Na Kahay Gay K Kaisay Jitay Rahay

Dil Ke Har Dharkan Hai Tere Naam Say Mansoob
Tere Kiyal May He Sotay Tere Kiyal May He Jagtay Rahay

Tum kya ho mairay liay yeh bataa nahi sakti main

Tum kya ho mairay liay yeh bataa nahi sakti main
likhay alfaaz in kaghaz kay tukroon par parh sako to parh laina
mairi aankhoon ki kitaab par mairi har dharkan pukarti hay sirf tumahra hi naam
sun sako to sun laina mairay dil ki baitaab
dharkanoon ko taire paas aane say mehak uthti hay
mairi khoi hoi arzoo mehsoos kar sako to kar laina
mairi saanso ki kushboo main.

Woh paylee barish ka payla qatra

Woh paylee barish ka payla qatra


Yaad karoo jab hum par barsa

Dil ka mosam kitna badla

Dil ka aanghan kitna maykha

pir kabi aysa sawan nai aya



pir mujh sain apni batain karkay

apnay dil ke faryad sona kar

Achanak tum aysay ghabrai

Shayad barish main tayze aai

ya dil main aik tofan sa ota

anjanay main mayray haat ko
pakra

na janay ke qasam kahi

pir kabi aysa sawan nai aaya



ab tow barish tam ghai hain

apni apni rah ko chalay

ab shayad kabe na milay

doop ke chamktee kirnoo main

aankoo kay aansoo mote ban kar

belak belak kar aysay barsay

jaysay parwanay shamma ko tarsay

pir kabi aysa sawan nai aaya



Shayad khoshiya roth gai hum sain

pir kabi aysa sawan nai aaya

na kabi woh barish ka qatra barsa

pir kabi dil ka mosam na badla

Tayre yaad main ab kabi kabi

Aankoo sain hote hain barish

pir kabi aaya sawan nai aaya

MUJHAY DUKH APNAY BAY RIDA HONAY KA NAHI

MUJHAY DUKH

APNAY BAY RIDA HONAY

KA NAHI

MALAAL TU SIRFR

IS KS HAI KAH

LAFZOON KE MAQRAAZ SAY

MERI OURANI

TAAT TAAT KARNG WALAY HATH

JIS BAY RAHAM KAY HAIN

US KA TAULAQ

MERI HE SANAF SAY HAI

Duub jaaye.nge sitaare aur bikhar jaayegii raat

Duub jaaye.nge sitaare aur bikhar jaayegii raat
dekhatii rah jaaye.ngii aa.Nkh.en guzar jaayegii raat

raat kaa pahalaa pahar hai ahal-e-dil Khaamosh hai
subah tak rotii hu_ii aa.Nkho.n se bhar jaayegii raat

aarazuu kii behisii kaa gar yahii aalam rahaa
betalab aayegaa din aur beKhabar jaayegii raat

shaam hii se so gaye hai.n log aa.Nkhe.n muu.Nd kar
kis kaa daravaazaa khulegaa kis ke ghar jaayegii raat

Ek Tera Ehsaas Hai Jo Har Waqt Mere Sath Hai

"Ek Tera Ehsaas Hai Jo Har Waqt Mere Sath Hai Ek Teri Yaad Hai Jo Din Raat Mujhe Tarpaati Hai Ek Umeed Hai Tere Aane Ki Apna Tujhe Banane Ki Na Chain Hai Na Sukoon Hai Ye Kaisa Mera Haal Hai.............. Ratain Hogai Hai Itni Lambi Jo Kaate Nahi Katteen Na Bhook Hai Na Pyaas Hai Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai Bas Ek Tera Ehsaas Hai Jo Har Waqt Mere Sath Hai

aaj mein un rastoo se guzra

aaj mein un rastoo se guzra 
jin rahoo per too saath rahty thi
ban kar mere hamsafar chulyt thi
aaj mein un rahoo say
tum bin guzry to dil say ek aah ubhry
aankhoo sy toot pary aansoo ke lari
tere yaad mujh ko har jhagh aaty rahen
mera dil dukhty rahein too in rastoo per mery saath khari thi
tere bateen yaad mujh ko aany lagi mujh ko bohat rolani lagi
Kya ek baar bhi meri yaad na aayi.

Us Larki Ke Naam

Us Larki Ke Naam..

Zindagi ki khawahish main,
Ek benaam se manzil per,
Chalti hoye ye Larkiyaan,
Kya jaaney,
Ye raasta unheen kahan tak le jaaye ga,
Waqt ka pahiyaa jab achanak be reham ho jaaye ga,
Wafa ka waada kerne waala bewafa kehlaaye ga,
Chahat ke dawa kerne wala, tum ko doshi therayega,
Tab khulay gi ek haqeeqat,
Ye duniya mardoo ki hai,
Raaj chalta hai chaar soo inka,
Qoom hamaari hai bebuss,
Dekho tu larki, ghoor karo,
Tum hi kyon majboor bano,
Zalimoo ke zulm saho,
Kyon tum ne banaya khud ko bequss,
Lachaar, majboor aur bebuss,
Kyon ansoo hain taqdeer tumhari,
Kyon khushiyaan tum se rooth gaye hain,
Kyon Aurat hi hai wafa ki devi,
Kyon iske zimmay hi qurbani,
SHAYAD...
Barsoon se aisa hi hota aya hai,
Sadiyoon tak aisa hi hota jaaye ga,
Ek na ek din her jhoota bharam toot hi jaaye ga,
Haath pakar ker chalne wala jab dhoka de jaaye ga,
Ye raasta sirf aur sirf MAUT tak le jaaye ga,
Phir tum soocho gi, ghabraow gi,
Roo lo gi, pachtaaow gi,
SUNO LARKI,
Gaar tum bachna chahti ho,zinda rehna chahti ho,
Apnay qadam wapis le lo,
Ab bhi waqt hai lautt aaow,
Laut aaow tum lautt aaow...

Jatey jatey wo mujay achi nishani dai gaya

Jatey jatey wo mujay achi nishani dai gaya
Umer bhar duhraoon ga aisi nishani dai gaya

Us sai mein kuch paa sukoon, aisi kahan umeed thee
Ghum bhi wo shyed, barye maharbani dai gay

Sub hawaein lai gaya mere samandar ki koi
aur muj ko aik kartey badbani dai gay

Khair mein pyasa raha, per us nay itna tou kia
Meri palkoon ki kataroon ko wo pani dai gaya

shabnam bhi sholoon ki anch per jeethi hai

shabnam bhi sholoon ki anch per jeethi hai
ansoon bhi barsaath hi pi thi hai
insaan bhi muqadar ka nazara hai
Gham kay bina zindagi begana hai
waqt ka ehsaas sirf wo karay jo jiyai
dukh mein tamana bhi khwahish liyai
dost, yeh zindagi ka naam hai ek raaz
yo gham mein, khusboo bhi na banay humraaz.

is pyar se keh do mera dil na jalaey

"is pyar se keh do mera dil na jalaey
wo jo nazro se dor he khayalo me b na aye

khushio k dor gaey ab gamo k zamaney aye
aisa kabi hua he jo khab dekho wo tabeer ban jaey

dekhta hu aasma par kitney badal hey chaey
aur sab mil kar ku teri tasveer bananey

mujey gulistan k har phol se teri khushbo ku aye
shayed ye shahid k janon he jo har taraf tu hi nazr aye

Woh kehti hai k kiya Ab Bhi kissi kay

Woh kehti hai k kiya Ab Bhi kissi kay
Liye laal Hari choriyan kharedtay Ho
Main Kehta Hon Ab kisi ki kalai pe
Yeh Rang Acha nahi Lagta

Woh kehti hia k kia Ab Bhi kisi k
Anchal ko Aakash likhte Ho
Main kehta Hon Ab kisi kay Aanchal
Main itni Wosaat kahan hia

Woh kehti hia k kia mere baad kisi
larki se muhabbat howi hia tumhain
Main kehta hon Muhabbat sirf
larki Per Mushtamil Nahi hoti

Woh kehti hia k janan!
lehjay Main Bohat udasiyat si hia
Main kehta Hon k Titliyon ne Bhi
Mare Dukh ko mehsoos kiya hia

Woh kehti hia k kia Ab Bhi Mujhe
Bewafa k naam say Yaad karte Ho
Main kehta Hon k Mare Nisaab
Main Yeh lafz shamil He nahi

Woh kehti hia k kabhi Mare
zikar per ro0 Bhi late Ho Gay
Main kehta Hon k mari Ankhon
ko Har waqt ki phowar Achi lagti hia

Woh kehti hia k tumhari baaton
main itni gehrai Kyun hai
main kehta hon k teri judaYi k Baad
Mujh ko yeh aizaaz mila hai

tujhay ishq ho khuda keray

tujhay ishq ho khuda keray
tujhay us say koye juda keray 

teray hont hansana bhool jayee
teri aank pur nam reha keray 

tu us ke batay kia keray
to us ke batay suna keray 

usay dekh ker to ruk paray
woh nazar jhuka ker mila keray 

tujhay dosti bhe na raas ho
to tanha tanha phira keray 

tujhay hijr ke woh jhari lagay
to milan ke her pal dua keray 

terah khawab bikhray toot ker
to kirchi kirchi chuna keray 

to gali gali phira keray
to nagar nagar sada keray 

tujhay ishq per phir yaqeen ho
usay tasbeehoo per parha keray 

phir may kehann ishq dhoong hay
to nahi nahi kia keray

Mil lo eh sanam tum say milna chahta hoon

Mil lo eh sanam tum say milna chahta hoon
Tum say bichar ker na jinaa chahta hoon

Raat ke andeiray mein chaand nazar nahin atta
Chaandni teri roshni mein dekhna chahta hoon

Sunaa hai sakoon nahin meri tarha tujhey bi
Mar ker bi tujhey na khona chahta hoon

Terey bin zindagi karvii lagti hai mujhey
Apni zindagi mein tujhey dekhna chahta hoon

Hazaroon gham lag jayain gay terey bicharnay say
Wo din kabhi na dekhna chahta hoon

Dil likhey to kya likhey

"Dil likhey to kya likhey,
Kalam pe bas humara nahein,
Hothon pe gumnaam see haseen hai,
"tanha" ko jeene ka sahara nahin.
Jisse dil mein chhupa rakha hai,
Woh dildaar bhi humara nahin,
Kaise samjhoge humari beqarari.
Yeh haal joh tumhara nahin,
Chand ghari "tanha" jeele khushi se,
Taqdeer ko yeh khayaal bhi ganwara nahin!

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

"Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker


Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah

Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker


Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash

So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker


Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah

Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker


Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak

Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker


Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay

Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker


Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel

Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker


Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Zindagi ka ye safar aaj humne jana hai

Zindagi ka ye safar aaj humne jana hai
Manzil-kada e dil ka ye ik fasana hai

Dekhe na ik nazar wo mere khasta jigar ko
Waakif jo tha mera ya khuda kyun begana hai

Ishq hai kahan teri duniya me ai khuda
Tez e jafa se gard hua ye zamaana hai

Kya hum bhi na samjhenge ishare sugar ke
Ye nam e dildaar kya ye ik bahana hai

Phirte hain subh o shaam unke intezaar me
Qaasid na hum se pooch tera kya thikana hai

Kehne ko ab raha nahi kuch ai dil e muztar
Ummeed e wafa hai kya bala humne jana hai

Yun josh e ashq se na hila hum ko ai ‘faysal
Ya rab khayaal e yaar me ye dil deewana hai

Aisa kyun hota hai zindagi mein

Aisa kyun hota hai zindagi mein...
Do dil jab ek ho jatey hain...
Mil kar bhi nahi mil patey hain...
Ki pahunchtey nahi woh manzil pe,
Kyun hota hai aisa pyar mein...
Ki kashti pahunchi nahi Sahil pe,
Dil akeyla hain kyun Mehfil mein....
Janey kisey dhundtey hain yahan pe.

Sawal to bahut hai iss dil-e-nadaan mein,
Kyun khamosh hai khuda jaan kar...
Ki Sab Jee rahey hai jawab ki umeed mein.

main aksar khud se ye kehta hoon

main aksar khud se ye kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta
magar

kabhi jo bethey bethey kho jaata hoon
kabhi jo hanstay hanstay ro jaata hoon
to poochte hain sub hi yaar meray
main kiyun aisa ho jaata hoon
to un se main ye hi kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta

main ab rehta hoon logo se kat kar
bhool jaata hoon apni cheezain rakh kar
neend aati nahi hai raaton ko mujhe
khuwad dekhta hoon khuli aankhon se aksar
magar main phir bhi kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta

kabhi raaton ko nikal jaata hoon besabab
raston ka pata aur na manzil hai koi ab
bus yun hi chala ja raha hoon anjan raston par
jaanay ye safar ho ga khatam kab
phir bhi main yehi kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta

agar kabhi milo gi zindagi ke kisi mor par
nahi poochon ga ke kiyun gaee thi mujhe chor kar
agar tum ne kuch poocha guzray dino ke baray main
to main bhi chala jaon ga tumhara dil tor kar
aur bas itna hi tum se kahon ga
main tum ko yaad nahi karta

WOH BOLI DIL KO KOI BAY YAKEENI HAY MOHABBAT MAIN

WOH BOLI DIL KO KOI BAY YAKEENI HAY MOHABBAT MAIN
MAIN BOLA THEK HAY PAR ISHQ TUO IMAN HOTA HAY
WOH BOLI KHUWAISHAIN DIL KAY ANDAR BAIN KARTI HIAN
MAIN BOLA THEK HAY MUJH KO SUNAI DAITI REHTI HAY
WOH BOLI ARZOAON MAIN DARD KAY REHNAY KI KHUWAISH KYUN
MAIN BOLA DARD KAY MARAY HUAY KO CHAIN MILTA
WOH BOLI SHAM HOTAY HI UDASI PHAIL JATI HAY
MAIN BOLA RAT BHI TOU ANSOAON SYA PYAR KARTI HAY
MOHABBAT CHUP NAHI REHTI KISI BHI PAL KAHA US NAY
KAHA MAINAY MOHABBAT BIN TOU KAINAT ADHORI HAY

Rait par ghar jo banaaye hum ne

Rait par ghar jo banaaye humne
Hawaa ke zulm aazmaye humne

Kitni dafaa yoon hi muskuraaye.
Kitne ghum yoon chhupaye humne

Paigaam-e-khushi aaye hamare naam
Gairoo ke patey bataye humne..!!

Jab maut ki aahat sunaaye di
To aas ke panchhi uraaye humne

Na puuchh hamey bhi khabar nahin
Ke kyon tere khat jalaye humne..?

Kya bataaye tumhari chahat mein
Kitne hain zakham khaaye humne..?

Aik katra nazar aayega samandar
Itne hain aansu bahaaye humne.

Kaanton pe humne haath rakh diya
Daaman pholoon se bachaye humne

Bas suljhaane ki kash-ma-kash mein
Maslaey aur bhi uljhaaye humne

Jab bhi udaas hota hoon
tab-tab kalam hain utthaaye humne !

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay

Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay
To Shayed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay

Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein
Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay

Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota
Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay

Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayed
Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay

Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati
Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay

Bohat Dundlaa Geya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada
Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay

Kisi khamosh lamhe mein

"Kisi khamosh lamhe mein
kisi rangeen mefil main
tumharey pass main bethoon
tham ker hath yeh keh doon
"Mujhe tum se mohabbat hai"
To tum yeh mat samaj layna,
key mein nay such kaha ho ga
Kay assi dil nasheen batoon ko,
aesy jhoom ker dil ruba payraiy mein kehna
mujhe bachpan se atta hai....
pari peker koi jub mery samney ajata hai.
Meri aankhein, mera chehra, mera bay sakhta lehja
sub kuch jooth kehta hai.
Magar iss jooth mein bhi ek such hai
Aur woh yeh!
"Mujhe tum se mohabbat hai

kaise khushboo ki tarha log bikhar jaate hain

khushi ka kiya hia bharosa kahan bichar jae
rah-e-hayat mein gham ko bhi hum safar rakhna

un se bichre hain to mehsoos huwa hai "FIDA"
kaise khushboo ki tarah log bikhar jaate hain

hum se hamare chahne wale bichar gae
abb un ki qurbaton ke zamane guzar gae

bichar ke mughe tu ne yeh bhi socha hai
adhora chand bhi kitna udass rehta hai

hum se rah-e-hayat mein bichra jo aik shakhas
ankhen bhi us ke saath hi jaise bichar gain

tughe se kiya bichre ke ankhen raiza raiza ho gain
aaine toote to chehra aur dhundla dhundla ho gaya

bichar gae hain kahan hum safar khuda jane
nakoosh pa bhi nahi jurs karwan bhi nahi

phir us ki yaad mein dil be-qarar hai "faysal"
bicher ke jis pe hoi shaher shaher ruswai

Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar

Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein
Tum na sun sukay sada jo mere dil sai aa rahi thee
mein magar pukarata raha tumhein

Zindagi ki rah mein chura kar haath tum agar
chalay gaye tou chout kyon lagay mujay
Rooshni tumharay bhaag mein lakhi howi hai
aur mere bhag mein diye bujay bujay

Aab yeh soochta hoon dil kay aaiynay mein
Kis liye mein raat utarata raha tumhein
Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein

Kia mera naseeb hai keh zindagi ki rah mein
Na tum milay, na ghar milay na raasta
Aik tumhari justajoo mein bun keh rah gaye
yeh zindagi kisi shikasta dil ki baduwaa

Tum ko jeetnay kay daao dhoondta raha magar
qadam qadam per haarta raha tumhein
Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein

Is qadar milay hein ghum keh aab kisi bhi baat pe
Na dil duhkay na dard ka pata chalay
Laakh kooshishein karo gay phir bhi kum na ho sukaein gay
Do diloon mein ho gaye gaye jo faaslay

Jaanta tha khawab hai toot jaye ga kisi gharri
Magar sanwarata raha tumhein
Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein

Jahan mein aisa kaun hai, keh jisko gham mila nahi

Jahan mein aisa kaun hai, keh jisko gham mila nahi
Dukh aur sukh ke raaste baney hain sab ke waaste
Jo gham se haar jao ge tau kis tarah nibhaao ge
Khushi mile hamein keh gham jo hoga baant lein ge hum
Mujhe tum aazmaao tau zara nazar milaao tau
Yeh do jism sahi magar, dilon mein faasla nahi
Tumhaare pyar ki kasam, tumhaara gham hai mera gham
Na yun bujhe bujhe raho jo dil ki baat hai kaho
Jo mujh se bhi chupaao ge tau phir kise bataao ge
Main koi ghair tau nahi, dilaon kis tarah yaqeen
Keh tum se main juda nahi hoon, mujh se tum juda nahi

methi methi batian wo dilfareeb batian

methi methi batian wo dilfareeb batian
main sunti rahoon gi woh sunati rahay gi
kabhi baat baat pai naseehat
kabhi baat baat pai shafqat
main na aj tak samagh saki
us ki har baat ki khaslat
kabhi mugh say us ka pochna
kabhi mera us say pochna
baray dinoon ki baat hai
tum aik dilfareeb kitab hoo
tumharay har warq per dosti ki hai nazm
tumharay har lafz main
muhabbat ki hai kiran
tum mano na mano
tum aik haseen gulab hoo
tumhari har kali main
khusboon ki hai mehak
tumhari har pankhari main
rangoon ki hai damak
tum chan ki manind ho
tum aik jabeen mahtaab hoo
tum har raat ki roshni
tum har raat ki chandni
tum sat rangay pholoon ki
aik haseen bahar hoo
tum samandar kay gohar-e-sadaf
ki aik chamak hoo
tum jo bhi hoo jaisi bhi hoo
tum aik haseen gulab
tum aik jabeen mahtaab hoo
tum dilfareeb kitab hoo*

meri tarap se tarap kar ye aasma roya

meri tarap se tarap kar ye aasma roya
lahoo bahaya sitaroon ne aur samaa roya

mujhey har aarzu se waqat ne nashaad kar dala
bhaaroon ne mera gulahsan younheen barbaad kar dala 

khazaan bhi ro parhdi ujrdha hua dekha mera aangan
mere dukh main meri halat pe sara ye jahaan roya

har ik majboor hai meri tarha aatish bhi kismat bhi
mujhey yazdaa ne sab kuch de dia hasrat bhi himmat bhi 

giri jab barq mere aashiyaan per main nahi roya
jala ke mere ghar ko jaate jaate ye dhuaan roya

mere aansu bahey rukhsaar se to dard ke maare
meri takdeer ka kaatib bhi gham se be pana roya

Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi

Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai
Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain
Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai

Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai
Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai
Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain
Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai

Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil
Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai
Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay
Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se
Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai
Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai

Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand
Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai
Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay
Phir bhi is ko chahna acha lagta hai

Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi
Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai
Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain
Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai

Hum nay kuch Is tarhan Muhabat Ki hai

"Hum nay kuch Is tarhan Muhabat Ki hai 
k Muhabat main Tumhari parstish Ki hai .....    

Tumharay bageer Zindagi ka Koi tasaver nahin
Main Nay kuch is tarahan Se Tumhari tamana Ki hai .....  

Hamaray darmiyan Hail rahain Sadiyon Ki Khamoshiyan
 Main nay Tum Se Kuch is tarahan Guftugu Ki hai.....  

meray Dil main bas Jao Tum Ruh O Muhabat ban k
 Main Nay Dil Ki geherai Se ye Ilteja Ki hai.....  

Tumharay Milnay Se pehelay main Khud Se naashna
 Tha Samjah Hai Piyar Ko jab Se Muhabat ki hai........  

meri Zindagi Ki Khushiyan Tum Se Hi Hain Wabasta 
Main Nay tab Se Tumhain panay Ki Dua Ki hai.......  

jeetay jeetay maar dia hai tum nay mujhay
 tum nay muj per kuch is taran zulm kia hai  

Main Tumhain Cheen Lon ga Duniya Ki rasmon Se 
Main Nay Tumharay Liye Zamanay Se Bagawat Ki hai

jis ki justojo thi jis ki arzo thi

jis ki justojo thi
jis ki arzo thi
wo to hai
jis say mukhatib hon
jis k liay katib hon
wo to hai
to dil ki dharkan
to baess e nasheman
bus to hai
jisdko dhondta raha
har sheher har gali
wo to hai
to hi gul to hi bul bul
too ho ghuncha to hi kali
ay mayray dost
to bad e subha
to hi khushboo hai
ye to hai
asman say jo utri ho mayray liay wo roh hai
mukhtasar mayn kia kahon
tayra hon mayn kamal
mayra dost to hi hai

ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa

us ne kahaa sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hai.n
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aa.Nkho.n me.n Duubo
jis dil me.n bhii utaro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau
itanii tez aur itanii uu.Nchii ho jaaye
jab dil rode
tab lauT aanaa

NA JANEY HO GAYA MAIN ISS QADAR HASSASS KAB SEY

NA JANEY HO GAYA MAIN ISS QADAR HASSASS KAB SEY

KISI SEY BHAAT KARTA HOON TU ANKHAIN BHEEG JATEY HAI

WO SAB GUZREY HOWEY LUMHAT MUJH KO YAAD ATEY HAI

TUMHAREY KHAT JO PARTA HOON TU ANKHAIN BHEEG JATEY HAI

MAIN SARA DIN BUHAT MASROOF REHTA HOON MUGHAR JO HI

QADAM CHOKAT PE RAKTA HOON TU ANKHAIN BHEEG JATEY HAI

HAR AIK MUFLISS K MATEY PER ALAM KI DASTANEY HAI

KOI CHEHRA BHI PARTA HOON TU ANKHAIN BHEEG JATEY HAI

Bikhri Zindagi ko sajain jo tum aao

Bikhri Zindagi ko sajain jo tum aao  
rothi khusyun ko manain jo tum aao    

suhanay mousam ka koi raag chairain  
geet mohabbat ka gungunain jo tum aao   

mil gaya chah thee sada jis k 
 dil ko zara batain jo tum aao   

mousam-e-hijr ko bhool kay 
hamisha chahat ka ghar basain jo tum aao  

choti choti batoon pay rotho jo kabh 
i zara hum bhee manain jo tum aao   

hey khwahish in banjar aankhoon ko 
sapna koi dikhain jo tum aao   

dil kehta hai koi apna ho 
uskay phir naaz uthain jo tum aao   

arsa hoa hanstay nahi daikha faysal  ko 
khul kay zara muskarain jo tum aao

Na tuje chor sakte hein tere ho bi nahi sakte

Na tuje chor sakte hein tere ho bi nahi sakte
Ye kesi bebasi he aaj ham ro bi nahi skate

Ye kesa dard he pal pal hamein tarpaye rakhta he
Tumari yaad ati he to phir so bi nahi sakte

Chupa sakte hein aur na ham dekha sakte hein logoon ko
Kuch aise daag hein dil par jo ham dho bi nahi sakte

Kaha tha choor dein ge ye nagar phir ruk gaye lekin
Tumein pa to nahi sakte magar kho bi nahi sakte

Hamara aik hona bi mumkin nahi raha ab to
Giyeen kese k tum se door ab ho bi nahi sakte

Waffa ki talash mein nikalney say pehlay

Waffa ki talash mein nikalney say pehlay
Dil mein eik duniya abad ki thi

Zindagi nay eik din khamoshi say
Kahien dour challey janney ki baat kit hi

Mein nay raat kay khawaabnak lamhaat mein
Tere khushi kay liye kabhi dua ki thi

Raatoun aur dinoun mein eik umeed kay saath
Kabhi teray lout aaney ki tammana ki thi

Chahatoun ki gehriyoun mein doub kar bhi
Tu nay bichar janney ki kabhi arzoo ki thi

Her dam routey hovey lamhoun mein bhi
Kissey simmat khushi ki talash ki thi

Char so phealay hovey andheeroun mein
Tum nay kabhi ujaaley ki khawaish ki thi

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa


Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Jo chaho agar to tum aisa karo

Jo chaho agar to tum aisa karo!
Jo chaho agar to tum aisa karo!

Ahsaas kay saray rishtay tor do
Piyaar kay saray bandhan khol do

Dil say apnay bhula do mujhay
Aur phir kabhi na yaad aaoo mujhay

Dua hai meri khuda say kay!
Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay

Aakash kay sitaro ko choo lo tum
Khushiyan har dam tumhari raha takay

Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum
Kaash kay aisa ho jaye!

YaDoon Ka Ek Jhoonka Aaya Hum Say Milne Barsoon BaaD

YaDoon Ka Ek Jhoonka Aaya Hum Say Milne Barsoon BaaD
Pehlay Itna Royay Nahin Thay Jitna Royay Barsoon BaaD

Lamha Lamha Ghar Ujra Hai Mushkil Say Ehsaas Howa
Pather Aaye Barsoon Pehle Sheeshay Tootay Barsoon BaaD

Aaj Humari Khaak Pay Dunya Ronay Dhonay Bethi Hia
Phool Howe Hain Kitnay Sastay Janay Kitnay Barsoon BaaD

Bhool Bhi Jao Kis Ne Toora Kaise Toora Aur Kyon Toora
Dhondh Rahay Ho Galiyon Main Kya Dil K Tukray Barsoon BaaD

Dastak Ki Umeed Laga Ker Kab Tak Yoon Hi Jeetay Hum
Kal Ka Wada Kernay Walay Milnay Aayay Barsoon BaaD

Chaloo Aab Faisla Karlo

Chaloo Aab Faisla Karlo ...

k jo apni mohabat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to yeh jana
mohabat yon nahe hoti
jo mai nai khuwab dekhay thay
ab in ki kirchiyan hi hain
or zakhmi paon hain meray
tumhara hum qadam rehna
mujhy mumkin nahe lagta
tumharay or meray darmiyan
koi dewar hai shayd
YEH hargiz gir nahe sakti
tumhain woh log pyary hain
jo mujhy ko zahar latgy hain
mujhy tum ab bhi pyaray ho
mager ab moor aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata ho ga
mukhaluf simt chlnay say
kabhi manzil nahe milti
to phir kiyon waqt khootay ho
chaloo ab faisla karlo .....

Ager kah do to Ye bhujti shamein aur deep

Ager kah do to…
Ye bhujti shamein aur deep
Phir se jagmgain ge
Andheron ke saye
Roshni main gum ho jaien ge
Ager kah do to…
Ye kalyain , ye baharein muskraien gi
Tumhare pyar ki khushbu hwaun main bsaien gi
Mohabbat main hamein sawan ke jhoole jhoolaien gi
To phir in badlon ke sang hmain is paar aana hia
Jahan tum aur tumhari chahton ka khazana hai
Mujhay maloom hai tum ko jahan per laut jana hia!
Ager kah do to…
Main in faaslon , in dooriyun ko paat dun
To phir ye dooriyon majburiyon
Ki zanjeerien taud ker tumhian
Apne paas bulaon gi
Ager kah do to…

Tujhse koi gilaa nahi mujhko

Tujhse koi gilaa nahi mujhko
Mein tujhe bewafa nahi kahta
Tera milna khayal-o-khwaab hua
Phir bhi na aashna nahi kahta
Wo jo kahtay thay mujhko deewana
Mein unay bhi bura nahi kahta
Warna ik benawa mohabbat mein
Dil kay lutnay pe kya nahi kahta
Mein to mushkil se aa bharta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Ashk palkoon mein aa nahi saktay

Ashk palkoon mein aa nahi saktay
Dil mein hai teri aabroo ab bhi
Tujhse roshan hai kainaat meri
Tere jalway hain chaarsoo ab bhi
Apne gham khaana takayyul mein
Tujhse hoti hai guftugoo ab bhi
Tujhko veeran-e-tassavur mein
Dekh leta hoon roo-ba-roo ab bhi
Ab bhi mein tujhko pyar karta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

kash k mujh say bhi kisi ko piyar hota

kash k mujh say bhi kisi ko piyar hota,
kash k mayray liay bi kisi ka dil bayqarar hota
kash k mujhy bi koi apni yadon mayn lata,
apnay khwabon mayn basata ,ankhon mayn chupata.
kash k mujhsay bhi kabi koi izhar karta
kash k mayray liay bi koi baychayn hota
kash k mujhay bi koi apnay dil mayn utarta
apni sanson mayn samata,mayri duniya ko mayhkata
kash k mayray bi sapnay kabi sach hotay,
kash k mayray bi arman poray hotay
kash k mujhay bi kabhi mil jata koi,
daykhti usay mayn harpal ,rayhti khoi khoi
zindagi piyar bina adhori si hoti hai,
ek sathi bina suni suni hoti hai,
kash k mujhay bi kisi ka sath mila hota,
kash k mayri zindagi mayn bi kisi ka sath hota

Kuch arsay mein Ek baras k arsay mein

Kuch arsay mein
Ek baras k arsay mein
Char chay mulaqatay
Sham ki havali mein
Subha k makhanay ki bay yakin si baaty
Kuch azab mazi k
Guftgho K mozoo thay
Kuch sawval khyboo k
Kuch jawab ankhoo k mushtrik say jasboo k
Ayanoo mein dhaktay thay
Ayanoy to suchay thay
Ur wooh mulaqatay
Char chay mulaqatay
Jin mein tari batoo ki barishoo k mosam nay
Jitnay jout bolay thay
Sham ki havali mein
Jitnay zahir gholay thay
Tara baywafa laja dhayan mein jab ayata hai
Taab sawval karti hain
Meri umer ki ratay
Ek baras k arsay mein
Char chay mulaqatay

Mere her din,her raat ka hisaab rakhna

"Mere her din,her raat ka hisaab rakhna,
Mere her lafz,her baat ka hisaab rakhna,

Ik din maangna hai mei ne.....
Issi liye meri her mulaqaat ka hisaab rakhna.

Kitnay mosam guzray hain mil k.....
Tanhaa guzri her barsaat ka hisaab rakhna.

Fir milaaye gi Qismat hamein,
Meri her jeet,her maat ka hisaab rakhna.

Taareekh khud ko dohraaye gi zaroor
Issi liye apni ik ik baat ka hisaab rakkhna... 

dil kii merii beqaraarii mujh se kuchh puuchho nahii.n

dil kii merii beqaraarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
shab kii merii aah-o-zaarii mujh se kuchh puuchho nahii.n 

baar-e-Gam se mujh pe roz-e-hijr me.n ik ik gha.Dii
kyaa kahuu.N hai kaisii bhaarii mujh se kuchh puuchho nahii.n 

merii suurat hii se bas maaluum kar lo ham-damo
tum haqiiqat merii saarii mujh se kuchh puuchho nahii.n 

shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
mai.n ne kii aKhtar-shumaarii mujh se kuchh puuchho nahii.n 

" jo haal hai meraa karuu.Ngaa gar bayaa.N
hogii un kii sharm-saarii mujh se kuchh puuchho nahii.n

mujhay muhabbat hui hawaon se

"mujhay muhabbat hui hawaon se
hawaon ne rukh badla
mein ne muhabbat ki chand se
woh har raat chupta raha
mein ne subah k ujalooo se mubahhat ki
mager won andheroon mein doobte rahe
muhabbat hui sapno se woh bikherne lage
apni muhabbat khwahishon ki nazer ki
tu woh hasrat bane lage
ab jaan chuki hoon
sab jhooot hai ya
muhabbat kuch bhi nahi!

kon hai wo ? jis ke dum qadam se

"kon hai wo ?
jis ke dum qadam se
hain salamat mere armaan
bakhshi hai jis ne
is kaiynaat-e-rung-o-bu main
mujh ko apni ik alag hi pahchaan
kon hai wo ?
aankhoon se jis ki
ik chalakta hai noor
aur laboon pe jis ki
khilti hai aik shafeeq si muskaan
aakhir kon hai wo ?
jo ik khushi par meri
waar sakti hai
apne dil-o-jaan.......... !
hai wo meri maa..... !!
hai wo meri maa..... !!!

Akser sochta hon qalam se apni mohabbat ki kahani likhon

Akser sochta hon qalam se apni mohabbat ki kahani likhon
jab kabhi likhne ki kosish kerta hon
kalam aur dil mera sath nahi detey
na jane kyun dono hi mujhe shikast de detey hain
hazaron lamhe sekron batain kayi arman kayi tanha shamain
jab kabhi likhne ki koshish kerta hon
kalam in bataon ko zinda hone nahi deta
mere peheli mohabat meri peheli shikast
ke afsaney mere sapne aur tumhari yadain
jo mere dil mien kahin khoye howe hain
kalam in afsanoo ko kisi ke samne ane nahi deta
acha hi hai ke yeh dastan abb tak mere dil mien dafan hai
agar in afsanoo ko kagazon per likh don tu jane kya hojaye
darta hon kahin pardne wala na khojaye
agar humhari dastan dunia k samne ajaye
agar mere bebasi tumhari majbori samne ajaye
parne walon k khayalon ko bhi humhara khayal ajaye
is leye acha hai yeh dastan-e-mohabat humhari chahat ke afsane
kahin andheyron mien kho jaye

ishq hai be khudi hai kia bas teri arzoo hai jaan

ishq hai be khudi hai kia bas teri arzoo hai jaan
poocho na zindagi hai kia bas teri arzoo hai jaan

phulon ki taazgi hai kia chand ki chandni hai kia
rang hai roshni hai kia bas teri arzoo hai jaan

meri har ek soch ki hai teri zaat tak uraan
our meri shayari hai kia bas teri arzoo hai jaan

mere shaam-e-fikar mein hai tere pyaar ki mehek
phool hai kia kali hai kia bas teri arzoo hai jaan

Kaise katti hain woh raatain hum bata nahi saktay

"Kaise katti hain woh raatain hum bata nahi saktay
Per sach ye hai k hum tum se kuch chopa nahi sakte

Woh guzray huway din woh guzri huwi raatain
Woh guzra huwa her ik pAl hum bohla nahi saktay

Meri yaado may tum ho meri tanhaiyo may tum ho
Itna pyaar hai tum se k hum ginwa nahi saktay

In ankho ko in saanso ko bus tomara hi intezaar hai
Ab aa bhi jao is dil ko aur tarpa nahi saktay

tum mayri aankhon say khuwab daikho to

tum mayri aankhon say khuwab daikho to,,
aik shab bhi na so sako gay.
hazar chaho na hans sako gay
hazar chaho na ro sako gay,
k,,khuab kiya hain azab hain yeh,
meray dukhon ki kitab hain yeh,
rafaqatain in main chutt-ti hain,
mohabbatain in main rooth-ti hain,
panapty hain in main wehshatain si,
azziyatain in main phoot-ti hain,
inhi kay darr say khizan hain jazbay,
inhi say shakhain si toot-ti hain,
ghamon ki bandish hain khuab meray,
dukhon ki barish hain khuab meray
raheen-e-atish hain khuab meray
ubal raha hay dukhon ka laawa..
khayal saray jhulas gaye hain,
sulagti khuahish hain khuab meray
ukhadti sansain hain zindagi ki
lahoo ki sazish hain khuab meray
jo mery ankhon say khuab daikho to....
ek shab bhi na so sakogay....

Qadam Qadam Per Badal Rahay Hein

Qadam Qadam Per Badal Rahay Hein Musafiroon ki Talab kay Rastay.

Hawaoon Jasi Mohabbetein, Sadaoon Jasi rafaqatein hein.
kisi ka Maqrooz Mein nahi Per Meray Girabaan Pay Haath Sub Kay.

koi Meri Chahatoon Ka Dushman,Kisi Ko Derkar Meri Chahatein Hain.
Meri Mohabat Kay Razdaan Nay Yeh Kah Kay Loota Diya Meraq Khut.

Kay Beeghi Beeghi Si Ansoon Mein Tamam Gunjluk Ebartein Hein.
Mugar Kisi Nay Yeh Haq Na Maana Kay Meri Bhi Kuch Zaroretein hein.

To jo na thi to is dunia ney bikharna sekha

To jo na thi to is dunia ney bikharna sekha..
Tarey hi aney sey dunia ney badalna sekha..

to jo chalti to hawaon ney bhi chalna sekha...
to jo rukti to samandar ney bhi rukna sekha...

to jo hansti to in kalio ney mahakna seekha...
tari bato sey in pholon ney bhi khilna sekha...

ankh ney yad kia ashkqo ney bahna seekha...
tujhko hi soch k roty huey hansna sekhaa...

logon ney tujhko jo dekha to sanwarna sekha..
tujhko hi dekh k sheshey ney chatakhna sekha..

ghusa badal ney jo dekha to garajna sekha...
jhom kar phir tujhey taron ney mana na sekha..

to jo sojati to mosam ney bhi dhalna sekha...
ankh khuljati to soraj ney nekalna sekhaa...

chaha tujhko to mohobat ney bhi palna sekha...
dekh k chahra tera dil ney dharakna sekha...

zulf bikhri to ghataon ney bhi ana seekha...
tarey roney pa to badal ney barasna seekha...

aj  tujhko bata ta ha kia isney sekha..
sach to phir yah ha tujhey dekh k likhna sekha..

duur se aaye the saaqii sun ke maiKhaane ko ham

duur se aaye the saaqii sun ke maiKhaane ko ham
bas tarasate hii chale afasos paimaane ko ham

may bhii hai miinaa bhii hai saaGar bhii hai saaqii nahii.n
dil me.n aataa hai lagaa de.n aag maiKhaane ko ham

ham ko fasanaa thaa qafaz me.n kyaa gilaa sayyaad kaa
bas tarasate hii rahe hai.n aab aur daane ko ham

baaG me.n lagataa nahii.n saharaa me.n ghabarataa hai dil
ab kahaa.N le jaake baiThe.n aise diivaane ko ham

kyaa hu_ii taqasiir ham se tuu bataa de ai faysal
taaki shaadii marg samajhe.n aise mar jaane ko ham

Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen

Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen , 

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen, 

Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen, 

Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen, 

Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen, 

Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen,   

 Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen.

Zeest ka jaber meri aankhon mein

Zeest ka jaber meri aankhon mein ..
Ban gaya saber meri aankhon mein..

Kiya tujhe bhi kabhi nazar aaya.....
Waqat ka jaber meri aankhon mein.......

Is qader baruf pari sadmoon ki.......
Jam gaya saber meri aankhon mein....

Sham dhalti hey to jal uthti hey .....
Hijir ki qaber meri aankhon mein.......

Janey kyon yeh saza khatam nahi hoti

Janey kyon yeh saza khatam nahi hoti,
Meri aankhon ki yeh nami khatam nahi hoti,

Tere phool sey Aaraz ko chhona saza thehari,
Abhi bhi un kanton ki chubhan khatam nahi hoti,

DiL ko jo Aag lagaye teri judaai ney,
sawan mein bhi jalan os ki khatam nahi hoti,

Buhat lambi hain yeh gham ki kaali raat,
Roshni ko tarsa hoon yeh siyaahi khatam nahi hoti,

Talbe mout ki bhi intaha kar chuka hoon
Janey kyon yeh zindagi ki raah khatam nahi hoti.

Ye jo koi khamoshi hai

Ye jo koi khamoshi hai
Yuun gehri hoti jati hai
Is gehraayi me kabhi tum
Doob na jana
Dekh0!
Tum doob na jana
Aisa na h0 kay
Tum is kham0shi me nahi
Balkey......
Wo khamoshi ...
Tumharey under hamisha kay lie..
Kaheen kh0jaye
Aur Tum
Apney aap ko dhoondney kay lie
Ik
Anjaney safar per nikal par0 !

bhula den gay tumko sanum dheray dheray

ye dard ki aahen juda hoi raheen
bhula den gay tumko sanum dheray dheray
mohabbat k saray zakhum dheray dheray

abhi naaz hain tootay dil ko wafa pe
k toten gay saray bharum dheray dheray
bhulla den gay tumko sanum dheray dheray

Dil mera chahay k seenay se dil mai nekal k phenk do
be dard is be rahm koi hawa main uchal k phenk do
dhoka dea mujhko,dhoka dea
dil ne mere haye yeh kiya kiya
lamhoo se haray.bujhay nazaray
abb to sahen gay yeh ghum dheray dheray

tanha akelay main yadoon k melay main tum guy chor k
chahat ki rasmoon ko wadoon ko qasmoon ko tum guy TOor k
ghareyan sitam ger katti nahin,Ulfat k manzar se hatti nahi
jahan bhi jaon,tmhen he paon
ruken gay hmaray qadum dheray dheray

"BHULLA DENGAY TUMKO SANUM DHERAY DHERAY"

Hum Nazak Nazak Dil waley

Hum Nazak Nazak Dil waley
Bus aise he to hotey hain

Kabi Hanstey hain Kabi Rotey hain
Kabi Dil main Khowab pirotey hain


Kabi Mehfil Mehfil phirtey hain,
Kabi Zaat mai Tanha hotey hain

Kabi Chup ki Mohrr lagatey hain,
Kabi Geet Labon per latey hian


Kabi Sab ka Dil Behlatey hain,
Kabi Khud main Tanha hotey hain

Kabi Shab-Bhar Jagtey rehtey hain,
Kabi Lambi Taan ker sotey hain


Hum Nazak Nazak Dil waley
Bus aise hi to hote hain

Kabi Hanstey hain Kabi Rotey hain
Kabi Dil mai Khowab pirotey hain

dil tadapta hai faryaad katey

dil tadapta hai faryaad katey
aankh darti hai aansoo bahatey
aisi ulfat sey woh jatey jatey
mujh ko apni qasam de gayen hain

Koi hasrat, hasrat na rahye,
Koi ummeed baki na rahye,
Tera daman khusiyoon se bhare itna,
koi shikva -e- zindagi na rahye

agar jo dil ki suno gye to haar jao gye

agar jo dil ki suno gye to haar jao gye
hum jaisa pyar phir kahan se pao gye

jaan dene ki baat to har koi karta hai
jaan banane wala kahan se lao gye

jo ik nazar dekho gye humein
to har tarf sirf hum ko hi pao gye

yakeen apni mohabbat par itna hai mujhe
meri chahat ko dekho gye to laut aao gye

meri ankhon ke samundar mein dhoob gye to
kahin jana bhi chaho gye to na ja pao gye

Tumhara pyaar mere chaar-suu abhi tak hai

Tumhara pyaar mere chaar-suu abhi tak hai
Koi hisaar mere chaar-suu abhi tak hai

Bichartay waqt jo tum sounp ker gaye thay mujhe
Woh intezaar mere chaar-suu abhi tak hai

Tuu khud hi janay kahein duur kho gaya hai magar
Teri pukaar mere chaar-suu abhi tak hai

Main jab bhi nikla mere paaon chaid dalay ga
Jo khaar-zaar mere chaar-suu abhi tak hai

Main ab bhi girtay paaniyon ki qaid mein hoon
Ik aabshaar mere chaar-suu abhi tak hai

Koi gimaan mujhe tum se duur kaisay karay
Ke aitabaar mere chaar-suu abhi tak hai

Eik ajhnabi sa ahsas dil ko sataiy

Eik ajhnabi sa ahsas dil ko sataiy
shayad yeh hi tooh pyar hai

Betabion main dharkan meri chain paiy
shayad yeh hi tooh pyar hai

kuch bhi kaha na kuch bhi suna na
phir bhi bechain dil hai humara

behke qadam hain mushkil main hum hain
dekho sambhlaiy bhala kassay yara

chahay bina bhi nazdik hum chalaiy aye
shayad yeh hi tooh pyar hai

nazraiy becha dain pehray betha dain dil pe
yeh dil kisi ke na manay

kantoon pe chal k sholo pe jal k rogi
mill k rahain gay dewanay

chahat ke LO tooh andhi main bhi chilmilaiy
shahyad yeh hi tooh.......

yeh mulakatain yeh teri yadain
eik pal na main bhol paon

kitni muhabbat hai kitni chahat hai
tum ko kassay bhala main bataon

accah lagay jab who samnay muskuraiy
shayad yeh hi tooh pyar hai...................

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai
Kahan ho tum, ke ye dil beqaraar aaj bhi hai

Wo waadiyaan wo fazaayen ke hum mile thay jahaan
Meri wafa ka wohi par-mazhaar aaj bhi hai

Na jaane dekh ke kyun unko ye huwa ehsaas
Ke mere dil pe unhe iqtiyaar aaj bhi hai

Wo pyar jiske liye humne chor di duniya
Wafa ki raah mein ghayal wo pyar aaj bhi hai

Yakeen nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai

Tou mere khwab nahi mein tera khayal nahi

Tou mere khwab nahi mein tera khayal nahi
Mugur chubhun cee hay dil mein jisey zawal naheen

Bichaen rahoon mein nuzrain diloon ko gurma dein
Jaded dour kee heroon mein yeh kamal nahi

Ajub ce surd mizagee key dil pey dairey hain
Who saamney hain,,merey khoon mein ubaal nahi

Tumharey hijur ke ghurian buree qayamut theen
Tumharey qurb mein jadoo naheen jalal nahi

Butoon ko toor key jub sey khuda ko pehchana
Mairee shuboon meinkaheen ub koe mulal nahi

Nuzur sey dil main busay,teer dil key par karey
Tumharey baud kisee main bhe yeh jamal nahi

Teray situm tou suhey ,shikwa ziar_e-lub laaey
Kisee bhee raahat_e_hazir key eh majal nahi

dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata.

dil aap dharakta hai dharkaya nahi jata.
ye raaz-e-mohabbat har ek ko bataya nahi jata.

agar ehsaas ho to mohabbat ko kar lo mehsoos .
ye woh jazba hai jo lufzon mein samjhaya nahi jata 

.dosti kay liye mohabbat aur khuloos hai lazim .
har haath milanay walay ko dost samjha nahi jata .

bohat kam hain log jo dil mein utar jatay hain .
har rah chaltay ko apna banaya nahi jata .

koshish say badal jati hain taqdeerain aksar.
day kar ilzaam qismat ko, dil ko behlaya nahi jata.

Ye Zindagi Hai Kiya

Ye Zindagi Hai Kiya
Soochna Buhat Dushwaar Hai

Is Zindagi Ke Raastay Par
Chalna Buhat Dushwaar Hai

Aik Aik Kadam Sambhaal Kar
Rakhna Buhat Dushwaar Hai

Is Zindagi Se Jeatna
Lagta Buhat Dushwaar Hai

Is Zindagi Se Haar Kar
Jeana Buhat Dushwaar Hai

Ye Zindagi Hai Kiya
Soochna Buhat Dushwaar Hai

zindgi mai kabhi pyar mat karna

zindgi mai kabhi pyar mat karna,
ho jaye to inkar mat karna,
nibha sako to chalna isiki rah pe,Ankhon pe ansoon ki lakeer ban gayee
kabhi na socha aisi takdeer ban gayee
humne to phaireen thin yun hi rait pe ungilyaan
dekha to tumhari tasveer ban gayee


agar bhigne ka intna hi shaukh hai barish mein,
toh dekho in ankhoo mein,
baarish to har ek ke liye barasti hai,
lekin yeh ankhen sirf tumhare liye baraste hain

aise barsaat main.......teri yaad aati hai bahut,
hawaon ke jhonke mein...tu tarpati hai bahut,
har bund pe jaise...teri hi khushboo basi hai,
barish ke.. is mausam mein tu satati hai bahut.

ae barish zara tham ke baras,
jab mere yaar aa jaye to jum ke baras.
pehle na baras ki woh aa na sake,
phir itna baras ki woh ja na sake

Meri subha ko teri shamoo ka

Meri subha ko teri shamoo ka

Meri shamoo ko terey wadoon ka

Meri raatoon ko terey khowaboon ka

Meri neendoon ko teri bhahoon ka

Merey jazboon ko teri chahoon ka

Behki behki si kuch khataoon ka

Khubsurat sey kuch gunahoon ka



Intezaar Intezaar Intezaar Intezaar



Apney dilber ka apney hamdam ka

Apney janam ka intezaar

Surkh pholoon sey mehka rasta hai

Dil tu mera mager zard patta hai

Pass ankhoon key sabz manzer hai

Dil ka musam tu phirbhi banger hai

Mehki mehki si kuch hawaoon ka

Behgi behgi si kuch khataoon ka



Intezaar Intezaar Intezaar Intezaar



Apney badal ka apni barish ka

Apney sawan ka intezaar

Apni dharkan ka apni sansoon ka

Apney jiney ka intezaar



Koi badli khabhi is tarha aee gi

Payas sadyun ki pal main bhuj jaee gi

Tujh ko lutakey meri aagosh main

Daikhna waqt ki nafs tham jaee gi

Aisa banney key kuch duwaon ka

Umer bher jo milley un panahoon ka



Intezaar Intezaar Intezaar Intezaar



Terey anay ka tujh ko panay ka

Phir na janey ka intezaar

======Intazar=====

aankhon sey ansoen ko ubherny nahi dia

aankhon sey ansoen ko ubherny nahi dia
matti mein in motion ko bhkerny nahi dia 

jis rah par parey they tery qadmon key nishaan
iss rah sey meiny kisi ko guzerny mahi dia 

chaha to chahton ki hadon sey guzer gey
nashha mohabton ka uterny nahi dia 

har bar hai nia trey milny ka ziaqa
esa samar kissi bhi shajer ney nahi dia 

ye hijer hai to is ka faqat wasal hai elaaj
hum ney waqat ko ye zakham bherny nahi dia 

etny barey jahan mein too jay ga kahan
buss is aik khial ney mujhy marney nahi dia 

iss ney hansi hansi mein mohabat ki baat ki
orr phir faysal meiny ussy mukerny nahi dia

kis qadar khubsorti sey keh dey taq-e- talooq ki baat

kis qadar khubsorti sey keh dey taq-e- talooq ki baat
na pooch phir kiya guzri iss dil-e ? beqarar per

wafaoon key pekar ko sila bey wafai diya mein ney
iss zoor sey saang gira teray sheesha_e- aatabar per

bey kali si cha gai ha mmeray apney hi wajood per
lamha lamha beet raha ha sadyoo key jasey iss intazar per

hum ney maana nei hein qabil teri iq musqurahaat key bi aa JANAA!!
Dey na sakey heassi na sei , na rakk muj ko apney inkar per

Kis ko qubool hooti ha laha bhar ki bi dooi apney janaa sey
Bus chalta nei magar kabi apney iqtiyar per

Apnay Bister Pey Bohat Dair Say Main Neem Draz

" ITNA MALOOM HAI

Apnay Bister Pey Bohat Dair Say Main Neem Draz
Sochte Thi Kah Woh Is Waqt Kaha Ho Ga
Main Yaha Hoon Mager Us Ko cha Rang wo Boo Main
Rooz Ke Tarah Say Woh Aaj Bhi Aaya Hoga
Or Jab Usnay Waha Mujh Ko Na Paya Hoga-!?

Aap Ko Elem Hay, Woh Aaj Nahi Aae Hay?
Meri Har Dost Say Usnay Yahi Pucha Ho Ga
Kyun Nahi Aae Woh Kia Baat Hoee Hay Aakher
Khud Say Is Baat Pey So Baar Uljha Ho Ga

Kal Woh Aayay Ge Tu Main Us Say Nahi Boloon Ga
Aap He Aap Kaee Baar Woh Rotha Ho Ga
Woh Nahi Hay Tu Bulande Ka Safer Ketna Khatan
Sereeyaan Chartay Howay Usnay Yah Socha Ho Ga

Rahdari Main, Haray Lown Main Pholoon Kay Qareeb
Usnay Har Semt Mujhay Aan Kay Dhunda Ho Ga

Naam Bholay Say Jo Mera Kahi Aaya Hoga
Gair Mahsoos Tareeqay Say Woh Chonka Hoga
Aak Jumlay Ko Kaee Baar Sunaya Hoga
Baat Kartay Howay So Baar Woh Bhola Hoga

Yah Jo Ladki NaEE Aae Hay, Kahe Woh Tu Nahi
Usnay Har Cheraa Yahi Soch Kay Dekha Hoga
Jan -e- Mahfil Hay, Mager Aaj, Faqat Meray Bagair
Hay Kis Darjay Wahe Bazem Main Tanha Hoga

Kabhi Sannatoon Say Wahshat Jo Hoee Hoge Usay
Usnay Bay Sakhta Pher Mujh Ko Pukara Hoga
Chaltay Chaltay Koee Manoos Se Aahat Pa Kar
Dostoon Ko Bhi Kese Azer Say Roka Hoga

Yaad Kar Kay Mujhay, Nam Ho Gaee Hoge Palkaen
"Aankh Main Par Gia Kuch" Kah Kay Tala Hoga
Or Ghabra Kay Ketaboon Main Jo Lee Hoge Panah
Har Sater Main Mera Chera Ubhar Aaya Hoga

Jab Mele Hoge Usay Meri Elalat Ke Khaber
Usnay Aahista Say Dewaar Ko Thama Hoga
Soch Kar Yah, Kah Behal Jay Pareshani -e- Dil
Yohi Bay Wajay, Kese Shaks Ko Roka Hoga

Itafaqan Mujhay Us Shaam Meri Dost Mele
Main Nay Pucha Kah Suno Aay Thay Woh? Kesay Thay?
Mujh Ko Pucha Tha? Mujhay Dhunda Tha Charo Janeb?
Usnay Ak Lamhay Ko Dekha Mujhay Or Pher Hans De

Us Hanse Main Tu Woh Talkhe Thi Kah Us Say Aagay
Kia Kaha Usnay _ Muhjay Yaad Nahi Hay _ Lakin
Itna Maloom Hay , Khowaboo Ka Bharam Toot Gia !

pukarti hai Khamoshii mayrii fugan ki tarah

pukarti hai Khamoshii mayrii fugan ki tarah
nigaahayn kayhataii hayn sab raaz-e-dil zuban kii tarah

jalaa k dag-e-muhabbat nay dil ko Khaak kiyaa
bahaar aaai mayre bagh mayn Khizan kii tarah


talaash-e-yaar mayn chori na sar-zamin koi
hamaray paon mayn chakkar hayn asman ki tarhan 

adaa-e-matlab-e-dil hamasay sikh jaay koi
unhayn suna hi dia hal dastan ki tarhan

Chalo chand sy batien karien

"Chalo chand sy batien karien...........!!!

Ao karien chand sy wo sab batien....
Izhar bhi karien issi sy....
Banalien ab ussi ko apna raazdaan....
Wagarna kuon suny ga hammari yahan daastan.....
Chelo  phir is ko bataien......
Apni tammam uljhanien....
Aur na laien kissi ko apny darmiyan.......................!!!

Aik Yaad hai.. jo dil me hai

Aik Yaad hai..
jo dil me hai..
saanso me hai
dharkano me hai..
Faryad me hai..
Arzoo me hai..
khuwahisho me hai.
Har Ik kahani me hai
Har Ik umang me hai..
Har Ik khushi me hai..
Aaj tak samajh ye na payi me..
Teri yaad har har shehnayi me hai
Ban kay dharkan meri, khamosh sada0n me hai
kia baat hai aisi aakhir
Kay tuu mujey bhoolta nahi hai
meri nas nas me samata jata hai
Teri yaad meri rag rag me shehnayi ban ker..
Goonjti hai...
Aur mujey..Pukaarti hai...
mujhey apney paas bulati hai...
Teri yaad hi aik aisi sheh hai...
jisey mehsoos kerkey ...
Zindagi yun rawa-n dawa-n hai...
Meri Zindagi Yun natamam h0ker bhi tamam hai..
Kash kay mujhse koi ye aaker poochey..
Tum zinda ho...
kia dharkan0 me koi Arzooo...
Ab bhi baaqi hai...
Me sirif itna kahoongi..
Ik teri yaad hi hai...
Jo sab per Chayi hai.........!!
Jo kisi ki bhi Yaad kay aney se pehley...
Meray paas Dori chali aati hai......!!


Yaad na aya kero mujhey

Yaad na aya kero mujhey!
Main jab bhi geet koi gungunaon
Main jab bhi sur koi naya banaon
Kisi tayyari me hoon main ager magan
Jaana ho mujhey ager kisi kay sang
Dekhoon saamney doobta hua sooraj kabhi
Ger nikalta hua dekhoon main chaand kabhi
Sab Kuch..jab s0jaye , Dais aur Aasmaa-n
Jhaankta hai..Jab koi chaand
Yaad na aya kero mujhey!
Yaad ker rahi hoti hoon jab
Kisi dil azeez ko main
Likh rahi hoti hoon
Jab khat kisi ko main
Dekh rahi hoti hoon
Jab kisi khuaab ko main
Tum !
Yaad na aya kero mujhey!

Woh Mujh Say Poochti Hai Main Tere Liye Zaroori Hoon Kaisay

Woh Poochti Hai .. ?

Woh Mujh Say Poochti Hai Main Tere Liye Zaroori Hoon Kaisay

Main Kehta Hoon Zinda Rehnay Ko Meri Sans Zaroori Ho Jaisay

Woh Poochti Hai Tera Mujhay Itna Chahana Zaroori Hai Kaisay

Mian Kehta Hoon Jina Chahata Hoon Jinay Ko Tujhay Panaa Ho Jaisay

Woh Poochti Hai Tera Mera Saath Ko ... Nibhana Ho Kaisay

Main Kehta Hoon Bina Saath Tere Mera Mar Jana Ho Jaisay

Woh Poochti Hai Teri Aankh Main Aansoo Aata Hai Kaisay

Main Kehta Hoon Yaad Tera Aana Meri Rooh Ko Terpana Ho Jaisay

Woh Poochti Hai Duaa Ko Tera Haath Uthana Hai Kaisay

Mian Kehta Hoon Sath Janam Ka Mang Raha Ek Janam Say Ho Jaisay

Woh Poochti Hai Tera Khamosh Aankhon Main Dekhna Hai Kaisay

Main Kehta Hoon Inn Aankhon Main Kho Jana Mera Maqsad Ho Jaisay

Woh Poochti Hai Iss Qadar Toot Ker Chahana Hai Mujhay Kaisay

Main Kehta Hoon Zindagi Naam Hai Teray Tu Meri Zindagi Ho Jaisay


sab tumhare liye

sab tumhare liye
jaan-e-jaan yeh jahan yeh zameen asmaan
yeh mere raat din haak hain tere bin
yeh meri zindagi dosti dushmani
raaste waaste sab tumhare liye
sab tumhare liye
tum jo dekho to mere shab o rooz ko
koi matlab mile
tum jo poocho to mere har ik hurf ko
koi rutba mile koi mansab mile
tum jo socho mere waaste kuch kabhi
main sitaron ko mothi mein bhar laon ga
tum agar ik din mujh ko awaz do
main jahan par bhi hoon laut kar aaon ga
yeh mere jism o jaan mere shair o sahan
meri tanhaiyan
bazam araiyan
abh tumhare liye
sab tumhare liye.....

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
k ashq rokna tum se mohaal hona hay

har aik laab pe hay meri wafa k afsanay
tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

baja hay ka khaar hain lakin bahar ki rot main
yeh teh hay k huamin bhi nehaal hona hay

tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
tumharay hijar main ik lamha bhi sal hona hay

humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bhahoon main
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
baas intizaar hay kaab yeh kamal hona hay

har shaks chalay ga humari rahoon per
mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
humari zaat ko aisa sawal hona hay
" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga  

usay bhi apne kiye ka milal hona hay .

mere jeene ke liye tera armaan hi kaafi hai


mere jeene ke liye tera armaan hi kaafi hai,
dil ke qalam se likhi ye dastaan hi kafi hai,
teer-e-talwaar ki tujhe kya zaroorate ai nazneen,
qatl karne ke liye teri muskaan hai kafi hai.

agar hum na hote to tujhe ghazal kaun kahta,
tere chehre ko kamaal kaun kahta,
yeh to karishma hai mohabbat ka,
warna pathharoN   ko taj mahal kaun kaheta?

iss dil mein bhi hasratein baki hai

iss dil mein bhi hasratein baki hai
teri wafa ka abhi karna hisaab baki hai

jo sawaal humare dil ki tadap ne hai puchhe
unki wafa mein likhna hisaab baki hai

siyahi sukh bhi jaye kal tere lautne tak
tu ghabrana nahi mere ragon mein lahu baki hai

iss zindagi ki khatm nahi kitaab yahin
panne dilchasp abhi palatne baki hai

Popular Posts