Tuesday, April 27, 2010

Ham ne is umer ka afsana bana rakha he

Ham koi dunya se neralye to nahi hein
Ham bi is waqt mein jete hein jahaan
Tetleyaan,khuwab hein aur phool
Shehar ham ko bi muqadar mein mila he jis mein
Darkanee gum hein aur shoor se hu ka alam
Ham bi is gar ke makeen hein k jahaan
Waqt katte buj jati he is umar ki lo
Aik bemusrif-o-gumnaan erade ki tarha
Ham bi logoon ki tarha hein k hamein
Dukh chupana bi he,hasna sare bazaar bi he
Ham pe bi ehde jawani ka azaab utra he
Ham ne bi door kesi sehar mein baste hue hanste hue
Aik shaks ko chaha he buhat
In hawaoon ko sada jana he
Jese us sehar se pegam-e-wafa lai hein
Darkanee ankh ka ansu to nahi hein lekin
Ham ne gin gin ke ganwaein hein kesi sahks ke naam
Ham nerale hi to hein
Ham ne is gam ko gam-e-jahaan bana rakha he
Umer jis mein na koi aas,na ansu,na hasi
Ham ne is umer ka afsana bana rakha he

No comments:

Popular Posts