Tuesday, April 27, 2010

Apnay Bister Pey Bohat Dair Say Main Neem Draz

" ITNA MALOOM HAI

Apnay Bister Pey Bohat Dair Say Main Neem Draz
Sochte Thi Kah Woh Is Waqt Kaha Ho Ga
Main Yaha Hoon Mager Us Ko cha Rang wo Boo Main
Rooz Ke Tarah Say Woh Aaj Bhi Aaya Hoga
Or Jab Usnay Waha Mujh Ko Na Paya Hoga-!?

Aap Ko Elem Hay, Woh Aaj Nahi Aae Hay?
Meri Har Dost Say Usnay Yahi Pucha Ho Ga
Kyun Nahi Aae Woh Kia Baat Hoee Hay Aakher
Khud Say Is Baat Pey So Baar Uljha Ho Ga

Kal Woh Aayay Ge Tu Main Us Say Nahi Boloon Ga
Aap He Aap Kaee Baar Woh Rotha Ho Ga
Woh Nahi Hay Tu Bulande Ka Safer Ketna Khatan
Sereeyaan Chartay Howay Usnay Yah Socha Ho Ga

Rahdari Main, Haray Lown Main Pholoon Kay Qareeb
Usnay Har Semt Mujhay Aan Kay Dhunda Ho Ga

Naam Bholay Say Jo Mera Kahi Aaya Hoga
Gair Mahsoos Tareeqay Say Woh Chonka Hoga
Aak Jumlay Ko Kaee Baar Sunaya Hoga
Baat Kartay Howay So Baar Woh Bhola Hoga

Yah Jo Ladki NaEE Aae Hay, Kahe Woh Tu Nahi
Usnay Har Cheraa Yahi Soch Kay Dekha Hoga
Jan -e- Mahfil Hay, Mager Aaj, Faqat Meray Bagair
Hay Kis Darjay Wahe Bazem Main Tanha Hoga

Kabhi Sannatoon Say Wahshat Jo Hoee Hoge Usay
Usnay Bay Sakhta Pher Mujh Ko Pukara Hoga
Chaltay Chaltay Koee Manoos Se Aahat Pa Kar
Dostoon Ko Bhi Kese Azer Say Roka Hoga

Yaad Kar Kay Mujhay, Nam Ho Gaee Hoge Palkaen
"Aankh Main Par Gia Kuch" Kah Kay Tala Hoga
Or Ghabra Kay Ketaboon Main Jo Lee Hoge Panah
Har Sater Main Mera Chera Ubhar Aaya Hoga

Jab Mele Hoge Usay Meri Elalat Ke Khaber
Usnay Aahista Say Dewaar Ko Thama Hoga
Soch Kar Yah, Kah Behal Jay Pareshani -e- Dil
Yohi Bay Wajay, Kese Shaks Ko Roka Hoga

Itafaqan Mujhay Us Shaam Meri Dost Mele
Main Nay Pucha Kah Suno Aay Thay Woh? Kesay Thay?
Mujh Ko Pucha Tha? Mujhay Dhunda Tha Charo Janeb?
Usnay Ak Lamhay Ko Dekha Mujhay Or Pher Hans De

Us Hanse Main Tu Woh Talkhe Thi Kah Us Say Aagay
Kia Kaha Usnay _ Muhjay Yaad Nahi Hay _ Lakin
Itna Maloom Hay , Khowaboo Ka Bharam Toot Gia !

No comments:

Popular Posts