Tuesday, April 27, 2010

Ager kah do to Ye bhujti shamein aur deep

Ager kah do to…
Ye bhujti shamein aur deep
Phir se jagmgain ge
Andheron ke saye
Roshni main gum ho jaien ge
Ager kah do to…
Ye kalyain , ye baharein muskraien gi
Tumhare pyar ki khushbu hwaun main bsaien gi
Mohabbat main hamein sawan ke jhoole jhoolaien gi
To phir in badlon ke sang hmain is paar aana hia
Jahan tum aur tumhari chahton ka khazana hai
Mujhay maloom hai tum ko jahan per laut jana hia!
Ager kah do to…
Main in faaslon , in dooriyun ko paat dun
To phir ye dooriyon majburiyon
Ki zanjeerien taud ker tumhian
Apne paas bulaon gi
Ager kah do to…

No comments:

Popular Posts