Zindagi ka ye safar aaj humne jana hai
Manzil-kada e dil ka ye ik fasana hai
Dekhe na ik nazar wo mere khasta jigar ko
Waakif jo tha mera ya khuda kyun begana hai
Ishq hai kahan teri duniya me ai khuda
Tez e jafa se gard hua ye zamaana hai
Kya hum bhi na samjhenge ishare sugar ke
Ye nam e dildaar kya ye ik bahana hai
Phirte hain subh o shaam unke intezaar me
Qaasid na hum se pooch tera kya thikana hai
Kehne ko ab raha nahi kuch ai dil e muztar
Ummeed e wafa hai kya bala humne jana hai
Yun josh e ashq se na hila hum ko ai ‘faysal
Ya rab khayaal e yaar me ye dil deewana hai

No comments:
Post a Comment