Rait par ghar jo banaaye humne
Hawaa ke zulm aazmaye humne
Kitni dafaa yoon hi muskuraaye.
Kitne ghum yoon chhupaye humne
Paigaam-e-khushi aaye hamare naam
Gairoo ke patey bataye humne..!!
Jab maut ki aahat sunaaye di
To aas ke panchhi uraaye humne
Na puuchh hamey bhi khabar nahin
Ke kyon tere khat jalaye humne..?
Kya bataaye tumhari chahat mein
Kitne hain zakham khaaye humne..?
Aik katra nazar aayega samandar
Itne hain aansu bahaaye humne.
Kaanton pe humne haath rakh diya
Daaman pholoon se bachaye humne
Bas suljhaane ki kash-ma-kash mein
Maslaey aur bhi uljhaaye humne
Jab bhi udaas hota hoon
tab-tab kalam hain utthaaye humne !
Hawaa ke zulm aazmaye humne
Kitni dafaa yoon hi muskuraaye.
Kitne ghum yoon chhupaye humne
Paigaam-e-khushi aaye hamare naam
Gairoo ke patey bataye humne..!!
Jab maut ki aahat sunaaye di
To aas ke panchhi uraaye humne
Na puuchh hamey bhi khabar nahin
Ke kyon tere khat jalaye humne..?
Kya bataaye tumhari chahat mein
Kitne hain zakham khaaye humne..?
Aik katra nazar aayega samandar
Itne hain aansu bahaaye humne.
Kaanton pe humne haath rakh diya
Daaman pholoon se bachaye humne
Bas suljhaane ki kash-ma-kash mein
Maslaey aur bhi uljhaaye humne
Jab bhi udaas hota hoon
tab-tab kalam hain utthaaye humne !
No comments:
Post a Comment